Hamal Ki Hifazat Ke Liye Taweez

Hamal Ki Hifazat Ke Liye Taweez

Hamila aurat ke hamal ki hifazat ke liye ek ek mujarrab taweez hai. Jin khawateen ke hamal zayah hone ka andesha hota ho ya fir unka hamal zayah ho jata hai. Aur inhi wajuhaat se unhe aulad-e-narina nasib ho pati ho. 

surah maryam ayat 12 for safe pregnancy-hamal-ki-hifazat

Baaz auqaat ye nazar mein aya hai ke shadi ko kayi saal ho jane ke bad bhi bahot se miya-biwi be-aulad hi reh jate hai. Ya biwi ke hamal ki hifazat nahi ho pati kisi bhi wajah se hamal zayah ho jata hai. Ya kayi khwateen ko hamal hi nahi theherta ho to esi surat me doctors ke pas bhi kayi martaba ilaj jari rehta hai lekin natija sifar hi ata hai. Esi khwateen ke liye ye hamal ka ye taweez behtareen aur mufeed paya sabit hoga. Strongest Muslim Religion Quranic Prayer Namumkin Ko Mumkin Banane Ki Dua yahan dekhiye.

Ye amal esi surat mein kaargar sabit hoga Insha ALLAH. Khoob dilse ALLAH ki ‘ibadat aur panj waqta namaz ki pabandi rakhe, apke liye ye ek karishmayi amal sabit hoga. Safar Ki Dua yahan dekhiye.

Yaqeen ke sath kijiye to zarur nek saaleh aulad hogi chahe beti ho ya beta, Insha ALLAH Ameen.

Hamal Ki Hifazat Ke Liye Surah Maryam ka Taweez

Insha ALLAH is Wazifa Se Hamal Ki Hifazat Rahegi


Bismillah hirRahmaan nirRaheem
With The Name of ALLAH, The Gracious and The Merciful
SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam

Quran-e-Kareem Surah #19, Surah Maryam ki Ayat #12

يَايَحْيَى‌ خُ‍‍ذِ‌ ‌الْكِت‍‍َ‍ابَ بِ‍‍قُ‍‍وَّةٍ‌ ‌وَ‌آتَيْن‍‍َ‍اهُ ۖ ‌الْحُكْمَ صَ‍‍بِيّاً

Ya Yahya Khuzi Al-Kitaaba Biquwwatin ۖ Wa-Aataynaahu Al-Hukma Sabiyaan

या याहया खुज़ि-ल-किताबा बिक़ुव्वति ۖ व-आतयनाहु-ल-हुक्मा सबिय्या

(It was said to his son): “O Yahya! Hold fast the Scripture [the Tauraat].” And We gave him wisdom while yet a child.

Ae Yahya Kitaab ko mazbooti se pakad, aur hamne use bachpan hi mein hikmat ‘ata ki

ऐ याहया किताब को मज़बूती से पकड़, और हमने उसे बचपन ही में हिकमत ‘अता की

اے یحییٰ کتاب کو مضبوطی سے پکڑ اور ہم نے اسےبچپن ہی میں حکمت عطا کی

Hamal Ki Hifazat Ke Liye Taweez in Roman English

  1. Sabse Awwal Taza wuzu bana lijiye.
  2. Zafran se ye taweez likhna hai. Wazifa for Money yahan dekhiye.
  3. Quran-e-Kareem ki Surah #19, Surah Mariam ki Ayat #12 (Upar di hui hai) ko kisi pak saf aur safed 2 kaghaz ke tukdon par 1-1 martaba likh lijiye.
  4. Is ek kaghaz ke tukde ko pak saf pani mein ghol le aur us aurat ko pila dijiye.
  5. Dusre kaghaz ko us aurat ke sidhe yani daye bazoo par bandh de.
  6. Sirf ek hi martaba ye hamal ke liye ye taweez karna hai.
  7. Yad rahe hamila aurat namaz ki pabandi bhi rakhiyega.
  8. Khawateen chaahe to hamal ke dauran is ayat ka wird bhi rakh sakti hai. Insha ALLAH behad fawaid aur fazilat hasil hogi.
  9. Insha ALLAH Azzawajal hamal ki hifazat rahegi. Aur bache ki wiladat ba asani aur hifazat se ho jayegi.

Ghaur Talab: Baitul khala jane se pahle is taweez ko utar dijiyega. Khwateen haiz ki halat mein hamal ke liye ye taweez khud nahi likhe balki kisi aur se likhwa lein.

More yaALLAH Dua Wazaif 

Taweez for Safe Pregnancy and Delivery

Hamal Ki Hifazat Ke Liye Taweez in English

This taweez for safe pregnancy will surely help the pregnant women to keep their baby 100% safe from any type of harm. Including any evil and black magic also. Insha ALLAH the delivery of their baby will also be safe and the baby will remain healthy, Ameen.

  1. Make a fresh ablution.
  2. Recite Verse #12 of Chapter #19 Chapter Maryam in The Noble Quran (Written above), 1 time each on two different pure and clean white papers. For example- written one time on one paper with saffron ink.
  3. Dissolve one paper in pure and clean drinking water and let the affected woman drink this water.
  4. Tie the second paper on the right hand of the affected woman safely with any thick thread.
  5. Do this process only once. Jadu Ki Kaat Ka Taweez yahan dekhiye.
  6. Remember, the affected woman must offer all the five times obligatory prayers during her pregnancy;
  7. Insha ALLAH Azzawajal her unborn child will be safeguarded.
  8. During the pregnancy, females can recite this verse as many times as they want. This has a lot of virtues and benefits.
  9. Insha ALLAH this wazifa will help her to prevent any miscarriage and the pregnant women will remain safe till delivery.

Note: Untie this taweez before entering toilets etc. Females must not write this taweez for pregnancy during their days of menses. Let anyone write for them.

Hamal ki Hifazat ke liye Dua Aur Taweez in Hindi

हमाल की हिफाज़त के लिए तावीज़ हिंदी में

  1. वुज़ू की हालत में ये तावीज़ औरत या कोई दूसरा शख़्स भी उनके लिए लिख सकता है|
  2. ज़ाफ़रान को पानी में घोल कर उसकी स्याही बनलीजिये| और उससे ये तावीज़ लिखना है|
  3. क़ुर’आन-ए-करीम की सूरह 19, सूरह मरियम की आयत 12 (ऊपर दी हुई है) को किसी पाक साफ और सफ़ेद 2 काग़ज़ के टुकड़ों पर 1-1 मर्तबा लिख लीजिये|
  4. इस एक काग़ज़ के टुकड़े को पाक साफ पानी में घोल ले और उस औरत को पिला दीजिये|
  5. दूसरे काग़ज़ को उस औरत के सीधे यानि दाएं बाज़ू पर बांध दें|
  6. सिर्फ एक ही मर्तबा ये हमाल का तावीज़ करना है|
  7. याद रहे हामिला औरत नमाज़ की पाबन्दी भी रखें|
  8. ख़वातीन चाहे तो हमल के दौरान इस आयत का विर्द भी रख सकती है| इन्शा अल्लाह बेहद फवाइद और फ़ज़ीलत हासिल होगी|
  9. इन्शा अल्लाह अज़्ज़वजल हमल की हिफाज़त रहेगी| और बच्चे की विलादत बा आसानी और हिफाज़त से हो जाएगी|

ग़ौरतलब: बैतूल ख़ला जाने से पहले इस तावीज़ को उतर दीजियेगा| ख़वातीन हैज़ की हालत में हमल के लिए ये तावीज़ खुद नहीं लिखे बल्कि किसी और से लिखवा लें|

 

65 Comments on “Hamal Ki Hifazat Ke Liye Taweez”

  1. Aasalamualikoum imran bhaiya mere cousin sis k 2 time’s miscarriage hogya 1 baby hai unko aisa kyu hora inke sath aur yeh wazifa unu padh sakte ?

    1. Assalamwalekum meri sis ka hr baar abortion hojata h fir pichle saal usne hamal theherne ka wazifa pda to mashallah se unhe ek bcchi h 8 months ki .. lkn meri sis ko aaj dobara 3 mahine ki pregnancy m abortion hogya .. ap pls btayen k ab wo jb firse try kren to taweez bandhen apne baazu p ya ya hamal theherene ka laal dhaga apne pait p bandhe ? Pls help

  2. Assalam alaikum mein pregnant hn lekin 4 mahine k baad doctor me pregnancy me complications hai Aur Hamal ko Khatra hai plz aap muje kuch wazifa batayen

      1. Aasalamualikoum khryt bhaiya ramzan shareef Mubarak aapko Allah paak aapki hifazath kare ameen bhaiya mere cousin sister ka b 2 time’s miscarriage hogya unku aisa kyu hora pata nahi ijazat dijiye wazifa shuru karne ki pregnancy se pehle ya pregnancy k darmiyañ padh sakte??

  3. Salam. Mra 3 baby hy or Dr. Bol rhe hain k report sahi nai aye hy 7 month hy or woh kehte hain k baby abhi tk complete nai hua. Mai kya krn mai bht preshan hn. Mjhe koi wazifa bta dein.
    Mra msg public nai kijye ga plz bs msg kr dijye ga mjhe.. Plz

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *