Dua for Child Not Drinking Milk

Quranic Dua for Baby To Drink Milk

A stressful situation occurs when your baby is not drinking milk. No matter through breastfeeding or bottle. The child neither drinks mother’s milk nor normal milk. Insha ALLAH through this Quranic dua for child not drinking milk, will start drinking it.

Bismillah hirRahmaan nirRaheem
With The Name of ALLAH, The Gracious and The Merciful
SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam

al mateenu translation in urdu

اَلْ مَتِيْنُ

Al-Mateenu

अल-मतीनु

The Forceful One

زبردست قوت والا

Zabardast Quwwat Wala

Yahan Doodh Peene ki Dua in English Hindi Urdu Translations with Transliteration Dekhiye!

Kayi bacha aksar doodh peene mein ana kani karte hai. Doodh na peene ki wajah se bache ke bade hone mein diqqatein ati hai. Kayi tarah ki amraz lagne ka andesha rahta hai.

Bachche ke sahi sehatmand rahne ke liye bache ka sahi miqdar mein doodh peena behad zaruri hai. Chahe wo maa ka doodh ho ya phir upar ka doodh ho. Yahan Safar Ki Dua dekhiye.

Kayi khawateen ko is pareshani ka samna karna padta hai. Unka bacha doodh nahi peeta hai ya bahut kam hi doodh peeta hai. bhookh ki wajah se bacha rota rahta hai. Aur yahan tak ke chidchida ho jata hai.

Jab tak bacha bhar pet doodh nahi piyega. Khushmizaj kaise rahega.  Chahe wo chand roz ka paida hua bacha ho ya phir chand mahino ka bacha. Dono ke liye doodh peena zaruri hai.

Esi pareshani ke liye bache ke doodh peene ki dua zarur aazmayein.

Ya Mateeno

ya-mateeno

Dua for Baby Not Drinking Milk

A proper quantity of milk is required for a child to grow. To remain healthy and gain weight milk is a vital source of nutrition for babies. This wazifa is meant for that child not drinking milk.  See Surah Ikhlas in All Translations here.

A gem of a Quranic dua for the baby even if he is a newborn baby and not drinking milk. Whether it’s a mother’s milk or a bottle. The child will start drinking the milk when you perform this dua. You can also perform this wazifa if your child doesn’t eat anything.

  1. In the state of an ablution;
  2. Read Durood Shareef 11 times in the starting;
  3. Read the above lovely name of ALLAH Subhanahu Wata A’la ‘ya Mateenu’ 500 times a day;
  4. Read Durood Shareef 11 times in the end;
  5. Do a blow on the child;
  6. Do this until you see full results;
  7. Insha ALLAH your child will start drinking milk.

Note: Women can perform this during their menses/periods.

yaALLAH Dua Wazaif 

Chakkar Ka Ilaj Quran Se-Dua for Dizziness

Qarz Utarne Ki Dua-Karz Ki Adaigi Ka Wazifa

Dua for Child Not Drinking Milk

Roman English

Agar bache ke doodh peene par nazar lag gayi hai. Bachcha khoob rota ho aur usne doodh peena chhor diya hai. Aur bache/baby bottle se ya maa ka doodh na piye to kya kare?

To is dua ke zariye wo nazar utar jayegi. Aur bache khushi-khushi doodh phir se peene lagega. Agar apka bacha khana bhi nahi khata ho to bhi ap is amal ko parh sakte hai. Insha ALLAH bacha khana khane lagega.

  1. Wuzu ki halat mein rehte hue ye wazifa kare;
  2. Sabse awwal 11 martaba Durood Shareef parhiye;
  3. Upar diye hue ALLAH Subhanahu Wata A’la ke pyare nam ‘ya Mateenu’ ko 500 martaba parhiye;
  4. Akhir mein fir se 11 martaba Durood Shareef parhiye;
  5. Bache par dum kar dijiye;
  6. Rozana ye aamal kijiye jab tak asar na ho;
  7. Insha ALLAH bacha doodh fir se peene lag jayega.

Ghaur Talab: Khawateen ye amal haiz/mahwari mein kar sakti hai

You would love to read..

Islamic Dua for Growth of Child

Wazifa for Child Weakness

Jo Bacha Doodh Na Pita Ho Uske Liye Dua

Hindi mein

अगर बचे के दूध पीने पर नज़र लग गयी है| बच्चा खूब रोटा हो और उसने दूध पीना छोर दिया है| और बच्चे / बेबी बोतल से या माँ का दूध न पिए तो ऐसे में क्या करे?

अगर आपका बच्चा खाना नहीं खाता हो तो भी आप इस अमल को पढ़ सकते है| इन्शा अल्लाह बच्चा खाना खाने लगेगा|

दूध ना पीने वाले बच्चे के लिए बेहतरीन अमल हिंदी में

  1. वुज़ू की हालत में रहते हुए ये वज़ीफ़ा करें;
  2. सबसे अव्वल 11 मरतबा दुरूद शरीफ पढ़िए;
  3. ऊपर दिए हुए अल्लाह सुबहानहु वत’आला के प्यारे नाम को 500 मरतबा पढ़िए;
  4. आखिर में फिर से 11 मरतबा दुरूद शरीफ पढ़िए;
  5. बच्चे पर दम कर दीजिये;
  6. रोज़ाना ये अमल कीजिये जब तक असर न हो;
  7. इन्शा अल्लाह बच्चा फिर से दूध पीने लग जायेगा|

ग़ौरतलब: ख़वातीन ये अमल हैज़/माहवारी में कर सकती है|

90 Comments on “Dua for Child Not Drinking Milk”

  1. kya ya mateeno ka taweez bana kr galye m dal sakhty hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *