Qurbani Rules and Issues on Eid ul Adha

ALLAH is Great, ALLAH is Great. No one but ALLAH be worshipped. Only ALLAH is Great. All the praise reserved for HIM – on their way to prayers. This is what a Muslim must recite while going for offering Eid-ul-Adha Prayers. There are certain Qurbani rules and it’s issued (masail).

Terms and Conditions for Sacrifice of an Animal on Eid-ul-Adha


Bismillah hirRahmaan nirRaheem
With The Name of ALLAH, The Gracious and The Merciful
SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam

Qurbani Rules and Issues on Eid ul Adha-Zibah Karne Se Pahle-qurbani ki dua

Bakra Zibah Qurbani Karne Ki Dua With All Translations

बक़रा ज़िबह क़ुरबानी करने की दुआ तर्जुमा के साथ

Eid ki namaz ke liye hamein sab kapro me se sabse aala kapde chunne chahiye, agar naye banwane ki haisiyat rakhte hai to naye kapde banwakar pahenne chahiye. Iske sath-sath ghareebo ko bhi sadaqah ada karna chahiye.

Isse Eid ki khushiyo mein wo bhi shareek ho sakein. Eid-ul-Azha ki namaz parhne ke liye jate waqt ye dua parhte-parhte jana chahiye. Ye ALLAH Ta’ala ki tarif bayan karti hai.

Namaz se farigh hokar ghar lautne ke bad qurbani ka silsila shuru hota hai. Ghar ke tamam afrad ke samne qurbani ho, isse ALLAH ke liye unka jazba buland hota hai. Kyuke qurbani sirf ALLAH hi ke liye ki jati hai.

ALLAHU Akbar ALLAHU Akbar ALLAHU Akbar La Ilaha Illallahu ALLAHU Akbar ALLAHU Akbar Wa Lillahil ‘Hamd

Also known as Takbeerat-al Eid.

Qurbani Rules and Issues on Eid ul Adha

Roman English

Qurbani karte waqt aap jo dua parhte hai wah darasal wafadari aur janisari ke inhi jazbaat ka izhar hai. Us dua dua ka tarjuma hai:

Maine yaksuyi ke sath apna rukh thik us ALLAH ki taraf kar liya hai JISNE asmanon aur zameen ko paida kiya aur main shirk karne walo me se nahi hu. Bila shuba meri namaz, meri qurbani, meri zindagi aur meri maut sab ALLAH Rabbul ‘alameen ke liye hai. USKA koi shareek nahi, isi ka mujhe hukm diya gaya hai aur main farmabardaron me se hu. Yah tere hi huzur pesh hai aur tera hi diya hua hai.

ALLAH Ta’ala ne Qurbani karne ka hukam Qur’an Sharif mein diya hai. Hadees Pak mein Sahaba-e-Karaam ke puchne par Nabi Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne irshad farmaya. → Mushkil Kam Asan Karne Ka Wazifa

“Yah Hazrat Ibrahim Alayhis Salam ki sunnat hai, janwar ke har bal ke badle ek neki hai. Apne Qurbani ke janwar ko mota taza karo, kayamat ke din pul sirat pe sawari ke kam ayenge”.

Ek hadees ka mafhum aur bhi hai ke Qurbani ke dino mein Qurbani karne se afzal dusre koi kam nahi. Yeh bhi farmaya Qurbani ke janwar ka khoon zameen par girne se pehle hi ALLAH Ta’ala ki baargah mein pauhanch jata hai.

Khud Nabi Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne Qurbani farmayi aur apne Sahaba ko uske karne ka hukam diya.

Hazrat Aisha RadiALLAHu ‘Anha se riawayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki baqra-eid ke din koi nek amal ALLAH ke qurbani se zyada mehboob aur pasandeeda nahi.

Qayamat ke din qurbani ka janwar apne balon, seengo aur khuro ke sath ayega yani har ek cheez ka sawab hasil hoga. Qurbani ka janwar zameen par girne se pahle ALLAH Ta’ala ke nazdeeq qubuliyat hasil kar leta hai. Lihaza khushdili se qurbani kiya karo.

[Tirmidhi Jild 1 Safah 275]

Kala Jadu Sifli Ilm Ka Ilaj Amal-Black Magic Sifli Ilm

Hazrat Abdullah Bin Abbasse se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya:

Kisi nek kam mein maal kharch kiya jaye to Eid-ul-Azha ke din Qurbani mein kharch kiye jane maal se zyada fazilat nahi rakhta.

[Dare-e-Qutni Safah 774]

Qurbani Karne Ki Wa’eed

Hazrat Abu Hurreira se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya:

Ki jis shakhs ko Qurbani ki wus’at hasil ho, iske bawajood wah qurbani na kare to awh hamari eidgah ke qareeb nahi aye.

[Ibne Majah Safah 226, Musnad Ahmad Jild 2, Safah 321]

Bakra Zibah Qurbani Karne Ki Dua With All Translations

Qurbani har us shaks mard aurat par wajib hai jis par zakat wajib hai. Jo bhi sahib-e-nisab ho wo Qurbani kare. Dhyan rahe Haji log Mina mein Qurbani karte hain woh Hajj ke Shukrane ki Qurbani hai.

Bakra-eid wali Qurbani Haji par wajib nahi agar wo Hadd-e-shahar ke mutabiq musafir hai tou. Agar kisi admi par Qurbani wajib nahi thi magar usne Qurbani ki niyat se janwar kharida tou ab uspar wajib ho gayi.

Qurbani ke 3 din hain. 10, 11, 12 Zil-hajj. Pehle din yani 10 Zil-hajj ko qurbani karna afzal hai. Shahar aur qasbon mein rahne walon ke liye Bakra-eid ki namaz padhne se pehle Qurbani karna durust hai. Dehaat mein rahne wale log Namaz-e-Eid se pehle bhi kar sakte hai.

Qurbani ke janwar oont, oontani, dumba, bakra, bakri, bhed, bhedi, bhainsa wagairah hain.

Oont 5 sal ka, bhainsa wagaira 2 sal aur us se chote janwar bakra wagairah 1 sal ke hona chahiye. Bade janwar mein 7 admi shareek ho sakte hain. Agar kisi ek ne bhi Qurbani ki niyat ke bajaye gosht khane ki niyat karli tou kisi ek ki bhi Qurbani nahi hogi.

Janwar ke agar paidaishi seeng na ho tou uski Qurbani jayez hai. Agar aik chauthayi se kam seeng tooti hai tou bhi Qurbani jayez hai. Andhe aur kaane janwar ki Qurbani jayez nahi. Read Music in Islam haram or halal?

Itna dubla aur kamzor bhi na ho ke uski haddiyon mein gooda na ho tou uski Qurbani jayez nahi. Kyuke Hadees Pak SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke mutabiq afzal yahi hai ke janwar mota taaza aur tandurust ho.

Khasi bakre aur mendhe ki Qurbani jayez hai kyuke khasi karna aib nahi janwar ko mota taaza karne ki ek wajah hai.

Ek maaldar admi ne Qurbani ka janwar kharida aur Qurbani se pehle us mein aib paida ho gaya tou us maaldar admi ko chahiye ke dusra janwar kharid kar Qurbani kare.

Qurbani karne wale ke liye Hukam

Jo admi Qurbani ka irada kare use chahiye ke Bakra Eid ka chand nazar aane ke bad apne badan, sar aur daadhi mooch ke bal na kate, han gair zaruri bal kate ja sakte hain.

Na hi nakhun katwaye jayen. Han Qurbani karne ke bad hajamat banwa kar nakhun wagaira katne chahiyen.

Jo admi Qurbani karne ki taqat na rakhta ho uske liye ye behtar hai ke wo bhi Zil-hajj ka chand dikhne ke bad na hajamat karwaye na nakhun kate. ALLAH Ta’ala ke nazdik Insha ALLAH uska ye amal Qurbani ki jagah ho jayega.

Don’t Miss to Read

 Qurbani karne ka Tariqa aur Dua

Jis janwar ki Qurbani karni ho agar wo bakra-bakri, bhed ya dumba hai tou usko Qibla ki taraf is tarah litayein ke uska sar junub (South) ki taraf ho, peeth Qible ki taraf, seena zibah karne wale ki taraf aur pichla hissa shumal ki taraf ho.

Zibah karne wala janwar ko lita kar uske seene par apna seedha guthna rakhein. Phir janwar ka munh pakad kar uske gale par shah-rag ke pas is tarah apne seedhe hath se tez chura chalaye ke janwar foran zibah ho jaye.

Churi itni bhi zyadah na phere ke gardan ki gaanth tak pauhanch jaye.

Hadees-e-Mubarikah hai.

Khud zibah karna afzal hai lekin kisi dusre se zibah karwane mein bhi koi harj nahi.

(Sahih Bukhari)

Zibah karne se pahle Qurbani ki Dua

Zibah karne se pehle Qurbani ki ye du’a padhein.

إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ حَنِيفًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ إِنَّ صَلاَتِی وَنُسُكِی وَمَحْيَایَ وَمَمَاتِی لِلّٰہِ رَبَّ الْعَالَمِينَ لَا شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا مِنَ الْمُسْلِمِينَ اَلَّلهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ عَنْ__بِسْمِ اللهِ وَاللهُ أَكْبَرْ

Inni waj-jahtu waj-hiya lillazi fata rassamawati wal arda hanifauw wa ma ana minal mushriqina inna salaati wa nusuki wa mahya-ya wa mamaati lillahi rabbal aalmeena la sharika lahu wa bizaalika umir-tu wa ana minal muslimeena ALLAHumma laka wa minka ‘an __ bismillahi wALLAHu Akbar.

‘An ke bad apna nam lijiye.
Recite your name after ‘an.

Zibah karne ke bad ki Dua

Zibah karne ke bad ye du’a padhein.

اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْ مِنِّي هٰذِهِ الْاُضْحِيَّةَ کَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ خَلِيلِکَ سَيِّدِنَا اِبْرَاهِيمَ وَ حَبِيبِکَ سَيِّدِنَا وَمَوْلَانَا مُحَمَّدٍ نَبِيِّکَ عَلَيْهِمَا الصَّلوٰۃُ وَ

السَّلَامُ

Qurbani agar dusre shakhs ki taraf se kar rahe hain tou minni ke bajaye min bol kar us shakhs ka nam lein. Agar qurbani ke janwar mein saat log shareek hain tou un sab ke nam liye jayen.→ Pul e Sirat Ka Safar-Pul Sirat Par Guzarne Me Kamyab Hone Ke Aamaal

If you are performing the sacrifice on someone else’s behalf recite min instead of minni and then recite the name(s).

Agar arbi padhni nahi ati tou aise bol sakte hain.

“Ae ALLAH! is Qurbani ko meri taraf se Qubul farma jis tarah TU ne Hazrat Ibrahim Alayhis Salam aur Hazrat Mu’hammad Mustafa SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki taraf se Qubul farmayi.”

Hadees-e-Mubarikah hai.

Musalman aurat bhi qurbani ka janwar zibah kar sakti hai.

(Sahih Bukhari)

Janwar thanda hone ke bad chamda utara jaye aur gosht ke tukde kar lein. Gosht ke teen hisse kiye jayen.

Ek hissa apne liye rakhein. Ek hissa rishtedaaron ko dein aur ek hissa ghareebon mein taqsim karein. Joint family hai aur ghar mein log zyadah hain to pura gosht ghar mein rakha ja sakta hai. Janwar ka chamda ghareebon, bewaaon, yatimon ya deeni masjidon mein dena chahiye.→ Dua to Make Someone Talk To You

Hadees-e-Mubarikah hai.

Zibah karne wale qasab ko qurbani ke janwar mein se koi chiz bataur-e-mazduri dena jayez nahi.

(Bukhari-o-Muslim)

Kasab (kasayi) ko zibah karne aur gosht banane ki mazduri mein gosht, khaal aur rassi wagairah na di jaye balke mazduri alag di jaye. Rassi wagairah khairat kardi jaye. Jis admi par Qurbani wajib nahi hai usko agar zahmat aur taklif na ho to us ko bhi Qurbani kar leni chahiye, han qarz lekar na kare.

Qurbani apne aur apne maa, baap, dada, dadi aur rishtedaaron ki taraf se bhi ki ja sakti hai. Agar har sal nahi to zindagi mein 4-6 martabah karni chahiye.

Tried & Tested yaALLAH Dua Wazaif

eid-ki-takbeerat-ALLAHU-akbar-la-Ilaha-Illallah-walillahil-hamd-yaALLAH

Also Read

What is Eid ul Adha? Hajj Qurbani Farz Celebration

Qurbani Rules and Issues on Eid ul Adha

English Version

On the morning of both the Eid, Eid-ul-Azha, and Eid-ul-Fitr every Muslim men, women, and children would bathe and slip into the best attire, granted by ALLAH. It is recommended for them to choose the best of their clothes for the prayers.

Before leaving for the prayers of Eid-ul-Fitr, all the affluent people donated a specific amount as sadaqah, to ensure that nobody remained unfed on this day. After freeing from the prayers animals should be sacrificed for ALLAH. All the Muslims should recite:

I have turned to the one who is the Creator of the skies and the earth. I follow the same path, followed by Prophet Ibraheem,(Peace Be Upon Him) and I am not among those who share others with Almighty.→ Qurani Wazaif for Marriage-yaALLAH Testimonial
My prayers and my sacrifice, my life, and my death, every thing is devoted to ALLAH – the Sustainer of the world –Who has no associate. This is what I have been ordered and I am among the obedient subordinates of ALLAH. O ALLAH! This belongs to You and is being presented to You, in the name of ALLAH, Who is great.
On their return from the Eid prayers, all the affluent Muslims should offer sacrifice an animal on Eid-ul-Azha. This sacrifice is not only meant to revive the event but also the spirit of an aged alien from Iraq, who offered to sacrifice his only son, at the behest of ALLAH, and by His grace of ALLAH, just in time, permitted him to sacrifice the lamb, instead. This is just the test taken by ALLAH.
لَن يَنَالَ اللَّهَ لُحُومُهَا وَلَا دِمَاؤُهَا وَلَكِن يَنَالُهُ التَّقْوَى مِنكُمْ كَذَلِكَ سَخَّرَهَا لَكُمْ لِتُكَبِّرُوا اللَّهَ عَلَى مَا هَدَاكُمْ وَبَشِّرِ الْمُحْسِنِينَ
Surah #22 Surah Al Hajj, Verse #37
It is neither their flesh nor their blood that reaches ALLAH, but it is piety (Takwa, submitting to ALLAH) that reaches Him from you. Thus has He made them subservient to you, that you may glorify ALLAH because He has caused you to attain Hidayet. And give glad tidings to the Al-Muhsinûn (those who have submitted their physical bodies to ALLAH). 
Exactly on the same date and time, every year, Muslims the world over repeat the same act and revive their spirit that they too, like Prophet Ibraheem Alaihissalam, (Peace Be Upon Him), are submissive and docile subjects of ALLAH.→Learn Quran Tajweed Rules Pronunciation Makhraj Huruf Hijaiyah
Like him, they are also prepared to sacrifice their lives, offspring’s, wealth and every other belonging, on the will of Allah and their life and death is just for Allah. This spirit is reflected in the act of sacrificing an animal and by the words uttered at the time of sacrificing an animal.
Who Must Perform Qurbani?
Qurbani is wajib on every Muslim who is of sound mind, mature and in possession of the least Nisab amount. Regardless of possessing it for the entire year. It is not wajib for a guardian of a minor (for example parent of an infant child) to perform a sacrifice on their behalf.
While sacrificing the animal, the above dua should be recited and this scene should be seen by all the family women and children so that all of them have the same spirit of sacrifice and obedience revived.
The behavior of leaders, at that time, can be judged from an instance, quoted in authentic traditions that once, on the day of EID, Prophet Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam entered his house and found that two girls from the neighborhood were sitting with his wife Hazrat Ayesha and singing songs. See Story Essay on Prophet Muhammad Personality Type Qualities Manners here.
The songs were not based on romance and passion or boozing and reveling, rather they were the songs written at the time of Battle of Baghas. Even the girls were not professional artists or vocalists but belonged to respectable families who, when getting together, would sing virtuous songs for the sake of relaxing and entertaining themselves.
Prophet Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam did not interfere in their self-entertainment and went into a corner silently and lied down by covering himself, with a bed sheet, from head to toe.
After a while, Hazrath Abu’ bakr turned up and scolded his daughter Hazrath Ayesha saying what menacing act is going on at the residence of Prophet of ALLAH.
Hearing him, Prophet Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam removed the sheet from his face and said: leave them, every nation has an Eid, to day is ours. On this Hazrath Ai’sha remained silent but the girls stopped singing. See Muslim Religion Prophet Muhammad in History of Islam
As soon as Hazrath Abu’ bakr turned his back from them, Hazrath Ayesha signaled them and the girls quickly disappeared. It is evident from this instance that youngsters were allowed to enjoy, through decent games and singing, but seniors never participated or encouraged them.

Urdu version

قربانی کے ضروری مسائل

اللّٰه سبحانہ و تعالیٰ نے قربانی کرنے کا حکم قرآن مجید میں دیا ہے۔  حدیث شریف میں صحابہ کرام رضوان اللّٰه اجمعین کے پوچھنے پر نبی پاک صلی اللّٰه علیہ وسلم نے ارشاد فرمایا۔

یہ حضرت ابراہیم علیہ السلام کی سنت ہے، جانور کے ہر بال کے بدلے ایک نیکی ہے۔ اپنے قربانی کے جانور کو موٹا تازہ کرو، قیامت کے دن پل صراط پر سواری کے کام آئیں گے۔

ایک حدیث شریف کا مفہوم اور بھی ہے کہ قربانی کے دنوں میں قربانی کرنے سے افضل دوسرا کوئی کام نہیں۔

 آپؐ نے یہ بھی فرمایا۔

قربانی کے جانور کا خون زمین پر گرنے سے پہلے ہی اللّٰه تعالیٰ کی بارگاہ میں پہنچ جاتا ہے۔

خود نبی پاک صلی اللّٰه علیہ وسلم نے قربانی فرمائی اور اپنے صحابہ کرام کو اس کے کرنے کا حکم دیا۔

قربانی ہر اس شخص (مرد، عورت) پر واجب ہے جس پر زکوٰۃ واجب ہے۔ جو بھی صاحبِ نصاب ہو وہ قربانی کرے۔ یاد رہے کہ  حاجی لوگ جو منٰی میں قربانی کرتے ہیں، وہ حج کے شکرانے کی قربانی ہے۔  بکرا عید والی قربانی حاجی  پر واجب نہیں اگر وہ حدِّ شہر کے مطابق مسافر ہے تو۔ اگر کسی آدمی پر قربانی واجب نہیں تھی مگر اس نے قربانی کی نیت سے جانور خریدا، تو اب اس پر واجب ہو گئی۔

قربانی کے تین دن ہیں۔ ١٠، ١١، ١٢ ذوالحج۔ پہلے دن یعنی١٠ ذوالحج کو قربانی کرنا افضل ہے۔ شہر اور قصبوں میں رہنے والوں کے لیے بکرا عید کی نماز پڑھنے سے پہلے قربانی کرنا درست ہے۔ دیہات میں رہنے والے لوگ نمازِ عید سے پہلے بھی قربانی کر سکتے ہیں۔

قربانی کے جانور

قربانی کے جانور اونٹ، اونٹنی، دنبہ، بکرا، بکری، بھیڑ، بھیڑی، بھینسا وغیرہ ہیں۔ اونٹ پانچ سال کا، بھینسا وغیرہ دو سال اور اس سے چھوٹے جانور بکرا وغیرہ ایک سال کا ہونا چاہیئے۔ بڑے جانور میں سات آدمی شریک ہو سکتے ہیں۔ اگر کسی ایک نے بھی قربانی کی نیت کے بجائے گوشت کھانے کی نیت کر لی تو کسی ایک کی بھی قربانی نہیں ہوگی۔

جانور کے آگے اگر پیدائشی سینگ نہیں ہے تو اس کی    جائز ہے۔ اگر ایک چوتھائی سے کم سینگ ٹوٹا ہے تو بھی قربانی جائز ہے۔ اندھے اور کانے جانور کی قربانی جائز نہیں۔ اتنا دبلا اور کمزور بھی نہ ہو کہ اس کی ہڈیوں میں گودا ہی نہ ہو۔ ایسے دبلے پتلے جانور کی بھی قربانی جائز نہیں کیونکہ حدیث شریف کے مطابق افضل یہی ہے کہ جانور موٹا تازہ اورتندرست  ہو۔

خصی بکرے اور مینڈھے کی قربانی جائز ہے کیونکہ خصی کرنا عیب نہیں بلکہ جانور کو موٹا تازہ کرنے کی ایک وجہ ہے۔ ایک مالدار آدمی نے قربانی کا جانور خریدا اور قربانی سے پہلے اس میں عیب پیدا ہو گیا تو اس مالدار آدمی کو چاہیئے کہ دوسرا جانور خرید کر قربانی کرے۔

قربانی کرنے والے کے لیے حکم

جو آدمی قربانی کا ارادہ کرے اسے چاہیئے کہ بکرا عید کا چاند نظر آنے کے بعد اپنے بدن، سر اور داڑھی مونچھ کے بال نہ کاٹے، ہاں غیر ضروری بال کاٹے جا سکتے ہیں۔ نہ ہی ناخن کٹوائے جائیں۔ ہاں قربانی کرنے کے بعد حجامت بنوا کر ناخن وغیرہ کاٹنے چاہئیں۔

جو آدمی قربانی کرنے کی طاقت نہ رکھتا ہو اس کے لیے یہ بہتر ہے کہ وہ بھی ذوالحج کا چاند دیکھنے کے بعد نہ حجامت کروائے، نہ ناخن کاٹے۔ اللّٰه تعالیٰ کے نزدیک اس کا یہ عمل قربانی کی جگہ ہو جائے گا۔ انشاء اللّٰه۔

قربانی کرنے کا طریقہ اور دعا

جس جانور کی قربانی کرنی ہو اگر وہ بکرا، بکری، بھیڑ یا دنبہ ہے تو اس کو قبلہ کی طرف اس طرح لٹائیں کہ اس کا سر جنوب کی طرف ہو، پیٹھ قبلہ کی طرف، سینہ ذبح کرنے والے کی طرف اور پچھلا حصہ شمال کی طرف ہو۔ ذبح کرنے والا جانور کو لٹا کر اس کے سینہ پر اپنا سیدھا گٹھنا رکھے۔ جانور کا منہ پکڑ کر اس کے گلے پر شہ رگ کے پاس اس طرح اپنے سیدھے ہاتھ سے تیز چھرا چلائے کہ جانور فوراً ذبح ہو جائے۔ چھری اتنی بھی زیادہ نہ پھیریں کہ گردن کی گانٹھ تک پہنچ جائے۔

حدیثِ مبارکہ ہے۔

خود ذبح کرنا افضل ہے لیکن کسی دوسرے سے ذبح کروانے میں بھی کوئی حرج نہیں۔

(صحیح بخاری)

ذبح کرنے سے پہلے قربانی کی دعا

ذبح کرنے سے پہلے قربانی کی یہ دعا پڑھیں۔

إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ حَنِيفًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ إِنَّ صَلاَتِی وَنُسُكِی وَمَحْيَایَ وَمَمَاتِی لِلّٰہِ رَبَّ الْعَالَمِينَ لَا شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا مِنَ الْمُسْلِمِينَ اَلَّلهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللهِ وَاللهُ أَكْبَرْ

 

ذبح کرنے کے بعد کی دعا

ذبح کرنے کے بعد یہ دعا پڑھنا افضل ہے۔

اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْ مِنِّي هٰذِهِ الْاُضْحِيَّةَ کَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ خَلِيلِکَ سَيِّدِنَا اِبْرَاهِيمَ وَ حَبِيبِکَ سَيِّدِنَا وَمَوْلَانَا مُحَمَّدٍ نَبِيِّکَ عَلَيْهِمَا الصَّلوٰۃُ وَ السَّلَام

قربانی اگر دوسرے شخص کی طرف سے کر رہے ہیں تو مِنّی کے بجائے من بول کر اس شخص کا نام لیں۔  اگر قربانی کے جانور میں سات لوگ شریک ہیں تو ان سب کے نام لیے جائیں۔

اگر عربی پڑھنی نہیں جانتے ہوں تو ایسے بولیں۔

اے اللّٰه! اس قربانی کو میری طرف سے قبول فرما جس طرح تو نے حضرت آدم علیہ السلام اور حضرت محمد مصطفیٰ صلی اللّٰه علیہ وسلم کی طرف سے قبول فرمائی۔

  حدیثِ نبوی صلی اللّٰه علیہ وسلم ہے۔

مسلمان عورت بھی قربانی کا جانور ذبح کر سکتی ہے۔

(صحیح بخاری)

جانور ٹھنڈا ہونے کے بعد چمڑا اتارا جائے اور گوشت کے ٹکڑے کر لیے جائیں۔ گوشت کے تین حصے کیے جائیں۔ ایک حصہ اپنے لیے رکھیں۔ ایک حصہ رشتے داروں کو دیں اور ایک حصہ غریبوں میں تقسیم کریں۔ جوائنٹ فیملی ہے اور گھر میں افراد کی تعداد زیادہ ہے تو پورا گوشت گھر میں رکھا جا سکتا ہے۔ جانور کا چمڑا غریبوں، بیواؤں، یتیموں یا دینی مسجدوں میں دینا چاہئیے۔

 حدیثِ مبارکہ ہے۔

ذبح کرنے والے قصاب کو قربانی کے جانور میں سے کوئی چیز بطورِ مزدوری دینا جائز نہیں۔

(بخاری و مسلم شریف)

قصاب کو ذبح کرنے اور گوشت بنانے کی مزدوری میں گوشت، کھال اور رسی وغیرہ نہ دی جائے بلکہ مزدوری الگ سے دی جائے۔ رسی وغیرہ خیرات کر دی جائے۔ جس آدمی پر قربانی واجب نہیں ہے اس کو اگر زحمت اور تکلیف نہ ہو تو اس کو بھی قربانی کر لینی چاہئیے، ہاں قرض لیکر نہ کرے۔ قربانی اپنے اور اپنے ماں، باپ، دادا، دادی اور رشتے داروں کی طرف سے بھی کی جا سکتی ہے۔ اگر ہر سال نہیں تو زندگی میں ٤-٦ مرتبہ کرنی چاہئیے۔

 

 

8 Comments on “Qurbani Rules and Issues on Eid ul Adha”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *