Subah uthne ki dua Hadees se sabit hai. Iske padhne ke kayi fazail hain. Jab koyi neend se bedar ho, to aankh khulte hi is pyari si dua ko padhkar dheron ajar-o-sawab kamaye. Is dua ko apne rozana ka mamool banakar apne din ko barkaton wala bana sakte hai.
Subah Me Sokar Uthne Ki Dua
Log aksar hi puchhte hain. Subah soke uthne ki dua kaunsi hai? Sona insan ke rozana ka mamool hai. Par jab koyi sokar uthe to ‘sokar uthne ki dua’ zarur padhe. Is dua ke badaulat use ajar-o-sawab kamane ka mauqa to milega. Sath-sath uska din bhi khushnuma aur barkat wala guzrega Insha ALLAH, Ameen.
Is bhagti daudti zindagi mein har koyi chahta hai. Uske kaam bila kisi rukawat ke bante rahein. Agar subah yani ki din ki shuruat ALLAH ke naam se ki jaye. To zarur hi us shakhs ke sare kaam banne lagenge. Aur woh jis kaam mein hath lagayega use us kaam mein kamyabi milegi Insha ALLAH, Ameen. Zarur dekhiye→ Khana Khane Ki Dua
Jis kaam se pehle ALLAH ka naam le liya jaye, us kaam ko ALLAH Ta’ala apne hath mein le leta hai. Isliye subah ki shuruat agar ‘soke uthne ki dua’ ke zariye ki jaye, to yaqeenan ek shakhs ke kaam mein ALLAH ki rehmat aur barkatein shamil hongi Insha ALLAH, Ameen.
Sokar uthne ki pyari si dua Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ki Hadees-e-Mubarika se sabit hai. Is post mein hum soke uthne ki do (2) khas duaon ke bare unke tarjume ke sath janenge.
Aksar hi log puchhte hain, ki ALLAH ko kaise razi karein? Aur dua ki qubuliyat ke liye kaunsa wazeefa padhein. Chahe duniyawi masayil hon. Ya phir ALLAH ko razi karke Akhirat mein aram-o-sukoon pana ho. Zarur dekhiye→ Ghar Se Nikalne Ki Dua
Iska rasta bada asan hai. ALLAH Ta’ala ko razi karne ke liye kisi ko pahad todne ki zarurat nahi hai. Balki agar hum ALLAH Ke Nabi Rasool Mu’hammad ﷺ ki ittiba (ita’at) yani pairvee karein, to ALLAH humse behad khush aur razi ho jayega.
Agar hum apne rozmarra ki zindagi mein, Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ki chhoti-chhoti sunnaton par amal kare. To yeh humare liye ajar-o-sawab ka zariya to banega hi sath-sath ALLAH ko razi karne ka rasta humare liye asan ho jayega.
Aur in chhoti-chhoti sunnato par amal karne se humari duniyawi zindagi mein bhi beshumar barkat aur rehmatein humein hasil hone lagengi. Aur ALLAH humse razi hokar humein Akhirat mein bhi iska inaam ata karega. Aur koyi is baat ka khwabon khayalon mein bhi tasawwur nahi kar sakta, jo ALLAH ne apne nek bando ke liye unke nek kamon ke silah mein rakha hai.
Jab koyi ALLAH ke Habeeb Mu’hammad Mustafa ﷺ ke raste par chalta hai. Unki bato par ghaur-o-fikr karke un baton ko apni zindagi ka mamool bana leta hai. Zarur dekhiye→ Safar Ki Dua in Hindi Urdu Arabic English-Images
Aise shakhs se ALLAH mohabbat karne lagta hai. Aur jisse ALLAH mohabbat kare uski duaon ko qubool farmata hai. Uski hajatein (khwahish) poori karta hai. Isliye har musalman ko chahiye wo Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ ki farmabardari aur ittiba (ita’at) mein laga rahe.
Neend ALLAH Ta’ala ke tarf se bahut badi nemat hai. Insan jab dinbhar mashaqqat aur kaam karke thak jata hai tab sokar uthne par uski thakawat (thakan) door ho jati hai. Aur sone se use aram aur rahat hasil hoti hai.
ALLAH Ta’ala Quran-e-Kareem mein irshad farmate hain:
وَجَعَلْنَا نَوْمَكُمْ سُبَاتًا
Wa Ja’alna Nawmakum Subaata
Aur Tumhari Neend Ko Rahat Ka Baa’is Banaya.
[Surah An-Naba | Para #30 | Surah #78 | Ayat #9]
Isliye subah uthkar ek shakhs ‘sokar uthne ki dua’ padhkar ALLAH ki hamd-o-shukar (tareef aur shukriya karna) karta hai. Ki ALLAH ne use neend jaisi nemat ata karke rahat aur aram pane ka ek zariya ata kiya.
Insan gunahon ka pulta hai. Han, gunaho se tauba ke zariya ALLAH ke azab se zarur bacha ja sakta hai. Par bahut se log jab sote hain, to neend mein hi unki wafat (mout) ho jati hai. ALLAH Humein tauba karne walon mein shamil karle Ameen. Zarur dekhiye→ Doodh Peene Ki Dua
Lekin hum sone ke bad uth jate hain. Yani ke ALLAH us bande ko uske gunaho se tauba karne ke liye ek aur din ek aur mauqa dete hain. Isliye bhi sokar uthne par ‘sokar uthne ki dua’ ke zariye, ALLAH ki tareef aur shukrguzari ki jati hai.
Soke Subah Uthne Ki Dua #1
اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَناَ وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
Al’hamdu Lil-laahil Lazee A’hyaana Ba’da Ma Amatana Wa Ilayhin Nushoor.
Tamam Tareefein ALLAH Ta’ala Ke Liye Hai Jisne Humein Mout (Neend) Ke Baad Hayat (Zindagi) Ata Farmayi Aur Humein Usi Ke Taraf Lautna Hai.
[Saheeh Al-Bukhari: 11/23 | Saheeh Muslim: 4/2083]
Subah Sokar Uthne Ki Dua #2
اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِي عَافَانِيْ فِيْ جَسَدِيْ وَرَدَّ عَلَيَّ رُوْحِيْ وَأَذِنَ لِيْ بِذِكْرِه
Al’hamdu Lil-laahil Lazee ‘Aafaanee Fee Jasadi Wa-Radda ‘Alayya Roo’hee Wa Azina Lee Bizikrih.
Tamam Tareefein ALLAH Ta’ala Ke Liye Hai Jisne Mujhe Sehat Di Meri Rooh Mujhe Lauta Di Aur Use Yaad Karne Ki Taufeeq Di.
[Tirmizi Shareef Hadees: 5/473]
Kisi Khas Waqt Par Uthne Ki Dua
Agar koyi Tahajjud ki namaz ke liye uthna chahta ho.
Ya phir subah kisi khas waqt par uthne ki zarurat pesh aaye, to is surat-e-haal mein ek (1) dafah neeche di huyi dua padhkar so jaye. Wuzu ke halat mein padhein to behtar hoga waise bila wuzu bhi padh sakte hai. Zarur dekhiye→ Marne Ke Bad Ki Dua
Ya phir Fajr mein uthne mein kotahi hoti ho, to is surat-e-haal mein bhi yeh dua kaam karega. Is dua ke zariye ek shakhs jis waqt uthne ki niyyat karke soya ho, ALLAH ke hukm se us waqt bedar ho jayega. Yani ke uth jayega, Insha ALLAH.
Dua yeh hai:
قُلْ إِنَّمَآ أَنَا۠ بَشَرٌ مِّثْلُكُمْ يُوحَىٰٓ إِلَىَّ أَنَّمَآ إِلَٰهُكُمْ إِلَٰهٌ وَٰحِدٌ ۖ فَمَن كَانَ يَرْجُوا۟ لِقَآءَ رَبِّهِۦ فَلْيَعْمَلْ عَمَلًا صَٰلِحًا وَلَا يُشْرِكْ بِعِبَادَةِ رَبِّهِۦٓ أَحَدًۢا
Qul Innamā Ba-Sharum Maslukum Yu’hyā Ilayya Annamā Ilaahukum Ilāhunw Wā’hidun Faman Kāna Yarjoo Liqā-a Rabbihi Faly’amal ‘Amalan Sāli’han Wala Yushrik Bi’Ibadati Rabbahī A’hadam.
[Surah Kahf | Ayat #110 | Surah #18]
ALLAH Ta’ala humein nek raste par chalne ki taufeeq ata kare. Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ ki sunnat ki pairiwi ki taufeeq ata kare aur humein namazon ka paband bana de, Ameen.
Ye post apne pyaron se share kijiye aur ajar-o-sawab kamayein!
Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
AOA bhai mjhe koi short wazifa batye pareshani musibat se nijat k lye or har bandish ka tor b ho jise plz mn bht pareshan hoon or bht sare wazifa kar rhi hoon or koi aisa b bata den wazifa k agr koi faisla krna ho lkin dono cheezo ka istikhara acha aya ho to kese pata chale k konsa faisla sahi hai
Yeh amal karen
https://www.yaallah.in/islamic-prayer-against-black-magic-causes-social-aspects/