Ya Zal Jalali Wal Ikram

ya Zal Jalali Wal Ikram ALLAH Tabarak Wata ‘Ala ke Mubarak Namon mein se ek khas Naam hai. Jiske waseele se mangi gayi har jayaz dua qubool ho kar hi rahti hai. Basharte, mangne wale ki qalb-o-zuban mein wo taseer ho.

Ya Zal Jalali Wal Ikram- Sabkuch Janiye!

Ye Ism Mubarak jalali hai. Aur ise Ism-e-Azam ka martaba hasil hai. ALLAH Zille Shanahu ki Pak Zat ye istehqaaq (haq) rakhti hai ke USKI Izzat aur Ikram kiya jaye. Kyunki Jalal, Mulk, Hamd-o-Sana aur Izzat-o-Ikram sab Usi ke liye hai. Zarur dekhiye→ Isale Sawab Ka Tariqa Aur Fazilat

Ya Zal Jalali Wal Ikram dua meaning

ya Zal Jalali Wal Ikram

या ज़ुलजलाली वल इकराम

Ae Izzat-o-Jalal Aur Ina’am-o-Ikram Wale

ऐ इज़्ज़त-ओ-जलाल और इन’आम-ओ-इकराम वाले

Ye Ism Shareef Quran Pak mein bhi maujud hai.

Irshad-e-Rabani hai,

وَّيَبۡقٰى وَجۡهُ رَبِّكَ ذُوۡ الۡجَلٰلِ وَالۡاِكۡرَامِ‌ۚ‏

Wa Yabqa Waj-hu Rabbika Zil-Jalaali Wal-Ikraam

Tarjuma: Aapke Jalal Aur Ikram Wale Rabb Ka Chehra Baqi Rahega.

तर्जुमा: आपके जलाल और इकराम वाले रब्ब का चेहरा बाक़ी रहेगा

Surah #55, Ar-Rahman, Ayat #27

Jab ALLAH ka Chehra Mubarak Jalalat aur karamat wala hai to ALLAH ka Naam aur Zaat Mubarak bhi jalalat-o-Karamat ki mustahiq (haqdaar) hai. Jaise ke khud ALLAH Pak ne farmaya,

تَبَارَکَ اسْمُ رَبِّکَ ذِی الْجَلَالِ وَالْاِکْرَامِ

Tabarakasmu Rabbika Zil-Jalaali Wal-Ikraam

Tarjuma: Ba-barkat Hai Aapke Rabb Ka Naam Jo Jalal Wala Aur Izzat Wala Hai.

तर्जुमा: बा-बरकत है आपके रब्ब का नाम जो जलाल वाला और इकराम वाला है|

Surah #55, Ar-Rahman, Ayat #78

Zarur dekhiye→ Aulad Ke Liye Best Wazifa

ya Zal Jalaali Wal Ikram Ke Bare Mein Huzoor Pak ﷺ Ka Farman-e-Mubarak

Is Ism-e-Azam ke bare mein Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya,

“ya Zaljalaali Wal-Ikraam ko lazim pakdo yani apni duaon mein barabar padhte raha karo.”

Ek aur jagah farmaya,

“Dua mein ya Zul Jalali Wal Ikram se chimte rahe.”

(Musnad Ahmad : 177/4, Asnaadah Saheeh)

Zarur dekhiye→ Har Mushkil Ka Wazifa

ya Zal Jalaali Wal Ikram Ke Bare Mein Hazrat Ali RadiALLAHu Anhu Ka Qaul

ALLAH ke is Ism Mubarak ke bare mein Hazrat Ali RadiALLAHu Anhu se marwi hai ke iske sath jo dua ki jati hai ALLAH Rabbul Izzat us bande ki dua ko qubool karta hai. Is Ism-e-Azam ke waseele se jis kisi ne kuch bhi manga, ALLAH Ta’ala ne usay ata farmaya hai.

ya Zal Jalaali Wal Ikram Aur Hazrat Asif Barkhiya Ka Khas Waqeya

Hazrat Suleman Alayhis Salam ke wazir Asif Barkhiya ne itna bada takht kauson (bahut) door se Hazrat Suleman Alayhis Salam ke qadmon me la kar rakh diya. Hua yunke Aap uthe aur wuzu karke ALLAH ko sajdah kiya aur ALLAH ke is Ism-e-Azam ko parhkar dua karne lage.

Raawi (riwayat karne wale) ka bayan hai ke Asif Barkhiya ke dua mangte hi Malka Saba Bilqees ka takht zameen ke niche ghayeb hokar Hazrat Suleman Alayhis Salam ki kursi ke paas namoodar (zaher) ho gaya. Zarur dekhiye→ Surma Lagane Ki Dua

Ek riwayat mein ye bhi hai ke us kursi ke niche namoodar hua jis par Hazrat Suleman Alayhis Salam takht nasheeni ke waqt apne pawn rakhte the.

Jab takht hazir ho gaya to jinnat ne kaha ke waqeyi aap ke sahabi Asif Barkhiya takht ko lane ki to qudrat rakhte hain lekin wo Malka Saba Bilqees ko nahi la sakte. Asif Barghiya ne Hazrat Suleman Alayhis Salam se arz kiya ke hukm ho to Malka Saba ko bhi la sakta hun.

Ya Zal Jalali Wal Ikram Ki Fazilat Wa Ahmiyat

Jo shakhs is ko rozana kasrat (khoob) se padhne ki adat bana leta hai, usay asrar-e-ghaibi ka mushahida hoga yani ghyeb ki baten usay malum hongi. Wo hamesha khush aur khamosh rahega. Dekhna mat bhuliye→ Surah Kausar Ki Tafseer Aur Fazilat

Har kaam me kamyabi hasil hogi. Ghani ho jayega. Maal aur daulat mein beshumar izafa aur barkat hogi. Be-panah makhlooq musakhkhar (mutasir) hogi. Izzat hi izzat naseeb hogi. Mushkil se mushkil kaam aasan ho jayega. Mukhtasir ye ke jo chahe ga wo naseeb hoga, insha ALLAH.

Ya Zal Jalali Wal Ikram Ki Fazilat Wa Ahmiyat Mein Se Chand Ye Bhi Hai

  1. Har Hajat Ki Takmeel- Agar koi sakht muhim ya hajat darpesh ho to bad namaz isha is Ism Mubarak ko ek sau (100) martaba parh len. Phir apne maqsad ke liye khoob dil se dua kijiye. Insha ALLAH, pura ho kar rahega, aameen.
  2. Bimari Se Shifa- Jo shakhs is Ism Mubarak ko ek sau (100) martaba parhkar pani par dam karke mariz ko pilayega, mariz ko shifa naseeb hogi aur wo tandrust-o-tawana ho jayega.
  3. Yaddasht Badhane Ka Amal- Yaddasht ki kamzori door karne aur dimagh ki tezi ke liye ye amal bachchon aur badhon dono ke liye kiya ja sakta hai. ba-wuzu maghrib ki namaz ke bad teen (3) badam ki giriyan lijiye. Awwal-aakhir ek-ek bar Durood-e-Ibraheemi ke sath giyarah (11) martaba ye Ism Shareef parhkar badam ki giriyon par dam kar dijiye. Ek badam suba nihar munh (khali pet) lijiye. Dusra badam dopahar mein khane se pahle lijiye. Aur teesra badam raat ko sote waqt khaiye. Ye amal bila nagha ikkees (21) roz tak kijiye. Insha ALLAH, dimagh tezi se kaam karega aur yaddasht mein bhi bahut taraqqi hogi. Dimagh itna yez ho jayega ke bhooli hui baten bhi yad aana shuru ho jayengi. Bachon ko apna sabaq kabhi nahi bhoolega.
  4. Sohar Ki Nazro Mein Izzat Hasil Karne Ke Liye- Agar kisi wajah se biwi apne khawind ki nazron se gir gayi ho to is Ism Mubarak ko ek hazar (1000) baar parhen. Insha ALLAH, khawind ki nigah mein uski izzat badh jayegi. Koi bhi shakhs jo izzat pane ka mutlaashi (talash mein) ho, ye amal parh sakta hai.
  5. Ghaib Ke Raaz Janna- Jo shakhs rozana ikkees hazar (21000) bar ye Ism Shareef parhega, usay ghaibi raaz malum karne ka martaba hasil hoga.

Is Ism-e-Azam ki itni barkat hai ke ise apne rozana ke wird ka mamul zarur banana chahiye. ALLAH Tabarak Wata ‘Ala iski barkat se hamari deeni aur duniyawi tamam jayaz hajat bar (puri) laye, aameen ALLAHumma aameen.

Agar apko ye post pasand aye to apne aziz-o-aqarib aur jaane walon se zarur share kijiye, ALLAH iska sawab apko yaqeenan dega.

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

63 Comments on “Ya Zal Jalali Wal Ikram”

      1. اسلام علیکم بھای پیلز مجھے اپنے بچوں کو دین کے راہ میں لانے لیے کچھ بتادیں وہ دین سے بہت دور ہیں اور اپکی دعا بھی چاہیے پیلز جلدئ بتاےگا

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *