Surah Yasin Benefits Virtues Different Problems Masail Ka Asan Hal

Surah Yaseen ko Qur’an Majeed ka Dil bhi kaha jata hai. Alag-alag mumualiq mein alag alag talaffuz se Surah Yasin Sharif pukari jati hai. Maane iske ek jaise hi hai. Misal ke taur par Kahin Surat Yasin, Sourate Yasin ya fir Surah Yaseen. Aj ham is post mein Surah-e-Yaseen Shareef ke alhaida-alhaida amal-o-wazaif ke barein mein guftgoo karenge Insha ALLAH.

Benefits and Virtues of Quranic Verse Yasin Sharif to Resolve Problems

Surah-Yasin-Benefits-Virtues-Different-Problems-Masail-Ka-Asan-Hal-sorat-yasin-fazail-yaALLAH010217

Surat Yaseen Shareef Ke Alag-Alag Fazail-o-Wazaif

Surat yaseen ko Qur’an Shareef ka dil kaha gaya hai ye har momin ko malum hai. Agar koi shakhs rozana is paak ayat ki tilawat karta hai to us shakhs ko bahut se faiz aur savab pahuchega Insha ALLAH. Hadees Shareef mein Surat Yaseen ke kayi fazail beyan kiye gaye hain. Jaise:

  • Chaar Qur’an Parhne Ka Aala Savab

    -Jis kisi shakhs ne ise ek bar parha use Insha ALLAH char Qur’an Shareef parhne ka savab milega.

  • Qubooliyat Hajat Ke Liye Behatreen Amal

    -Ata bin Abi Rabah RadiALLAHU Anhu se riwayat hai ke Hazrat Mu’hammad SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya, “Jo shakhs rozana din ke aghaaz mein Surah Yaseen parh le uski tamam haajatein puri hongi.”

Qubooliyat-Hajat-Ke-Liye-Behatreen-Amal-sakht-mushkil-ki-dua-wishes-yaALLAHin-010217

  • Shadmani/Khushiyan Hasil Karne Ka Karishmayi Amal

    -Jo shakhs ba-wuzu Surat Yaseen ko din ke shuruati hisse mein parhega, wo raat tak Insha ALLAH khush-o-khuram rahega.

    -Aur jo koi shakhs shuru raat mein ise parhega wo subah tak khush-o-khuram rahega.

    -Rozana kisi ek namaz ke baad bhi Surat Yaseen ki talawat ki ja sakti hai.

    Shadmani-Khushiyan-Hasil-Karne-Ka-Karishmayi-Amal-masarrat-ka-wazifa-islamic-dua-good-happiness-yaALLAH-010217

  • Har Qism ki Hajat ke liye Afzal Tareen Wazifa

    -Surat Yaseen mein 4 martaba ‘Ar-Rahmaan’ ka lafz aya hai aur 3 martaba lafz ‘ALLAH’ aya hai. Isi tarha Surah Mulk mein bhi lafz ‘Ar-Rahmaan’ 4 martaba aur lafz ‘ALLAH’ 3 martaba aya hai. In dono suraton ka ye amal bohat mufid aur mujarrib mana jata hai.

    Amal Karne ka Tareeqa

    • Ye amal kisi bhi din aur kisi bhi munasib waqt pe shuru kar sakte hain.
    • Sab se pahle ache tareeqe se wuzu kijiye;
    • Surat Yaseen ko is tareeqe se parhna shuru kijiye ke lafz ‘Ar-Rahmaan’ jab aye to apne dahne (sidhe) hath ki ek ungli band kar lein aur lafz ‘ALLAH’ jis jagah aye wahan bahne (left) hath ki ek ungli band kar lein. Isi tareeqe se Surat mukammal karen. Surat khatam hone par ap ke dahne hath ki 4 aur bahne hath ki 3 ungliyan band hongi.
    • Ab Surah Mulk kuch is tarah se parhna shuru karen ke jab lafz ‘Ar-Rahmaan’ aye to dahne hath ki ek ungli khol lein aur lafz ‘ALLAH’ aye to bahne hath ki ek ungli khol lein. Is tarah Surat mukammal hone par apki sab ungliyan khul chuki hongi.
    • Ab apni hajat ke liye khoob dil se du’a maangein.

    Insha ALLAH, apki du’a lazman qubool hogi.

    Ghaur Talab: Khwateen haiz/mahwari ke dino mein ye amal qatayi na karen.

Har Qism ki Hajat ke liye Afzal Tareen Wazifa in Urdu Version

Har-Qism-ki-Hajat-ke-liye-Afzal-Tareen-Wazifa--every-wish-urgent-wish-yaALLAH-020217

  • Shikam Seri aur Shi’fa ke Liye Sorat Yaseen ka Asar Amal

    Haris bin Usama ne Hadees Shareef ko naqal kiya hai ke Surat Yaseen ko rozana tilawat karne se ek khauf zadah insan ko aman milega. Beemar ko marz se shif’a milegi. Bhookhe ko ALLAH ki janib se pait bharne ka saamaan milega. Gharz, har pareshani ka hal is Mubarak Surat ki tilawat mein maujud hai.

  • Dushman se Aman-o-Hifazat ke Liye Taqatwar Amal

    Agar kisi shakhs ke ek ya zyadah dushman hai. Aur use un se khatra mehsoos hota ho. Wo chahta hai ke un sab se uski jan ko hifazat mile. To esi surat mein rozana bila nagah kam-az-kam ek martaba Surat Yaseen ki talawat karna mufeed sabit hoga Insha ALLAH. tamam qism ke dushmano se hifazat milegi, Ameen.

Dushman se Aman-o-Hifazat ke Liye Taqatwar Amal in Urdu Version

Dushman-se-Aman-o-Hifazat-ke-Liye-Taqatwar-Amal-safety-from-enemy-security-yaALLAH-020217

Must Read

  • Quwat Hafiza Mein Izafa aur Tezi-e-Zahen Ke Liye Jadui Amal

    • Kisi bhi roz aur kisi bhi behtar waqt pe aap ye amal shuru kar sakte hain.
    • Sab se pahle wuzu kijiye.
    • Zafran aur gulab ka arq lijiye.
    • Ek paak saaf safed kaghaz aur qalam lijiye.
    • Phir qalam aur arq ki madad se Surat Yaseen kaghaz par likhiye.
    • Phir is kaghaz ko saaf pani ke glass mein daal kar kuch deir ke liye rakh dijiye.
    • Jab kaghaz ki tehreer dikhayi na de tou ap wo pani pi lijiye.
    • Esa lagatar saat (7) roz tak kariye.

    Insha ALLAH, apki yad-dasht mein tezi ayegi, quwat mein izafah hoga, Zahen tez hoga yani dimaagh ki taqat barhegi.

    Ghaur Talab: Khwateen haiz/mahwari ke dino mein ye amal qatayi na karen.

  • Muhim Mein Asaani Paida Krne ka Amal

    • Sab se pahle taza wuzu bana lein.
    • Isha ke waqt ye amal shuru karna hai.
    • Jaye Namaz par qiblah ru khare ho jaiye.
    • Apne Sar par Qur’an Shareef rakh kar 7 martaba Surat Yaseen parhiye.
    • Phir apne maqsad ke liye khoob dil se du’a kariye.
    • Ye amal rozana bila nagha karte rahiye jab tak ke apki hajat puri na ho jaye.

    Insha ALLAH, 7 roz ke andar apki hajat puri ho jayegi.

    Ghaur Talab: Shak ki koi gunjayesh na rakhi jaye, warna mumkin hai ke apka maqsad pura nahi hoga. Khwateen haiz/mahwari ke dino mein ye amal qatayi na karen.

  • -Surah Yaseen ko wuzu ki halat mein Iktaalees (41) martaba parh kar jis maqsad ke liye du’a krenge, insha ALLAH wo maqsad pura hoga. Ap chahe to thik yuhi rozana amal kar sakte hai. Iski koi miyad tay nahi hai.

    -Hazrat Ali bin Qasim Hukmi ne Surah Yaseen ke is amal ki afadiyat pe bohat zor diya hai. Ek mushkil waqt mein unho ne ye wazifa kiya aur ALLAH Ta’ala ki rehmat se mushkil se nijat payi.

    Malum bas yahi padta hai ke ham agar kisi bhi amal ko dil-o-jaan ki shiddat se karenge haram se parhez aur halaal ko ikhtiyar karenge to kamyabi zarur milti hai, ALLAH sunne wala hai.

  • Ghaur Talab: Khawateen haiz/mahwari ke dino mein ye amal qatayi na karen.

Har Jayaz Khwahish/Hajat Puri Hone ke liye in Urdu

Har-Jayaz-Khwahish-Hajat-Puri-Hone-ke-liye-valid-type-of-wish-acceptance-desires-mannat-yaALLAH-020217

54 Comments on “Surah Yasin Benefits Virtues Different Problems Masail Ka Asan Hal”

  1. Surah E Yaseen Jo Steel K Chhote Bartan Pe Likha Hota Hai Kya Os Men Pani Rakh K Piya Jaa Sakta Hai Aur Is K Fawaaid Bhe Bataiye Ga

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *