Marne Ke Bad Ki Dua

Jab koi Musalman faut yani maut ho jaye. Chahe wo aapka koi aziz ghar wala ho (walidain ya bache) ya phir koi bhi ghair ho. Islam marne wale ke liye dua parhne ki hidayet karta hai. Marne ke baad ki dua parhkar ajr-o-sawab kamaye. Wird aur azkaar parhkar unki bakhshish ki dua mangni chahiye.→ Qabristan Mein Dakhil Hone Ki Dua

Kisi Ke Marne Ke Baad Ki Dua

inna lillahi wa inallah-e-raji'oon tarjuma in hindi

Marne Ke Baad Ki Dua

Kisi ke Inteqal ke baad ye khas dua parhi jati hai. Ise parhkar khud bhi sawab hasil kijiye. Aur marne wale ko bhi isal-e-sawab kijiye. Kuch log ise tadfeen ki dua bhi kahte hai.

Marne Ke Baad Ki Dua Arabic Mein

اِنَّا لِلّٰهِ وَاِنَّـآ اِلَيۡهِ رٰجِعُوْنَؕ‏

Marne Ke Baad Ki Dua Roman Urdu Mein

“Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Raji’oona”

मरने के बाद की दुआ हिंदी में

“इन्ना लिल्लाहि व इन्ना इलयहि राजि’ऊन”

English Translation of Dua for Death:

Indeed, we belong to ALLAH and indeed, to Him we shall return.

Tarjuma Roman English Mein:

Beshak ham ALLAH hi ki milkiyat hain aur beshak ham Usi ki taraf lautne wale hain.

तर्जुमा: बेशक हम अल्लाह ही की मिलकियत है और बेशक हम उसी की तरफ़ लौटने वाले है

Tarjuma Urdu Mein: 

بیشک ہم ﷲ ہی کی (ملکیت) ہیں اور بیشک ہم اُسی کی طرف پلٹ کر جانے والے ہیں۔

Para #2 | Surah #2 | Al-Baqarah | Ayat #156

पारा #2 । सूरह #2 | अल-बक़राह । आयत #156

Ek (1) martaba ye dua zarur parh lee jaye. Aur marhoom ki maghfirat ki dua ki jaye.

Tirmizi aur Ibn Majah ne riwayat ki hai,

Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ke:

“Momin peshani ke paseenah se marta hai.”

Aap ﷺ ne farmaya:

“Marne wale mein teen (3) alamatein dekho, agar uski peshani par paseenah aaye. Aankhon mein aansu aayen aur nathune phail jayen to ye ALLAH ki rahmat hai aur agar wo is tarah awaz nikale jis tarah naujwan oont jiska gala ghonta gaya ho. Rang pheeka pad jaye aur munh se jhaag nikalne lage to ye azaab nazil hone ki alamat hai. Momin ki khataon mein se agar koi khata baqi rah jati hai to marte waqt peshani ke paseenah se uska kaffarah kar diya jata hai. Paseenah is bat ki alamat hai ke ye apne kiye hue par sharmindah hai.

Kafir mein haya ka nam nahi hota isliye usme ye alamat nahi hoti.”

Haashiya:

  • Peshani=Maatha
  • Nathne=Naak ke do khane=Naak se saans lene ka rasta
  • Gala ghonta gaya ho=Gala dabaya gaya ho
  • Khata=Ghalti

Marne Ke Baad Mayyat Ko Qabr Mein Utarte Waqt Ki Dua

‘Abdullah Bin Umar RadiALLAHu Anhu kahte hain ke jab murde ko qabr mein dakhil kiya jata hai to Nabi Akram ﷺ parha karte:

“Bismillahi Wa ‘Ala Millati Rasoolullahi”

Aur Abu ‘Khalid ne apni riwayat mein ek bar yun kaha:

Jab mayyat ko qabr mein rakh diya jata to Aap ﷺ “Bismillahi Wa ‘Ala Sunnati Rasoolullahi” kahte.

Aur Hashaam ne apni riwayat mein “Bismillahi Wa Fee Sabeelillahi Wa ‘Ala Millati Rasoolullahi” kaha hai.

Sunan Ibn Majah | Jild 1, Kitab 6, Hadees 1550 | Darjah : Saheeh | Darussalam

Dua after Death

When someone dies in Islam what prayers one can recite for their forgiveness. You will get to know about this ahead.

Either he is one of your family members (parents or children) or he is a stranger. Islam recommends a dua to recite for the deceased person.

Muslims should ask forgiveness for him through several recitations.

One can read dua for a loved one who died in Arabic, English, and Hindi in the wallpaper above.

Recite this dua “Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Raji’oona” one (1) time and ask ALLAH The Most Merciful to forgive him by His Mercy. Family and friends should pray for forgiveness (maghfirat) for the dead. This is also known as dua for losing a loved one. Also read→ Rabbi Inni Lima Anzalta

Dua after Death When Laying the Body in the Grave

It was narrated that Ibn ‘Umar said:

“When the deceased was placed in the grave, the Prophet ﷺ would say: ‘Bismillah, wa ‘ala millati rasul-illah (In the Name of ALLAH and according to the religion of the Messenger of ALLAH).’”

Abu Khalid said on one occasion, when the deceased was placed in the grave: “Bismillah wa ‘ala sunnati rasul- illah (In the Name of ALLAH and according to the Sunnah of the Messenger of ALLAH).”

Hisham said in his narration: “Bismillah, wa fi sabil-illah, wa ‘ala millati rasul-illah (In the Name of ALLAH, for the sake of ALLAH and according to the religion of the Messenger of ALLAH).”

Sunan Ibn Majah | Volume 1, Book 6, Hadith 1550 | Grade : Saheeh Darussalam

किसी के मरने के बाद की दुआ हिंदी

तिर्मीज़ी और इब्न मज़ाह ने रिवायत की है,

नबी करीम ﷺ ने फरमाया के:

“मोमिन पेशानी के पसीना से मरता है|”

आप ﷺ ने फरमाया:

“मरने वाले में तीन (3) अलामतें देखो, अगर उसकी पेशानी पर पसीना आए| आँखों में आँसू आएँ और नथूने फैल जाएँ तो ये अल्लाह की रहमत है और अगर वो इस तरह आवाज़ निकले जिस तरह नौजवान ऊँट जिसका गला घोंटा गया हो| रंग फीका पड़ जाए और मुँह से झाग निकालने लगे तो ये अज़ाब नाज़िल होने की अलामत है| मोमिन की ख़ताओं में से अगर कोई ख़ाता बाक़ी रह जाती है तो मरते वक़्त पेशानी के पसीना से उसका कफ़्फ़राह कर दिया जाता है| पसीना इस बात की अलामत है के ये अपने किए हुए पर शर्मिंदाह है|

काफ़िर में हया का नाम नही होता इसलिए उसमे ये अलामत नही होती|”

हाशिया:

  • पेशानी=माथा
  • नथूने=नाक के दो खाने=नाक से साँस लेने का रास्ता
  • गला घोंटा गया हो=गला दबाया गया हो
  • ख़ता=ग़लती

एक (1) मर्तबा ये दुआ ज़रूर पढ़ ली जाए| और मरहूम की मग़फ़िरत की दुआ की जाए|

अगर किसी का दोस्त भाई बहन या कोई भी जानकार मुसलमान के इन्तेक़ाल पर ये मरने के बाद की दुआ ज़रूर पढ़िए और अज़ीम अज्र-ओ-सवाब कमाइए|→ ज़हनी और दिली सुकून की दुआ

“इन्ना लिल्लाहि व इन्ना इलयहि राजि’ऊन”

मरने के बाद मय्यत को क़ब्र में उतारते वक़्त की दुआ

‘अब्दुल्लाह बिन उमर ऱदि अल्लाहु ‘अन्हु कहते हैं के जब मुर्दे को क़ब्र में दाखिल किया जाता है तो नबी अकरम ﷺ करते:

और अबू ख़ालिद ने अपनी रिवायत में एक बार यूँ कहा:

जब मय्यत को क़ब्र में रख दिया जाता तो आप ﷺ “बिस्मिल्लाही ‘अला मिल्लती रसूलुल्लाहि” कहते|

और हिशाम ने अपनी रिवायत में “बिस्मिल्लाही ‘अला मिल्लती रसूलुल्लाहि” कहा है|

सुनन इब्न माजह |  जिल्द 1, किताब 6, हदीस 1550 | दरजाह : सहीह | दरुस्सलाम

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

2 Comments on “Marne Ke Bad Ki Dua”

  1. Aslm alikum

    wo Maut ki khabar sunne ke bad padhne ki dua hai kuch bhi likh dete ho

    1. Kuch bhi nahi likh dete hain bhai. Ye wahi dua hai jo kisi ke faut hone ki khabar par apko parhni hoti hai. ALLAH khush rakhe apko.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *