Sone ke sunnat tariqe ke sath-sath sone ki dua ko parhne ka ehtamam bhi karna chahiye. Achi neend ane ke liye rozana ise apna mamool bana lijiye. →ALLAHumma A’inni Ala Zikrika Wa Shukrika
Sone Se Pahle ki Dua Aur Sunnat Tariqe
Apni dua ya wazifa pane ke liye: Google.com par jayiye aur Type kijiye
yaALLAH.in aur Wazifa ka Naam
Misal ke taur par: yaALLAH.in Sone ki Dua
ALLAH Rabbul ‘Izzat ne Quran-e-Pak ke Para #30 Surah #78, Surah An-Naba, ki ayat adad 9 mein irshad farmaya:
وَجَعَلْنَا نَوْمَكُمْ سُبَاتًا
Aur Tumhari Neend Ko Rahat Ka Ba’is Banaya
और तुम्हारी नींद को रहत का बा’इस बनाया
And We have made your sleep as a thing for rest
ALLAH ne raat ko sone se insan ko aram ata farmaya hai. Aur yahan tak ke science ne ye bhi ijaad kiya hai ke raat ke mukammal neend lene se jisme mein khoon ka haemoglobin badta/bana rahta hai.
Neend ke bare mein aisa parhne mein aya hai ke jab insan so jata hai to uski rooh parwaaz kar jaati hai. Aur jab wo jagta hai to uski rooh phir se uske jism mein dakhil ho jati hai.
Sone Se Pahle Ki Dua #1
Arabic English Urdu Hindi with Translations Wallpaper #1

Huzeifa Radi ALLAHu ‘Anhu ne bayan kiya:
Nabi-e-Kareem ﷺ jab sone ka irada karte to kehte
بِاسْمِكَ اللَّهُمَّ أَمُوتُ وَأَحْيَا
BismikALLAHumma Amutu Wa A’hya
[Sahih Al-Bukhari #6324]
Hazrat Abu Zarr Ghaffari Radi ALLAHu ‘Anha ne bayan kiya
Ke jab Rasoolullah ﷺ jab raat mein apni khwabgaah par jate to kehte
اللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا
ALLAHumma Bismika Amutu Wa A’hya
Aur jab bedar hote to farmate
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
Al’hamdulillahillazee A’hyana B’ada Amaatanaa Wa Ilayhin-Nushoor
[Sahih Al-Bukhari #6325]
Sone ki Dua in Arabic English Urdu Hindi with Translations Wallpaper #2
ALLAHumma Bismika Amutu Wa Ahya

[Sahih Al-Bukhari #6324]
Whenever you wanna sleep. Make ablution and start reciting this dua for sleeping in the night. If ALLAH wills you will fall asleep during this recitation.→ Job Milne Ke Liye Dua-Dua for Job Success
Jab bhi sone jayein bas wuzu bana lijiye. Aur Sone ki is dua ko parhna shuru kar dijiye. Parhte-parhte Insha ALLAH neend ajayegi. Ameen.
जब भी सोने जाएँ बस वुज़ू बना लीजिये| और रात को सोने की इस दु’आ को पढ़ना शुरू कर दीजिये| पढ़ते-पढ़ते इन्शा अल्लाह नींद आजायेगी| आमीन|
Raat Ko Sone Ke Sunnat Aur Sahi Tariqe Kya Hai?
Hazrat Qais Bin Tihfah Al-Ghifari R.A. kehte hain ke Rasool ALLAH ﷺ ne mujhe masjid mein pait ke bal (aundhe munh) soya huwa paya, aap ﷺ ne apne paon se mujhe hila kar farmaya:
tum iss tarah kyun so rahay ho? yeh sone (ka tarika) ALLAH ko naa pasand hai.
Sunan Ibne Majah: Jild 5, Kitab Al-Adab 33, Hadith No. 3723
Abu Hureira R.A. se riwayat hai,
Rasoolullah ﷺ ne ek shakhs ko apne pet ke bal aundha lete hue dekha to farmaya:
ye aisa letna hai jise ALLAH pasand nahi karta.
Jam’i At-Tirmidhi: Jild 5, Kitab Al-Adab 43, Hadith no. 2768
- Raat ko jab bhi sone jaye pahle Bismillah parhkar Miswak karna behtar hota hai. Isse aakhon ki roshni tez hoti hai. Aur daant mazboot hote hai. Danton ke tamam marz mein shifa hasil hoti hai. Sahaba Ikram ko Miswak karne par ALLAH Rabbul ‘Izzat ki madad tak pahunchi thi.
- Sone se pahle apne bistar/Bed/Bedsheet jo bhi ho use achche tariqe se saaf karna. Kahin uspar koi mozi (zahreele keede makode) janwar na ho.
- Wuzu kar ke sona.
- Ulta yani pet ke bal hokar qatayi nahi sona chahiye. ALLAH Ta’ala aise sone ko bahut napasand karta hai. Aur yu sone se kayi amraaz (beemariyan) paida hoti hai.
- Surak mulk padhiye. Surah Mulk parhne wale ko qabr ka azab nahi hota hai.
- Sone ki dua jo upar di hui hai wo parhna.
- Apna dayan yani sidhe haath ki hatheli dayein yani sidhe gaal ke neeche rakh kar dayeen yani karwat se hi sona.
- Aur agar neendon karwat badal jaye to isme koi harj ki bat nahi hai.
- Jab kabhi bhi soyein hamesha sone se pehle sabhi jaanne wale aur aziz-o-aqaarib (gharwale aur chahne walon) ko muaf karke saaf dil karke hi sona chahiye.
- Poore din mein jo bhi yani kisi bhi tarah ka koi gunah agar kiya ho to unhe sab ko ek-ek karke yad kijiye. Aur unhi ke liye ALLAH Rabbul Izzat Se maafi maang kar sona chahiye.
- 3 Bar Surah Ikhlaas (Qul HuwALLAHu A’had) padhiye.
- 3 bar Surah Falaq (Qul Aa’oozu birabbil falaq) padhiye.
- 3 bar Surah Naas (Qul Aa’oozu birabbinnaas) padhiye aur phir apne hatheliyon par phoonk dijiye. Aur hathon ko tamam jism par pher dijiye. Aisa 3 bar kijiyega.
- Phir Ayatul kursi padhiye. Isse ALLAH Ta’ala ek hifazat karne wala muqarrar kar dega jisse shaitan apke nazdeek subah tak nahi ayega.
- Sone se pahle Quran-e-Pak ki Surah Al-Baqarah ki aakhri do ayaat yaani ‘Aamanarrasoolu se lekar Kafireen’ tak zarur parhkar sona chahiye. Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya tha jiska mafhoom ye hai ke jisne ye ayaat sone se pahle parhi uske liye kafi hongi.
- 33 bar Subhaan ALLAH padhiye
- 33 bar Alhamdulillah padhiye
- 34 bar ALLAHu Akbar padhiye
- Agar kisi ko bura khwab aa bhi jaye aur neend khul jaye to phir aise mein 3 martaba apne bayein yani ulti taraf (left mein) thooken. Sahi mein thookna nahi hai. Bas ke ishara karte hue thook dijiye. Jis karvat soye the wo ab badal kar so jaye. Aur ye khwab kisi bhi dusre shakhs ko na bayan karein.
- Aur ise behtar kya hoga ke usi waqt wuzu bana kar tahajjud ya nifli namaz ada kar li jaye?
Hadees Me Sone Se Pehle Ki Dua #2
Jo shakhs is kalmaat ko padh kar so jaye aur us ke bad koyi kalaam na padhe. Aur usi raat wo shakhs mar jaye, to use Jannat milegi.
Rasoolullah ﷺ jab apne bistar par let te to apne dayein pahlu par let te aur kehte:
اَللّٰهُمَّ اَسْلَمْتُ نَفْسِىْ اِلَيْكَ وَ وَجَّهْتُ وَجْهِىْ
وَ فَوَّضْتُ اَمْرِىْ اِلَيْكَ وَاَلْجَاءْتُ ظَهْرِىْ
اِلَيْكَ رَغْبَةً وَّرَهْبَةً اِلَيْكَ وَلَا مَنْجَأَ اِلَّا اِلَيْكَ
اَللَّهُمَّ اٰمَنْتُ بِكِتَابِكَ الَّذِىْ اَنْزَلْتَ وَ نَبِيِّكَ
الَّذِىْ اَرْسَلْتَ.
ALLAHumma As-Lamtu Nafsi Ilayka Wa Waj-Jahtu Wajhi
Wa Faw-Wadtu Amri Ilayka Wa-Aljaatu Zahri Ilayka
Raghbatanw Wa Rahbatan Ilayka Wala Manja-a Illa Ilayka
ALLAHumma Aamantu Bi-Kitabi Kal-Lazi Anzalta Wa Nabiyyi Kal-Lazi Arsalta
Aur Rasoolullah ﷺ ne farmaya ke jis shakhs ne ye dua parhi aur phir us rat uski wafat ho gayi to uski wafat fitrat par hogi.
Kayi jagah ise ye bhi bataya gaya hai ke wo shakhs mumin ke taur par wafat payega.
[Sahih Al-Bukhari #6315]
Hadees Me Sone Se Pehle Ki Dua #3
Raf’i bin Khadeej se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Jab tum me se koi apni dahini karwat lete parhe:
Allāhumma innī aslamtu nafsī ilaika wa wajjahtu wajhī ilaika,
wa alja’tu ẓahrī ilaika, wa fawwaḍtu amrī ilaika,
lā malja’a [wa lā manjā] minka illā ilaik, ūminu bikitābika wa birusulika
Phir us raat me mar jaye to wo jannat mein jayega.
Imam Tirmizi kehte hai ye hadees Rafi` bin Khadij ki riwayat se hassan ghareeb hai.
[Tirmizi Shareef #3395]
→ Janaze Ki Namaz Parhne Ka Tariqa
हिंदी में
रात को सोने के सुन्नत और सही तरीक़े क्या है?
- रात को जब भी सोने जाए पहले बिस्मिल्लाह पढ़कर मिस्वाक करना बेहतर होता है| इससे आखों की रोशनी तेज़ होती है| और दाँत मज़बूत होते है| दाँतों के तमाम मर्ज़ में शिफा हासिल होती है| सहाबा इकराम को मिस्वाक करने पर अल्लाह रब्बुल ‘इज़्ज़त की मदद तक पहुँची थी|
- सोने से पहले अपने बिस्तर/बैड/बैडशीट जो भी हो उसे अच्छे तरीक़े से साफ़ करना| कहीं उसपर कोई मोज़ी (ज़हरीले कीड़े मकोड़े) जानवर ना हो|
- वुज़ू कर के सोना|→ मय्यत की मग़फ़िरत की दुआ
- उल्टा यानी पेट के बाल होकर क़तैई नही सोना चाहिए. अल्लाह ता’आला ऐसे सोने को बहुत नापसंद करता है| और यू सोने से काई अमराज़ (बीमारियाँ) पैदा होती है|
- सूरक मुल्क पढ़िए| सूरह मुल्क पढ़ने वाले को क़ब्र का अज़ाब नही होता है|
- सोने की दुआ जो उपर दी हुई है वो पढ़ना|
- अपना दायाँ यानी सीधे हाथ की हथेली दाएं यानी सीधे गाल के नीचे रख कर दाईं यानी सीधे करवट से ही सोना|
- और अगर नींदों में करवट बदल जाए तो इसमे कोई हर्ज की बात नही है|
- जब कभी भी सोएं हमेशा सोने से पहले सभी जानने वाले और अज़ीज़-ओ-अक़ारिब (घरवाले और चाहने वालों) को मुआफ़ करके साफ दिल करके ही सोना चाहिए|
- पूरे दिन में जो भी यानी किसी भी तरह का कोई गुनाह अगर किया हो तो उन सब को एक-एक करके याद कीजिए| और उन्ही के लिए अल्लाह रब्बुल इज़्ज़त से माफी माँग कर सोना चाहिए|
- 3 बार सूरह इख़लास (क़ुल हुवल्लाहु अ’हद) पढ़िए|
- 3 बार सूरह फलक़ (क़ुल आ’ऊज़ू बिरब्बिल फलक़) पढ़िए|→ अ’हद नामा की फ़ज़ीलत
- 3 बार सूरह नास (क़ुल आ’ऊज़ू बिरब्बिन्नास) पढ़िए और फिर अपनी हथेलियों पर फूँक दीजिए| और हाथों को तमाम जिस्म पर फेर दीजिए| ऐसा 3 बार कीजिएगा|
- फिर अयातुल कुर्सी पढ़िए| इससे अल्लाह त’आला एक हिफ़ाज़त करने वाला मुक़र्रर कर देगा जिससे शैतान आपके नज़दीक सुबह तक नही आएगा|
- सोने से पहले क़ुरआन-ए-पाक की सूरह अल-बक़रह की आख़िरी दो आयात यानी ‘आमनर्रसूलु से लेकर काफिरीन’ तक ज़रूर पढ़कर सोना चाहिए| रसूलुल्लाह ﷺ ने इरशाद फरमाया था जिसका मफहूम ये है के जिसने ये आयात सोने से पहले पढ़ी उसके लिए काफ़ी होंगी|
- 33 बार सुबहान अल्लाह पढ़िए|
- 33 बार अल्हम्दुलिल्लाह पढ़िए|
- 34 बार अल्लाहु अकबर पढ़िए|
- अगर किसी को बुरा ख़्वाब आ भी जाए और नींद खुल जाए तो फिर ऐसे में 3 मर्तबा अपने बाएँ यानी उल्टी तरफ थूकें| सही में थूकना नही है| बस के इशारा करते हुए थूक दीजिए| जिस करवट सोए थे वो अब बदल कर सो जाए| और ये ख़्वाब किसी भी दूसरे शख़्स को ना बताएँ|
- और इससे बेहतर क्या होगा के उसी वक़्त वुज़ू बना कर तहज्जुद या निफ्ली नमाज़ अदा कर ली जाए?
सोने से पहले की दुआ #2
रसूलल्लाह ﷺ जब अपने बिस्तर पर लेटते तो अपने दाएं पहलू पर लेटते और कहते:
اَللّٰهُمَّ اَسْلَمْتُ نَفْسِىْ اِلَيْكَ وَ وَجَّهْتُ وَجْهِىْ
وَ فَوَّضْتُ اَمْرِىْ اِلَيْكَ وَاَلْجَاءْتُ ظَهْرِىْ
اِلَيْكَ رَغْبَةً وَّرَهْبَةً اِلَيْكَ وَلَا مَنْجَأَ اِلَّا اِلَيْكَ
اَللَّهُمَّ اٰمَنْتُ بِكِتَابِكَ الَّذِىْ اَنْزَلْتَ وَ نَبِيِّكَ
الَّذِىْ اَرْسَلْتَ.
रसूलल्लाह ﷺ ने फ़रमाया के जिस शख़्स ने यह दुआ पढ़ी और फिर उस रात उसकी वफ़ात (मौत) हो गई, तो उसकी वफ़ात फ़ितरत पर होगी।
कई जगह इसे यह भी बताया गया है की वो शख़्स मुअ-मिन के (तौर) पर वफ़ात पाएगा।
[सहीह अल-बुख़ारी हदीस #6315]
सोने से पहले की दुआ #3
राफ़ी’अ बिन ख़दीज से रिवायत है की रसूलल्लाह ﷺ ने फ़रमाया:
जब तुम से कोई अपनी दाहिनी करवट लेटे तो पढ़े:
اللَّهُمَّ أَسْلَمْتُ نَفْسِي إِلَيْكَ وَوَجَّهْتُ وَجْهِي إِلَيْكَ وَأَلْجَأْتُ
ظَهْرِي إِلَيْكَ وَفَوَّضْتُ أَمْرِي إِلَيْكَ لَا مَلْجَأَ وَلَا مَنْجَى
مِنْكَ إِلَّا إِلَيْكَ أُومِنُ بِكِتَابِكَ وَبِرَسُولِكَ
फ़िर उस रात में मर जाए, तो वो जन्नत में जाएगा।
[तिरमिज़ी शरीफ हदीस #3395]
Sone Se Pahle Ke Amliyat
Sone se Pahle Char (4) hazaar dinaar sadqa de kar soye.
Ek bar Qur’an sharif padh kar soye.
Jannat ki qimat de kar soye.
Do (2) ladne walon mein sulah kara ke soye.
Ek (1) ‘Hajj kar ke soye.
Lekin Kaise, To Ye Hadees-e-Mubarak Parh Lijiye
Rasool ALLAH ﷺ ne kuch chhote-chhote amliyat bataye hai jinko karne se bade-bade sawab rozana kamaye ja sakte hain.
Huzoor Akram ﷺ ne ek martaba ‘Hazrat ‘Ali Karamullahu Waj-hu se irshad farmaya “aye ‘Ali R.A. raat ko panch kaam kar ke soya karo”
- Char hazaar dinaar sadqa de kar soya karo.
- Ek bar Qur’an sharif padh kar soya karo.
- Jannat ki qimat de kar soya karo.
- Do ladne walon mein sulah kara ke soya karo.
- Ek ‘Hajj kar ke soya karo.
‘Hazrat ‘Ali R.A. ne arz kiya ya Rasool ALLAH ﷺ yeh amr muhaal hai (yeh kaam mushkil hai) mujhse kab ban sakenge.
Is par Huzoor ﷺ ne irshad farmaya:
1. Char (4) martaba surah fateha padh kar soya karo.
• Iska sawab char hazar dinaar sadqa dene ke barabar tumhari nama-e-amaal mein likh diya jayega.
2. Teen (3) martaba surah ikhlas padh kar soya karo.
• Isse ek martaba Qur’an paak padhne ka sawab hoga.
3. Teen (3) martaba durood sharif padh kar soya karo.
• Isse jannat ki qeemat ada hogi.
4. Das (10) martaba astaghfar padh kar soya karo.
• Do ladne walon mein sulah ke barabar sawab milega.
5. Char (4) martaba teesra (3) kalma padh kar soya karo.
• Isse ek ‘Hajj ka sawab hoga.
Is par ‘Hazrat ‘Ali Karamullahu Waj-hu ne ‘arz kiya ya Rasool ALLAH ﷺ ab to mein rozana yeh ‘amliyat kar ke soya karunga.
सोने से पहले के ‘अ-मलियात
सोने से पहले चार (4) हज़ार दिनार सदक़ाह दे कर सोए|
एक बार क़ुर’आन शरीफ पढ़ कर सोए|
जन्नत की क़ीमत दे कर सोए|
दो (2) लड़ने वालों में सुलह करा के सोए|
एक (1) हज कर के सोए|
लेकिन कैसे, तो ये हदीस-ए-मुबारिका पढ़ लीजिए
रसूल अल्लाह ﷺ ने कुछ छोटे-छोटे ‘अ-मलियात बताए है जिनको करने से बड़े-बड़े सवाब रोज़ाना कमाए जा सकते हैं|
हुज़ूर अकरम ﷺ ने एक मर्तबा ‘हज़रत ‘अली कर मुल्लाहू वज-हु से इरशाद फरमाया “आए ‘अली र.अ. रात को पाँच काम कर के सोया करो”
- चार हज़ार दिनार सदक़ा दे कर सोया करो|
- एक बार क़ुर’आन शरीफ पढ़ कर सोया करो|
- जन्नत की क़ीमत दे कर सोया करो|
- दो लड़ने वालों में सुलह करा के सोया करो|
- एक ‘हज कर के सोया करो|
‘हज़रत ‘अली र.अ. ने अर्ज़ किया या रसूल अल्लाह ﷺ यह अम्र मुहाल है (यह काम मुश्किल है) मुझसे कब बन सकेंगे|
इस पर हुज़ूर ﷺ ने इरशाद फरमाया:
1. चार (4) मर्तबा सूरह फ़ातिहा पढ़ कर सोया करो|
• इसका सवाब चार हज़ार दिनार सदक़ा देने के बराबर तुम्हारी नामा-ए-अमाल में लिख दिया जाएगा|
2. तीन (3) मर्तबा सुराह इख्लास पढ़ कर सोया करो|
• इससे एक मर्तबा क़ुर’आन पाक पढ़ने का सवाब होगा|
3. तीन (3) मर्तबा दूरूद शरीफ पढ़ कर सोया करो|
• इससे जन्नत की क़ीमत अदा होगी|
4. दस (10) मर्तबा अस्तग़-फार पढ़ कर सोया करो|
• दो लड़ने वालों में सुलह के बराबर सवाब मिलेगा|
5. चार (4) मर्तबा तीसरा (3) कलमा पढ़ कर सोया करो|
• इससे एक ‘हज का सवाब होगा|
इस पर ‘हज़रत ‘अली करमूल्लाहू वाज-हू ने ‘अर्ज़ किया या रसूल अल्लाह ﷺ अब तो में रोज़ाना यह ‘अम्लियत कर के सोया करूँगा.
English
The Correct and The Sunnah Way of Sleeping at Night?
- When you are going to sleep at night. It would be good if you first recite Bismillah and then clean your teeth with Miswak. Using Miswak improves the eyesight and teeth. In fact, it cures all dental problems and makes your teeth healthy and strong. The Companions of our Beloved Prophet Mu’hammad ﷺ even got the help from ALLAH The Almighty by using Miswak.
- Dust off/clean the bed/bedsheet thoroughly prior to sleeping to avoid any poisonous animals/insects.
- Make an ablution.→ Quran Verses About Hardship
- Do not try to sleep on your stomach. ALLAH The Lord Of The Universe dislikes this posture. It may cause many diseases.
Narrated Abu Hurairah: that the Messenger of ALLAH ﷺ saw a man laying on his stomach so he said: “Indeed such laying is not loved by ALLAH.” [Jami’at-Tirmidhi, Vol. 5, Book 41, Hadith 2768]
- Recite Surah Mulk as the reciter of this Lovely Surah will be saved from the punishments of the grave.
- Recite the above-mentioned dua for sleeping.
- Sleep on your right side placing the palm of your right hand under your right cheek.
- Though, it doesn’t matter if you turn another side during the sleep at night.
- Be generous and forgiving. Cleanse your heart and forgive all your loved ones (family and friends) before sleeping.
- Remember every single sin that you have committed all day and ask ALLAH for forgiveness before sleeping.
- Recite Surah Ikhlaas (Qul HuwALLAHu A’had) 3 times.
- Recite Surah Falaq (Qul Aa’oozu Birabbil Falaq) 3 times.
- Recite Surah Naas (Qul Aa’oozu Birabbinnaas) 3 times and blow on the palms of both of your hands and wipe them all over the body. Repeat this process 3 times.→ Dua for Success in Daily Life Tasks
- Then recite Ayatul kursi. By reciting this, ALLAH will appoint a guardian for you that will protect from shaitan till morning.
- Recite the last two Verses of Surah Al-Baqarah, staring from ‘Aamanarrasoolu’ till ‘Kafireen’ at bedtime. The Messenger of ALLAH ﷺ said that whoever will recite these two Verses before sleeping at the night, would be enough for him.
- Recite Subhaan ALLAH 33 times.
- Recite Alhamdulillah 33 times.
- Recite ALLAHu Akbar 33 times.
- If someone gets upon seeing a bad dream while sleeping at night. He should spit on his left side 3 times. And this spitting shouldn’t be real but by means of gesture only. It doesn’t mean that one must eject saliva from his mouth in actuality. One can do this figuratively by saying “Thu, Thu, Thu”. Furthermore, just turn to another side and sleep. And don’t reveal this dream to anyone.
- What else can be better than making ablution and offering Tahajjud Prayers or Supererogatory Prayers in these moments?
Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
I want. Know duaa for baby boy
Bcz i am pregnant
Dear Sis, if you are asking for a baby boy to be born. Check this link- https://www.yaallah.in/dua-for-having-a-baby-boy/ Insha ALLAH you will become a mother of a baby boy. Ameen.