Qabristan Mein Dakhil Hone Ki Dua

Qabr walon ko khas salam pesh karne ka tariqa is Qabristan mein dakhil hone ki dua ke sath. Ise parhne walon ko Bada ajr-o-sawab milta hai. → Ghar Se Nikalne Ki Dua-Leave The House

Qabristan Mein Dakhil Hone Aur Niklalne Ki Dua

Qabristan Mein Dakhil Hone Ki dua for entering graveyard in english


Sallallahu ‘Alayhe Wasallam

Qabristan Mein Dakhil Hone Ki Dua

Hazrat Aisha R.A farmati hain ke ek raat jis raat Rasoolullah Salallahu Alaihe Wasallim mere paas they Aap Salallahu Alaihe Wasallim ne chadar rakhi aur jootay mubarak utare mai Unko (chadar jootay mubarak) Aap Salallahu Alaihe Wasallam ke paon ke qareeb rakhdia.

Aap Salallahu Alaihe Wasallim karwat ke bal lait gaye pus Aap Salallahu Alaihe Wasallim utni hi der laete honge ke jitni der mai Aap Salallahu Alaihe Wasallim ne guman kia hoga ke mai sogai hoon.

(Jab Aap Salallahu Alaihe Wasallam ne yeh khayal farmaya ke mai sogai hoon) Aap Salallahu Alaihe Wasallam ne nihayat ahistagi se apni chadar uthai aur nihayat ahista se jootay pehne aur darwazay se bahir nikle aur nihayat narmi aur ahistagi ke saath darwazay ko bund kia to mai ne bhi apne aap ko dhanpa aur Rasool e Akram Salallahu Alaihe Wasallam ke peeche chapne lagi.

Yahan tak ke Rasool e Akram Salallahu Alaihe Wasallim “Jannat ul Baqee” mai puhanch gae phir Aap Salallahu Alaihe Wasallim kafi der tak khare rahe phir Aap Salallahu Alaihe Wasallam ne teen martaba apne hathon ko uthaya phir aap tezi se lautay aur mai bhi tezi se ghar ki taraf palti aur Aap Salallahu Alaihe Wasallam se pehle ghar puhanch gai, mai leti hi thi ke Rasool e Akram Salallahu Alaihe Wasallim ghar mai dakhil hogaye aur mujhe pyar se farmaya:

“Ae Aisha! Tum ghabrai hui aur bechain kyun ho? Hazrat Aisha R.A farmati hain ke mai ne arz kia koi baat nahi hai Ya Rasoolullah! Aap Salallahu Alaihe Wasallim ne farmaya ke tum mujhe batati ho ya “Lateef o Khabeer” zaat mujhe khabar de?

Aap R.A ne arz kia Ya Rasoolullah! Mere maa baap Aap par qurban houn aur Aap R.A ne sara majra Huzoor e Akram Salallahu Alaihe Wasallim ko suna dia

Aap Salallahu Alaihe Wasallim ne farmaya ke wo saya tumhara hi tha jo mai ne apne aage dekha tha? Mai ne arz kia: Jee haan. Chunache Aap Salallahu Alaihe Wasallim ne mujhe (pyaar se) mukka mara jis se mujhe thori si takleef mehsoos hui. Aur phir farmaya ke tum yeh gumaan karti ho ke kia ALLAH aur US ka Rasool tumhare saath koi na-insafi karenge?

Hazrat Aisha R.A ne arz kia log jitna bhi kisi baat ko chupa len lekim ALLAH ta’ala is baat ko janta hai. Aap Salallahu Alaihe Wasallim ne farmaya han. Mere paas Jibrael ameen (a.s) us waqt ae they jab tum ne mujhe dekha tha. Pas unhone mujhe posheedgi aur ahista se awaaz di aur mai ne bhi unhe ahista se jawab dia taake tumhe khabar na ho, aur Jibrael a.s tumhare bepardah hone ki halat mai tumhare paas nahi asakte. Jab mai ne yeh samjha ke tum so chuki ho to mai ne tumhe jagana munasib na samjha aur yeh ke kahin tumhe jagane se tum khuafzada na hojao.

Pas Jibrael a.s ne Aap Salallahu Alaihe Wasallim se arz kia ke Aap ka Rabb Aap ko yeh hukum dete hain ke Jannat ul Baqee mai dafan hone walon ke paas jaen aur un ke liye dua e magfirat farmaen.

Hazrat Umm ul Momineen R.a ne pucha Ya RasooluLLAH! Ha un ke liye kaise dua karen. Aap Salallahu Alaihe Wasallim ne farmaya tum yun kaho:

اَلسَّلَامُ عَلَیْکُمْ اَھْلَ الدِّیَارِ مِنَ الْمُؤْمِنِیْنَ وَ الْمُسْلِمِیْنَ وَ اِنَّا اِنْ شَاءَ اللّٰهُ بِکُمْ لَلَاحِقُوْنَ نَسْأَلَ اللّٰهَ لَنَا وَ لَکُمُ الْعَافِیَةَ

“Assalaamu ‘Alaikum Ahlad-Diyaari Minal Mumineena Wal-Muslimeena Wa Inna Insha ALLAHU Bikum Lala-‘Hikoona Nas-alALLAHA Lana Wala-Kumul ‘Aafiyata”

“अस सलामु अलयकुम अहलद्दियारी मिनल मुअ-मिनीना वल मुस्लिमीना व इन्ना इन्शा अल्लाहु बिकुम लला हिक़ून नसा अलल्ल्लाही लना व-लकुमुल आफ़ियाह”

Ae Momino aur Musalmano ke ghar walo! Tum par salam ho aur insha ALLAH hum bhi tumse zarur milne wale hain, hum ALLAH se apne aur tumhare liye khair-o-aafiyat mangte hain.

Peace be upon you O inhabitants of the graves, believers and Muslims, we will join you if ALLAH wills, we ask ALLAH for our and your well being.

اے مؤمنو اور مسلمانوں کے گھر والو! تم پر سلام ہو، ہم آپ کے پاس جلد آنے والے ہیں، اپنے لئے اور آپ کے لئے اللّٰه تعالیٰ سے عافیت و خیریت مانگتے ہیں۔

Mishkaat Shareef, Page:154

मिश्कात शरीफ़, पेज:154

Sabhi iman walon ko is dua ko parhkar sawabe-e-dairan hasil karna chahiye. → Quran Verses About Hardship

Sunni Hadees Shareef ke mutabiq Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne Sahaba Karam ko qabristan jane ke adaab sikhhlaye. Aur qabristan me dakhil hone ki dua batlayi.

Tamam Musalmano ko chahiye ke baqayedgi ke sath qabron ki ziyarat ko jayen aur kabrastan se guzarne ki dua parhkar marhoomeen ki maghfirat ki dua kiya karen.

Kabristan me mitti dalne ki dua (link here) yahan parhiye.

Qabristan Se Nikalne Ki Dua

Tamam faut shudgaan ki maghfirat ke bad qabristan se nikalke waqt Durood-e-Pak parh liya jaye. Aur As Salamu ‘Alaykum Ahlal Quboor parhkar bahar nikal jayen.→ Kisi Ke Dil Me Mohabbat Dalne Ka Wazifa

Islamic Dua For Entering Graveyard In English

The Holy Prophet Mu’hammad ﷺ taught the manners and supplications of entering graveyard to His Companions.

Therefore, before entering the graveyard all the Muslims should seek forgiveness for the inhabitants of the graveyard through this dua. (Read Dua in the Wallpaper above).→Dua for Money Urgently

Dua For Leaving Graveyard In English

There is no special dua while leaving the graveyard.

After conveying savab to all the deceased persons, one can recite Durood-e-Pak. And can leave the graveyard by saying As Salamu ‘Alaykum Ahlal Quboor.

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

2 Comments on “Qabristan Mein Dakhil Hone Ki Dua”

  1. Imran bhai assalam alaikum aap ka bataya hua wazifa kabile tariff hai. mai gulf country ke liye job try kr raha hu. job interview ke liye aasan powerful wazifa bataye jise client or office wale kuch inquiry nahi kare un ko bandish ho jaye vo sirf mai jo bolu meri baat sune. Allah ki rehmat se mera selection gulf countries ke liye ho jaye to mujhe gulf mein bhi koi problem nahi ho sari rukawat or pareshani Khatam ho jaye. mera interview 12 february ok hoga reply zaroor digiyega imran bhai.

    mai aap se request kr raha hu

    Allah gives all happiness and prosperity to you and your family.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *