Hadees-e-Mubarika mein shaban ki fazilat ka zikr aya hai. Is post mein shaban aur is mahine ki 15 tareekh ki khas fazilat aur zikr-o-ibadat ke bare mein bat karenge.
Shaban Ke Mahine Ki Fazilat Aur Shab-e-Barat Ki Ibadat
Sha’aban Ki Haisiyat Kya Hai?
Ek riwayat main Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ne is mahine ko apna mahina qarar dia hai, chunache farmaya:
Sha’aban mera maheena aur Ramadan ALLAH Ta’ala ka maheena hai.
Ye bhi dekhiye→ Shab e Barat Ki Ibadat Ka Tarika
Sha’aban Ko Sha’aban Kyon Kahte Hai?
Hazrat Anas R.A. farmate hain:
Sha’aban ko “Sha’aban” is liye kaha jata hai kyunke is mai roza rakhne wale ke liye buhat si khairen aur bhalaiyan (shakhon ki tarah) phootti hain, yahan tak ke wo jannat mai jaa puhanchta hai.
Is mahine mai aamal ki paishi hoti hai, chunache Hazrat Osama bin Zaid R.A. se riwayat hai ke Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim irdhad farmate hain:
Rajjab aur Ramadan ke darmiyan jo Sha’aban ka maheena hai (aam tor par) log us se gaflat ka shikar hote hain, halanke is maheene mai bando ke aamal ALLAH Ta’ala ke huzoor paish kiye jaate hain.
Hazrat Anas R.A. se marwi hai ke jab Rajjab ka mahina dakhil hota to Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim yeh dua parha parha karte the:
“ALLAHumma Barik Lanaa Fee Rajaba, Wa Sha’abana, Wa Ballaghnaa Ramazana”
“Ae ALLAH! Rajjab aur Sha’aban ke maheene mai hame barkat ata farma aur hame (bakhair-o-aafiyat) Ramadan-ul-Mubarik tak puhancha dijiye.
Ye bhi dekhiye→ Ya Zal Jalali Wal Ikram
Shaban Ke Mahine Ki Fazilat
Pehli Fazeelat: Bakasrat Logon Ki Maghfirat
Is shab mai ALLAH Ta’ala be-shumar logon ki magfirat kar dete hain, chunache Hazrat A’isha Siddiqua R.A. Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ka yeh irshad naqal farmati hain ke beshak ALLAH Sha’aban ki pandraween shab main aasmaani dunya par (apni shaan ke mutabik) nuzool farmate hain aur qabeela “Kalb” ki bakriyon ke balon ki ta’adad se bhi zyada logon ki magfirat farma dete hain.
Qabeela “Banu Kalb” arab ka ek qabeela hai jo bakriyan kasrat se rakhne mai mashoor tha, aur bakriyon ke balon ki ta’adad se zyada magfirat karne ke do matlab zikr kiye gae hain:
- Pehla matlab yeh hai ke is se gunahgar murad hain, ya’ani is qadar kaseer gunahgaron ki magfirat ki jaati hai ke jin ki ta’adad un bakriyon ke balon ki ta’adad se bhi zyada hoti hai. Aur is ka hal yeh hai ke be-shumar logon ki magfirat hoti hai.
- Dusra matlab yeh bhi bayan kia gaya hai ke is se gunahgar nahi balke gunah murad hain, yaani agar kisi ke gunah banu kalb ki bakriyon ke balon se bhi ziada hon to ALLAH Ta’ala apne fazal se ma’af farma dete hain.
Dusri Fazeelat: Duaon Ki Qabooliyat:
Yeh raat dua’on ki qabooliyat wali raat hai, is mai ALLAH Ta’ala se mangne wala mehroom nahi hota, balke khud ALLAH Ta’ala ki janib se sada lagai jaati hai ke koi mujhse mange mai unki maang puri karun, jaisa ke hadees mai ata hai,
Hazrat Ali Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ka yeh irshad naqal farmate hain:
Jab Sha’aban ki pandraween shab ho to uski raat mai qayam (ibadat) karo aur uske din mai roza rakho, beshak ALLAH Ta’ala is raat mai ghuroob-e-shams (suraj doobne) se he asmaani dunya mai (apni shan ke mutabik) nazool farmate hain aur kehte hain:
- kya koi mujhse magfirat chahne wala nahi ke mai uski magfirat karun?
- Kya koi rizk talab karne wala nahi ke mai usse rizk ata’a karun?
- Kya koi musibat-o-pareshani mai mubtila shakhs nahi ke mai usse ‘afiyat ‘ata karun?
- Kya falan aur falan shakhs nahi… yahan tak ke (isi tarah sada lagte lagte) Subah sadiq tul’oo hojati hai.
ALLAH Ta’ala ki janib se yeh ‘Ata aur bakhshish ki sada rozan’a raat ko lagti hai aur b’aaz riwayaat mai raat ke ek ek tanhai hissay ke guzar jane ke baad subah tak lagti hai aur b’aaz riwayaat mai raat ke akhri peher y’ani akhri tihai hissay mai lagai jati hai jaisa ke tirmizi shareef ki riwayat mai is ka zikr hai, lekin is shab-e-barat ki azmat ka kya kehna!
Ke is raat mai shur’u hi se y’ani aaftab ke guroob hone se le kar subah sadiq tak yeh sada lagai jati hai, lihaza in qabooliyat ki gharyon mai gaflat mai soye pare rehne se bachna chahye aur ALLAH Ta’ala ki janib ruj’u karte hue shauk-o-zauk ka izhaar karna chahye.
Teesri Fazeelat: Saal Bhar Ke Faislon Ki Raat:
Is raat ki ek ahem fazeelat yeh hai ke is mai saal bhar ke faisle kiye jaate hain ke kis ne paida hona aur kis ne marna hai kis ko kitna rizk dia jaega aur kis ke sath kia pesh aega, sab kuch likh dia jata hai.
Chunanche Hazrat A’isha Siddiqua R.A. farmati hain ke Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ne farmaya:
Ae ‘Aisha! Kia tum janti ho ke is pandarween shab mai kia hota hai?
Maine arz kiya ya RasoolALLAH kya hota hai? Ap ﷺ ne irshad farmaya:
Bani Adam mein se har ek shakhs jo is saal paida hone wala hota hai. Is raat mein likh diya jata hai, aur bani Adam mein har ek shakhs jo is saal marne wala hota hai is raat mein likh diya jata hai, aur is raat mein bandon ke aamaal utha liye jate hai aur isi raat mein bandon ke rizq utarte hai.
(Mishkaat-ul-Musabeeh : 1305)
Ek riwayat mai Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ka yeh irshad manqool hai:
Ek sha’aban se dusre sha’aban tak ‘Umren likhi jaati hain, yahan tak ke koi shakhs nikah karta hai aur us ki aulad bhi hoti hai lekin (usse m’aloom tak nahi hota ke) us ka naam murdon mai nikal chuka hota hai.
Shaban Mein Dua Qubul Hone Ke Sharait
Pehli Shart: Haram Se Ijtinab
Hadees ke mutabik jis ka khana peena aur libaas wagairah haram ka ho us ki du’a qabool nahi hoti, chunache Hazrat Abu Hurairah R.A. farmate hain ke Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ne ek shakhs ka tazkirah kia jo taweel safar karta hai aur us ki wajah se wo pura ganda aur gubar aloodah ho jata hai aur is par gandagi ki halat mai apne hath ALLAH Ta’ala ke samne phaila kar kehta hai: Ae mere parwardigar! Ae mere parwardigar! Halanke us ka khana, us ka peena, us ka libaas sab haram ho aur us ki parwarish haram maal se ki gai ho to us ki du’a kaise qabool ki ja sakti hai.
Dusri Shart: Tawajjoh Se Dua Karna
Yaani dil ki tawajjah se ALLAH Ta’ala se du’a karna, aisa na ho ke gaflat mai sirf ratte ratae du’aiya kalmat zubaan se ad’a kiye jaen aur dil hazir na ho, kyunke hadees ke mutabik aisi gaflat ke sath mangi ke sath mangi jane wali du’a qabil-e-qabool nahi hoti. Chunanche Hazrat Abu Hurairah R A. Nabi Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallim ka yeh irshad naqal farmate hain: ALLAH Ta’ala se qabooliyat ke yaqeen ke sath du’a manga karo aur jaan lo! Ke ALLAH Ta’ala gaflat aur la-parwahi mai pare hue dil ke sath du’a qabool nahi farmate. Ye bhi dekhiye→ How to Ask ALLAH For Something You Really Want?
Mah-e-Shaban Mein Shab-e-Qadr Mein Kya Karna Chahiye?
Tariqa Hadees Mein
Do raka’at Salat ul Taubah parh kar sachi taubah karen, apne gunaho par sharmindagi o nadamat ke sath ALLAH Ta’ala se sadqa e dil se m’afi mange.
Chunanche shab-e-qadr ke bare mein Hazrat ‘Aisha R.A. farmati hai ke jab Huzur ﷺ se sawal kiya ke ya Rasoolullah ﷺ agar main shab-e-qadr paa loon to usme kya parhu to ap ﷺ ne unko koi bada zikr ya koi badi namaz ya tasbih parhne ke liye nahi kaha balke ek mukhtasar aur asan si dua talqeen farmayi, jisme uf’u darguzar ki darkhwast ki gayi hai.
“ALLAHumma Innaka ‘Afuwwun Tuhibbul ‘Afwa Fa’afu ‘Anni”
Ae ALLAH! TU Bahut Ma’af Farmane WALA Hai, Ma’afi Ko Pasand Farmata Hai, Pas Mujhe Ma’af Farma De!
Isse malum hua ke ba-barkat raaton mein sabse bada karne ka kaam jo amooman log nahi karte aur makhsoos qism ki khud sakhta namaz parhne ke peechhe lag jate hai wo ye hai ke apne maazi ki zindagi par sachche dil se sharmsaar hokar, ayindah amalan tabdeeli lane ka sachcha irada lekar tawbah aur astaghfaar kiya jaye, yeh amal mubarak raton ki barkat ko sametne ka sab se ahem aur saheeh tareeqa hai.
Nabi-e-Kareem ﷺ irshad farmate hai ki sha’aban ka mahina bahut hi barkat wala mahina hai. Is mubarak mahine ki ibadaton ka sawab ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala ata farmayega. In sha ALLAH. Zarur dekhiye→ Kunde Ki Niyaz in Hindi
Nifli Namaz
Sha’aban ki pahli raat ko isha ki namaz ke baad 2 rakat namaz padhen. Har rakat mein surah fateha ke baad surah ikhlaas 15-15 bar padhen. Salaam pherne ke baad 70 martaba durood sharif padhkar apne gunahon se taubah karein aur ALLAH Ta’ala se apni gunahon ki maghfirat ki dua karien, ALLAH ne chaha to Aapki maghfirat farmayega. In sha ALLAH.
Sha’aban ki Pahli Jumu’ah Ki lbadatein
-
Sha’aban ki pahli jumu’ah ki raat ko isha ki namaz ke baad 8 rakat nifl namaz 2 salaam se padhein, har rakat mein surah fateha ke baad surah ikhlaas 11-11 martaba padhein.
-
Sha’aban ke pahli jumu’ah ki raat ko isha ki namaz ke baad chaar(4) rakat nifl ek salaam se padhein. Har rakat mein mein surah fateha ke baad surah ikhlaas 33 bar padhein. Is namaz ko padhne ke baad ALLAH SWT se apni zindagi ki khair-o-barkat ki dua karein.
ALLAH ne chaha to Aapko dheron sawab dega. In sha ALLAH. Zarur dekhiye→ Badhazmi Khatm Karne Ki Dua - Sha’aban ke pahli jumu’ah ko Maghrib ki namaz ke bad aur esha ki namaz se pahle 2 rakat namaz ada karein. Har rakat mein surah fateha ke baad 1 bar Ayatul kursi, 10 bar surah ikhlaas, 1 bar surah falak aur ek bar surah naas padhein. Padhne ke baad emaan ki salamati ki dua karein. ALLAH ne chaha to yeh namaz emaan ko badhayega. In sha ALLAHSha’aban ki chaudah(14) tareekh ko maghrib namaz ke baad do rakat nifl padhein. Har rakat mein fateha ke baad surah hashr ki akhri teen ayat ek-ek bar padhein. Surah ikhlaas teen-teen bar padhein. In sha ALLAH is namaz ke zariye ALLAH Aapki maghfirat farmayega. Ameen.
Sha’aban Ki Pandrahvi(15wi) Raat Mein Karne Wali Ibadatein
Yahan Padhiye→ Nisf Sha’aban Ki Dua
- Sha’aban ki 15wi raat ko gusl karein, agar kisi bimari ki wajah se gusl na kar sake to wuzu hi karke do rakat tahiyyatul wuzu ki niyat se padhein. Har rakat mein surah fateha ke baad ayatul kursi ek bar, surah ikhlaas teen-teen bar padhein.
Yeh namaz padhkar ALLAH se apni agli pichhli gunahon ki maafi mange, in sha ALLAH aapki maghfirat ALLAH farmayega. - Sha’aban ki pandrahvi(15wi) raat ko do rakat namaz padhein. Har rakat mein surah fateha ke baad ayatul kursi ek bar, surah ikhlaas 15-15 bar padhein. Zarur dekhiye→ Nakhun Katne Ka Sunnat Tarika
4) Salaam pherne ke baad durood sharif ek sao(100) martaba padhkar rozi mein barkat aur kushadgi ke liye dua karein. Is namaz barkat se ALLAH Aapki rozi mein khub barkat ata karega, Insha ALLAH. - Pandrahvi(15wi) raat ko Aath (8) rakat nifl chaar (4) salaam se padhein.
- Har rakat mein surah fateha ke baad surah Qadr ek-ek bar padhein. Surah ikhlaas 25 martaba padhein.
- Is namaz ko padhne ke baad apni bakshish ki dua karein, ALLAH ne chaha to Aapki bakshish zarur ho jayegi Insha ALLAH.
15 Sha’aban Ki Nifli Namaze
Sha’aban ki 15 tareekh ko zuhar ki namaz ke baad surah Ziljaal ek bar, surah ikhlaas das(10) bar aur dusri rakat mein surah fateha ke baad surah takaasur ek bar, surah ikhlaas das(10) .
Teesri rakat mein surah fateha ke baad surah kaafirun teen bar aur surah ikhlaas das(10) bar, aur chauthi rakat mein surah fateha ke baad surah ayatul kursi teen bar aur surah ikhlaas 25 baar padhein. Zarur dekhiye→ Ilm Mein Izafa Ki Dua
Is namaz ko padhne ke baad duniya aur akhirat ki bhalayi ki dua karein. In sha ALLAH Ta’ala ALLAH Aapko dono jahano ki khushiyan ata karega.
Dhyan Dijiye:
Upar jitne bhi di hui sha’aban ki niflee ibadat hai wo sab kisi bhi Hadees se sabit nahi hoti hai.
Lekin agar koi ibadat ke taur par ye sab parhte hai to isme koi harj nahi hai. ALLAH Ta’ala par tawakkal rakhte hue bakhshish ki, rozi ki, lambi umr ki aur gunahon ki mafi ki dua karenge to yaqeenan ALLAH apke haq me ‘ata karega. Insha ALLAH ameen.
Sha’aban Ki Barkaton Se Ghafil Log
Hazrat Anas bin Zaid R.A se farmate hai ki maine Rasool ALLAH ﷺ se arz kiya:
Ya Rasool ALLAH ﷺ ! Jis kasrat se maine Aapko Maah Sha’aban mein roze rakhte dekha ho, kisi aur mahine mein nahi dekhta?
Aap ﷺ ne irshad farmaya:
“Yeh aisa mahina hai jo Rajab aur Ramazan ke darmiyan waq’a hai aur log a’mumah is mahine ki barkaton se ghafil hai. Is maah mein ALLAH Ta’ala ke samne amal pesh kiye jate hain, meri khwaish hai ke meri A’maal is haal mein pesh ho ke mai roze se ho.”
Maahe sha’aban ki barkat tah’sil karne ke liye is maah mein Ramazan-ul Mubarak ki taiyari ki jaye’ ibadat aur roze rakhne ki adat dali jaye aur apne kamon ko is andaz mein kiye jaye ki Ramazan-ul Mubarak mein ziada se ziada waqt ibadat aur ta’alluq m’a-ALLAH ke liye farigh ho sake.
(Hawala:-As-Sunan Al-Kubra Lil Nasai: 3257 Hadees Hassan)
- Pandravhi(15wi) rat maghrib ki namaz ke baad 6 rakat namaz 3 salaam se padhein.
- Pahli do rakat ada karne ke baad umar daraazi ki dua karein.
- Dusri do rakat ada karne ke baad Bala-o-afat dor hone ki dua karein.
- Teesri do rakat ada karne ke baad ALLAH ke siwa kisi ka Muhtaaj na hone ki dua karein. ALLAH ne chaha to Aapko umar daraaz, balaon se dor aur apne siwa kisi ka muhtaaj nahi rakhega. Ameen.
- Har do rakat ke baad ek bar surah yaseen ya 21 martaba surah ikhlaas padhein.
- Aur iske baad adhe Sha’aban ki dua (Dua nisf Sha’aban) padhein.
शाबान के महीने की फ़ज़ीलत
हदीस-ए-मुबारिका में शाबान की फ़ज़ीलत का ज़िक्र आया है। इस पोस्ट में शाबान और इस महीने की 15 तारीख की खास फ़ज़ीलत और ज़िक्र-ओ-इबादत के बारे में बात करेंगे।
शाबान के महीने की फ़ज़ीलतऔर शब-ए-बारात की इबादत
शाबान की हैसियत क्या है?
एक रिवायत में नबी करीम सल्लल्लाहु ‘अलयहे वसल्लम ने इस महीने को अपना महीना क़रार दिया है, चुनांचे फरमाया:
रज्जब और रमदान के दरमियान जो शाबान का महीना है (आम तौर पर) लोग उस से ग़फलत का शिकार होते है, हालांके इस महीने में बंदो के अ’अमाल अल्लाह त’आला के हुज़ूर पेश किये जाते है।
हज़रत अनस र.अ. से मरवी है के जब रज्जब का महीना दाखिल होता तो नबी करीम ﷺ ये दुआ पढ़ा करते थे:
“अल्लाहुम्मा बारिक लना फ़ी र-जबा, व शाअ-बाना, व बल्लग़-ना र-म-ज़ाना”
“ALLAHumma Barik Lanaa Fee Rajaba, Wa Sha’abana, Wa Ballaghnaa Ramazana”
“ऐ अल्लाह! रज्जब और शाअ-बान के महीने मे हमेे (बख़ैर-ओ-‘आफियत) र-म-ज़ान-उल-मुबारिक तक पुहंचा दीजिये।
शाबान के महीने की फ़ज़ीलत
-
पहली फ़ज़ीलत: बा-कसरत लोगो की मग़फिरत
इस सब मे अल्लाह त’आला बे-शुमार लोगों की मग़फिरत कर देते है, चुनांचे हज़रत ‘आइशा सिद्दीक़ा र.अ. नबी करीम ﷺ का ये इरशाद नक़ल फरमाती हैं के बेशक अल्लाह शाबान की पन्द्र्वी शब मैं आसमानी दुनिया पर (अपनी शान के मुताबिक) नुज़ूल फरमाते हैं और क़बीला “कल्ब” की बकरियों की मग़फिरत फरमा देते हैं।
क़बीला “बनू कल्ब” अरब का एक क़बीला है जो बकरियाँ कसरत् से रखने मे मशूर था, और बकरियाँ के बालों की ता’अदाद से ज़ियादा ज़िक्र किये किये गयी हैं:
पहला मतलब यह है के इस से गुनाहगार की मग़फिरत की जाती है के जिन की ता’अदाद उन बकरियों के बालों की ता’अदाद से भी ज़ियादा होती है। और इस का हाल यह है के बे-शुमार लोगों की मग़फिरत होती है।
दूसरा मतलब ये भी बयान किया है के इस से गुनाहगार नही बलके गुनाह मुराद हैं, यानी अगर किसी के गुनाह बनू कल्ब बकरियों के बालों से भी ज़ियादा हों तो अल्लाह त’आला अपने फज़ल से म’आफ फरमा देते हैं। ज़रूर देखिए→ कूंडे की नियाज़
-
दूसरी फ़ज़ीलत: दु’आओं की क़ुबूलीयत
यह रात दुआ’ओं की क़ुबूलियात वाली रात है, इस में अल्लाह त’आला से मांगने वाला मेहरूम नही होता, बलके खुद अल्लाह त’आला की जानिब से सदा लगाई जाती है के कोई मूझसे मांगे में उनकी मांग पूरी करूँ, जैसे के हदीस में आता है:
हज़रत अली नबी करीम ﷺ का यह इरशाद नक़ल फरमाते हैं।
जब शाबान की पन्द्र्वी शब हो तो उसकी रात में क़याम (इबादत) करो और उसके दिन में रोज़ा रखो, बेशक अल्लाह त’आला इस रात में ग़ुरूब-ए-शम्स ( सूरज डूबने) से ही आसमानी दुनिया में (अपनी शान के मुताबिक) नुज़ूल फरमाते हैं और कहते हैं:
क्या कोई मुझ्से मग़फिरत चाहने वाला नही के मैं उसकी मगफिरत करूँ?
क्या कोई रिज़्क़ तलब करने वाला नही के मैं उसे रिज़्क़ ‘अता करूँ?
क्या कोई मुसीबत-ओ-परेशानी में मुब्तिला शख़्स नही के मैं उसे ‘आफियत ‘अता करूँ?
क्या फलां और फलां शख़्स नही। यहाँ तक के (इसी तरह सदा लगते लगते) सुबह सादिक़ तुल’ऊ हो जाती है।
अल्लाह त’आला की जानिब से यह ‘अता और बख़्शिश की सदा रोज़ाना रात को लगती है और ब’आज़ रिवायत में रात के एक तन्हाई हिस्से के गुज़र जाने के बाद सुबह तक लगती है और ब’आज रिवायत में रात के आखरी पहर यानी आख़िरी तिहाई हिस्से में लगाई जाती है जैसे के तिर्मिज़ी शरीफ की रिवायत में इस का ज़िक्र है, लेकिन इस शब-ए-बारात की अज़मत का क्या कहना!
के इस रात में शुरु ही से यानी आफताब के ग़ुरूब होने से लेकर सुबह सादिक़ तक यह सदा लगाई जाती है, लिहाज़ा इन क़बूलियत की घड़ियों में ग़फलत में सोये पड़े रहने से बचना चाहिए और अल्लाह त’आला की जानिब रूजू’ऊ करते हुए शौक़-ओ-ज़ौक़ का इज़हार करना चाहिए।
-
तीसरी फजीलत: साल भर के फैसलों की रात:
इस रात की एक अहम फ़ज़ीलत यह के इस में साल भर के फैसले किये जाते हैं के किसने पैदा होना और किस मरना है किस को कतने रिज़्क़ दिया जायेगा और किस के साथ क्या पेश आयेगा, सब कुछ लिख दिया जाता है। ज़रूर देखिए→ सलातुल तौबह की नमाज़ का तरीक़ा
चुनांचे हज़रत ‘आईशा सिद्दीक़ा र.अ. फरमाती हैं के नबी करीम ﷺ फरमाया:
ऐ ‘आईशा! क्या तुम जानती हो के इस पन्द्र्वी शब में क्या होता है?
मैंने अर्ज़ किया या रसूलल्लाह क्या होता है? आप ﷺ ने इरशाद फरमाया:
बनी आदम में से हर एक शख़्स जो इस साल पैदा होने वाला होता है, इस रात में लिख दिया जाता है, और बनी आदम में हर एक शख़्स जो इस साल मरने वाला होता है, इस रात में लिख दिया जाता है, और इस रात में बन्दों के अ’अमाल उठा लिए जाते है और इसी रात में बन्इदों के रिज़्क़ उतरते है|
(मिश्कात्-उल-मुसाबीह : 1305)
एक रिवायत में नबी करीमﷺ का यह इरशाद मनकूल है:
एक शाबान से दूसरा शाबान तक ‘उम्रें लिखी जाती हैं, यहाँ तक के कोई शख़्स निकाह करता है और उस की औलाद भी होती है लेकिन (उसे मा’अलूम तक नही होता के) उस का नाम मुर्दों में निकल चुका है।
शाबान में दु’आ कुबूल होने के शराइत
पहली शर्त: हराम इजतिनाब
हदीस के मुताबिक जिस का खाना पीना और लिबास वग़ैरह हराम का हो उस की दु’आ कुबूल नही होती, चुनांचे हज़रत अबू हुरैरा र.अ. फरमाते हैं के नबी करीम ﷺ ने एक शख़्स का तज़किरह् (ज़िक्र) किया जो तवील (लम्बा) सफर करता है और उस की वजह से वो परागंदा और ग़ुबार अलूदाह हो जाता है और इस पर गंदगी की हालत में अपने हाथ अल्लाह त’आला के सामने फैला कर कहता है:
ऐ मेरे परवरदिगार! हालांके उस का खाना, उस का पीना, उस का लिबास सब हराम हो और उस की परवरिश हराम माल से की गई हो तो उस की दु’आ कैसे क़बूल की जा सकती है।
दूसरी शर्त: तवज्जोह से दुआ करना
यानी दिल की तवज्जुह से अल्लाह त’आला से दु’आ करना, ऐसा न हो के ग़फलत में सिर्फ रटी रटाई दु’आएं कलमात ज़ुबान से अदा किये जाए और दिल हाज़िर न हो, क्यों की हदीस के मुताबिक ऐसी ग़फलत के साथ मांगी के साथ मांगी जाने वाली दु’आ क़ाबिल-ए-कुबूल नही होती। ज़रूर देखिए→ कुन फ-य कून का वज़ीफ़ा
चुनांचे हज़रत अबू हुरैरह र.अ. नबी करीमﷺ का यह इरशाद नक़ल फरमाते हैं: अल्लाह त’आला से क़ुबूलीयत के यकीन के साथ दुआ मांगा करो और जान लो! के अल्लाह त’आला ग़फलत और ला-परवाही में पड़े हुए दिल के साथ दु’आ क़ुबूल नही फरमाते।
माह-ए-शाबान में शब-ए-क़दर में क्या करना चाहिए?
तरीक़ा हदीस में
दो रक’अत सलातुल तौबह पढ़ कर सच्ची तौबह करें, अपने गुनाहों पर शरमिंदगी ओ नदामत के साथ अल्लाह त’आला से सिद्क़े दिल से म’आफी मांगे।
चुनांचे शब-ए-क़दर के बारे में हज़रत ‘आईशा र.अ. फरमाती है के जब हुज़ूरﷺ से सवाल किये के या रसूलुल्ला ﷺ अगर मैं शब-ए-क़दर पा लूँ तो उसने क्या पढ़ू तो आप ﷺ ने उनको कोई बड़ा ज़िक्र या कोई बड़ी नमाज़ या तस्बीह पढ़ने के लिए नही कहा बलके एक मुख़्तसर और आसान सी दुआ तलक़ीन फरमायी, जिसने उफ’उ दरगुज़र की दरखास्त की गयी है।
दुआ ऊपर वॉलपेपर में देखिये
इससे मा’अलूम हुआ के बा-बरकत रातों में सबसे बड़ा करने का काम जो अमूमन लोग नही करते और मखसूस क़िस्म की ख़ुद साख़्ता नमाज़ पढ़ने के पीछे लग जाते है वो ये है के अपनी माज़ी की जिंदगी पर सच्चे दिल से शर्मसार होकर, आईंदा ‘अमलन (अमल करते हुए) तब्दीली लाने का सच्चा इरादा लेकर तौबाह् और अस्तग़फार किये जाए, येह अमल मुबारक रातों की बरकत को समेटने का सब से अहम और सही तरीक़ा है।
शा’अबन के महीने की फज़ीलत और निफ्लि नमाज़े
नबी करीमﷺ इरशाद फरमाते है की शा’अबन का महिना बहुत ही बरकत वाला महिना है। इस मुबारक महिने की इबादतों का सवाब अल्लाह ‘अता फरमायेगा। इंसा अल्लाह
निफलि नमाज़े
शा’अबन की पहली रात को ईशा की नमाज़ के बाद 2 रकत नमाज़ पढ़े। हर रकत में सुरह फातेहा के बाद सुरह इख़लास 15-15 बार पढ़े। सलाम फेरने के बाद 70 मरतबा दुरूद् शरीफ पढ़कर अपने गुनाहों से तौबह करें और अल्लाह त’आला से अपनी गुनाहों की मगफिरत की दुआ करें, अल्लाह ने चाहा तो आपकी मग़फिरत फरमायेगा। इंशा अल्लाह|
शा’अबन की पहली जुम’आ की इबादतें:
- शा’अबन की पहलि जुमु’आह की रात को ईशा की नमाज़ के बाद 8 रकत निफ्लि नमाज़ 2 सलाम से पढ़े, हर रकत में सुरह फातेहा के बाद सुरह इख़लास 11-11 मरतबा पढ़े।
- शा’अबन के पहले जुम’आह की रात को ईशा की नमाज़ के बाद 4 रकत निफ्लि नमाज़ एक सलाम से पढ़े। हर रकत में सुरह फातेहा के बाद सुरह इख़लास 33 बार पढ़े। इस नमाज़ को पढ़ने के बाद अल्लाह त’आला से अपनी ज़िंदगी की खैर-ओ-बरकत की दुआ करें।
अल्लाह ने चाहा तो आपको ढेरों सवाब देगा। इंशा अल्लाह - शा’अबन के पहली जुमु’आह को मगरिब की नमाज़ के बाद और ईशा की नमाज़ से पहले 2 रकत नमाज़ अदा करें। हर रकत में सुरह फातेहा के बाद 1 बार आयातुल कुर्सी, 10 बार सुरह इख़लास, 1बार सुरह फलक और एक बार सूरह नास पढ़े। पढ़ने के बाद ईमान की सलामती की दुआ करें।
अल्लाह ने चाहा तो यह नमाज़ ईमान को बढ़ायेगा। इंशा अल्लाह
शा’अबन की चौदह(14) तारीख को मगरिब नमाज़ के बाद दो रकत निफ्लि पढ़े। हर रकत में सुरह फातेहा के बाद सुरह हश्र् की आखरी तीन आयात एक-एक बार पढ़े।
सुरह इखलास तीन-तीन बार पढ़े। इंशा अल्लाह इस नमाज़ के जरिये अल्लाह आपकी मगफिरत फरमायेगा। आमीन|
शा’अबन की पंद्रहवी (15वि) रात में करने वाली इबादतें।
- शा’अबन की 15वि रात को गुस्ल करें, अगर किसी बीमारी की वजह से गुस्ल ना कर सके तो वुज़ू ही करके दो रकत तहिय्यतुल् वुज़ू की नियत से पढ़े। हर रकत में सुरह फातेहा के बाद आयातुल कुर्सी एक बार, सुरह इखलास तीन-तीन बार पढ़े। यह नमाज़ पढ़कर अल्लाह से अपनी अगली पोछलि गुनाहों की माफी मांगे, इंशा अल्लाह आपकी माग़फिरत अल्लाह फरमायेगा।
- शा’अबन की पंद्रहवीं (15वि) रात को दो रकत नमाज़ पढ़े। हर रकत में सुरह फातेहा के बाद आयतुल कुर्सी एक बार, सुरह इखलास 15-15 बार पढ़े।
- सलाम फेरने के बाद दुरूद् शरीफ एक सौ(100) मरतबा पढ़कर रोज़ी में बरकत और कुशादगी के लिए दुआ करें। इस नमाज़ के बरकत से अल्लाह आपकी रोज़ी में खूब बरकत आता करेगा। इंशा अल्लाह|
- पंद्रहवी (15वि) रात को 8 रकत निफ्लि नमाज़ चार सलाम से पढ़े।
- हर रकत में सुरह फातेहा के बाद सुरह क़दर एक-एक बार पढ़े। सुरह इखलास 25 मरतबा पढ़े।
- इस नमाज़ को पढ़ने के बाद अपनी बख़्शीष की दुआ करें, अल्लाह ने चाहा तो आपकी बख़्शिश ज़रूर हो जायेगी। इंशा अल्लाह|
15 शा’अबन की निफ्लि नमाज़े
शा’अबन की 15 तारीख को ज़ौहर की नमाज़ के बाद सुरह ज़िलजाल एक बार, सुरह इखलास दस पढ़े। तीसरी रकत में सुरह फातेहा के बाद सुरह काफिरून तीन बार और सुरह इखलास दस बार, और चौथी रकत में सुरह फातेहा के बाद आयातुल कुर्सी तीन बार और सुरह इखलास 25 बार पढ़े।
इस नमाज़ को पढ़ने के बाद दुनियाँ और आखि़रत की भलाई की दुआ करें। इंशा अल्लाह त’आला आपको दोनो जहानों की खुशियाँ आता करेगा।
शा’अबन की बरकतों से ग़ाफ़िल लोग
हज़रत अनस बिन ज़ैद र.आ फरमाते है की मैंने रसूल अल्लाह ﷺ से अर्ज़ किया:
या रसूल अल्लाह ﷺ ! जिस कसरत से मैंने आपको माहे शा’अबन में रोज़े रखते देखा हो, किसी और महीने में नही देखता?
आप ﷺ ने इरशाद फरमाया:
“यह ऐसा महीना है जो रजब और रमज़ान के दरमियान वक़’आ है लोग आ’मुमन इस महीने की बरकतों से ग़ाफ़िल है। इस माह में अल्लाह त’आला के सामने अमल पेश किये जाते हैं, मेरी ख़्वाहिश है के मेरी आ’माल इस हाल में पेश हो के मै रोज़े से हों। ”
माहे शा’अबन की बरकत की तह’सिल करने के लिए इस माह में रमज़ान-उल मुबारक की तैयारी की जाए’ इबादत और रोज़े रखने की आदत डाली जाए और अपने कामों को इस अंदाज़ में किये जाए की रमज़ान-उल मुबारक में ज्यादा से ज्यादा वक़्त इबादत और त’अल्लुक़ म’आ-अल्लाह के लिए फारिग़ हो सके।
हवाला:- अस-सुनन अल-कुबरा लील नसाई: 3257 हदीस हसन
- पंद्रहवीं (15वि) रात मग़रिब की नमाज़ के बाद 6 रकत नमाज़े 3 सलाम से पढ़े। पहली दो रकत अदा करने के बाद उमर दराज़ी की दुआ करें।
दूसरी दो रकत अदा करने के बाद बला-ओ-आफत दूर होने की दुआ करें। - तीसरी दो रक’अत अदा करने के बाद अल्लाह के सिवा किसी का मुहताज ना होने की दुआ करें। अल्लाह ने चाहा तो आपको उमर दराज़, बलाओं से दूर और अपने सिवा किसी का मुहताज नही रखेगा। अमीन
- हर दो रकत के बाद एक बार सुरह यासीन या 21 मरतबा सुरह इखलास पढ़े।
- और इसके बाद आधे शा’अबन की दुआ (दुआ निफ्स शा’अबन) पढ़े।
इस पोस्ट को अपने प्यारों से ज़रूर शैर कीजियेगा और सवाब-ए-जरिया हासिल कीजियेगा|
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Aoa hamare ghar ma taya Ki family Ki waja say kafe mushkil hy wo kharchay ma bi aur jo earning hy os ma wo barkat nae hy plz os ka leya kuch bta de
Yeh amal karen
https://www.yaallah.in/rizq-mein-barkat-ka-wazifa/
Salaam! Bhai apsy contact ksy kry apsy kch pochna plz reply jldi kijiye ga m kafi din s kr rhi but msg ni gya msngr p b plz reply
Walaikum as Salam
Aap yahan text kijiye- https://m.me/yaALLAHyaRasul
2.30-4.30 pm india time
assalaamualaikum.i can hear whishperings of someone near my ears daily .im scared wt to do.and even i can see people who wear white color clothes lightly
Walaikum as Salam
Recite manzil dua daily. Blow on the water and drink