Salat-ul-Hajat ki namaz aqsar jab kabhi behad zaruriyat dar pesh ati hai to isi niyyat se parhi jati hai. Ise Qaza-e-Hajat ki namaz ya phir namaz-e-hajat bhi kaha jata hai. Ye nifli namaz hoti hai aur ise 2-2 rakat karke parha jata hai. Uske bad wahin beth kar hajat ki dua parhi jati hai. Phir ALLAH ke samne hajat pesh ki jati hai. Read how to perform salatul hajat namaz step-by-step process? → ALLAHumma A’inni Ala Zikrika Wa Shukrika
[ez-toc]
How to Pray Salatul Hajat Namaz- Hajat Ki Namaz Ka Tarika
Salatul Hajat Kya Hai?
Jab hamein koi hajat ya zarurat aan padti hai. To use ALLAH se puri karwane ke liye pahle ye char (4) raqat nifl namaz ada karte hai. Salatul hajat ki namaz wahi nifl namaz hoti hai. Iske bad apni hajat ki dua ki jati hai.
ALLAH ko bande ki bandgi pasand. Bandgi mein ibadat ho aur ALLAH se mohabbat ki deewangi ho. Jab koi khwahish dar pesh ajaye. ya phir ke koi aafat aan parhe. Chahe khushiyon ka lamha ho ya phir ghamon ki bauchhaar. Bas sajde mein jab sar jhukta hai.
To ALLAH ko reham aa hi jata hai. Duniya mein jo maa hai usse 70 guna zyada mohabbat rakhne wala ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala kyon na phir raham khayega.→ SubhanALLAHi WaBihamdihi SubhanALLAHil ‘Azeem
Salatul hajat ki namaz nifl namaz hoti hai. Aam taur par isme char (4) raq’at hi hoti hai. Jaise dusri farz namaz parhte hai. Ye bhi thik wese hi ada ki jati hai. Bas ke jab hamein koi hajat ya zarurat aan padti hai. To use ALLAH se puri karne ke liye pahle ye char (4) raqat nifl namaz ada karte hai. Salatul hajat ki namaz ba wuzu parhi jati hai aur phir iske bad apni hajat ki dua ki jati hai.
Agar koi shakhs chahe to zyadah se zyadah kitni bhi raq’at rozana parh sakta hai. Yani jab tak uski murad puri na ho.
Salat-ul-Hajat ya Qaza-e-Hajat ya Namaz e Hajat bhi kaha jata hai. Namaz-e-Hajat ka tarika urdu mein bhi ap aage dekhenge. Aqsar jab kabhi behad zaruriyat dar pesh ati hai to mushkilat ke hal ki niyat se parhi jati hai.
Ye nifli namaz hoti hai aur ise 2-2 rakat karke parha jata hai. Ap jitna zyada parhna chahe parh sakte hai. Iske parhne ki jo bhi niyat ki jati hai wo maqsad ALLAH ke fazl-o-karam se pura hota hai.
Ap jitna zyada salatul hajat parhna chahe parh sakte hai. Iske parhne ki jo bhi niyat ki jati hai wo maqsad ALLAH ke fazl-o-karam se pura hota hai.
Huzoor-e-Akram SallALLAHU Alayhe Wasallam ke zamane mein aksar sahaba ko huzoor yahi hidayat karte ke jo koi bhi jayaz hajat ke liye niyat ho ALLAH Ta’ala ki bargah mein Salat-ul-Hajat ki 2 rakat namaz parhkar niche likhi hui dua parhe fir khoob dil se dua kare ALLAH se to Insha ALLAH zarur puri hogi du’a.
Hum Hajat ki Namaz ke zariye ALLAH se kuch mangne ki koshish karenge. Namaz e Toba yahan dekhein.
To sabhi se yahi guzarish hai ke is namaz ko mamuli na samjhe balki dil ki gehrayiyo ke saath ada kijiye aur aansuo ke sath dua parhkar mangiye, Insha ALLAH milega, Ameen. beshak wahi sabko dene wala hai. Find Durood Muqaddas here.
Kisi Bhi Salatul Hajat Ko Parhne ka Sahi Tariqa
Sabse aham bat, Jab hamein kisi se kuch chahiye hota hai. To ham use khush karne ki firaq mein lage rahte hai. Hai nah? To phir ALLAH se ham badi-badi hajatein qubul karne ki ummeed rakhte hai.
Jab bhi koi zarurat ya masail aa jate hai to har pareshani ke hal ke liye dua karne lagte hai. Lekin kya ham ALLAH ko khush karne ki zara bhi sochte hai? Zara sochiyega! Jawab ayega, nahi!
To ALLAH se kuch mangne ke liye ALLAH ko khush karna zaruri hai. Salatul Hajat jiske zariye ham ALLAH se apni hajat puri karwate hai. Jab tak ye sahi tariqe se parhi nahi jayegi tab tak ALLAH ko khush kaise kiya ja sakta hai. Aur ALLAH jab khush nahi hoga to hamari dua qubool kaise karega.
To salatul hajat ka sahi tariqa malum hona laazmi hai. Jab sahi se ye hajat ki namaz parhi jayegi aur dili murad puri karne ke liye dua jab ham karenge to wo beshaq qubool hogi. Agar apki dua qubool nahi ho rahi hai to is link se har dua qubool hone ki dua ek bar zarur parhiyega.
Salatul hajat parhiye aur uske bad kisi bhi hajat ki qubuliyat ke liye dua kariye. ALLAH qubul farmayega. Ye sahaba Ikram ki adaton me shumar thi. Har wo mushkil masail unhone khas namaz salatul hajat ki namaz ke zariye ALLAH se hal karwa liye.
Salatul Hajat ki Dua
Salatul Hajat ki Dua #1 in English Transliteration
La ilaha illallahul Halimul karim. Subhanallahi Rabbil ‘Arshil ‘Azeem, Alhamdulillahi Rabbil Alameen. As-aluka Moojibaati Ra’hmatika Wa Azaa’ima maghfiratika Wal Ghanimataa Min Kulli Birrin.-Was-sSalamata Min Kulli Ismin La Tada’ Li Zan-mban Illa Ghafartahu Wa la Hamman Illa Farrajtahu. Wa la Haajatan hiya Laka Ridan Illa Qazaitaha. Ya Ar-‘hamar Raahimeena.
Salatul Hajat ki Dua #1 English Translation
There is no god but ALLAH the Clement and Wise. There is no god but ALLAH the High and Mighty. Glory be to ALLAH, Lord of the Tremendous Throne. All praise is to ALLAH, Lord of the worlds. I ask you (O ALLAH) everything that leads to your mercy, and your tremendous forgiveness, enrichment in all good, and freedom from all sin. Do not leave a sin of mine (O ALLAH), except that you forgive it, nor any concern except that you create for it an opening, nor any need in which there is your good pleasure except that you fulfill it, O Most Merciful!
Safar ki Dua yahan dekhiye.
Salatul Hajat ki Dua #1 Ka Urdu Tarjuma
ALLAH ke siva koi aur mabood nahi wah burdbar buzurg hai. Pak hai ALLAH Ta’ala bade takht (arsh ‘azeem) ka malik. Aur sab taarifein ALLAH rabbul alameen ke liye hi hai. Sawal karta hu asbab aapki rahmat ke aur saman apki bakhshish ke aur hissa har neki se aur salamati har gunah se. Na chhorein mera koi gunah magar use bakhsh dijiye aur na koi pareshani magar ise door kar dijiye aur na koi hajat jo apki pasandidah ho magar ise poori kar dijiye ae sabse zyada raham karne wale.
Salatul Hajat ki Dua #2 English Transliteration
ALLAHUMMA Inni As-aluka wa at wajjahu ilayka bi Mu’hammadin-Nabiyy-rRahmati ya Mu’hammadu Inni Qad Tuwajjahtu bika ilaa rabbi fee Hajatee Hazihi li-tuqzaa ilaa ALLAHUMMA fashaff’ihu Fiyya
Salatul Hajat ki Dua #2 English Translation
O ALLAH, I ask you and turn to you, with your Prophet Mu’hammad ﷺ, the Prophet of Mercy. O Mu’hammad, I turn with you, to my Lord, regarding my need, that You may Satisfy. O ALLAH, Allow him to intercede for me.
Salatul Hajat ki Dua #2 Ka Urdu Tarjuma
ya ALLAH main sawal karta hu aur apki taraf rukh karta hu, Apke Nabi Mu’hammad ﷺ, Rahmat wale Nabi. ya Mu’hammad, main apke sath rukh karta hu, apne rabb ki taraf, meri zarurat ke liye, jise aap puri kar sakte hai. ya ALLAH ijazat dijiye unhe meri sifarish ke liye.
English reference : Vol. 1, Book 5, Hadith 1385-Arabic reference : Book 5, Hadith 1448
Salatul Hajat ki Namaz ka Sahi Waqt Kya Hai?
- Hajat ki salah kis waqt ada karni chahiye? Salatul Hajat ki namaz kisi bhi farz namaz ke bad bhi parh sakte hai. Ya phir jab nifl namaz ada karne ka sahi waqt ho us waqt bhi. Behtar hota hai jab salatul hajat bad namaz-e-zuhar, namaz-e-maghrib, ya namaz-e-isha parhi jaye. In auqat ke ilava bhi ise parh sakte hai. Bas niche diye hue waqt ko taal dijiyega.
- Salatul Hajat ki namaz kis waqt nahi parhni chahiye? Salatul Hajat Fajr ki namaz ke bad suraj nikalne tak nahi parhiye. Aur asar ke bad suraj ghuroob (doobne) tak nahi ada karein. Wajah iski yahi hai ke in waqt ki auqat mein sajdah mana hai. Phir bhi Salatul hajat parhni hai to fajr ki namaz ke pahle aur asar ki namaz se qabl. Yani in dono namazo ke pahle ada ki ja sakti hai.
- Adhi rat ke bad nind se jagkar waqt-e-tahajjud ho jata hai. Aur is waqt tahajjud ada karne ke bad salatul hajat ki namaz ada karne ka sahi waqt hota hai. Ap chahe to is waqt bhi salatul hajat ki namaz ada kar sakte hai.
Salatul Hajat Ki Namaz Kaise Padhe?
Is post me salatul hajat namaz padhne ke do (2) tariqe batayein gaye hai.
- Pahla Tariqa: Salatul Hajat ki Namaz Kaise Padhe? Pahle tareeqe mein 2 raqat nifl ada karni hai. Aur salam ke bad koi bhi ek dua. Dua number 1 ya dua number 2 teen (3) martaba parhni hai. Tafseel mein is post me aage parhiye.
- Dusra Tariqa: Salatul Hajat ki Namaz ada karne ke dusre tariqe mein ek salam se 4 raqat namaz ada karni hai. Har raqat mein Surah Fateha ke bad khas ek surah parhni hai. Is tariqe mein namaz ke bad koi bhi hajat ki dua nahi parhni hai. Bas ke dua mangne ka tariqa thoda khas hai. Tafseel mein is post me aage parhiye.
Salatul Hajat Padhne Ka Pahla (1) Tariqa
Salatul Hajat Kese Ada Karni Hai?
Salatul hajat ki namaz kaise padhe? Salatul hajat kya hoti hai? Agar apko koi bhi jayaz haajat pesh ajaye, to ye namaz parh sakte hai. Mard chahe to masjid me jakar bhi parh sakte hai aur ghar mein bhi. Khawateen gharo me hi ye namaz ada kare. Read Ahad Nama
Salatul-Hajat ya Namaz-e-Hajat ya Salah Qaza-e-Hajat
- Kisi bhi behtar waqt ye salatul hajat ki namaz ada kar sakte hai.
- Achi tarah pur sukoon wuzu bana lijiye;
- Apne maqsad ki niyat kar lijiye;
- Fir jese panj waqta namaz ki niyat karte hai thik wese hi niyat karni hai bas “Niyat karta/karti hu main 2 rakat nifl salatul-hajat ki……………….” bolna hai. (Uske bad apna maqsad bole);
- Jo bhi surat yad ho wo parh lijiye aur is tarah se 2 rakat puri kar lijiye;
- Fir iske bad khub dil se ALLAH ki hi Hamd-o-Sana (ALLAH ki ta’areef kijiye ALLAH ke naamo se aur jo bhi ayat apko yad ho) parhiye;
- Uske bad Huzoor-e-Akram SallALLAHU Alayhe Wa Alehi Wasallam par Durood Shareef parh kar savab pahuchaye. Koi bhi durood-e-pak jitni bhi martaba ap parhna chahe parh sakte hai;
- Ye parhne ke bad niche di hui dono du’ao mein se koi bhi ek du’a 3 martaba parhiye aur fir dil se ro-ro kar ALLAH Zille Shanahu se apne maqsad ki du’a kijiye; Read Six Kalima here.
Ghaur Talab: Chunanche ke is amal mein namaz ki adayegi hai isliye khawataeen ise haiz/maahwari me nahi kare. Know Ayatul Kursi Benefits here.
Dua Qunoot with HD yahan dekhiye!
Salatul Hajat Padhne Ka Dusra (2) Tariqa
Salatul Hajat namaz ki badi fazilat batlayi gayi hai. Jab ALLAH se kuch mangna ho, to is namaz ko parhiye. ALLAH ko razi karke apne murad hasil kijiye. Lekin jab bat ALLAH ko razi karne ki ho to yahan kuch khas karna chahiye.
Wo namaz bhi kuch khas ho jise ALLAH tak pahuchaya jaye ke ALLAH khush-o-khurram ho jaye. Salatul Hajat parhne ka esa tarika ho ke jo bhi mangne wo ata ho jaye.
Ke ALLAH khus kahe, ke maang ae bande tujhe kya chahiye?
ALLAH se kuch mangna ho to namaz parhiye. Jab sajde mein sir jhukta hai to ALLAH bahut khush hota hai. Aur jab wo namaz kisi khas maqsad ke liye ho. To beshaq ALLAH use zarur qubool karta hai. Kyonke salatul hajat ki namaz se ham jab ALLAH ko khush karne mein kamyab ho jate hai. To uska inaam ALLAH hame zarur deta hai. Ayatul Kursi Wazifa for Love Marriage yahan dekhiye.
ALLAH khud farmata hai Ae bande jo bhi magna hai mujhse maang.
To phir der kis bat ki hai akhir? Kyon apko wo nahi mil raha jo apko chahiye? Chaliye ALLAH khush karein aur ALLAH se apni hajat ko puri karva lein. Kyonke salatul hajat ki namaz koi mamuli namaz nahi hai. Salatul hajat ki namaz ki fazilat ka ilm hamein nahi.→ Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Rajioon Full Dua
Is khas namaz ko sahi tariqe se kaise parha jaye? Aur dua kaise mangi jaye? Is Salatul Hajat Parhne Ka Tarika Jo Mange Milega mein apko aj parhne ko milega. Hajat ki namaz mein kaunsi surah aur ayat parhni chahiye? Tafseel se ham aage parhenge.
-
- ‘Itminan se wuzu bana lijiye. ‘Itminan se wuzu banane se namaz mein shaitani waswason se nijat milti hai.
- Ja namaz par khade hone ke bad Tauz- “A’uzu Billahi Minashaitanir Rajeem” aur Tasmia- “Bismillah hirRahmaan nirRaheem”
parhiye. - Phir salatul hajat ki niyat kijiye- Niyat karta/karti hu main 4 raq’at salatul hajat ki waaste ALLAH Ta’ala ke muh mera taraf Qaaba Shareef ke. Akhir mein phir apni hajat kahiye. Yani jis bhi maqsad ke liye ap ye namaz parh rahein hai wo yahan bayan kijiye. Phir, ALLAHU Akbar kehkar haath bandh lijiye jaise namaz mein hath bandhkar khade hote hai.
Salatul Hajat Mein Kya Parhte Hai?
Salatul hajat ke is dusre tariqe mein upar wali koi bhi duayein nahi parhni hai.→ Qabr Ke Azab Se Bachne Ki Dua
- Jaise farz namaz parhte hai, chaaron raq’atein thik wese hi parhni hai. Farq sirf itna rahega, Awwal (1) raq’at mein Surah Fatiha ke bad Ayatul Kursi teen (3) martaba parhiye.
- Dusri (2) raq’at mein Surah Fatiha ke bad Surah Ikhlas (Qul huwALLAHU A’had….) ek (1) martaba parhiye.
- Teesri (3) raq’at mein Surah Fatiha ke bad Surah Falaq (Qul Aa’oozu birabbil falaq….) ek (1) martaba parhiye.
- Chauthi (4) raq’at mein Surah Fatiha ke bad Surah Naas (Qul Aa’oozu birabbinnaas….) ek (1) martaba parhiye.
- Baqi ki namaz parhne ka tariqa pura hubahoo dusri farz namazon ki tarah hi rahega.
Salatul Hajat Parhne ke Bad Dua Kaise aur Usme Kya Mange?
- Salatul Hajat ke is dusre tariqe mein salam pherne ke bad upar batlayi hui dono duaon mein se koi bhi dua nahi parhni hai.
- Phir dono hath uthakar ALLAH Ta’ala ki tareef bayan kijiye. Chahe to ye bhi parh sakte hai: Surah adad 59 ayat adad 22 se 24- Bismillaah ar-Rahman ar-Raheem Hu wallahu ladhila illaha illa hu alim al ghaib wa shahadati Hu ar rahman ar rahim Huwallahu ladhila illaha illa hu al malik ul quddus as salaam ul mutmin ul muhaiymin al aziz ul jabbar ut mutakabbir Subhanallah hi amma yusrikun HuwALLAHUl khaaliqul bariul mussawiru Lahul asmaa ul husna yusabuho lahu maa fis-samaawaati wal ard wa huwal ‘azeezul ‘hakeem”.
- Iske ilava Surah fatiha ya jo bhi ayat aur dua ho jisme ALLAH ki tareef bayan ki jaye yani hamd-o-sana ki jaye wo parhiye. Phir Durood Shareef parhiye jo bhi apko yad ho. Ya phir ye bhi parh sakte hai: ALLAHumma Salli ‘Alaa Sayyidina Wa Maulana Mu’hammadin ‘Adadaa Ma Fi ‘Ilmillahe Salaawatin Daa’imatan Bi Dawaami Mulkillah. Is Durood ko parhne ka sawab chhah (6) lakh Durood Shareef ke barabar hai. Aur is tarah se jo bhi Durood apko yad ho wo parhiye. Aur zubaan se bolkar ‘main Huzoor-e-Akram SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ko nazar karta hu, phir unki aal ko nazar karta hu phir unka sahab ikraam ko nazar karta hu aur phir tamam Ambiya Aulia Ikram ko nazar karta hu. Phir tamam ummat-e-muslima ko nazar karta hu’.
- Phir akhir mein apni hajat pesh kijiye. Apni hajat ki khoob dil se aur yahan tak ke aansu bahakar du’a kijiye.
- Insha ALLAH ek hi bar mein apke hajat puri ho jayegi.
Salatul Hajat ki Namaz Ka Sahi Waqt Kya Hai?
- Salatul Hajat ki namaz kab parhein? Ap is namaz ko kisi bhi farz namaz ke bad parh sakte hai. Ya phir kisi aur waqt bhi. Aam taur par ise zohar ke bad, maghrib ke bad, ya isha ke bad parha ja sakta hai. In waqt ke ilava bhi ap chahe to ise parh sakte hai. Bas niche diye hue waqt ko taal dijiyega.→ Namaz Se Pehle Takbeer
- Salatul Hajat ki namaz kab nahi parhein? Fajr ke bad suraj nikalne tak nahi parhiye. Aur asar ke bad suraj ghuroob (doobne) tak nahi parhiye. Kyonke is waqt sajda ki ijazat nahi hai. Agar apko salatul hajat parhni hai to fajr ki namaz ke pahle aur asar ki namaz se pahle. Yani in dono namazo ke pahle parh sakte hai.
Ghaur Talab: Poori Surate Parhni Ke Liye Tasveerat Dekhiye. Khawateen haiz/maahwari mein is namaz ko qatayi nahi parhein.
Salatul Hajat ki Namaz ka Tarika in Urdu Images
Salatul Hajat Ki Dua #1 Aur Dua #2 Arabi Me Image
More yaALLAH Dua Wazaif
- See Black Magic Cure by Qur’an Wazifa here
- Tahajjud Namaz ka Tareeqa yahan dekhein
Salatul Hajat Namaz in Hindi
Salatul Hajat ki Dua in Hindi Wallpaper
Hindi Version
सलातुल हाजत या क़ज़ा ए हाजत की नमाज़ कैसे अदा करनी है?
सालतुल हाजत की नमाज़ कैसे पढ़ी जाती है?
सलात-उल-हाजत की नमाज़ अक़्सर जब कभी बेहद ज़रुरियात दर पेश आती है तो मुश्किलात के हल की नियत से पढ़ी जाती है| ये निफ्ली नमाज़ होती है और इसे 2-2 रक़’अत करके पढ़ा जाता है| आप जितना ज़्यादा पढ़ना चाहे पढ़ सकते है| इसके पढ़ने की जो भी नियत की जाती है वो मक़सद अल्लाह के फ़ज़्ल-ओ-करम से पूरा होता है|
हुज़ूर-ए-अकरम सल्लल्लाहु ‘अलयहे वसल्लम के ज़माने में अक्सर सहाबा को हुज़ूर यही हिदायत करते के जो कोई भी जायज़ हाजत के लिए नियत हो अल्लाह त’आला की बारगाह में सलात-उल-हाजत की 2 रक़’अत नमाज़ पढ़कर निचे लिखी हुई दु’आ पढ़े फिर ख़ूब दिल से दु’आ करे अल्लाह से तो इन्शा अल्लाह ज़रूर पूरी होगी दु’आ|
अगर आपको कोई भी जायज़ हाजत दर पेश आ जाये,तो ये नमाज़ पढ़ सकते है| मर्द चाहे तो मस्जिद में जाकर भी पढ़ सकते है और घर में भी| ख़वातीन घरों में ही ये नमाज़ अदा करे| यहाँ Wedding Night in Islam देखें|
तरीक़ाकार सलातुल हाजत, नमाज़-ए-हाजत:
- किसी भी बेहतर वक़्त ये सलातुल हाजत की नमाज़ अदा कर सकते है;
- अच्छी तरह सुकून से वुज़ू बना लीजिए;
- अपने मक़सद की नियत कर लीजिए;
- फिर जैसे पंज वक्ता नमाज़ की नियत करते है ठीक वैसे ही नियत करनी है बस “नीयत करता/करती हु मैं 2 रक़अत सलातुल-हाजत की” बोलना है;
- जो भी सूरह याद हो वो पढ़ लीजिए और इस तरह से 2 रक़’अत पूरी कर लीजिए;
फिर इसके बाद खूब दिल से अल्लाह की ही हम्द-ओ-सनाह (अल्लाह की ता’रीफ कीजिये अल्लाह के नामो से और जो भी आयात आपको याद हो वो) पढ़िए; - उसके बाद हुज़ूर-ए-अकरम सल्लल्लाहो अलयहे व आलेही वसल्लम पर दुरूद शरीफ पढ़ कर सवाब पहुँचाए| कोई भी दुरूद-ए-पाक जितनी भी मरतबा आप परहना चाहे पढ़ सकते है;
- ये पढ़ने के बाद ऊपर दी हुई दोनों दु’आ में से कोई भी एक दु’आ तीन मरतबा पढ़िए और फिर दिल से रो-रो कर अल्लाह ज़िल्ले शानहु से अपने मक़सद की दु’आ कीजिये;
ग़ौरतलब: चुनांचे इस अमल में सलात की अदायगी है इसलिए ख़वातीन ये अमल हैज़/माहवारी/अय्याम में नहीं करे|
Click to download How to Perform Salatul Hajat pdf procedure 1 here.
Salatul Hajat ka Tariqa pdf ke liye is post ke akhir mein jayiye aur pdf download kijiye.
English Version
What is Salatul Hajat?
Introduction to Salatul Hajat, The Namaz for Needs.
Whenever there is an urgent need that needs to be accomplished on a priority basis. Whenever one feels the need for help from ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala. Whenever there is a difficulty or any obstacle in the way of one’s purpose or goal achievement.
Salatul Hajat in English means a supererogatory prayer which is an optional Muslim prayer. The way to perform this prayer of need or salatul hajat is similar to the one in which a Muslim prays obligatory prayers five times a day. This optional prayer is performed only to seek help from ALLAH. An Islamic prayer for every need.
Salatul Hajator a prayer for need has 4 raq’at. Which surah to recite in salah hajat? will be discussed further.
Hajat means wish in English. Salatul Hajat is a prayer for wish which falls in an optional prayer category. This is offered specially for the fulfillment of any specific purpose.→ Witr Ke Baad Ki Dua
If you want to ask ALLAH to grant you something which you need. Just offer this four (4) raqat salatul hajat an optional prayer. And make a prayer for your need. Insha ALLAH the wish for which you performed will Insha ALLAH be given to you by ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala.
In this world, when you need something from someone. At this point, you try all your level best to make that individual happy. Aiming, to get what you want from him. The same fundamental applies to a slave and his Master. ALLAH and His slaves. Whenever a slave in need, he starts approaching his Master to make HIM happy in order to get it.→ HasbiyALLAHu La Ilaha Illa Huwa Alayhi
Similarly, if we ponder a wish to get. We should make ALLAH happy first and then HE will grant us what we need, obviously the lawful one. ALLAH HIMSELF keeps asking HIS slaves. Seek help from none but ALLAH.
Then, why are you delaying? what are you thinking about?
ALLAH loves prostration of HIS slave. When a slave prostrates, ALLAH eases all his hardships and worries.
How to offer this optional prayer, the salatul hajat prayer. Read the correct way to offer it. As, once you offer it correctly, your prayers will definitely be accepted, Insha ALLAH Ameen.
Popular yaALLAH Dua Wazaif
How to Perform Salatul Hajat Namaz?
Also known as Prayers for Desires?
A 2 rakats and 4 rakat prayer (salat) offered in which without changing the posture after Salam. Recite the dua mentioned further. Then making supplication with humility in front of ALLAH Jalla Jalaaluhoo. Begging for accepting the wish.
There is a special process of performing this wazifa for your desire. Read Tahajjud Prayer in Islam
If you have got wishes salatul hajat will let you get that. This is one of most prominent prayer in Islam which helps to attain your hearty wishes, of course lawful. One can offer salatul hajat namaz for marriage purpose also.
if you encounter any legitimate desire which seems urgent and at high priority. You can go ahead with this amal. Insha ALLAH your wish will be accepted by ALLAH Ta’ala. Women are permitted to perform this amal in their homes only. Whereas, men can perform this in any Masjid. How to Get Forgiveness in Islam?
Read the detailed process of how to perform Namaz e Hajat in Islam?
Salatul Hajat Namaz Method #1
Step-by-step Process of How to Offer Namaz e Hajat, Prayer for Wishes
Easy Method of Prayer for Desires-Namaz e Hajat
- Any suitable time and any day you can perform this prayer;
- Make a fresh ablution in a very calm manner and not in haste;
- Then make an intention for your aim for which you want to offer this prayer;
- The recitation of the intention for this prayer is similar to five obligatory prayers except for these lines. For example- I am intending to pray 2 Rakah Nifl Salatul Haajat for my purpose……………..;
- Recite any verse which you have memorized and in this way offer two rakats prayer;
- Afterward, praise ALLAH from the bottom of your heart with Hamd-o-Sana. Recite whatever you have memorized to praise ALLAH Ta’ala;
- Afterward, send any Durood Shareef to Prophet Mu’hammad SallALLAHU Alayhe Wa Alehi Wasallam to convey savaab to Him. You can recite any durood-e-pak any number of time you want;
- Then recite any one of the above written two dua (see images above) three (3) times and pray for your purpose to ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala.
- May ALLAH accept all your legitimate purposes, Ameen.
What to Read in Salatul Hajat?
- Salatul hajat or prayer for needs is similar to other obligatory prayers which we offer five times every day. The only difference is, in the first (1) raqat after Surah Fatiha recite Ayatul Kursi (The Verse of Throne) one (3) times.
- In the second (2) raqat, after Surah Fatiha recite Surah Ikhlas (Qul huwALLAHU A’had….) one (1) time.
- In the third (3) raqat, after Surah Fatiha recite Surah Falaq (Qul Aa’oozu birabbil falaq….) one (1) time.
- In the fourth (4) raqat, after Surah Fatiha recite Surah Naas (Qul Aa’oozu birabbinnaas….) one (1) time.
- The rest of the process of offering this prayer would be exactly the same as other obligatory prayers.
How to Make Dua After Salatul Hajat?
- After offering salam at the end of this prayer of need or salatul hajat. You can also read HuwALLAHUrRaheem seven (7) times and/or Ayatul Kursi one (1). Whichever dua you want to recite after this salam you can recite.
- Lift your both the hands with open palms with a slight space between both the palms. Your palms should be a bit higher than your chest. Your fingers should be open not closely touched with each other. Recite any lovely verse or dua which is praising ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala: you can also surah number 59 verse number 22 to 24- Bismillaah ar-Rahman ar-Raheem Hu wallahu ladhila illaha illa hu alim al ghaib wa shahadati Hu ar rahman ar rahim Huwallahu ladhila illaha illa hu al malik ul quddus as salaam ul mutmin ul muhaiymin al aziz ul jabbar ut mutakabbir Subhanallah hi amma yusrikun HuwALLAHUl khaaliqul bariul mussawiru Lahul asmaa ul husna yusabuho lahu maa fis-samaawaati wal ard wa huwal ‘azeezul ‘hakeem”. Besides this, you can also recite Surah Fatiha (Alhamdulillahe Rabbil ‘Alameen….). Whichever dua or verse you remember you can recite in your dua aiming to praise the only praiseworthy, ALLAH Jalla Jalaaluhoo. Then, recite any Durood Shareef. You can also recite this one: ALLAHumma Salli ‘Alaa Sayyidina Wa Maulana Mu’hammadin ‘Adadaa Ma Fi ‘Ilmillahe Salaawatin Daa’imatan Bi Dawaami Mulkillah. The rewards of reading this Durood Shareef is equivalent to six lakh (6 lakh) times of other reciting other Durood Shareef.
- Afterward, verbally, convey the good deeds of all your recitations as a gift to Beloved Prophet SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam. Then to His family members. Then, to His Companions. Then to Ambiyas and entire Auliya Ikrams. Then to the entire Ummah who have passed away. See Strong Wazifa for Love-Testimonial on ya ALLAH Website here.
- And then, in the end, mention your purpose or the problem or whatever wish for which you have offered this prayer for needs. You have to make a dua and ask from the core of your heart in such a way that your tears start rolling down your cheeks.
- Insha ALLAH, your wish will be fulfilled in one go. May ALLAH ease your hardships and fulfill all your legible wishes, Ameen.
Best Time to Pray Salatul Hajat Namaz
- When to offer the prayer for needs or Salatul Hajat? One can offer this prayer at any time after any obligatory prayers of the day. Generally, after the noon prayers, after the twilight or sunset prayers and night prayers. You can offer this type of supererogatory prayers before morning (Fajr) and evening (Asr) obligatory prayersAvoid offering this prayer at the times mentioned subsequently here.
- When not to offer the prayer for needs or Salatul Hajat? Avoid offering Salatul Hajat after morning obligatory prayer till sunrise. And after evening or asr obligatory prayers till the sunset. As it is not permitted to prostrate during these time slots.
Important Note: Females should not offer a prayer for needs during their menses/periods.
Salatul Hajat pdf
Click to download How to Perform Salatul Hajat pdf procedure 2 here!
Yahan download kijiye- How to Perform Salatul Hajat pdf ka dusra tariqa download kijiye!
Join ya ALLAH Community!
Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Assalamu alaikum bhai kheriyat muje apse prsnl pe bat krni hai pr kese kru me… me Instagram or Facebook dono b use ni karti hu or muje apse kuch prsnl bat krni hai plzzz btyee jaldi btye bhai jazak Allahu khayran
Telegram kar sakti hai sis- alimranraza
Is it necessary to pray namaz e hajat after farz prayers?
Can we pray hajat namaz e hajat after tahajjud?
You can offer hajat namaz at tahajjud time as well.
Hello.
Dua e hajat wallpaper 1 mai mistake hai.
(La tada’a “lee” zamban) mai “lee” ni likha hua yaha.
Plz check and correct. Thanks
Aapke feedback ka shukriya bhai. Agar error hua to ham correct kar denge, insha ALLAH.