Khawateen Me Athra Marz Ka Rohani Ilaj- yaALLAH Website

Athra marz khawateen ka ek marz hai jisme, hamila aurat ke hamal ko nuksan pahuchta hai. Is post mein khawateen ke Athra Marz Ka Rohani Ilaj pesh kiya ja raha hai. yaALLAH Website mein ham is marz se shifa ke liye ruhani ilaj dekhenge.

Hamal Ko Khatre Se Bachane Liye Athra Marz Jisse Ka Rohani Ilaj

 

ya mubdiyo-Khawateen Me Athra Marz Ka Rohani Ilaj

Islamic Prayer to Get a Cure from Marasmus Disease

Roman English

Athra marz ko angrezi mein ‘marasmus’ kaha jata hai. ‘Athra’ koi medical science mein kaha jane wala alfaz nahi. Balki pichhre ilaaqo me rehne wale logo ke zuban mein ise ‘athra’ kaha jata hai.

Yahan ham athra marz ke bare mein khawateen ke lihaz se guftgoo karenge. Is marz mein hamila aurat ka hamal kisi bhi anruni yani jismani ya phir ruhani wajah se zayah ho jata hai.

Ya phir hamal ko nuqsan ho jata hai jin wajuhat se hamal ko zayah karna parhta hai.

Is marz mein bachcha paida hone ke baad bimari mein mubtila ho jata hai jaise nimonia wagerah. Ye marz itna shadeed hota hai ke bachche ke isme jaan tak chali jati hai. Aur ye khawateen ki jismani kamzori ki wajah se bachche tak pahunchta hai.

Kayi log athra marz ko jadu tona samajhte hai jabki aisa hargiz nahi hota hai.

Is marz mein bachcha hamal ke pahle ya akhri teen mahina ke bad zayah ho jata hai. Aur ek dam se gir jata hai. Aur kayi martaba aise mein bachche ke jism par neele rang ke dhabbe bhi ho jate hai. Ya phir aable jinhe fafole bhi kahte hai bachche ke jism par paida ho jate hai. Kayi bar ye apni umar se bada bhi paya jata hai.

Hamal ke Zayah hone ki wajuhat aam taur par ye hoti hai:

  1. Dimaghi Bimari
  2. Ruhani Pareshaniyan
  3. Behad Fikr
  4. Kisi cheez ko zyadah sochna
  5. Zehni awaaraz

Ghaur kijiyega ke jismani taur par athra marz ki koi alamat nazar abhi tak nahi ayi hai.

Also see

Athra Marz  Se Shifa Pane Ke Liye Ruhani Amal

Wuzu ki halat mein rehte hue. Awwal gyarah (11) martabah Durood Shareef parhiye. Uske bad ALLAH ka pyara nam ya Mubdiyo gyarah sau (1100) martabah parhiye. Fir se akhir mein wahi Durood Shareef gyarah (11) martabah parhiye jo shuru mein parhi thi.

Fir ise pak-saf pani par dam karke mariz ko pila dein. Esa rozana karein jab tak shifa na mile. Insha ALLAH kuch hi roz mein is marz se shifa mil jayegi.

Aur hamal jo thehrega wo hifazat se rahega aur zayah na hoga, Ameen. Chahe to ya Mubdiyo likh kar hamila aurat ke gale mein dal sakte hai napaki ka khayal rakhein.

Ghaur Talab: Khwateen haiz/maahwari mein na parhein to behtar hai.

Khawateen Mein Athra Marz Se Shifa ka Ilaj

Urdu

حمل کو خطرے سے بچانے کے لئے اٹھرہ مرض کا علاج

اٹھرہ میڈیکل سائنس میں کہا جانے والا لفظ نہیں ہے۔ بلکہ چھوٹے علاقوں میں رہنے والے لوگوں کی زبان میں اسے اٹھرہ کہا جاتا ہے۔ اس مرض میں حاملہ عورت کا حمل کسی بھی وجہ سے ضائع ہو جاتا ہے یا پھر کن ہی وجوہات کی وجہ سے حمل کو ضائع کرنا پڑتا ہے۔ ضائع ہونے کی وجوہات عام طور پر یہ ہوتی ہیں۔ دماغی بیماری روحانی پریشانیاں بے حد فکر کسی چیز کو زیادہ سوچنا ذہنی امراض جسمانی طور پر اٹھرہ مرض کی کوئی علامت ابھی تک نظر نہیں آئی ہے۔

اٹھرہ مرض سے شفاء پانے کے لئے اسماء الحسنٰی کا وظیفہ

١. وضو کی حالت میں رہتے ہوئے اول گیارہ مرتبہ درود شریف پڑھیں۔

٢. اسکے بعد اللّٰه پاک کا پیارا نام یا مُبدِئُ گیارہ سو مرتبہ پڑھیں۔

٣. آخر میں پھر وہی درود شریف جو شروع میں پڑھا تھا، دوبارہ گیارہ مرتبہ پڑھیں۔

٤. پھر پاک صاف پانی پر دم کر کے مریض کو پلا دیں

۔ ٥. ایسا روزانہ بلاناغہ کریں جب تک شفاء نہ مل جائے۔ انشاء اللّٰه کچھ ہی روز میں اس مرض سے شفاء مل جائے گی۔ اور حمل جو ٹھہرے گا، وہ حفاظت سے رہے گا اور ضائع نہ ہوگا۔ آمین۔ چاہیں تو یا مُبدِئُ لکھ کر حاملہ عورت کے گلے میں ڈال سکتے ہیں۔ ناپاکی کا خاص خیال رکھیں۔

غور طلب: خواتین حیض/ماہواری میں نہ پڑھیں تو بہتر ہے۔

Recommended Read

Islamic Prayer to Get a Cure from Marasmus Disease

English

‘Athra’ is also known as ‘marasmus’ disease. It is a disease in which a pregnant woman develops the symptoms of:

  1. Tension
  2. Depression
  3. Stress
  4. Overthinking
  5. Mental imbalacing

Due to these psychological problems, a pregnant woman may lead to abortion or miscarriage. There are no physical symptoms found for this the ‘marasmus’ disease yet. See Hysteria ka Ilaj Urdu-Female Hysteria Treatment Wazifa here.

Athra Marz  Se Shifa Pane Ke Liye Ruhani Amal

  • In the state of an ablution.
  • Recite eleven (11) times Durood Shareef.
  • Then recite the lovely name of ALLAH ya Mubdiyo eleven hundred (1100) times.
  • Recite the same Durood which you have recited in the starting eleven times (11).
  • Make a prayer to get a cure for this disease.
  • Blow it on water and let the patient drink this water.
  • Perform the same task every day until the disease gets healed.
  • Insha ALLAH within few days you will find the pregnant woman safe from abortion and miscarriage.
  • You can write ya Mubdiyo on paper and make an amulet and tie it around the neck of the patient as well. Be careful of due care for this amulet.

Note: Females are recommended better to avoid reciting this during their menses/periods.

64 Comments

  1. Meri shadi ko 3 saal ho gay hn 3,4 bat miscarriages ho gay hn ab last time hamal tube me tha doctor ne operation kr k tube nikal di h ak plz mujhy koi wazifa btayn mera ye msla hal jo jay jis ko bhi btaya sb khty hm athra hai

  2. Salam bhai mujay bhi wazifa bataye mera khoon gada Rehta hai jis ki wajy sy ek beti hoae 3 din bat death ho Gahi phir ek miscarriage howa 2 month ka heartbeat ake chali gahi phir 9month mai beta Pa it mai death ho gahi phir 2 miscarriage howay bataye mai KIA kro konsa wazifa Karo jisy khoon patla rahy hamal thaek rahy bacha sahi salamt duniya mai aehy plz merey msg ka jawab dijy or apna number bhi dijy mai apsy contact krogi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *