Tera Teji Kyon Manate Hain?

Akhir ham log tera teji kyon manate hain? Safar ke mahine ki 13 tarikh ko har saal tera teji aati hai. Jisse judi tamam tafsee ap parhenge.

Tera Teji Kyon Manate Hain?

Humare Nabi-e-Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallam ke daur mein kuffar (kafir) ka ye aqeeda tha ke safar ka mahina manhoos hota hai. Aur safar ke mahine mein balayen nazil hoti hain. Safar mahine ke 13 tarikh jise ‘Tera Teji’ kaha jata hai.

Daur-e-jahiliyat ke daur mein kuffar ka aqeeda tha ke is din khas kar balayen nazil hoti hain aur ye nahusat ka din hai.

Jabke Islam mein iski koi daleel nahi hai, har mahina ALLAH ne banaya hai. Aaj bhi musalman safar ke mahine ko ya ‘tera teji’ ke din ko manhoos aur nahusat wala mante hain. Zarur Dekhiye→ How To Pray Namaz E Ashura-Ashura Ki Namaz Padhne Ka Tarika

Kuchh log safar ke mahine ko tera teji ka chand kehte hain. Aisa isliye kyu ke unka aqeeda hai safar ke mahine mein tera (13) dino tak zyada nahusat hoti hai. Aur wo in tera (13) dinon mein khas kar na shadi karte hain aur na hi khatna karte hai.

Safar Ke Mahine Ke Bare Mein Hadees

Tera Teji Kyon Manate Hain? Iske Bare Mein Ghalatfahmiyan Aur Haqiqat Hadees Mein

ALLAH ke Habeeb Mu’hammad ﷺ ne farmaya:

“Chhoot lag jana, bad shaguni ya ullu ka bolna (yani ullu ke bolne se kuchh bura hona) ya safar ki mahine ki nahusat hona ye koi cheez nahi hai (yani bekar khayalat hain).”

[Sahih Bukhari #5757]

Abu Huraira RadiALLAHu ‘Anha se riwayat hai ki RasoolALLAH Mu’hammad ﷺ ne farmaya:

“Na koi chhoot ki bimari hai, na hama hai, na nahusat hai, na safar (koi bimari ya nahusat wala mahina hai aur na koi iski kisi aur mahine ke sath tabdeeli hai).”

[Sahih Muslim #2220]

Aur humne is zamane mein daure kuffar ke tariqo ko aaj bhi, ALLAH ke Nabi ki baaton se zyada ehmiyat di huyi hai. Jabki aisa sochna ghalat hai. Baaz jagah terahvin tareekh ko gehoon ya chane wagairah taqseem kiye jate hain taki iski nahusat se hifazat rahe.

Zarur Dekhiye→ Shaban Ke Mahine Ki Fazilat

Yeh aqeeda gunah ka mujeeb (qubuliyat) hai.

Hum musalmano ka ye farz hai ke hum Ilm ki roshni mein apne Islam ki roshni mein cheezon ki haqeeqat dhoonde aur usi baat par amal kare kyun ke yehi kamyabi ka rasta hai.

Ilm hi wo cheez hai jo insan ko gunah ke andhere rasto se nikal kar sahi raste pe le aata hai. Hum apne bacho ki shadi is mahine mein karne se katrate hain ise manhoos aur nahusat wala mahina mante hain. Zarur Dekhiye→ Isale Sawab Ka Tariqa Aur Fazilat

Maah-e-Safar Ke Amaal Wa Fazail

Alam yahan tak hai ke log safar ke mahine ko tera teji ka mahina tak kahte hai. Is mahine mein tera teji manane ki bajaye niche di hui ‘ibadat karein to sawab ka zariya banega.

Safar Ke Maah (Mahine) ka ye amal kisi hadees-e-mubarik se sabit to nahi. Lekin sawab kamane ki wajah zarur ban sakta hai.

Har musalman ko chahiye ke shab-e-awwal aur roz-e-awwal maahe Safar mein chaar (4) rakat padhe.

  1. Pehli rakat mein Surah Kafiroon pandarah (15) bar,
  2. Doosri rakat mein Surah Ikhlas (Qul Huwal-lahu Ahad) pandarah (15) bar,
  3. Teesri rakat mein Surah Falaq pandarah (15) bar,
  4. Chauthi rakat mein Surah Naas pandarah (15) bar.
  5. Aur namaz khatam hone ke baad ye dua sattar (70) bar padhe to ALLAH use har bala afat se mehfooz rakhega.

Dua Jo Teesra Kalimat Bhi Hai:

“Subhanil-lahi wal humdulil-lahi wa-la ilaha illal-lahu wal-lahu akbar.”

subhanallahi wal hamdulillah wa-la ilaha illallah wallahu akbar

Safar Ke Mahine Ka Amal #2

Agar koi safar ki pehli tareekh (1) ko ghusl karke chasht ke waqt do (2) rakat nifl padhe. Har rakat mein baad Surah Fatiha, gyarah gyarah (11) Surah Ikhlas padhe aur salam pher kar ye dua sattar (70) martaba padhe to ALLAH uski hifazat karega, Insha ALLAH.

Dua:

“ALLAHumma Salli ‘Ala Mu’hammadin Nabiiyyil Ummiyi Wa ‘Ala Aalihi As-habihi Wa Barik Wa-Sallim.”

Safar Ke Mahine Ka Amal #3

‘Tufaye Yamni’ mein hai ki maahe safar ka chand dekhkar usi din namaz-e-magrib ke bad Isha se pehle chaar (4) rakat namaz padhe.

Har raqat mein Surah Fatiha ke bad gyarah (11) baar Surah Ikhlas padhe aur namaz khatam hone ke bad ek hazar (1000) bar ye durood shareef padhe to Insha ALLAH gunah bakhshe jayenge. Zarur Dekhiye→ Do Sajdon Ke Beech Ki Dua

ALLAH Ta’ala ne chaha to khwab mein Huzoor Purnoor SallALLAHu ‘Alayhe Wasallam ki ziyarat naseeb hogi.

Durood paak ye hai:

“ALLAHumma Salli ‘Ala Mu’hammadin Abdik.”

Ek riwayat mein ye durood pak aya hai:

“ALLAHumma Salli ‘Ala Mu’hammadin Nabiiyyil Ummiyi Wa Habeebi-Kan-Nabiyil Ummiyi Wa Barik Wa-Sallim.”

[Tufaye Muhammadi mein Hazrat Mashaikh se manqool hai ki is roz niflon ke bad jo dua mangi jaye, qubool hogi, Insha ALLAH]

ALLAH Ta’ala ka banaya har din har mahina barkat aur rehmat wala hai.

Beshaq ALLAH ke ijazat ke bina koi bhi pareshani nahi aati isliye hum safar ke mahine ko manhoos ya nahusat wala nahi samajhte hain.

Han hum amaal karenge kyun ke kuch mahine bohot afzal aur barkaton wale hote hain jaise ke Ramzan par koi bhi mahina nahoosat wala nahi, aisa samajhna gunah hai. ALLAH hume Ilm de hidayet de Ameen.

तेरह तेजी क्यों मनाते हैं?

आख़िर हम लोग तेरह तेजी क्यों मनाते हैं? सफ़र के महीने की तेरा (13) तारीख़ को हर साल तेरह तेजी मनाई जाती है। जिससे जुड़ी तमाम तफ़सील आप यहाँ पढ़ेगे।

तेरह तेजी क्यों मनाते हैं?

हमारे नबी पाक मुहम्मद मुसतफ़ा ﷺ के दौर में कुफ्फार (काफ़िर) का ये अक़ीदा था के सफ़र का महीना मनहूस होता है। और सफ़र के महीने में बलाएं नाज़िल होती हैं। सफ़र महीने के तेरा (13) तारीख़ जिसे ‘तेरा तेजी’ कहा जाता है। ज़रूर देखिए→ Doodh Peene Ki Dua

दौर-ए-जाहिलियत में कुफ्फार का यह अक़ीदा था के इस दिन ख़ास कर बलाएं नाज़िल होती हैं। और यह दिन ख़ास कर नहूसत का दिन है।

जबकि इस्लाम में इसकी कोई दलील नही है, हर महीना अल्लाह ने बनाया है। आज भी मुसलमान सफ़र के महीने को या ‘तेरा तेजी’ के दिन को मनहूस और नहूसत वाला मानते हैं।

कुछ लोग सफ़र के महीने को तेरा तेजी का चांद कहते हैं। ऐसा इसलिए क्योंकि उनकाअक़ीदा है सफ़र के महीने में तेरा (13) दिनों तक ज़्यादा नहूसत होती है।

वो इन तेरा (13) दिनों में ख़ास कर न शादी करते हैं और ना ही ख़तना करते हैं।

सफ़र के महीने के बारे में हदीस

तेरह तेजी क्यों मनाते हैं? इसके बारे में ग़लतफहमियां और हक़ीक़त हदीस में अल्लाह के हबीब मुहम्मद ﷺ ने फरमाया:

“छूत लग जाना, बद शगुनी या उल्लू का बोलना (यानी उल्लू के बोलने से कुछ बुरा होना) या सफ़र के महीने की नहूसत होना ये कोई चीज़ नही है। (यानी बेकार ख़यालात हैं)।”

[सहीह बुख़ारी #5757]

अबु ’हुरैरा रज़िअल्लाहु ’अनहा से रिवायत है नबी पाक मुहम्मद ﷺ ने फरमाया:

“ना कोई छूत है, ना हमा है, ना नहूसत है, ना सफ़र (कोई बीमारी या नहूसत वाला महीना है और न कोई इसकी किसी और महीने से तबदीली है)।”

[सहीह मुस्लिम #2220]

और हमने इस ज़माने में दौरे कुफ्फार के तरीक़ो को अपने नबी की बातों से ज़्यादा अहमियत दी हुई है। जबकि ऐसा सोचना ग़लत है।

बाज़ जगह तेरहवीं तारीख़ (13) गेहूं या चने वग़ैरह तक़सीम किए जाते हैं ताकि इसकी नहूसत से हिफ़ाज़त रहे।

ये अक़ीदा गुनाह का मुजीब (कुबूलियत) है। ज़रूर देखिए→ दावत खाने की दुआ

हम मुसलमान का ये फ़र्ज़ है की हम इस्लाम की रोशनी में चीज़ों की हक़ीक़त ढूढ़े। और उसी बात पर अमल करे क्योंकि यही कामयाबी का रास्ता है।

इल्म ही वो चीज़ है जो इंसान को गुनाह के अंधेरे रास्ते से निकाल कर सही रास्ते पे ले आता है। हम अपने बच्चों की शादी इस महीने में करने से कतराते हैं इसे मनहूस और नहूसत वाला महीना मानते हैं।

माहे सफ़र के अ’अमाल वा फ़ज़ाएल

आलम यहां तक है के लोग सफ़र के महीने को तेरा तेजी का महीना तक कहते हैं। इस महीने में तेरा तेजी मनाने के बजाए अगर नीचे दी गई इबादत करें तो सवाब का ज़रिया बनेगा।

सफ़र के माह (महीने) के अमल किसी हदीस से तो साबित नही है। लेकिन सवाब कमाने की वजह ज़रूर बन सकता है।

हर मुसलमान को चाहिए के शब-ए-अव्वल और रोज़-ए-अव्वल माहे सफ़र में चार (4) रकत पढ़े।

  1. पहली रकअत में सुरह काफीरून पन्द्रह (15) बार, दूसरी (2) रकत में सुरह इख़लास पंद्रह (15) बार पढ़े।
  2. तीसरी (3) रकअत में सुरह फलक़ पंद्रह (15) बार पढ़े, और चौथी (4) रकअत में सुरह नास पंद्रह (15) बार पढ़े।
  3. फिर नमाज़ ख़त्म होने के बाद ये दुआ सत्तर (70) बार पढ़े तो अल्लाह उसे हर बला से हिफाज़त रखेगा।

दुआ:

“सुब्’हानिल-लाही वल ’हम्दुलिल्लाही वा-ला इलाहा इल्लल-लाहु वल-लाहु अकबर।”

सफ़र के महीने का अमल #2

अगर कोई सफर की पहली तारीख़ (1) को ग़ुस्ल करके चाशत के वक़्त दो (2) रकअत निफ्ल पढ़े।

हर रकत में सुरह फातिहा के बाद ग्यारह मरतबा (11) सूरह इख़लास पढ़े और सलाम फेर कर ये दुआ सत्तर (70) मरतबा पढ़े तो अल्लाह उसकी हिफाज़त करेगा इंशा अल्लाह। ज़रूर देखिए→ हिसार बनाने का तरीक़ा

दुआ:

“अल्लाहुम्मा सल्ली ’अला मु’हम्मदिन नब्बीयिल उम्मियी वा ’अला आलिही अस’हाबिही वा बारिक वसल्लिम।”

सफ़र के महीने के अमल #3

‘तुफाए यमनी’ में है की माहे सफ़र का चांद देखकर उसी दिन मग़रिब की नमाज़ के बाद ईशा से पहले चार (4) रकत नमाज़ पढ़े।

हर रकत में सुरह फातिहा के बाद ग्यारह (11)मरतबा सुरह इख़लास पढ़े और नमाज़ खत्म होने के बाद एक हज़ार मरतबा ये दुरुद शरीफ़ पढ़े तो इंशा अल्लाह गुनाह बख़्शे जायेंगे।

अल्लाह तआ’ला ने चाहा तो ख़्वाब में हुज़ूर पुरनूर ﷺ की ज़ियारत नसीब होगी।

दुरूद पाक यह है:

“अल्लाहुम्मा सल्लि ’अला मु’हम्मदिन अब्दिक।”

एक रिवायत में ये दुरुद पाक आया है:

“अल्लाहुम्मा सल्लि ’अला मु’हम्मदिन नब्बीयिल उम्मियी वा ’हबीबी कन नब्बीयिल उम्मियी वा बारिक वसल्लिम।”

[तुफाए यमनी में हज़रत मशैख से मनकूल है की इस रोज़ निफलों के बाद जो दुआ मांगी जाए क़ुबूल होगी इंशा अल्लाह]

अल्लाह तआ’ला का बनाया हर दिन हर महीने बरकत और रहमत वाला है।

बेशक उसके इजाज़त के बिना कोई भी परेशानी नही आती इसलिए हम सफ़र के महीने को मनहूस या नहूसत वाला नही मानते।

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

6 Comments

  1. As salam o aliekum Bhai…..i am girl ..nd me unmarried hu…..Mera rishta nahi ho raha hai……Maine 7 mubin Surah yasin padna bhi start kiya hai …alhamdulillah ham 5 waqt namaji hai…tahjjud bhi pabandi se padte hai…..But last 15 20 days se ham har second aayat e karima padte jaa rahe hai …Khud ba khud zuban per aa raha hai…..rat me nind se bhi jagte hai to zuban per yahi aayat rahti hai …..Aap please bata sakte hai aisa kyu ho raha hai……Hame sukun to milta hai ….per hame janna hai iski fazilat kya hai …or yeh aayat ham itna kyu pad rahe hai?

  2. Sir please pasand ki shadi ka wazifa bta den larke wale razi larka bi razi mere bhai r papa man jayen please bta den wazifa

  3. 4 Rakat Isha se pahle nifl ke hisaab se niyat karna hoga?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *