Jahannam Ki Aag Se Bachne Ki Dua

Jahannam Ki Aag Se Bachne Ki Dua

Duniya ki garmi bardasht nahi hoti to sochiye jahannum ki aag kaise bardasht hogi. Soch kar hi khauf ata hai. To kyun na jahannam ki aag se bachne ki dua ko padh kar is khauf ko door kar liya jaye.

Jahannam Ki Aag Se Bachne Ki Dua

Jahannam Kya Aur Kaisa Hota Hai?

Jahannam ek haulnaak dahakti huyi jagah hai. Jaha sirf aag hi aag hai. Jahannum mein kisi bhi qism ki sahulam, ne’amat, asaaniya nahi hai.

Yeh har tarah ke asaani, sahulat, sukoon, ne’amat se mehroom hai. Yeh ek aisi tang jagah hai jaha sirf zillat, ruswayi, saza ke siwa aur kuch nahi hai.

Jahannam ka Matlab Kya Hota Hai?

Jahannam ek bhayanak qayam-ghah (ruke ki jagah) hai.
Jahannam wo jagah hai jaha har tarah ke azab honge. Har jagah aag ke shole bhadak rahe honge.

Jisko ALLAH Ta’ala ne kafir, mushrik, fasik, fazir aur deegar gunahgaron ke liye taiyar kar rakha hai.

Hadees-e-Mubarika

Malik ne Abu’z-Zinad se, Al-Ajar se, unhone Abu Hurairah R. A. se Riwayat ki ke,

Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:
“Bani Adam ki Aag jis ko wo jalati hai, uska 70wa hissa hai.
Jahannum ki Aag. ” Unhone arz kiya Ya Rasool ALLAH ﷺ ye aag yakeenan kafi hai. Aap ﷺ ne farmaya: “Wo Aag 69 Ghuna zyadah hai”.

Kitab Jahannum: Book #57, Hadees #2

Roz-e-Qayamat Jahannamiyon ALLAH paak farmayega:

“Aur unse kaha jayega yahi wo jahannam jise tum jhuthlaya karte the”

Surah Tur, Ayat no. 14

Wazaahat: Jahannam aur uske aag ko sirf kafir, mushrik hi nahi jhuthlate hai.

Use wo musalman bhi jhuthlata hai jo ALLAH paak hukm ki taameer nahi karta.

Jaise be namazi, zinakar, soodh khur, dhokhebaaz wagairah wagairah.

यहाँ देखिए→ Attahiyat in Hindi

Jahannam Ki Aag Kaisi Hogi?

Jahannam ki aag duniya ki aag se 70 guna zyada aur bhadki huyi hogi.

Matlab insaan jis hadd tak is duniya mein aag paida kar sakta uska 70 guna zyada garam aag jahannam mein hoga.

Ab Qayamat tak insaan ki khoj aur aage jaa sakti hai, jiske natije mein jahannam ki aag ka tasawwur bhi karna na mumkin hai.

Hadees-e-Mubarika

Abu Hurairah R. A. se riwayat hai ke, Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:
“Tumhari aag jahannam ki aag ke 70 hisson mein se ek hissa hai”.

Kisi ne arz kiya ya Rasool ALLAH ﷺ yeh aag (kaafiron ko aziyat dene ke liye) kafi hoti,

Aap ﷺ ne farmaya:

“Dozakh ki aag duniya ki aag se 69 hissa zyada rakhti hai, hissa us duniyawi aag ki tarah Garam hai”.

Saheeh Al-Bukhari 3265

ALLAH Ta’ala Qur’an Majeed mein irshad farmata hai:

Ayat-e-Mubarak

Jahannami Azaab se Tang Aa Kar Maut Ki Aarzo Karega Lekin Use Maut Na Ayegi”.

Surah Al-Furkaan Ayat #13

Ayat-e-Mubarak

“Jahannam Ki Aag Na Zinda Chhodegi Na Marne Degi”

Surah Aala, Ayat #13

Ayat-e-Mubarak

“Jahannamiyon Ke Zakhmon Se Behne Wala Khoon, Peep Aur Khaulta Pani Jahannamiyon ko Diya Jayega”.

Surah Al-Ibraheem Ayat #16-#17

Ayat-e-Mubarak

“Jahannamiyon Ke Liye Aag Ka Udhna Hoga”.

Surah Aaraaf, Ayat #41

Ayat-e-Mubarak

“Jahannam Ko Dekhte hi Kaafiron Ke Chehre Kaale Siyah Ho Jayenge”.

Surah Yunus, Ayat #27

Wazaahat: Qur’an-e-Kareem ki ayaton is baat ka andaza lagaye to jahannam ki aag bahut hi bhayanak hoga. Jiska andaza aam insaan kabhi tasawwur bhi nahi kar sakta.

Kaisi kefiyat hogi jahannam ke aag ki yeh sunkar hi gunah mein padne walon ki rooh kanp jani chahiye.

Bahr haal ALLAH paak se yahi dua hai wo hame jahannam ki aag fehfooz rakhenge. Ameen

Kya Jahannam Se Nikal Kar Jannat Mein Jayenge?

Imaan wala gunahgaar apni saza puri kar ke jannat mein jayega. Insha ALLAH

यहाँ देखिए→ Khwab Ki Tabeer Online

Kya Jahannam Ki Sari Aag Ek Jasi Hogi?

Ji nahi, alag tarah se gunahgar ko uske gunahon ke mutabik hi aag jhelne honge.

Jahannam Ke Darwaze Ka Naam Kya Hai?

ALLAH Subhan Wa Ta’ala ne jahannam ka zikr farmate huye jahannam ke darwazon ko bayan kiya hai.

ALLAH Rabbul Izzat Qur’an majeed mein farmata hai:

“Aur han yeh bhi yaad rahe ki un sab ke waaste akhri wada bas Jahannam hai jiske saat (7) darwaze honge. Har (darwaze mein jane) ke liye un gumrahon ki alag alag Toliyan hongi”.

Surah Al-Hirj, Ayat 43 – 44

1. Jahannam

2. Al-Laza

3. Al-Hutum

4. Al-Sa’ir

5. Al-Saqar

6. Al-Jahim

7. Al-Hawiya

Wazaahat: Jahannami apne apne amal ke mutabik jahannam ke andar jayenge, phenke jayenge, dhakke de kar unhe andar dala jayega.

Yeh bahut hi zillat ka mukaam hoga jahannamiyon ke liye.

यहाँ देखिए→ नमाज़ से पहले की तकबीर

Jahannam Ki Aag Ka Rang

Agar aap sochte hai ke jahannam ki aag ka rang waisa hoga jaisa is duniya ki aag ka rang hai. To aap ghalat hai, kyunki niche diye gaye hadees ke mutabik jahannam ki aag etni zyada bhadki huyi hogi ke aag ka rang bilkul kala hoga.

Hadees-e-Mubarika

Malik ne mujhse apne chacha Abu Suhayl Bin Malik se apne walid se riwayat ki ke Abu Hurairah R. A. ne kaha ke kya tum samajhte ho ke yeh tumhari aag ki tarah surkh hai aur “Taarkul” se zyadah siyah hai.

Book: #57, Hadees #2

Kya Jahannam Me Maut Ayegi?

Qur’an majeed mein ALLAH paak Farmata hai:

“Jahannami azaab se tang aa kar maut ki arzo karega lekin use maut na ayegi”.

Surah Al-Furkaan Ayat #13

“Jahannam Ki Aag Na Zinda Chhodegi Na Marne Degi”

Surah Aala, Ayat #13

“Jahannamiyon Ke Zakhmon Se Behne Wala Khoon, Peep Aur Khaulta Pani Jahannamiyon ko Diya Jayega”.

Surah Al-Ibraheem Ayat #16-#17

“Jahannamiyon Ke Liye Aag Ka Udhna Hoga”.

Surah Aaraaf, Ayat #41

“Jahannam Ko Dekhte hi Kaafiron Ke Chehre Kaale Siyah Ho Jayenge”.

Surah Yunus, Ayat #27

Duniya Ki Sardi Aur Garmi Ke Mausam Kya Jahannum Se Ate Hai?

Hadees-e-Mubarika

Abu Hurairah R. A. se riwayat hai ke, Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:

” Aag ne apne Rab se Shikayat ki aur kaha: “Ae Rab! Mere ek hisse ne dusre hisse ko kha liya”, chunanche ALLAH paak ne use sans chhorne ki do mawaqe diye, ek sardiyon mein aur ek garmiyon mein. Shadeed sardi jo aap (mausam sarma mein) mehsoos karte hai wo us ke shadeed thand ka hissa hai aur garmiyon mein jo shadeed harami mehsoos hoti hai wo uske garam hawa (samam) ka hissa hai”.

Sunan Ibn Majah, no. 4319

Wazaahat: Sochiye jahannam ki aag kaisi hogi jo uske ek sans andar lene par duniya mein shadeed sardi ka mausam aa jata hai.

Aur jab sans chhor ti hai to garmi ketni bad tareen ki aa jati hai.

Jahannam Ki Aag Se Bachne Ka Amal (Hadees Ki Roshni Me)

Hadees-e-Mubarika

Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:
“Jis ne apni bhai ke izzat ki hifazat ki dua ki ALLAH Ta’ala Qayamat ke din uske chehre ko aag se mehfooz rakhega”.

Jami At-Tirmizi #1931

Hadees-e-Mubarika

Abu Ad-Darda R. A. se riwayat hai ke,
Rasool ALLAH ﷺ farmate hai ke:
“Agar koi musalmaan apne bhai ki ghair maujoodgi mein uski ‘izzat ka hifazat kare to ALLAH Ta’ala Qayamat ke din uske chehre ko jahannam ki aag se mehfooz rakhega”.
(Jami At-Tirmizi ne ise Hasan qarar diya)

Jami At-Tirmizi #1931

Kya Sadqa Jahannam Ki Aag Se Bachayegi?

Ji han, ALLAH ki narazgi se bachna hai to sadqa dete rahiye. Chahe wo khajoor ka adha tukda hi kyun na ho.

Hadees-e-Mubarika

Adi bin Hatim R. A. se riwayat hai ke,
Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya: “Apne aapko jahannum ki aag se bachao khwah khajoor ka ek tukda sadqah de kar”.

(Riyaaz Al-Sauliheen #545

Bukhar ki garmi jahannum ki garmi mein se hai.

Hazrat Aishah R. A. se riwayat hai ke,
Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:
“Bukhar jahannum ki garmi mein se hai, to ise pani se thanda karo”.

(Sunan Ibn Majah #3471)

Jahannami ki nishaniyon mein ek nishani uska ghurur hai.

Hadees-e-Mubarika

Abdullah Ibn Mas’ud se riwayat hai ke maine Rasool ALLAH ﷺ farmate suna:

“Jo shakhs namaz mein Ghurur se apna kapda latkaye, ALLAH Ta’ala us ki bakhshish aur jahannum se bachane mein koi kaam nahi rakhta”.

Sunan Abi Dawud #637

Jahannami Aurat Ki Nishani Kya Hai?

Hadees-e-Mubarika

Ibn Abbas R. A. ne farmaya ke, Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:
“Mujhe jahannum ki Aag dikhati gayi aur usme rehne walon mein aksareen na-shukri karne wali Auraton ki thi”
Puchha gaya ke kya ye ALLAH ke ke sath kufr karti hai? (Ya wo ALLAH ki na-shukri karti hai? )

Aap ﷺ ne farmaya:

“Wo apne shauhar ki na shukri karti hai aur unke sath ki gayi ehsanaat aur nekiyon ki na shukri karti hai, phir wo tujh mein koyi cheez dekhenge (apni pasand ki nahi) to kahengi ki mai ne kabhi tujhse koyi bhalayi hasil nahi ki”.

Saheeh Al-Bukhari no. 29

Jahannam Mein Sardi Ka Azaab Kaisa Hoga?

Jahannam mein saza ke taur par sirf aag hi nahi hogi. Waha sakht sardi ka bhi azaab hoga.

Jahannam ki sardi ka andaza lagana ham insanon ke liye na mumkin hai. Kyunki duniya ki sardi mausam ke taur par ati hai. Jise ham bardasht kar lete hai.

Lekin jahannum ki sardi azaab ban kar jahannamiyon par nazil hogi. To sochiye saza mein sardi ketni dugni, bhayanak, badan ko akda dene wali hogi.

Abu Said Khudri R. A. ne bayan kiya ke beshaq,

Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:

“Dozakhiyon mein sab se kam ‘Azaab wo hoga jo aag ke do (2) jute pehnega aur juton ki garmi se uska dimagh ubal padega”.

Saheeh Muslim #211

Kaafiron Ke Liye Dozakh Ka Azaab Kaisa Hoga?

Qur’an Majeed

“Jis Waqt Ye Kahenge Kaash Hamne ALLAH Aur Uske Rasool Ki Ita’at ki Hoti. Aur Fariyad Karenge, Ae Hamare Rab! Hamne Apne Sardaron Aur Apne Badon Ki Ita’at Ki Unhone Hame Sidhe Raah se Gumrah kar diya. Ae Hamare Rab! Ab Unhe Dohra Azaab De Aur Un Par Sakht Nalar Kar”.

Surah Ahzaab, Ayat #66 – #68

Qur’an Majeed Mein ALLAH Irshad Farmata Hai:

Jab Yeh Log Jahannam Mein Ek Dusre Se Jhagad Rahe Honge To Duniya Ke Hisab Se Jo Kamzor Honge Wo Bada Banne Walo Se Kahenge (Duniya Mein) Ham Tunhare Manne Wale The. Ab Kya Tum Yaha jahannam ki Aag Ki Takleef Ke Kuch Hisse Se Hame Bacha Loge? Bada Banne Wale Jawab denge, Ham Sab Yahan Ek Hu Haal Mein hai. ALLAH Bandon ke Bich Faisla Kar Chuka hai.

Surah #40, Ayat #47 – #48

Qur’an Majeed mein ALLAH Ta’ala apne bando (musalamanon) ko apne ghazab se darata hai. Aur nasihat bhi deta hai ke apne gunahon se baaz aa kar laut aao apne Rab ke pas. Aur taubah kar uske ghazab se bachne ki bhi nasihat deta hai.

Is Ayat-e-Mubarak se ye sabit hota hai ke ALLAH paak ka ghazab sirf kafiron, aur mushrikon hi par nahi hoga.

Balki un
• Fajir ( jo bina taubah kiye gunah karte chale jate hai ),

• Fasikon ( jo hidayat ki raah se nikal kar gumraah ho jate hai ),

• Munafikon ( jo logo ke samne nek bante hai aur akele mein gunah karte hai ),

Qur’an Majeed ALLAH Ta’ala irshad farmata hai:

“Yakeenan Munafiq Jahannam Ke Sabse Nichle Darje Mein Honge Aur Tum Kisi Ko Unka Madadgaar Na paoge”.

Surah An-Nisa, Ayat #145

• Haram khane walon ( haram rizk jama karne wale ),

• Soodh khane wale,

• Taqabbur ( ghamand ) karne walon,

• Logo par zulm karne wala,

• Zina karne walon, waghairah

• Faisla karne wala (Judge/Qazi)

Hadees-e-Mubarika

Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:
“Qazi ( judge ) teen qism ke hote hai, ek jannat jannat aur do jahannum mein. Jannat mein jane wala woh shakhs hai jo haq ko janta hai aur us ke mutabik faisla karta hai.
Lekin ek admi jo janta hai ki kya sahi hai aur apne faisle mein zulmana kam karta hai wo jahannam mein jayega.
Aur jo admi jahil ho kar logon ki haq mein faisle deta hai wo jahannam mein jayega”.

Sunan Ibn Dawood #3573

• Aur deegar gunahgaron par bhi hoga.

Jo jhuth bolte hai, idhar ki baat udhar lagate hai. Gharon jhagde fasaad paida karte hai.

Jo sab ke samne nek aur parda bante hai, lekin tanhayi mein behayayi badkari karte hai.

Jo jhuth ko sach banate hai, jhuth ke haq mein faisla dete hai.

Ayat-e-Mubarak

“Unke Liye Aag Ki Chhatriya Upar Se Bhi Chhayi Hogi Aur Niche Bhi chhatriyan hongi. Ye Hai Wo Anjaam Jisse ALLAH Apne Bando Ko Darata Hai. To Mere Bando! Mere Ghazab Se Bacho”.

Surah #39, Ayat #16

Ayat-e-Mubarak

“Ye Do Giroh Hai Jinke Beech Apne Rab Ke Mu’amle Mein Jhagda Hai, Unme Se Jinhone Kufr Kiya Unke Liye Aag Ke Libas Kante Ka Chuke Hai Unke Saro Par Khaulta Hua Pani Dala Jayega Jisse Unki Khale Hi nahi Pet Ke Andar Ke Hisse Tak Jal Jayenge”.

Sarah Al-Hajj, Ayat #19 – #20

Kaash! Kaafir Log Waqt Ka Yakeen Kar Le Jab Wo Apna Muhn Aag Se Bacha Na Sakenge Aur Na Apni Pithe Aag Se Bacha Sakenge Aur Na Wo Kahi Se Madad Payenge ”

Surah Al-Ambiya, Ayat #39

Jahannam Ki Aag Ka Bhadakna

Ayat-e-Mubarak
“Jahannam Ki Aag Jaise Hi Dhimi Hone Lagegi Ham Use Aur Bhadka Denge”.

Surah Al-Bani Israil, Ayat #97

“Na Jaan Legi Na Jaan Chhodengi”.

Suraj Al-Mudassir, Ayat #28

Ayat-e-Mubarak

“Qayamat Ke Din Ham Jahannam Se Puchhenge Kya To Bhar Gayi Hai? Wo Kahega Kya Aur Kuch Hai?”

Surah Al-Kahf, Ayat #30

“Us Roz Tum Dekhoge Mujrim Logo Ke Hath Aur Paun Zanjeeron mein Jakde Honge. Uska Libaas Tarkul/Ghandhak Ka Hoga Aur Aag Ke Shole Unke Chehron Par Chhaye Jaa Rahe Honge”.

Surah Al-Ibraheem, Ayat #49 – #50

“Jab Mujrim Log Jahannam Ki Tang Aur Andheri Kothari Mein Hath-Paun Bandh Kar Phenke Jayenge To Apne Liye Maut Ko Pukarenge. (Us waqt unhe Kaha jayega) Aaj Ek Nahi Bahut Si Mauton Ko Pukaro”.

Surah Al-Furqaan, Ayat #13 – #14

Sar Par Khaulte Pani Ka Azaab

Jahannam ka pani ka ek qatra bhi azaab se hi hai. Kyunki wo jahannam ka pani hai. Aur jahannam mein saza hi saza milegi.

” Isko Pakad Lo Aur Uske Sar Par Khaulte Pani Ka Azaab Undel Do”.

Surah Ad-Dukhan, Ayat #47 – #48

Hadees-e-Mubarika

“Jahannam mein jab jahannam khane ke baad pani talab karenge. To unhe jahannum ke daroga pani ke chashme mein jayenge jaha sakht garm pani hoga. Gaur karne wali baat ye ke ye pani jahannam ki garmi mein is qadar garm hoga aur bhap na bankar pani ki hi shall mein hoga. Jahannami jab uska pehla dhunt piyega to uska munh ka sara gosht gal kar niche gir padega. (Mushdarak haakim) Aur jo hissa pet mein jayega usse sari ante kat kar pith ke raste kadmo mein aa giregi”.

Hadees: Tirmizi

Hadees-e-Mubarika

Nabi-e-Kareem ﷺ jab jannat aur duzakh ko dekh kar wapas aye to farmaya zyada tar jahannam mein aurten hongi.

Aurton ko nasihat karte huye farmaya:

Hadees-e-Mubarika

Rasool ALLAH ﷺ ne hame khutba diya aur farmaya:

“Ae Aurton! Saqdah karo, khwah apne zewaraat mein se hi kyun na ho, kyunki qayamat ke din tum jahannamiyon mein se zyada tar hongi”.

Jami At-Tirmizi #635

Hadees-e-Mubarika

Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:
“Maine jannat ke taraf dekha to us ke bashindon ke zyadatar ghareebon ki thi, aur maine dozakh ki taraf dekha to uski bashindon ki zyadatar aurton ki thi”.
Saheeh Al-Bukhari #5198

Wazaahat: Nabi kareem ﷺ ne aurton ko nasihat di ke wo apne apko jahannum se bachaye.

Goya unhe chahiye ke:

•Be-pardagi ikhtiyaar na karein,

• Chugli,

• Jalan bugaz,

• Shauhar ki na-shukri,

• Taqabbur,

• Bad-jabani,

• Ehsaan jatane, wagairah

Jaisi gunahon se parhez karein.
Aur jannat mein apna maqaam banaye.

Hadees se sabit duaon ko padhkar jannat me jane ka tarika asan ho jayega.

Jahannum Se Bachne Ki Dua #1

Hadees-e-Mubarika

Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:
“Jab tum subah ki namaz se farigh ho jao to 7 martaba ye dua padho, agar tumne yeh dua padhli aur us din tumhari wafat ho jaye to tumhare liye jahannum ki aag se aazadi likh di jayegi”.

Jahannam Ke Azab Se Bachne Ki Dua in Hadees

Dua 1

“ALLAHumma Ajirni Minan-Naar”

“Ae ALLAH! Mujhe Jahannum ki Aag Se Bacha”

(Saheeh Ibn Hibban #2022,
Al-Mu’jam, Al-Kabeer, Tabrani, #16425, Hasan)

Jahannam Se Bachne Ki Dua + Jannat Pane Ki Dua#2

Hadees-e-Mubarika

Abdullaah bin Abbas R. A. se riwayat hai ke,
Rasool ALLAH ﷺ unko Qur’an ki ek Surat dikhane ke liye (ye dua sikhate the) :
Ae ALLAH! Beshaq mai jahannam ke azab se aur teri panaah chahta hun, Qabr ke azab se, aur jhuthe masih ke fitna se teri panaah mangta hun, aur mai zindagi aur maut ke fitno se teri panaah mangta hun”.

Dua 2

“اللّٰہُمَّ إِنِّی اَعُوْدُ بِکَ مِنْ اَذَابِی جَہَنَّمَ، وَ من اذابِکَرَ، وَعُوْدُ بِکا مِن فِتَنْتِلِ مِسْحَیْدِ دَجال، وَعُوْدُ بِکا مِن فَتنَاتِلِ مَعْطَا وَالْمُتَعِیْم”

“ALLAHumma inni a’Oodhu bika Min ‘Adhabi jahannam, wa Min ‘adhaabil-Qabr, wa a’Oodhu bika Min fitnatil-mahya wal-mamat”

Jami At-Tirmizi #3494

Jahannam Ka Azab Se Bachne Ki Dua Aur Jaanat Me Jane Ka Amal #3

Yeh Dua Jannat me jane ka rasta asaan bana degi. Insha ALLAH

Hadees-e-Mubarik

Dua 3

“اللّهُـمَّ إِنِّـي أَسْأَلُـكَ الجَـنَّةَ
وأََعوذُ بِـكَ مِـنَ الـنّار”

“ALLAHumma inni As’aluka ‘l-jannah wa a’Oodhu bika minan-Naar”

“Ae ALLAH! Mai Tujhse Jannat Ka Sawal Karta Hun Aur Aag Se Teri Panaah Chahta Hun”

Hisn Al-Muslim #61,
Al-Albani, Sahih Ibn Majah #2/#328

Rukh Khan:
Jahannam Ki Aag Se Bachne Ki Dua Aur Jannat Pane Ki Dua

Ham insan is duniya ko hi akhri samajh baithe hai. Jabki is duniya se rukhsat hone ke baad hame hamare amaal ke daromadar par jannat milegi ya to phir jahannum.

To kyun na apne amaal ko hi durust bana liya jaye. Aur jahannam ki aag se bachne ki dua padh kar, jahannum ki aag ko khud par haraam bana liya jaye.

Panch waqt ki namaz, haraam kamon se parhez aur achhe ikhlaq ke sath jahannan ka azab se bachne ki dua padhna har momin ke liye bahut zaruri hai.

Kyun ki Nabi-e-Kareem ﷺ khud yeh dua manga karte the.

Hadees-e-Mubarika

AbuLayla Al-Ansari se riwayat hai ke,
Maine Rasool ALLAH ﷺ ke pehlo mein namaz padhi, aur maine Aap ﷺ ko kehte huye suna: Ae ALLAH! Mai jahannum ki aag se teri panaah mangta hun, ke wo jahannumiyon ke liye tabaahi hai”.

(Sunan Abi Dawud #881)

Konsi Dua Jahannam Se Bachayegi Aur Jannat Me Le Jayegi?

Hadees-e-Mubarika

Hazrat Anas R. A. se riwayat hai ki Rasool ALLAH ﷺne farmaya ke:
“Jo shakhs teen (3) bar ALLAH Ta’ala se jannat mangega,

“ALLAHumma inni As-Aluka Jahhan”

to jannat kahega ki “Ae ALLAH! ise jannat dakhil karde”. Aur jo shakhs teen (3) baar jahannum se panaah mangega to,

” ALLAHumma Ajir-nee Minnan-Naar”

jahannum kahega ke ” Ae ALLAH! ise jahannum se panaah ata farma”.

(Ise At-Tirmizi aur An-Nisai ne riwayat kiya hai)

(Mishkat Al-Masabih #2477,
Sunan An-Nisai #545

Ghabraye nahi sawab kamaye!

Khud ke sath dusron ko bhi is dua ke zariye jahannum ki aag se hifazat me layen!

Join ya ALLAH Community!

FB Page→ yaALLAHyaRasul

FB Group→ yaALLAHU

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *