Tahajjud Ki Namaz Padhne Ka Tarika

Yahan ap Tahajjud Ki Namaz Padhne Ka Tarika tafseel ke sath parhenge. Isko lekar kayi ghalat-fehmiyan bhi hain. Kya bina soye Tahajjud ki namaz hoti hai? Tahajjud ki namaz ka sahi waqt kaunsa hai?

Tahajjud Ki Namaz Padhne Ka Tarika (Durust)

तहज्जुद की नमाज़ पढ़ने का पूरा और दुरुस्त तरीक़ा

Ye post parhne ke bad apko tahajjud ki namaz ke bare mein sabkuch sahi-sahi aur sunnat tariqe se ilm ho jayega.

Tahajjud ki namaz ki niyyat kaisi ki jati hai? Aur kitne rakat padhna sunnat se sabit hai. Tahajjud ki namaz mein kaunsi suratein (surah) padhi jati hain.

Tahajjud ki namaz jo ki ek badi fazeelat wali namaz hai. Iske zariye ALLAH Jalla Shanahu ko manakar ek shakhs apni hajat pe ‘Kun’ kehalwa sakta hai.

ALLAH Rabbul ‘Alameen bas ek bande ki dua pe ‘Kun’ keh de. To uski dua qubool ho jati hai. Aur chahe kitni hi badi pareshani ya mushkil ho. Wo pal bhar mein khatm ho jati hai. Zarur dekhiye→ Tahajjud Ki Namaz Ka Tariqa English Mein

Aage ham ‘Tahajjud’ ke bare mein tamam baaton ki tafseelat Hadees-e-Mubarak ke roshni mein janenge.

Tahajjud Ke Fazilat Ka Zikr Hadees Me

Hazrat Abu ‘Huraira RadiALLaHu ‘Anhu se riwayat hai:

RasoolALLAH Mu’hammad Mustafa ﷺ ne farmaya:

“Humara parwardigar buland barkat wala hai. Har raat ko us waqt asman-e-duniya par aata hai, jab raat ka akhri tihayi hissa reh jata hai, wo kehta hai.

Hai koyi mujhse dua mangne wala? Ki main uski dua qubool karoon. Hai koyi mujhse mangne wala? Ki main use ata karoon. Hai koyi mujhse bakhsish talab karne wala? Ki main usko bakhsh doon?”

[Sahih Al-Bukhari Hadees #1145]

SubhanALLAH, ALLAH Jalla Shanahu apne bando par bada meharban hai. Raat ke akhri pehar humara Rabb apne bando ke liye intezar karta hai. Ki koyi kuchh mange to use ata kar doon, koyi bakhsish mange to use bakhsh doon. Zarur dekhiye→ Bazar Me Jane Ki Dua

Tahajjud ada karke mangi gayi dua ALLAH Ta’ala rad nahi karta. Ek shakhs ki hajat poori ho kar hi rehti hai. Agar wo is waqt hath uthakar ALLAH se mang le. Alhumdulillah.

Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ne farmaya:

Farz namaz ke bad sabse afzal namaz, Tahajjud ki namaz hai.

[Saheeh Muslim Hadees #1163]

Tahajjud Ki Namaz 1 Nifli Namaz Hai

Yeh Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ki sunnat hai. Aur iski fazeelatein zyada isliye hai. Kyon ki raat ke akhri pehar mein Tahajjud ki namaz padhi jati hai. Zarur dekhiye→ Sadaqah Ki Dua

Jab ALLAH Ta’ala asman-e-duniya par aate hain. Insan apni neend aur bistar ko chhorkar ALLAH ki ibadat ke liye khada hota hai. Isliye is namaz ki barkatein aur fazeelat bahut zyada hai. Aur Tahajjud mein mangi gayi dua radd nahi hoti.

Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ jab Tahajjud ke liye uthte to, siwak se munh saaf kiya karte the.

[Sahih Al-Bukhari Hadees #1136]

Agar koyi shakhs Tahajjud ki namaz ada karne ke liye uthe. Aur siwak karke Tahajjud ada kare to use bepanah ajr-o-sawab hasil hoga. Siwak karke ada ki gayi namaz ka sawab badh jata hai. Aur iske sath-sath ek shakhs ko Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ki sunnat pe chalne ka ajr (sawab) bhi milega.

Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ Ki Hadith Jisme Unke Tahajjud Ki Namaz Padhne Ke Tariqe Ke Bare Mein Riwayatein Hain

Hazrat ‘Aisha RadiALLAHu ‘Anha se riwayat hai:

Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ raat ko terah (13) rakatein padhte the. Witr aur fajr ki do (2) sunnat rakatein isi mein hotin.

[Sahih Al-Bukhari Hadees #1140]

Is Hadees se yeh pata chalta hai ki Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ Tahajjud mein aath (8) rakat padha karte the.

Hazrat ‘Aisha RadiALLAHu ‘Anha se riwayat hai:

Hazrat ‘Aisha RadiALLAHu ‘Anha se Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ke raat ki ibadat ke bare mein puchha gaya.

Unhone farmaya; “Nabi-e-kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ raat mein saat (7) ya nau (9) ya phir gyarah (11) rakatein padha karte the. Fajr ki do (2) sunnatein chhorkar.”

[Sahih Al-Bukhari Hadees #1139]

Is Hadees ke mutabiq Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ kabhi ‘Tahajjud’ mein chaar (4) rakatein padha karte the. Kabhi chhah (6) aur kabhi aath (8) rakat. Zarur dekhiye→ Isale Sawab Ka Tariqa Aur Fazilat

Agar in tamam rakaton mein teen (3) rakat witr joda jaye to Hadees ke alfaz ke mutabiq humein 7, 9, 11 rakaton ki baat samajh aa jayegi. Jo Amma ‘Aisha RadiALLAHu ‘Anha ne riwayat farmaya hai.

Tahajjud Ki Namaz Padhne Ka Tarika

Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ne farmaya:

Agar koyi shakhs rat ko neend se bedar hokar (uth) kar yeh dua padhe:

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ،

وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ‏.‏

الْحَمْدُ لِلَّهِ، وَسُبْحَانَ اللَّهِ، وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، وَاللَّهُ أَكْبَرُ،

وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ‏

Aur dua kare, to uski dua qubool hogi. Aur agar wuzu karke namaz ada kare to uski namaz qubool hogi.

[Sahih Al-Bukhari Hadees #1154]

Agar koyi shakhs raat ko Tahhajjud ada karne ke liye uthe to yeh dua padh kar dua kar sakta hai. Choonke Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ne is dua ki barkat batayi hai. To is dua ki barkat se zaroor hi us shakhs ki dua qubool hogi Insha ALLAH.

Tahajjud Ki Namaz Ki Fazeelat Ka Zikr Jo Fuqaha Ke Imam Ne Batlaya Hai

Ek dafa ek shakhs ne Imam Hasan Al-Basri se puchha, ki Tahajjud ki namaz ada karne walon ke chehre doosre logo ki muqable zyada noorani kyon hote hai?

Aapne farmaya: “jab ek shakhs raat ke andhere aur tanhayi mein apne Rabb ki ibadat karta hai. To ALLAH Rabbul ‘Izzat use apne noor se us bande ko ek noor ka libas ata kar deta hai. Isliye Tahajjud ki namaz padhne walo ko chehre zyada noorani hote hain.”

[Al-Muraqaba Wal-Muhasabah]

ALLAH Ta’ala Quran mein irshad farmate hain:

تَتَجَافٰى جُنُوۡبُهُمۡ عَنِ الۡمَضَاجِعِ يَدۡعُوۡنَ رَبَّهُمۡ خَوۡفًا وَّطَمَعًا وَّمِمَّا رَزَقۡنٰهُمۡ يُنۡفِقُوۡنَ‏ فَلَا تَعۡلَمُ نَفۡسٌ مَّاۤ اُخۡفِىَ لَهُمۡ مِّنۡ قُرَّةِ اَعۡيُنٍ ۚ جَزَآءًۢ بِمَا كَانُوۡا يَعۡمَلُوۡنَ‏

Tatajafaa Junoobuhum ‘Anil Madaji’i Yad’oona Rabbahum Khaufanw Wa-Tama’anw Wa-Mimma Razaknahum Yunfeekoon.

Fala Ta’lamu Nafsum Maa Ukhfiya Lahum Man Qurrati A’yunin Jaza-ām Bima Kaanoo Ya’maloon.

Unke Pehlu Bichhaune Se Alag Rehte Hain Aur Woh Apne Parwardigar Ko Khauf Aur Ummeed Se Pukarte Hain Aur Jo Maal Humne Unko Diya Usme Se Kharch Karte Hain.

To Kisi Jee Ko Nahi Maloom Jo Aankh Ki Thandak Unke Liye Chhipa Rakhi Hai Silah Unke Kaamon Ka.

[Surah Sajdah | Ayat #16-17]

Is ayat ke tafseer ke mutabiq jo banda, raat ko apne araam dah bistar aur neend ko chhorkar ALLAH ki ibadat karta hai. ALLAH ne uske liye woh inaam rakha hai jo khwabon khayalon se pare hai. Zarur dekhiye→ Musafir Ki Dua

Tahajjud ki ibadat ka ajar-o-sawab ek shakhs ko Akhirat ke roz milega, jaisa ke ALLAH Subhanahu Wa Ta’ala ne Quran-e-kareem mein irshad farmaya hai. Aur Tahajjud ke kayi duniyawi fawaid (fayedah) bhi hain.

Tahajjud Ki Namaz Ki Niyyat Karne Ka Tareeqa

Tahajjud ki namaz ek nafil namaz hai. Par Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ki sunnat hai. Iski niyyat is tareeqe se ki jati hai.

Niyyat karta/karti hoon main do (2) rakat nafil Salat-ul-Tahajjud ki sunnate Rasool paak ki waste ALLAH Ta’ala ke rukh mera Ka’ba Shareef ke tarf ALLAHu Akbar.

Tahajjud Mein Kaunsi Suratein Padhni Chahiye?

Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ Tahajjud ki namaz mein badi surah padha karte the. Magar hum aajke daur mein itni badi suratein yad nahi kar pate.

To ek shakhs koyi si bhi surat (surah) padh sakta hai. Jaise ki surah Qadr ya surah Feel. Aur jo ek shakhs ko asan lage.

Tahajjud ki Namaz Mein Kitne Rakatein Padhna Zyadah Afzal Hai?

Tahajjud nifl namaz hai. Aur kam se kam do (2) rakat aur zyada se zyada aath (8) rakat padhi ja sakti hai. Har do (2) rakat ke baad salam pheri jayegi. Is tareeqe se agar koyi shakhs aath (8) rakat Namaz-e-Tahajjud ada karta hai. To chaar (4) salam pheri jayegi.

Kya Tahajjud Ki Namaz Ke Liye Sona Zaroori Hai?

Yeh ek bada hi aam sawal hai. Jo aksar hi log puchhte hain. Tahajjud ka asal waqt dar’asal raat ka ek tihayi hissa hai. Isliye sabse afzal hai ki, ek shakhs Isha ke bad so jaye aur adhi raat ko uthkar Tahajjud ki namaz ada kare.

Aisa karne se bahut zyada ajar-o-sawab milega aur dua ki qubooliyat ke zyada imkanaat (chances) hain.

Lekin agar koyi shakhs raat neend se bedar (jaga) hai use neend nahi aa rahi hai. To wo chahe to bina soye Tahajjud ada kar sakta hai. Lekin ise humesha ki adat nahi banani chahiye. Zarur dekhiye→ Khana Khane Ki Dua

Tahajjud ki fazeelat aur barkatein hasil karne ke liye raat ke ek tihayi hisse mein Ibadat karna zaroori hai.

Tahajjud Ka Waqt Kab Hota Hai?

Aam taur par log yahi sawal karte hai ke tahajjud ki namaz ka time kya hai?

Tahajjud ka waqt Isha ke bad se shuru hokar subah sadiq tak rehta hai. Lekin Tahajjud ki Namaz raat ke ek tihayi hisse mein ada karna sabse afzal hai. Aur sunnat hai.

Isha ke baad Tahajjud ki namaz ada ki ja sakti hai. Magar iska zyada ajr-o-sawab nahi milega. Aur ise adat mein shumar kar lena bhi sahi nahi. Koshish karni chahiye ke ek shakhs Isha ke bad so jaye. Zarur dekhiye→ Safar Ki Dua in Hindi Urdu Arabic English-Images

Uske bad uthkar Tahajjud ki namaz ada kare. Isha ke bad Tahajjud ki namaz ada karne ka mamool na banaye. Han andesha ho ke Tahajjud mein aakh nahi khulegi to Isha ke bad Tahajjud ki namaz ada kar le. Par ise rozana ka mamool na banayein.

Ek shakhs ne Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ se puchha, “ya RasoolALLAH Mu’hammad ﷺ raat ki namaz kis tarah padhi jaye?”

Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ne farmaya:

“do-do rakat karke is tarah padhe aur jab tul’u subah hone ka andeshah ho to ek rakat witr padhke apni namaz ko taaq bana le.”

[Sahih Al-Bukhari Hadees #1137]

Yani ke agar koyi shakhs fajr se kuchh der pehle uthe aur andesha ho ki fajr ho jayegi. To is halaat mein woh do (2) rakat Tahhajjud ki namaz ada kar sakta hai. Aur dua mang sakta hai. Uske bad fajr ada kar le.

Tahajjud ki namaz ada karne walo ko ALLAH mohabbat karta hai. Unki duayein qubool farmata hai. Aise bandon ke liye ALLAH ne Akhirat mein bada inaam rakha hai. Jo raaton ko uthkar ALLAH ki ibadat kiya karte hain.

Tahajjud Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ki sunnat bhi huyi aur agar koyi shakhs upar diye gaye tareeqe se Tahajjud ada karega.

To use beshumar rehmat aur barkatein hasil hongi. Us shakhs ki hajatein poori hongi. Aur ALLAH use apne noor se noor ata karenge. Bakhsish mangi jaye to ALLAH bakhsish karega. Uski tamam jayez dua qubool hongi.

Kya Tahajjud Ke Liye Sona Zaruri Hai?

Kuchh log kehte hain, Tahajjud ke namaz ke liye sona shart hai. Chahe koi panch (5) minute hi soye. Logon ki ye soch ghalat hai. Han, neend todkar adhi raat ko ibadat karna sabse afzal (behtareen) hai. Aur yehi Tahajjud ka durust (sahi) waqt hai.

Agar kisi ko neend nahi aa rahi. To is halat mein woh bina soye Tahajjud padh le. To uski namaz qubool hogi aur use ajr-o-sawab milega, Insha ALLAH. Zarur dekhiye→ Bismillah Hirrahman Nirrahim Kya Hai?

ALLAH hume namaz qayem karne walo mein shamil karle. Aur hume Tahajjud ke waqt uske samne khade hone ki taufeeq ata farmaye. Humein hidayet de Ameen ya Rabbul ‘Alameen.

Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.

तहज्जुद की नमाज़ पढ़ने का तरीक़ा हिंदी में

तहज्जुद की नमाज़ जो की एक नफ़िल नमाज़ है। इसको लेकर कई ग़लत-फ़हमियां भी हैं। क्या बिना सोए तहज्जुद की नमाज़ होती है? तहज्जुद की नमाज़ का सही वक़्त कौनसा है।

तहज्जुद की नमाज़ की निय्यत कैसे की जाती है? और कितने रक’अत पढ़ना सुन्नत से साबित है। तहज्जुद की नमाज़ में कौनसी सुरतें (सूरह) पढ़ी जाती हैं।

तहज्जुद की नमाज़ जो की एक बड़ी फ़जीलत वाली नमाज़ है। इसके ज़रिए अल्लाह जल्ला शानहु को मनाकर एक शख़्स अपनी हाजत पर ‘कुन’ कहलवा सकता है।

अल्लाह रब्बुल ’आलमीन बस एक बंदे की दुआ पर ‘कुन’ कह दे। तो उसकी दुआ क़ुबूल हो जाती है। और चाहे की कितनी ही बड़ी परेशानी या मुश्किल हो। वो पल भर में ख़त्म हो जाती है। ज़रूर देखिए→ या ज़ल जलाली वल इकराम

इस पोस्ट में हम ‘तहज्जुद’ की नमाज़ का तरीक़ा पढ़ेगे। तहज्जुद में कितनी रक’अत नमाज़ पढ़नी चाहिए। तहज्जुद की नमाज़ किस पहर में पढ़ना सबसे अफ़ज़ल है। इन तमाम बातों की तफ़सीलात हदीस-ए-मुबारक के रोशनी में जानेंगे।

नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफा़ ﷺ की हदीस-ए-मुबारक जिसमें तहज्जुद की फ़जीलत का ज़िक्र है

हज़रत अबु ’हुरैरा रज़ीअल्लाहु ’अनहा से रिवायत है:

रसूलअल्लाह मु’हम्मद मुस्तफा ﷺ ने फ़रमाया:

“हमारा परवरदिगार बुलंद बरकत वाला है। हर रात को उस वक़्त आसमान-ए-दुनिया पर आता है, जब रात का आख़री तिहाई हिस्सा रह जाता है, वो कहता है।

है कोई मुझसे दुआ मांगने वाला? की में उसकी दुआ क़ुबूल करूं। है कोई मुझसे मांगने वाला? की में उसे अता करूं। है कोई मुझसे बख़्शीश तलब करने वाला? की में उसको बख़्श दूं?”

[सहीह अल-बुख़ारी हदीस #1145]

सुब्हान अल्लाह, अल्लाह जल्ला शानहु अपने बंदों पर बड़ा मेहरबान है। रात के आख़री पहर हमारा रब अपने बंदों के लिए इंतेज़ार करता है। की कोई कुछ मांगे तो उसे अता कर दूं, कोई बख़्शीश मांगे तो उसे बख़्श दूं।

तहज्जुद अदा करके मांगी गई दुआ अल्लाह ताआ’ला रद नही करता। एक शख़्स की हाजत पूरी होकर ही रहती है। अगर वह इस वक़्त हाथ उठाकर अल्लाह से मांग ले। अल्’हम्दुलिल्लाह।

नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ ने फ़रमाया:

फ़र्ज़ नमाज़ के बाद सबसे अफ़ज़ल नमाज़, तहज्जुद की नमाज़ है।

[मुस्लिम हदीस #1163]

तहज्जुद की नमाज़ एक निफ़्ल नमाज़ है। यह नबी पाक की सुन्नत है। और इसकी फ़जीलतें ज़्यादा इसलिए है। क्योंकि रात के आख़री पहर में तहज्जुद की नमाज़ पढ़ी जाती है। ज़रूर देखिए→ पानी पीने से पहले और बाद की दुआ

जब अल्लाह ताआ’ला आसमान-ए-दुनिया पर आते हैं। इंसान अपनी नींद और बिस्तर को छोड़कर अल्लाह की इबादत के लिए खड़ा होता है। इसलिए इस नमाज़ की बरकतें और फ़जीलत बहुत ज़्यादा है। और तहज्जुद में मांगी गई दुआ रद नही होती।

नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ जब तहज्जुद के लिए उठते तो, सिवाक से मुंह साफ़ किया करते थे।

[सहीह अल-बुख़ारी हदीस #1136]

अगर कोई शख़्स तहज्जुद की नमाज़ अदा करने के लिए उठे। और सिवाक करके तहज्जुद की नमाज़ अदा करे तो उसे बेपनाह अजर-ओ-सवाब हासिल होगा। सिवाक करके अदा की गई नमाज़ का सवाब बढ़ जाता है। और उसके साथ-साथ एक शख़्स को नबी-ए-करीम मु’हम्मद ﷺ की सुन्नत पर चलने का अजर (सवाब) भी मिलेगा।

नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ की हदीस जिसमे उनके तहज्जुद की नमाज़ पढ़ने के तरीक़े के बारे में रिवायतें हैं

हज़रत ’आएशा रज़िअल्लाहु ’अनहा से रिवायत है:

नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ रात को तेरह (13) रकअतें पढ़ते थे। वित्र और फज़्र की दो (2) सुन्नत रक’अतें इसी में होतीं।

[सहीह अल-बुख़ारी हदीस #1140]

इस हदीस से यह पता चलता है की नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ तहज्जुद में आठ (8) रक’अत पढ़ा करते थे।

हज़रत ’आएशा रज़िअल्लाहु ’अनहा से रिवायत है:

हज़रत ’आएशा रज़िअल्लाहु ’अनहा से नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ के रात की इबादत के बारे में पूछा गया।

उन्होंने फ़रमाया: “नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ रात में सात (7) या नौ (9) या फिर ग्यारह (11) रक’अतें पढ़ा करते थे। फ़ज्र की दो (2) सुन्नतें छोड़कर।”

[सहीह अल-बुख़ारी हदीस #1139]

इस हदीस के मुताबिक़ नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ कभी तहज्जुद में चार (4) रक’अत पढ़ा करते थे। कभी छह (6) और कभी आठ (8) रक’अत।

अगर इन तमाम रक’अतों में तीन (3) वित्र जोड़ा जाए तो हदीस के अल्फ़ाज़ के मुताबिक़ हमें 7, 9, 11 रक’अतों की बात समझ आ जायेगी। जो अम्मा ’आएशा रज़ि अल्लाहु ’अनहा ने रिवायत फ़रमाया है।

नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ ने फ़रमाया:

अगर कोई शख़्स रात को नींद से बेदार होकर (उठ) कर यह दुआ पढ़े:

Tahajjud Ki Namaz Padhne Ka Tarika

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ،

لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ‏.‏

الْحَمْدُ لِلَّهِ، وَسُبْحَانَ اللَّهِ، وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ،

وَاللَّهُ أَكْبَرُ، وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ

और दुआ करे, तो उसकी दुआ क़ुबूल होगी। और अगर वुज़ू करके नमाज़ अदा करे तो उसकी नमाज़ कुबूल होगी।

[सहीह अल-बुख़ारी हदीस #1154]

अगर कोई शख़्स रात को तहज्जुद अदा करने के लिए उठे तो यह दुआ पढ़ कर दुआ कर सकता है। चूंकि नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ ने इस दुआ की बरकत बताई है। तो इस दुआ की बरकत से ज़रूर ही उस शख़्स की दुआ क़ुबूल होगी इंशा अल्लाह।

तहज्जुद की नमाज़ की फ़ज़ीलत जो फ़ुक़ह के इमाम ने बतलाया है

एक दफ़ह एक शख़्स ने इमाम हसन अल-बसरी से पूछा, की तहज्जुद की नमाज़ अदा करने वालों के चेहरे दूसरे लोगो के मुक़ाबले ज़्यादा नूरानी क्यों होते हैं?

आपने फ़रमाया: “जब एक शख़्स रात के अंधेरे और तन्हाई में अपने रब की इबादत करता है। तो अल्लाह रब्बुल ’इज़्ज़त उसे अपने नूर से उस बंदे को एक नूर का लिबास अता कर देता है। इसलिए तहज्जुद पढ़ने वालों के चेहरे ज़्यादा नूरानी होते हैं।”

[अल-मुराक़बा वल-मुहासबाह]

अल्लाह तआ’ला क़ुरान पाक में इरशाद फ़रमाते हैं:

تَتَجَافٰى جُنُوۡبُهُمۡ عَنِ الۡمَضَاجِعِ يَدۡعُوۡنَ رَبَّهُمۡ خَوۡفًا وَّطَمَعًا وَّمِمَّا رَزَقۡنٰهُمۡ يُنۡفِقُوۡنَ‏ فَلَا تَعۡلَمُ نَفۡسٌ مَّاۤ اُخۡفِىَ لَهُمۡ مِّنۡ قُرَّةِ اَعۡيُنٍ ۚ جَزَآءًۢ بِمَا كَانُوۡا يَعۡمَلُوۡنَ‏

उनके पहलू बिछौने से अलग रहते हैं और वो अपने परवरदिगार को ख़ौफ़ और उम्मीद से पुकारते हैं और जो माल हमने उनको दिया उसमे से ख़र्च करते हैं।

तो किसी जी को नही मालूम जो आंख की ठंडक उनके लिए छिपा रखी है सिलाह उनके कामों का।

[सूरह सजदह | आयत #16-17]

इस आयत के तफ़सीर के मुताबिक़ जो बंदा, रात को अपने आराम दाह बिस्तर और नींद को छोड़कर अल्लाह की इबादत करता है। अल्लाह ने उसके लिए वो इनाम रखा है जो उसके ख़्वाबों ख़्यालों से भी परे है। ज़रूर देखिए→ मय्यत की मग़फिरत की दुआ

तहज्जुद की इबादत का अजर-ओ-सवाब एक शख़्स को आख़िरत के रोज़ मिलेगा, जैसा के अल्लाह सुब’हानहू वा ताआ’ला ने क़ुरान-ए-करीम में इरशाद फ़रमाया है। और तहज्जुद के कई दुनियावी फ़वाइद (फ़ायदे) भी है।

तहज्जुद की नमाज़ की निय्यत करने का तरीक़ा

तहज्जुद की नमाज़ एक निफ़्ल नमाज़ है। पर नबी-ए-पाक की सुन्नत है। इसकी निय्यत इस तरीक़े से की जाती है।

निय्यत करता/करती हूं मैं दो (2) रक’अत निफ़्ल सलातुल-उल-तहज्जुद की सुन्नत-ए-रसूल-ए-पाक की वास्ते अल्लाह ताआ’ला के रुख़ मेरा का’आबा शरीफ के तरफ़ अल्लाहु अकबर।

तहज्जुद में कौनसी सुरतें (सूरह) पढ़नी चाहिए?

नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ तहज्जुद की नमाज़ में बड़ी सूरह पढ़ा करते थे। मगर हम आज के दौर में इतनी बड़ी सूरह याद नही कर पाते।

तो एक शख़्स कोई सी भी सूरत (सूरह) पढ़ सकता है। जैस की सूरह क़द्र या सूरह फ़ील। और जो एक शख़्स को आसान लगे।

तहज्जुद की नमाज़ में कितने रक’अत पढ़ना ज़्यादा अफ़ज़ल है?

तहज्जुद निफ़्ल नमाज़ है। और कम से कम दो (2) रक’अत और ज़्यादा से ज़्यादा आठ (8) रक’अत पढ़ी जा सकती है। हर दो (2) रक’अत के बाद सलाम फेरी जायेगी। इस तरीक़े से अगर कोई शख़्स आठ (8) रक’अत नमाज़-ए-तहज्जुद अदा करता है। तो चार (4) सलाम फेरी जायेगी।

क्या तहज्जुद की नमाज़ के लिए सोना लाज़मी (ज़रूरी) है?

यह एक बड़ा ही आम सवाल है। जो अक्सर ही लोग पूछते हैं। तहज्जुद का वक़्त दर’असल रात का एक तिहाई हिस्सा है। इसलिए सबसे अफ़ज़ल है की, एक शख़्स ईशा के बाद सो जाए और आधी रात को उठकर तहज्जुद की नमाज़ अदा करे।

ऐसा करने से बहुत ज़्यादा अजर-ओ-सवाब मिलेगा और दुआ की क़ुबूलियत के ज़्यादा इमकानात (चांसेस) हैं।

लेकिन अगर कोई शख़्स रात नींद से बेदार (जगा) हुआ है। उसे नींद नहीं आ रही है। तो बिना सोए तहज्जुद की नमाज़ अदा कर सकता है। लेकिन इसे हमेशा की आदत नही बनानी चाहिए। ज़रूर देखिए→ वित्र के बाद की दुआ

तहज्जुद की फ़जीलत और बरकतें हासिल करने के लिए रात के एक तिहाई हिस्से में इबादत करना ज़रूरी है।

तहज्जुद का वक़्त कब शुरू होता है और कब ख़त्म होता है?

आम तौर पर लोग यही सवाल करते हैं की तहज्जुद की नमाज़ का वक़्त क्या है?

तहज्जुद का वक़्त ईशा के बाद से शुरू होकर सुबह सादिक़ तक रहता है। लेकिन तहज्जुद की नमाज़ रात के एक तिहाई हिस्से में अदा करना सबसे अफ़ज़ल है। और सुन्नत है।

ईशा के बाद तहज्जुद की नमाज़ अदा की जा सकती है। मगर इसका ज़्यादा अजर-ओ-सवाब नही मिलेगा। और इसे आदत में शुमार (शामिल) कर लेना भी सही नही। कोशिश करनी चाहिए की एक शख़्स ईशा के बाद सो जाए।

उसके बाद उठकर तहज्जुद की नमाज़ अदा करे। ईशा के बाद तहज्जुद की नमाज़ अदा करने का मामूल ना बनाए। हां अंदेशा हो की तहज्जुद में आंख नहीं खुलेगी तो ईशा के बाद तहज्जुद की नमाज़ अदा कर ले। पर इसे रोज़ाना का मामूल ना बनाएं।

एक शख़्स ने नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ से पूछा, “या रसूल अल्लाह मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ रात की नमाज़ किस तरह पढ़ी जाए?”

नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ ने फ़रमाया:

“दो-दो रक’अत करके इस तरह पढ़े और जब तुलु सुबह होने का अंदेशा हो तो एक रक’अत वित्र पढ़के अपनी नमाज़ को ताक़ बना ले।”

[सहीह अल-बुख़ारी हदीस #1137]

यानी के अगर कोई शख़्स फ़ज्र से कुछ देर पहले उठे और अंदेशा हो की फ़ज्र हो जायेगी। तो इस हालात में वह दो (2) रक’अत तहज्जुद की नमाज़ अदा कर सकता है। और दुआ मांग सकता है। उसके बाद फ़ज्र अदा कर ले।

तहज्जुद की नमाज़ अदा करने वालो को अल्लाह मुहब्बत करता है। उनकी दुआएं क़ुबूल फ़रमाता है। ऐसे बंदों के लिए अल्लाह ने आख़िरत में बड़ा इनाम रखा है। जो रातों को उठकर अल्लाह की इबादत किया करते हैं। ज़रूर देखिए→ शादी की मुबारक बाद की दुआ

तहज्जुद नबी-ए-करीम मु’हम्मद मुस्तफ़ा ﷺ की सुन्नत भी है। अगर कोई शख़्स ऊपर दिए गए तरीक़े से तहज्जुद अदा करेगा।

तो उसे बेशुमार रहमत और बरकतें हासिल होंगी। उस शख़्स की। हाजतें पूरी होंगी। और अल्लाह उसे अपने नूर से नूर अता करेंगे। बख़्शीश मांगी जाए तो अल्लाह बख़्शीश करेंगे। और उसकी तमाम जाएज़ दुआ क़ुबूल होंगी।

ग़ौरतलब:

कुछ लोग कहते है, तहज्जुद की नमाज़ के लिए सोना शर्त है। चाहे पांच (5) मिनट ही सोए एक शख़्स। यह ग़लत है। हां नींद तोड़कर आधी रात को इबादत करना सबसे अफ़ज़ल (बेहतरीन) है। और यही तहज्जुद का खरा (एक्जैक्ट) वक़्त है।

पर अगर किसी शख़्स को नींद नहीं आ रही है। तो इस हालात में वह बिना सोए तहज्जुद पढ़ ले। तो उसकी नमाज़ कुबूल होगी और उसे अजर-ओ-सवाब मिलेगा।

अल्लाह हमें नमाज़ क़ायम करने वालो में शामिल कर ले आमीन। और हम तहज्जुद के वक़्त उसके सामने खड़े होने की तौफ़ीक़ अता फ़रमाए आमीन। हमें हिदायत दे आमीन या रब्बुल ’आलमीन।

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

11 Comments on “Tahajjud Ki Namaz Padhne Ka Tarika”

  1. Mujhe aapke bahut se wazifa karni hai tho aap mujhe permission dijiye plz aur mujhe ear problem ke liye ek wazifa bataye

  2. Maine khwab me dekha k meri behen ki shadi ho rhi hai aur mehendi lg rhi hai n music wgra baj rhe hai

  3. Maine khwb dekha k badal k wjhse aasmn me bht andhera hua tha aur cyclone 🌪 kisi trh dikha aasmn me dikha tha

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *