Surah Kausar Ki Tafseer Aur Fazilat
Surah Kausar ya Surah Kawsar teen (3) ayaat par mushtamil Quran Pak ki chhoti tareen surah hai. Choonke is surah ka nuzool Makkah Shareef mein hua isliye ye Makki Surah ke taur par jaani jati hai. Surah Kausar ki tafseer bahut dilchasp hai kyunki isme ALLAH Ta’ala ne Hauz-e-Kausar (aage aap tafseelan janenge) ke bare mein tazkirah (zikr) farmaya hai. Ye bhi dekhiye→ Safar Ki Dua in Hindi Urdu Arabic English-Images
Kausar Kya Hoti Hai?
Kausar Ka Mafhoom/Matlab
Kausar ke maane hain ‘khair-e-kaseer’ yani be-panah bhalayi. Kausar jannat ki ek nahar ka naam bhi hai aur us nehar se nikalne wale hauz ko bhi kausar kahte hain.
Hauz ki sift ke bare mein hadees ki riwayaat mein ye bhi aaya hai ke isme do parnaale aasman se girenge jo nahar kausar ke pani se hauz ko bhar denge. Iske bartan aasman ke sitaaron jitne honge. Zarur parhiye→ Surah Nasr
Ahadees Saheeha mein Hauz-e-Kausar ke pani ki safayi aur shireeni aur iske kinaaron ka jawaahraat se bhara hone ke mutalliq aise khoobiyan hain ke is duniya mein unka beshqeemti cheezon par muqabla nahi kiya ja sakta.
Surah Kausar Ka Tarjuma
Para #30 | Surah #108 | Surah Kausar
اِنَّآ اَعْطَيْنَاكَ الْكَوْثَرَ
Inna A’atainaa-Kal Kawsara
इन्ना अ’अ-तयना कल कवसर
Beshak HAM ne Aapko kawsar ‘ata farmayi hai.
فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَرْ
Fasalli Lirabbika Wan-‘Har
फ़सल्ली ली रब्बिका वन’हर
Pas apne parwardigaar ke liye namaz parha karo aur qurbani diya karo.
اِنَّ شَانِئَكَ هُوَ الْاَبْتَرُ
Inna Shaani-Aka Huwal Abtaru
इन्ना शानि अ-क हुवल अब्तर
Beshak Aapka dushman hi be naam-o-nishan hai.
Surah Kausar Ka Hindi Mein Tarjuma
पारा #30 | सूरह #108 | सूरह कौसर
बेशक हमने आपको कवसर दी
पस अपने रब्ब के लिए नमाज़ पढ़े और क़ुर्बानी कीजिए
बेशक आप का दुश्मन ही बे नाम-ओ-निशान है
Surah Kausar Ki Tafseer
Ma’aaruf Wa Masail
Shan-e-Nuzool
Jis waqt Nabi Kareem ﷺ ke sahebzaade Qasim ya Ibraheem ka bachpan mein hi intiqaal ho gaya to kuffar makkah Aap ﷺ ko abtar kah kar taana dene lage. Aisa kahne walon mein ‘Aas bin Waayel ka naam khas taur par zikr kiya jata hai. Uske samne jab Rasool ALLAH ﷺ ka zikr kiya jata to kahta tha ke unki baat chhoro. Ye kuch fikr karne ki cheez nahi. Kyunki wo abtar (maqtoo-an-nasal) hain. Jab unka intiqaal ho jayega, unka koi naam lene wala bhi na rahega. Is par Surah Kausar nazil hui.
Rawah Al-Baghwi, Ibn Kaseer wa Mazhari
Aur baz riwaiyaat mein hai ke Ka’ab bin Ashraf yahoodi ek martaba Makkah Mukarma aaya to Quresh-e-Makkah uske pas gaye aur kaha ke aap us naujwaan ko nahi dekhte jo kahta hai ke wo ham sab se (deen ke aitbaar se) behtar hai. Halanke ham hajjaaj (haj karne walon) ki khidmat karne wale aur Baitullah ki hifazat karne wale aur logon ko pani pilane wale hain. Ka’ab ne ye sunkar kaha ke nahi tum log usse behtar ho, is par ye Surah Kausar nazil hui.
Zikrahu Ibn Kaseer ‘An al-bazzaar Ba-Asnaad Saheeh Wa-Qad rawah Muslim Qaalah mazhari
Khulaasa ye hai ke kuffaar-e-makkah jo Rasool ALLAH ﷺ ke pisri aulad (bete) na rahne ke sabab (wajah se) abtar hone ke taane dete the. Ya dusri wajooh (waja se ki jama) se Aap ﷺ ki shaan mein gustaakhi karte the. Unke javab mein Surah Kausar nazil hui hai. Jis mein unke taanon ka javab bhi hai ke sirf aulad-e-narina (bete) ke na rahne se Aap ﷺ ko maqtoo-an-nasal ya maqtoo-az-zikr kahne wale haqaayeq (sachchayi) se be khabar hain. Aap ﷺ ki nasal nasbi bhi insha ALLAH duniya mein taa qayamat baqi rahegi agarchah dukhtari (beti ki) aulad se ho. Aur nasal maanwi yani Aap ﷺ par imaan lane wale musalman jo dar haqeeqat Nabi ki aulad maanwi hote hain wo to is kasrat (zyadah) se honge ke pichhle tamam Anbiya Alayhimus Salam ki ummaton se bhi barh jayenge. Aur isme Rasool ALLAH ﷺ ka ALLAH ke nazdeek maqbool aur Mukarram-o-Muazzam hona bhi mazkoor (zikr kiya gaya) hai. Jisse Ka’ab bin Ashraf ke qaul ki tardeed (nafi) ho jati hai. Ye sab mazmoon surah ki teesri ayat mein hai.
Ye bhi dekhiye→ Dawat Khane Ki Dua
Surah Kausar Ki Ayat Number 1 Ki Tafseer
اِنَّآ اَعْطَيْنَاكَ الْكَوْثَرَ
Inna A’atainaa-Kal Kausara
Kausar Ek Khair-e-Kaseer (Be-Panah Bhalayi)
Imam Bukhari ne Hazrat Ibn ‘Abbas R.A. se iski tafseer mein riwayat kiya hai ke unho ne farmaya ke, “Kausar wo Khair-e-Kaseer hai jo ALLAH Ta’ala ne Aap ﷺ ko ata farmayi hai.”
Ibn ‘Abbas R.A. ke khas shaagird Sa’eed bin Jubair Ra’hmatullah ‘Alayh se kisi ne kaha ke baz log kahte hain ke Kausar jannat ki ek nehar ka naam hai. To Sa’eed bin Jubair Ra’hmatullah ‘Alayh ne javab diya ke (Ibn ‘Abbas R.A. ka qaul iske munaafi nahi balki) wo nehar-e-jannat jiska nam Kausar hai wo bhi is Khair-e-Kaseer mein dakhil hai. Isiliye Imam-e-Tafseer Mujahid ne kausar ki tafseer mein farmaya ke wo duniya aur aakhirat dono ki Khair-e-Kaseer hai. Isme jannat ki khas nehar kausar bhi dakhil hai.
Ye bhi dekhiye→ Aaina Dekhne Ki Dua When Looking into the Mirror
Hauz-e-Kausar Ka Tazkirah (Zikr)
Surah Kausar ki pahli ayat mein ALLAH Tabarak Wata ‘Ala ne Huzoor Nabi Kareem ﷺ ko Hauz-e-Kausar ata farmane ki khushkhabri sunayi hai.
Bukhari, Muslim, Abu Dawood, Nisaayi ne Hazrat Anas R.A. se riwayat kiya hai. Muslim mein bayan kiye gaye alfaz ka tarjuma ye hai:
“Ek roz jabke Rasool ALLAH ﷺ masjid mein hamare darmiyan the. Achanak Aap ﷺ par ek qism ki neend ya behoshi ki si kaifiyat taari hui. Phir hanste hue Aap ﷺ ne sar Mubarak uthaya.
Hamne puchha, ya Rasool ALLAH ﷺ! Aapke hansne ka sabab kya hai?
Tou farmaya ke Mujh par isi waqt ek Surat nazil hui hai. Phir Aap ﷺ ne bismillah ke sath Surah Kausar parhi. Phir farmaya, tum jante ho kausar kya cheez hai?
Hamne kaha, ALLAH wa Rasoolahu Aa’lam.
Aap ﷺ ne farmaya, ye ek nehar-e-jannat hai jiska Mere Rabb ne mujhse wada farmaya hai. Jisme khair kaseer hai. Aur wo hauz hai jispar meri ummat qayamat ke din pani peene ke liye aayegi. Iske pani peene ke bartan aasman ke sitaron ki taadad mein honge. Us waqt baz logon ko farishte hauz se hata denge to main kahunga ke mere Parwardigaar ye to meri ummat mein hai. ALLAH Ta’ala farmayega ke Aap nahi jante ke isne Aapke bad kya naya deen ikhtiyaar kiya hai.”
Is Hadees-e-Mubarika se is surah ka sabab-e-nuzool (nazil hone ko wajah) bhi malum hua aur lafz kausar ki sahee tafseer bhi. Yani khair kaseer, aur ye bhi ke is khair kaseer mein Hauz-e-Kausar bhi shamil hai jo qayamat mein Ummat-e-Mu’hammadiya ko sairaab (pani pilayegi) karegi. Neez is riwayat ne ye bhi wazeh kar diya hai ke asal nehar kausar jannat mein hai aur ye Hauz-e-Kausar maidan-e-hashr mein hogi. Isme do parnaalon (naaliyon) ke zariya nehar kausar ka pani dala jayega. Isme un riwaiyaat ki bhi tatbeeq (laagu) ho gayi jinse malum hota hai ke Hauz-e-Kausar par ummat ka darood dakhool (dakhila) jannat se pahle hoga, aur is Hadees mein jo baz logon ko Hauz-e-Kausar se hata dene ka zikr hai, wo log hain jo bad mein Islam se phir gaye ya pahle hi se musalman nahi the. Magar munaafiqaana (jhoota) izhaar-e-islam karte the. An-‘Hazrat ﷺ ke bad unka nafaaq (asliyat) khul gaya. wALLAHu A’alam.
Ye bhi dekhiye→ Namaz Se Pehle Takbeer
Siffaat-e-Hauz-e-Kausar (Hauz-e-Kausar Ki Khoobiyan)
Nehar-e-Jannat Se Girte Do Parnaale
Ibn Kaseer ne upar bayan ki gayi riwayat ko naqal karke mazid likha hai jiske alfaz ka tarjuma ye hai:
“Hauz ki sift mein riwaiyaat-e-hadees mein aaya hai ke isme do parnaale aasman se girenge jo nehar kausar ke pani se hauz ko bhar denge. Iske bartan aasman ke sitaaron ki taadad mein honge.”
Shahad Se Zyadah Meethi Aur Doodh Se Zyadah Safed Nehar
Ahadees Saheeha mein Hauz-e-Kausar ke pani ki safayi aur shireeni aur iske kinaaron ka jawaahraat se marassa (bhara) hone ke mutalliq aise ausaaf (khoobiyan) mazkoor hain ke duniya mein unka kisi cheez par qayaas (andaza) nahi kiya ja sakta.
Masnad ki aur Hadees mein hai ke Huzoor ﷺ ne is ayat ki tilawat karke farmaya ke, “Mujhe Kausar inayat ki gayi hai jo ek jaari (chalti) nehar hai lekin ghada nahi hai. Iske dono jaanib (taraf) moti ke khaime hain. Iski mitti khaalis mushk hai. Iske kankar bhi suchche moti hain.”
Aur riwayat mein hai ke, “Meraaj wali raat Aap ﷺ ne aasman par jannat mein is nehar ko dekha aur Jibreel A.H. se puchha ke ye konsi nehar hai. Tou Hazrat Jibreel A.H. ne farmaya ke ye Kausar hai jo ALLAH Ta’ala ne Aapko de rakhi hai.”
Aur is qism ki bahut si hadeesein hain.
Ek aur Hadees mein hai ke, “Iska pani doodh se zyadah safed hai aur shahad se zyadah meetha hai. Jiske kinaare daraaz (lambi) gardan wale parinde baithe hue hain. Hazrat Siddeeq R.A. ne sunkar farmaya, wo parinde to bahut hi khoobsurat honge. Aap ﷺ ne farmaya, khane mein bhi wo bahut lazeez (mazedaar) hain.”
Ye bhi dekhiye→ Doodh Peene Ki Dua
Surah Kausar Ki Ayat Number 2 Ki Tafseer
فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَرْ
Fasalli Lirabbika Wan-‘Har
An-‘har, nahar se mushtaq, oont ki qurbani ko nahar kaha jata hai jiska masnoon tareeqa uska poan bandh kar hulqoom (galaa) mein nezah ya chhuri maar kar khoon baha dena hai. Jaisa ke gaye, bakri waghairah ka zibah karne ka tareeqa hai yani janwar ko lita kar hulqoom par chhuri pherna hai.
Arab mein chunke amooman (aam taur par) qurbani oont ki hoti thi, isliye qurbani karne ke liye yahan lafz wan-‘har istemal kiya gaya. Baz auqaat lafz nahar mutallaqan qurbani ke maani mein bhi istemal hota hai. Is Surah ki pahli ayat mein kuffar ke zaame baatil (ghalat ya jhoot) ke khilaf Rasool ALLAH ﷺ ko Kausar yani duniya aur aakhirat ki har khair aur wo bhi kaseer miqdar mein ata farmane ki khushkhabri sunane ke bad uske shukr ke taur par Aap ﷺ ko do cheezon ki hidayet ki gayi hai.
- Namaz
- Qurbani
Namaz badni aur jismani ibadaton mein sab se badi ibadat hai aur qurbani maali ibadaton mein is bina par khas imtiyaaz aur ahmiyat rakhti hai ke ALLAH ke naam par qurbani karna but parasti (buton ki pooja) ke shuaar (reeti-riwaz) ke khilaf ek jahaad bhi hai. Kyunke unki qurbaniyan button ke naam par hoti thein.
Isiliye Quran Kareem ki ek aur ayat mein bhi namaz ke sath qurbani ka zikr farmaya hai.
اِنَّ صَلاَتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي ِﷲِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Is ayat mein wan-‘har ke maane qurbani hona Hazrat Ibn Abbaas R.A., Ata, Mujahid aur Hasan Basri waghairah se mustanid riwaiyaat mein sabit hai. Baz logon ne jo wan-‘har ke maane namaz mein seena par hath bandhne ke baz Aayema-e-tafseer (tafseer likhne walon) ki taraf mansoob kiye hain. Uske mutalliq ibn Kaseer ne farmaya ke riwayet munkar (naqabl-e-aitbar) hai.
Surah Kausar Ki Ayat Number 3 Ki Tafseer
اِنَّ شَانِئَكَ هُوَ الْاَبْتَرُ
Inna Shaani-Aka Huwal Abtaru
Is ayat mein ALLAH Tabarak Wata ne ‘Ala ne Huzoor Pak ﷺ ke dushmano ko javab diya hai ke wo hi na-murad honge.
‘Shani’ ke maane bughz rakhne wale, aib lagane wale ke hain. Ye ayat un kuffaar ke mutalliq nazil hui hai. Jo Huzoor Pak ﷺ ko abtar maqtoo-an-nasal hone ka taana dete the. Aksar riwaiyaat mein ‘Aas bin Waayel, baz mein ‘Uqbah, baz mein Ka’ab bin Ashraf iske misdaaq (jiske zariye kisi cheez ko sabit kiya ja sake) hain. ‘Haq Ta’ala ne Rasool ALLAH ﷺ ko kausar yani Khair-e-Kaseer ata ki jisme aulad-e-kaseer (ummat) bhi dakhil hai. Aap ﷺ ke liye aulad ki kasrat is lehaz se hai ke nisbi aulad bhi aapki masha ALLAH kuch kam nahi. Aur Paighambar chunke puri ummat ka baap hota hai aur puri ummat uski roohani aulad hoti hai. Aur Aap ﷺ ki ummat pichhle tamam Anbiya ki ummaton se taadad mein zyadah hogi. Ek taraf to un dushmano ki baat ko is tarah khaak mein mila diya. Dusri taraf ye bhi farma diya ke jo log aapko abtar hone ka taana dete hain wo khud hi abtar hain.
Khulaasa-e-Tafseer
Beshak Hamne aapko kausar (jannat ki ek hauz ka naam bhi hai aur har khair kaseer bhi isme shamil hai) ata farmayi hai (jisme duniya aur aakhirat ki har khair wa bhalayi shamil hai. Duniya mein deen islam ki baqa-o-salaamti aur aakhirat mein jannat ke darjaat-e-aaliya sab dakhil hain). Sau (in nematon ke shukr mein) aap apne parwardigaar ki namaz parhiye. (Kyunki sabse badi nemat ke shukr mein sabse badi ibadat honi chahiye aur wo namaz hai.) Aur (takmeel-e-shukr ke liye jismaani ibadat ke sath-sath maali ibadat yani Usi ke naam ki) qurbani kijiye. Jaisa dusri aayeton mein amooman namaz ke sath zakat ka hukm hai. Isme zakat ke bajaye qurbani ka zikr shayed isliye ikhtiyaar kiya gaya ke qurbani mein maali ibadat hone ke ilawa mushrakeen aur mushrikaana rasoom (rasmon) ki amli mukhalfat bhi hai. Kyunki mushrakeen button ke naam ki qurbani kiya karte the.
Aage An-‘Hazrat ﷺ ke sahebzaade Qasim ki bachpan mein wafat par baz mushrakeen ne jo ye taana diya ke unki nasal na chalegi aur unke deen ka silsila jald khatm ho jayega. Iska javab hai ke Aap ﷺ bafazl-e-Ta’ala (ALLAH ke fazal se) be naam wa nishan nahi hain balki bil-yaqeen Aapka dushman hi be naam wa nishan hai (khawah zaheri nasal us dushman ki chale ya na chale lekin duniya mein uska zikr khair baqi nahi rahega. Bakhilaaf Aapke ke Aapki ummat aur Aapki yaad nek naami, muhabbat wa aitqaad (sach ke yaqeen) ke sath baqi rahegi. Aur ye sab nematen lafz Kausar ke mafhoom mein dakhil hain. Agar pisri aulad ki nasal na ho to na sahi, jo nasal se maqsood (gharaz) hai wo Aapko hasil hai yahan tak ke duniya se guzar kar aakhirat tak bhi, aur dushman is se mahroom hai).
Ibrat (Sabaq)
Ab ghaur kijiye ke Rasool-e-Maqbool ﷺ ke zikr ko ‘Haq Ta’ala ne kaisi rafaat (izzat) aur azmat ata farmayi ke Aap ﷺ ke ahd-e-mubarak (zamana) se aaj tak poori duniya ke chappa chappa (kona-kona) par Aap ﷺ ka naam mubarak panch waqt ALLAH ke naam ke sath meenaron par pukaara jata hai. Aur aakhirat mein Aap ﷺ ko Shifaat-e-Kubra ka Muqam-e-Mahmood hasil hoga. Iske bil-muqabil (muqable mein) duniya se puchiye ke ‘Aas bin Waayel, ‘Uqbah aur Ka’ab ki aulad kahan aur unka khandan kya hua, khud unka naam bhi islami riwaiyaat se tafseer-e-ayaat ke zel mein mahfuz ho gaya. Warna duniya mein aaj unka naam lene wala koi baqi nahi hai.
Fa’atabiroo Ya Oolil-Absaari
Ye bhi dekhiye→ Barish Hone Ki Dua
Surah Kausar Ki Fazilat
Quran-e-pak ka kasrat se wird karne wale ke dilon ko sukoon, mareezon ko shifa, musibat zadon ko asani ALLAH ata farmata hai. Quran e pak ki surah ko parhne wale se ALLAH razi hota hai. Mushkilaat aasaniyon mein badal jati hain. Masaib hal ho jate hain.
ALLAH aapko Surah Kausar parhne se faizyaab (fayedah mand) kare.
Rasool ALLAH ﷺ Ka Ham-Nasheen
Surah Kausar ki tilawat ki fazilat ke bare mein aaya hai ke,
“Jo shakhs panjgaanah (5 waqt ki) namaz mein is surah ki tilawat kare. Tou qayamat ke din Hauz-e-Kausar se seraab aur darakht toobi ke saye mein Rasool-e-Khuda ﷺ ka ham-nasheen (saathi) hoga.”
Is tarah bhi aaya hai ke:
Abu Baseer Imam Saadiq Radi ALLAHu ‘Anhu se naqal karte hain,
“Jo shakhs apni yaumiya namazon mein Surah Kausar ki tilawat karta hai, usay qayamat ke din Hauz-e-Kausar naseeb hogi aur wo darakht toobi ke saye mein Rasool-e-Khuda ﷺ ka ham-nasheen hoga.”
Majm’a-ul-bayan mein Paighambar-e-Akram ﷺ se riwayat karte hain:
“Jo shakhs Surah Kausar ki tilawat karta hai, ALLAH Ta’ala usay bahisht ki nehron se seraab karega aur eid-e-qurban ke din musalmano ki taraf se zibah karne wali qurbani neez ahl-e-kitab aur mushrakeen ki taraf se pesh kardah qurbani ke barabar usay savab diya jayega.”
Ye bhi dekhiye→ Naya Chand Dekhne Ki Dua
Dili Tamanna Ki Takmeel
Surah kausar ko ek sau untees (129) bar parhne se jayaz niyyat rakhne wale ki dili tamanna poori hoti hai.
Dushman Se Nijat
Koi dushman aapko bahut tang kar raha ho aur usse aapki jaan ka khatra ho to rozana panch waqt ki namaz ke bad kam se kam terah (13) martaba Surah Kausar ki tilawat kijiye. Phir dushman ke shar se hifazat ke liye ALLAH Ta’ala se dua kijiye. Insha ALLAH, ALLAH aapko apni khas hifazat mein le lega aur dushman se hamesha ke liye jaan khalaasi/nijat hogi.
Rizq Mein Be-Tahaasha Izafa Aur Khair-o-Barkat
Agar apne paise rakhne ki jagah makhsoos kar lee jaye. Jaisa ke almari ka ek khas khana, purse ya kapre ki ek potli le len. Jab bhi isme paise rakhen ya nikalen to har bar Bismillah Shareef ke sath Surah Kausar ek (1) martaba parhkar us khane, purse ya potli par dam kar dijiye. Jab-jab paise nikalne hain ya rakhne hain, har bar aise hi surah parhkar dam karna hai. ALLAH ka ye kalam jiske fawaid kaseer (behad zyadah) hain, jab parhkar phoonka jaye to kaise na rizq kaseer hoga. Yaqeenan khoob kaseer hoga. Daulat mejn be-panah izafa hoga aur be-shumaar khair-o-barkat bhi hogi.
To phir aaj hi se Surah Kausar ki tilawat ka mamul banaiye aur iske be-tahaasha (bahut zyadah) fazayel aur barkaat hasil kijiye.
Is post ko apne pyaron se zarur share kijiyega.
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe YouTube Channel→yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
In’sha’Allah bhai. Jzk
Aslaamalikum bhai, can you also tell me give my son or me to read for his exams they are next month In’sha’Allah. He struggles with so of his subjects. Jzk again bhai for your reply. May Allah Swt reward you immensely bhai.
You or your son can perform this wazifa to get a success in the exams- https://www.yaallah.in/how-to-pass-exams-without-studying-tried-tested-kamyabi-imtihan
Aslaamalikum bhai, can you also give my mum something for my youngest brother. He is 24 just finished his studies, he is not working and hangs around with bad company. We lost my dad when he was 18. So it just my mum and him at home as my eldest brother move doit with his wife she didn’t want to stay in joint family. She would like him to work and bring in halal rizq and leave all his bad company. Once again jzk bhai for all your help.
Your Mom can perform this wazifa for your brother- https://www.yaallah.in/wazifa-for-disobedient-child