Shahar Mein Dakhil Hone Ki Dua

Kya kabhi socha bhi hai ke shahar mein dakhil hone ki dua parhne se kya ho sakta hai? Ji han sawab to hasil hoga hi isme koi do raay nahi hai.  Lekin iske ilawa us shahar mein hone wale fitne yani shaitan ke hamle se bhi hifazat se rah sakte hai. Aur apke liye barkaton ka baayis ban jayega.

Kya aap jante hai? ALLAH paak sirf badi badi nekiyan nahi dekhta. Balki wo to apne bando ki chhoti chhoti neki karne ki niyyaton ko bhi jaan leta hai. Yahan→ Safar Ki Dua in Hindi dekhiye!

Agar apne raste se chhota sa patthar hata diya, yeh soch kar ke ane jane walon ko dikkat na ho. To wo Kareem Rab use bhi apke nama-e-amaal mein darj kar leta.

To sochiye aisi kitni chizon se aap sawab kama sakte hai. Ek qadam bhi uthaye to ALLAH Ta’ala ka zikr zarur karein. Ghar se jab bhi nikle to Ghar Se Nikalne Ki Dua zarur padhein.

Jab kisi dusre shahar jayen to us shahar mein dakhil hone se pahle ye dua padh lijiye. Apne safar mein jo bhi sathi ho use bhi ye dua zarur batayen.

Phir dekhiyega ALLAH Tabarak Wa Ta’ala kaise us shahar ko apke liye mubarak bana denge.

Jis kaam se aap dusre shahar gaye hai. ALLAH Pak ne chaha to us kaam me bhi fatahyabi hasil hogi, Ameen. Dekhiye Har Kaam Jaldi Hone Ki Dua

Dusre Shahar Se Apne Shahar Lautne Ki Dua

Dusre shahar se jab apne shahar laute to bhi yeh dua zarur padhein.

Kya pata konsi neki apko jannatul firdaus ka haqdaar bana kar Hazrat Muhammad ﷺ ka padosi bana de. Isliye duniya ki fikar mein ek bhi nekiyan karne se na chuke.

Shahar Mein Dakhil Hone Ki Dua

Shahar Me Dakhil Hone Ki Dua

ALLAHumma Rabbas-Samawatis-Sab-‘i Wama Azallat Wa-Rabbal Arzeenas-Sab-‘i Wama Aqallat Wa-Rabbar-Riyaahi Wama Azarrat Wa-Rabbash-Shayaateeni Wama-Azallat Inni As-Aluka Khayra-ha Wa-Khayra Maa-Feeha Wa-A’oozubika Min-Sharri Ha Wa-Sharri Ma-Feeha

(Silsila Al-Sahiha 2759)

Is dua ki silsila Al Sahiha ke ilawa kahin se koi sanad ya hawal nahi mila hai. Lekin bahot hi pyari dua hai lihaza ise parhkar sawab hasil kiya ja sakta hai.

Dua hai ALLAH paak apke safar mein apki hifazat karein.

Apko apne hifz-o-amaan mein rakhein. Aur aap jis bhi maqsad se dusre gaon gaye hai us kaam mein ALLAH Ta’ala apni rahmatein nazil farmaye. Ameen

Safar ke dauran astaghfar, apni dili hajat ki dua aur apne aur tamaam alam-e-islaam ki duaniya-o-akhirat ki bhalayi ke liye zarur dua karein.

Musafir ki dua ALLAH Ta’ala jaldi qubool farmata hai. Insha ALLAH.

Agar apko hamari post pasand ayi to apne pyaron se zarur share kijiyega.

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

2 Comments on “Shahar Mein Dakhil Hone Ki Dua”

  1. Hello…what does it say? I can’t read hjndi nor understand the whole sentences…can you help me? I wish the duas are all in english. Thank you.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *