Sunnah of Prophet Muhammad Benefits of Quran Ayat Disease Shifa

Sunnah-Benefits- of-Quran-Ayat-Disease-Shifa-271216-yaALLAH

Qur’aan ek Kitaab-e-Hidayat hai. Is kitab-e-Hidayet mein zindagi ke har pehlu, har shobah aur har amar ke liye hidayet-o-rehnumayi ka pura pura saman maujood hai. koi ameer ho ya ghareeb, baadshah ho ya faqeer, haakim ho ya mehkum, jarnal ho ya sipahi, afsar ho ya matehat, gharz ke wo muashare mein chahe koi bhi hasiyat aur muqam rakhta ho, use zindagi guzarne ke liye jo rehnumayi darkar hai, wo use Qur’an se mil jayegi.

Virtues of Quranic Ayat to Heal from Diseases Via Sunnah of Prophet Muhammad

Qurani Ayaat se Har Marz Mein Shifa Hadees Ki Roshni Mein

ALLAH Tabarak wata ‘Ala ne apne Habib-e-Mukarram Mu’hammad Mustafa Ahmade Mujtabah SallALLAHU Alayhe Wasallam ke zariye Qur’ane Majeed-o-Furqane Hameed ki surat mein rehti duniya tak ke liye jo hidayet farmayi hai, huma johat hai. Qur’an Majeed Kitab-e-Hidayet to hai hi, iske sath sath Kitab-e-Shif’a bhi hai. Har Bimari Se Shifa Ka Amal Isme Maujood Hai.

Surah Bani Israeel (Al-Israa) ki Ayat number 82 mein ALLAH Ta’ala ka irshad hai,

وَنُنَزِّلُ مِنَ الْقُرْآنِ مَا هُوَ شِفَاءٌ وَرَحْمَةٌ لِّلْمُؤْمِنِينَ ۙ وَلَا يَزِيدُ الظَّالِمِينَ إِلَّا خَسَارًا

Wanunazzilu minalquraani maa huwa shifaa-un wa-ra’hmatun lilmumineena walaa yazeedu-zzaalemeena illa khasaaran

And we send down of the Qur’an that which is healing and mercy for the believers, but it does not increase the wrongdoers except in loss.

اور ہم قرآن میں ایسی چیزیں نازل کرتے ہیں کہ وہ ایمانداروں کے حق میں شفا اور رحمت ہیں اور ظالموں کو اس سےاور زیادہ نقصان پہنچتا ہے

Qur’an Majeed ki shif’a bani nu insan ki ruhani aur jismani dono qisam ke amraz ko muhit hai. yani ALLAH ka ye kalam jahan ruhani (aur qalbi) amraz ke liye shif’a hai, wahan is mein jismani aur zahiri badni amrazo awariz ke liye bhi shif’a bulke shifaye kamila hai. Chunache Ahadees se pata chalta hai ke jahan Hazur-e-Nabi Karim SallALLAHU Alayhe Wasallam apne Sahaba ki ruhani kamzoriyon aur bimariyon ko dur karne ke liye mukhtalif du’ayen tajwiz farmate the isi tarah unki bimariyon ke azala ke liye baz auqat mukhtalif Ayate Qur’aniya parh kar dum karte the ya phir unhe mukhtalif aurad ya wazaif parhne ki talqin karte the. Find All Types of Durood Shareef Salawat here.

Bukhari aur Muslim mein Hazrat Ayesha Siddiqa Radi ALLAHu Anha se riwayet hai:

“Adate Mubaraka ye thi ke jab hum mein se koi bimar hota to Hazur SallALLAHU Alayhe Wasallam mariz par apna Daste Mubarak rakhte aur ye du’a farmate ke “Ay ALLAH! bimari ko dur farma de, mariz ko shifaye kamil baksh de. Beshak shif’a dene wali teri hi zat hai. Tu hi shif’a bakhshane wala hai. Tere siwa kisi se shif’a nahi mil sakti. Ay ALLAH! aise shif’a de ke bimari ka namo nishan na rahe.”

Hazrat Ayesha Radi ALLAHu Anha hi ki riwayet hai:

‎”Jab koi bimar hota ya uske phore phinsiyan nikalti to Hazur SallALLAHU Alayhe Wasallam phinsi ke muqam par apni ungli Mubarak rakhte aur farmate, 

‎بسم الله, تربة ارضنا, بريقة بعضنا ويشفي سقيمنا, باذن ربنا

‎ “Bismillah, Turbatu Arzinaa, Bireeqati Ba’zinaa Wa Yashfee Saqeemanaa, Bi Izni Rabbinaa”

‎Is Riwayet ka aakhri tukra ye hai:

‎”jab koi ghar mein se bimar hota to Huzur Ma’auzateen ( Surah Falaq aur Surah Naas) parh kar dum kar dete”.

‎Bukhari Shareef mein Hazrat Usman bin Abi Al Aas Radi ALLAHu Anhu ke hawale se Riwayet hai ke unho ne apne ek dard ka tazkirah hazur se kiya. Hazur SallALLAHU Alayhe Wasallam ne Farmaya:

‎” Ay Usman! apna hath dard ki jagah rakho aur teen martabah Bismillah hirRahman nirRaheem parh kar ye du’a parho, 

‎أَعُوذُ باللهِ وَقُدْرَتِهِ مَنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ

‎ “A’oozu Billahe Wa Qudratihee Min Sharri Maa Ajidu Wa-Uhaaziru”

‎Tarjuma:

Mein panah talab karta hun ALLAH ki izzat-o-qudrat ki, in bimariyon ke khof aur shar se jinhe mein mehsoos karta hun. Parhne ki der thi ke Hazrat Usman Radi ALLAHu Anhu ke dard ka namo nishan na raha. Sarkar-e-do Aalam SallALLAHU Alayhe Wasallam ke isi ta’amul ki iqtada karte huye ‘ulmaaye Ummat ka ye maamul raha hai ke wo apne apne halqaye asar mein logon ke mukhtalif ruhaniyo jismani amraz mein Qur’an Karim ki Ayate Mubaraka ya Rasul Akram SallALLAHU Alayhe Wasallam ki manqul Du’aon se ilaj tajwiz karte aye hain. Ulmaye Ummat ne is silsile mein bari bari kawishen ki hain jo aj bhi hazaron matbu’a o ghair matbu’a biyazon aur mut’adid majmua haye wazaif ki surat mein mojud hain aur Ahle Islam hasbe himmato tofiq in se istifadah hasil karte aa rahe hain.

Dars E Quran-e-Paak

  1. Ay Iman walo! apas mein ek dusre ke mal nahaq tariqe se na khao, Illah ye ke koi tijarat bahmi raza mandi se wajud mein aayi ho (to wo jayez hai) aur apne ap ko qatal na karo. yaqin jano ALLAH tum par bohat Meharban hai.
  2. Aur jo shakhs zyadti aur zulm ke tor par esa karega, to hum usko aag mein dakhil karenge aur ye bat ALLAH ke liye bilkul aasan hai.
  3. Agar tum in bare bare gunahon se parhez karo jin se tumhen roka gya hai to tumhari choti buraiyon ka hum khud kuffara kar denge, aur tumko ek ba-izzat jagah dakhil karenge.
  4. Aur jin chizon mein hum ne tum ko ek dusre par foqiyat di hai, unki tamanna na karo, mard jo kuch kamayi karenge unko us mein se hissa mile ga aur auraten jo kuch kamayi karengi unko us mein se hissa milega. Aur ALLAH se uska fazal manga karo. Beshak ALLAH har chiz ko khub janne wala hai.
  5. Aur hum ne har us mal ke kuch waris muqarrar kiye hain jo waliden aur qarib tareen rishtedar chor kar jayen. Aur jin logon se tum ne koi ehad bandha ho unko unka hissa do. Beshak ALLAH har chiz ka gawah hai.
  6. Mard auraton ke nigran hain kunke ALLAH ne in mein se ek dusre par fazilat di hai aur kyunke mardon ne apne mal kharch kiye hain. Chunache auraten farmabardar hoti hain, mard ki ghair mojudgi mein ALLAH ki di huyi hifazat se (uske huqooq ki) hifazat karti hain aur jin auraton se tumhen sarkashi ka andesha ho to (pehle) unhe samjhao aur (agar us se kam na chale to) unhe khwab gahon mein tanha chor do, (aur is se bhi islah na ho to) unhe mar sakte ho. Aur phir agar wo tumhari bat man len to unke khilaf karwayi ka koi rasta talash na karo. yaqin rakho ke ALLAH sab se uper, sab se bara hai.
  7. Aur agar tumhen miyan biwi ke darmiyan phoot parne ka andesha ho to (unke darmiyan faisla karwane ke liye) ek munsif mard ke khandan mein se aur ek munsif aurat ke khandan mein se bhaij do. Agar wo dono islah karana chahen ge to ALLAH dono ke darmiyan ittifaq paida farma dega. Beshak ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala ko har bat ka ‘ilm aur har bat ki khabar hai. Click to see Miyan Biwi Mein Muhabbat Paida Karne ka Amal
  8. Aur ALLAH ki ibadat karo aur uske sath kisi ko sharik na thehrao aur waliden ke sath acha saluk karo, niz rishte daron, yatimo, maskino, qarib wale parosi, sath bethe (ya sath khare) huye shakhs aur rah gir ke sath aur apne Ghulam bandiyon ke sath bhi (acha bartao rakho) beshak ALLAH kisi itrane wale shekhi baz ko pasand nahi karta. Click to see Dua for any wish video here.
  9. Ese log jo khud bhi kanjusi karte hain aur dusro ko bhi kanjusi ki talqin karte hain aur ALLAH ne unko apne fazal se jo kuch de rakha hai use chupate hain. Aur HUM ne ese Na-shukro ke liye zalil kar dene wala azab tyar kar rakha hai.
  10. Aur wo log jo apna mal logo ko dikhane ke liye kharch karte hain aur na ALLAH par iman rakhte hain aur na roze aakhirat par, aur shetan iska sathi ban jaye to wo bad tareen sathi hota hai. 
  11. Bhala unka kya bigar jata agar wo ALLAH aur yome aakhirat par iman le aate aur ALLAH ne unko jo rizq ata kiya hai us mein se kuch nek kamo mein kharch kar dete? Aur ALLAH ko inka hal khub malum hai. Find Surah Rahman here.
  12. ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala zarra brabar bhi kisi par zulm nahi karta aur agar koi neki ho to use kayi guna kar deta hai, aur khud apne pas se azeem savab deta hai.
  13. Phir (ye log soch rakhen ke) us waqt (unka) kya hal hoga jab HUM har Ummat mein se ek gawah le kar ayenge aur (Ay Paighambar!) HUM tum ko in logo ke khilaf gawah ke tor par paish karenge.
  14. Jin logo ne kuffr apna rakha hai aur Rasul ke sath nafarmani ka rawaiyya ikhtiyar kiya hai us din wo ye tamanna karenge ke kash unhe zamin (mein dhansa kar is) ke brabar kar diya jaye aur wo ALLAH se koi bat chupa nahi sakenge.
  15. Ay Iman walo! jab tum nashe ki haalat mein ho to us waqt tak namaz ke qarib na jana jab tak tum jo kuch keh rahe ho use samajhne lago, aur janabat ki haalat mein bhi jab tak ghusl na kar lo (namaz jayez nahi) Illah ye ke tum musafir ho ( aur pani na mile to tayammum kar ke namaz parh sakte ho) aur agar tum bimar ho ya safar par ho ya tum mein se koi qazaye hajat ki jagah se aya ho ya tum ne auraton ko chuwa ho, phir tumko pani na mile to pak mitti se tayammum kar lo aur apne chehron aur haton ka (us mitti se) masah kar lo. Beshak ALLAH bara mu’af karne wala bara bakhshane wala hai. Find Yaseen Sharif here.
  16. Jin logo ko kitab (yani Toraat ke ilm) mein se ek hissa diya gaya tha, kya tum ne unko nahi dekha ke wo (kis tarah) gumrahi mol le rahe hain aur chahte hain ke tum bhi raste se bhatak jao. 
  17. Aur ALLAH tumhare dushmano ko khub janta hai aur rakhwala banne ke liye bhi ALLAH kafi hai, aur madadgar banne ke liye bhi ALLAH kafi hai. Find Message of Islam here.
  18. Yahoodiyon mein se kuch wo hain jo (Toraat) ke alfaz ko unke moqa mehal se hata dalte hain, aur apni zubano ko tor maror kar aur deen mein tana zani karte huye kehte hain: Sam’ina wa asayna aur Asm’a Ghaira Musma’in aur Ra-‘ina halan ke agar wo ye kehte ke, Sam’ina wa At’ana aur Asma’a wanzurna tou unke liye bahot rast bazi ka rasta hota. Laikin unke kufr ki wajah se ALLAH Jalla Jalaaluhoo ne un par phatkar daal rakhi hai. Isliye thode se logo ke siwa wo iman nahi late.

Irshadaat-e-Rasul ALLAH SALLAHU Alaye Wasallam

Rasul ALLAH SallALLAHU Alaye Wasallam ne farmaya,

  • ’Jo shakhs chahta hai ke uske rizq mein barkat ho wo khana khane se pehle aur bad mein hath dho liya kare aur Bismillah parh kar khana shuru kare’’.

Rasul ALLAH SallALLAHU Alaye Wasallam ne farmaya,

  • ‘’jis ke gunah zyadah hon wo “astaghfar” parha kare. Jo tangdast ho wo 

لاحول ولا قوة إلا بالله العلي العظيم

There is no power and no strength except with ALLAH, The Most High, The All Great.

“La hauwla wala quwwata illa billa hil aliyyil azeem” parha kare. Aur farmaya “La hauwla wala quwwata” dawa hai 99 masayeb ki.

Isko parhne se fikr-o-faqah aur ghamo se nijat milti hai’’.

(Bukhari-o-Mishkat)

Hasule Ghana yani rizk-o-daulat ko haasil karne ke liye behtareen amal hai, Fajar aur Isha ki namaz ke bad 200 bar “Bismillah hirRahman nirRaheem” aur 200 bar “Wala Hauwla wala quwwata illa billa hil aliyyil azeem wa SallALLAHul Ala Mu’hammadiyu wa Aa-leehit tayyibeen” parha karen aur kum az kum dono namazo ke sath 100 martaba zarur parhen. Agar dukan ki taraki ke liye ye parha jaye to wazeh tor par rizq mein barkat nazar aayegi. Teeno chize deeno duniya ki falah ki aakhri chize hain. Savab aur farakhi bhi yaqini hai aur ye bhi Hazur Pak SallALLAHU Alaye Wasallam ka Irshad hai Jise ghum aur dukh ghaire wo parha kare.

Hazrat Shah wali ullah farmate hain jo shakhs 100 bar rozana 

“La Hauwla wala quwwata” parha karega hargiz kabhi mubtalaye asar na hoga. Fiqro faqa se mehfuz rahega.

Rasul ALLAH SallALLAHU Alaye Wasallam ne farmaya,

‘’Agar kisi ka jano mal ka nuqsan ho aur wo is par sabar kare aur ye kalmat kahe, 

إِنَّا لِلهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ ، اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي ، وَاخْلُفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا

“Inna lillahi wa Inna Ilaihi Raji’un. ALLAHumma ajurni fi musibati wakhluf li khayran minha.” 

(Verily we belong to ALLAH and truly to Him shall we return. O ALLAH! Protect me in this calamity that has befallen me and replace it with something better),

to ALLAH use is se bohat behter chiz dega. Bilkul haq se aazmaya ja chukka hai. Ek shakhs ne arz kiya ya Rasul ALLAH SallALLAHU Alaye Wasallam muje qarz aur ranjo ghum ne pareshan kar rakha hai. Aap SALLAHU Alaye Wasallam ne farmaya, ‘’ye du’a (namaz mein aur bad namaz bhi) aksar parha karo. See Wazifa for Confidence, Depression and anxiety here! 

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ الْهَمِّ وَالْحُزْنِ وَالْعَجْزِ وَالْكَسَلِ , وَالْبُخْلِ وَالْجُبْنِ وَضَلَعِ الدَّيْنِ وَغَلَبَةِ الرِّجَالِ

“ALLAHumma inni A’oozubika minal hammi wal huzni wa A’oozubika minal ajzi wal kusli wa A’oozubika minal jibli wal bukhli wa A’oozubika min ghalbatid deeni wa qahrir rijal’’. 

[O ALLAH, I take refuge in You from anxiety and sorrow, weakness and laziness, miserliness and cowardice, the burden of debts and from being over powered by men]

(Abu dawud)

Wo shakhs kehta hai ke mene chand roz parha. Mujhe ranjo ghum se nijat mili aur qarz ki adaygi huyi. 

See How Muslims Got Benefits from ‘ya ALLAH Dua Wazaif’ 

Aur Dahne wale. Dahne wale kya hain?

Rehte hain bagher kanto ki bairi mein aur keele tah-ba-tah aur lambi chhaaon aur pani ke jharne aur kaseer mewe jat jo na kabhi khatam hon aur na unse koi roke aur unche farsh. HUM ne wo aurate uthayi ek khas uthaan par phir kiya unko kuwariyan, pyar dilati aur hum umar waste dahne walo ke. In mein bohat se awwaleen mein se hain aur bohat se aakhareen mein. Find Quran Tajweed Rules here.

Aur bayen wale. Kese hain bayen wale?

‘Lipat aur kholte huye pani mein aur siyah dhuain ke saye mein jo na thandi hai aur na izzat wali. Wo log the is se pehle mutmain aur date huye is bare gunah par’. Find Ayat-ul-Kursi Benefits here.

Insan ki puri zindagi ek dastawaiz hai. Is dastawaiz ke ache ya bure hone ka taluq aadmi ki tarze fiker se hai. Ek tarze fiker ALLAH Ta’ala ki pasandidah hai jise Peghambarana tarze fiker kaha jata hai. Jab ke dusri tarze fiker bande ko ALLAH se dur karti hai. Ise shetani tarze fiker kehte hain. Qur’an-e-Pak mein Peghambarana tarze fiker ke hamil afrad ko Dahne wale aur Shetani tarze fiker ke hamil afrad ko Bayen wale qrar diya gya hai. Find Surah Muzammil Benefits here.

Burayi ya bhalayi ka jahan tak taluq hai, koi amal duniya mein bura hai na acha hai. Darasal kisi amal mein mu’afi pehnana achayi ya burayi hai. Mu’afi pehnane se murad tarze fiker hai. 

Famous Home Remedies on yaALLAH.in

Ahaadees-e-Mubaraka mein ise niyat se mosum kiya gya hai. Amal karne se pehle insan ki niyat mein jo kuch hota hai, wohi kher ya shar hai. Aag ka kam jalana hai. Ek aadmi logon ki falaho behbud ke liye aag ko khana pakane mein istemal karta hai, to ye amal kher hai. Wohi aadmi is aag se logon ke gharon ko jala dalta hai to ye burayi hai. 

Amal ka ta’alluq niyat se hai. Paighambarana tarzon mein zindagi guzarne wale shakhs ki tarze fiker is irada ki takrar se banti hai. Yun iski zindagi ki dastawaiz mein peghambarana fiker ghalib rehti hai. Is tabqa ko qur’an mein dahne wale kaha gya hai. ALLAH Ta’ala ki na pasandidah tarze fiker bhi musalsil taqrar se banti hai. Yun is zindagi ki dastawaiz mein shetani tarze fiker ghalib rehti hai, ise Qur’an ne Bayen wale kaha gya hai. 

31 Comments

  1. Aoa. Me regularly ya muakhir wala wazifa pharhti hn ab 2 3 din k lye bnd kia hn parhna to ye sahi hn bnd kr skti hn. ya bnd karna sahi nh hn ye puchna hn.?

  2. Ye jo ap n wazifa btya reshte ki bandish ka tor wala ye mene kia hn koi asr nh dekha mujhe. To koi dusra wazifa amal nh js s mra msla hal hojaye konsa karu amal reshte ke lye .?

  3. Assalamualeikum bhai plz mujhe btaiye koi dua ki mere chehre se swelling khtm ho jye or chehre pr se ronak Noor khtm ho gya ho gyi h plz aisi dua bta dijiye ki mai achi ho jaun

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *