Sayyidul Istighfar Dua In Hadith

A dua to ask ALLAH The Almighty for the forgiveness of sins is Sayyidul Istighfar dua mentioned in Hadith. ALLAH Jalla Jalaaluhoo se mafi mangne ke liye khas Astaghfar aur iski khas fazilat ka bayan hadees-e-mubarika mein parhiye.→ Shab e Barat Ki Ibadat Ka Tarika 

8 Surprising Benefits of Sayyidul Istighfar Dua (Hidden Secrets)

Sayyidul Astaghfar Ki Dua

Apne gunahon par sachi nadamat (pachhtava) zahir karo. Kyonke jis kisi ko ALLAH Ta’ala ne bakhsh diya usne kya paya? ALLAH Ta’ala ne hamein kya hukm farmaya?

ALLAH Rabbul ‘Izzat ne Quran-e-Kareem Mein Farmaya:

Surah Aale-‘Imran Ayat #136

أُولَـٰئِكَ جَزَاؤُهُم مَّغْفِرَةٌ مِّن رَّبِّهِمْ وَجَنَّاتٌ تَجْرِي مِن تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا ۚ وَنِعْمَ أَجْرُ الْعَامِلِينَ

Ye Log unka badla unke rabb ke haan se bakhshish hai aur baagh hai jinke neeche nehre behti hongi un baghon mein hamesha rahne wale honge aur kam karne walon ki kaisi achhi mazdoori hai.

Surah An-Nisa Ayat #106

وَاسْتَغْفِرِ اللَّهَ ۖ إِنَّ اللَّهَ كَانَ غَفُورًا رَّحِيمًا

aur ALLAH se bakhshish maang beshak ALLAH bakhshne wala meherbaan hai

Surah Al-Maaidah Ayat #74

أَفَلَا يَتُوبُونَ إِلَى اللَّهِ وَيَسْتَغْفِرُونَهُ ۚ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَّحِيمٌ

ALLAH ke aage kyon taubah nahi karte aur USSE gunah nahi bakhshwate aur ALLAH bakhshne wala meherbaan hai.

Astaghfar Ki Dua yahan parhiye→ Astaghfar Ki Dua

Sayyidul Istighfar Ki Karishmayi Fazilat

Roman English

Astaghfar parhne ka maqsad ye nahi ke sirf zubani parh liya jaye. Balki ye hai ke gunah ko dubara na karne ka iqrar karte hue astaghfar parha jaye. Aur isi nadamat aur pachhtave se ALLAH Rabbul ‘Izzat ki bargah mein bahaya hua aansu ka ek bhi qatra us par jahannam haram kar deta hai Insha ALLAH Ta’ala.→ Quran Verses About Hardship

Quran Pak me kayi ayaat me ALLAH Zille Shanahu ne astaghfar aur tauba ke fazail aur ahmiyat ka zikr kiya hai. Astaghfar ek aisa taqatwar hathiyar hai jo insan ke hathon kiye gaye bade se bade gunahon ko pal bhar me mita deta hai. Basharte ke (shart ye hai ke) wo tauba Khauf-e-Khuda se labrez (bhare hue) dil se nikli ho.

Jab astaghfar ki baat karen to Hadees Shareef ki roshni me ek badi hi khas astaghfar dikhayi deti hai. Jo ke Sayyidul Astaghfar ke naam se jani jati hai. Ye behad afzal dua hai jo gunaho ki bakhshish ka ek besh qeemti zariya hai. Ye astaghfar gunaho ki bakhshish aur maghfirat ke liye bahut moassar aur mufid hai.→ Ghar Se Nikalne Ki Dua-Leave The House

1 Hadith Mubarika Jisme is Dua Ke Tamam Raaz

Hadees-e-Mubarika Me Batlayi Gayi Ek (1) Behad Khas Istighfar

Shaddad bin Aus Radi ALLAHu ‘Anhu ne farmaya:

Nabi-e-Kareem ﷺ ne irshad farmaya, ” Sabse behtareen dua maghfirat mangne ke liye (Syed-ul- Istighfar) kahna hai:

‘ALLAHumma Anta Rabbi, la ilaha illa Anta, khalaqtani wa ana ‘abduka, wa ana ‘ala ‘ahdika wa wa’dika mastata’tu, a’udhu bika min sharri ma sana’tu, abu’u laka bini’matika ‘alayya, wa abu’u bidhanbi faghfir li, fa innahu la yaghfirudh-dhunuba illa Anta.

Jo koi bhi is tarah se isme pukhta yaqeen se dua kare aru usi din (sham se pahle) uski maut ho jaye wo jannatiyon me se ek hoga: aur agar koi is tarah se isme pukhta yaqeen se raat ko dua kare aur subah se pahle uski maut ho jaye, wo jannatiyon me se ek hoga.

English Translation of Sayyedul Istighfar: (O ALLAH! You are my Rabb. There is no true god except You. You have created me, and I am Your slave, and I hold to Your Covenant as far as I can. I seek refuge in You from the evil of what I have done. I acknowledge the favours that You have bestowed upon me, and I confess my sins. Pardon me, for none but You has the power to pardon).’

[Al-Bukhari]

Riyad as-Salihin 1875

शद्दाद बिन औस रदी अल्लाहु ‘अन्हु ने फ़रमाया:

नबी-ए-करीम ﷺ ने इरशाद फ़रमाया, “सबसे बेहतरीन दुआ मग़फ़िरत मांगने के लिए (सय्यद-उल-अस्तग़फ़ार) कहना है:

सय्यद-उल-अस्तग़फ़ार ऊपर वॉलपेपर में पढ़िए

जो कोई भी इस तरह से इसमें पुख़ता यक़ीन से दुआ करे और उसी दिन  (शाम से पहले),उसकी मौत हो जाए  वो जन्नातियों में से एक होगा: और अगर कोई इस तरह से

इसमें पुख़ता यक़ीन से रात को दुआ करे और सुबह से पहले उसकी मौत हो जाए, वो जन्नातियों में से एक होगा|

अल-बुख़ारी

रियाज़-अस-सालेहीन 1875

Sayyidul Istighfar Ki 8 Chhupi Hui Fazilat/Fayde-Gunahgar Ko Nijat Milegi

  1. Rozana kam se kam ek (1) martaba parhne wale ke tamam gunah maaf honge, chahe wo kitne ki zyada kyun na hon.

  2. Kasrat se wird karne wale ke dil se har burayi ka khatma hoga.

  3. Dil nekiyon ki taraf raaghib/mayel hoga.→ Most Powerful Dua

  4. ALLAH Tabarak Wata ‘Ala ki ibadat me khoob dil lagega.

  5. Sukoon-e-qalb ki daulat se maala maal hoga.

  6. ALLAH ke huzoor schche dil se tauba karne ke bad is Istighfar ko kasrat se parhna qubool-e-tauba ki daleel hai.
  7. Inhi beshumaar fawaid ki wajah se is Istighfar ko gunah se bachne ki dua bhi kaha jata hai.→ Dua for Parents

  8. Rozana kam se kam ek (1) martaba is Istighfar ko parhne ka mamul bana lijiye. Chahe to panj waqta namaz ke bad ek (1) martaba parh lijiye. Kasrat se din bhar me iska wird karenge to insha ALLAH, ALLAH Ta’ala aapke tamam gunah maaf farmayega.
Ghaur Talab: Khawateen ye Istighfar haiz/maahwari/ayyaam me parh sakti hain. 

English Version

1 Hadith to Unlock the 8 Secret Benefits of Sayyidul Istighfar Dua

Are you Sinful? Read Unexpected Advantages of Sayyidul Istighfar Dua in Hadith

No none is pious and every human being. We the Ummat of Rasoolullah ﷺ is sinful. But there are ways to get out of these sins and not to repeat these in the future.

ALLAH The Most Gracious has stated about forgiveness in many verses of The Noble Quran. As it is stated in The Holy Quran:

“Be afraid of ALLAH, and seek forgiveness of your sins, and pay some charity and offer your prayers.”

Seeking forgiveness doesn’t mean that one may memorize the Istighfar phrase and just say it. The true meaning of astaghfar is to make a promise of not doing the same sins in the future that one has been committed in the past.→ Strong Dua For Love Back

And then one should recite Istighfar with a shameful heart entirely filled with fear of ALLAH.

Istighfar is such a powerful weapon for a believer that can erase even the biggest sins in just a moment. A tear of regret of sins can save one from the torment of hell.→ Exam Wazifa Islamic Success

A Very Special Istighfar Gifted By Our Beloved Prophet Mu’hammad ﷺ

Sayyidul Istighfar is a very effective and virtuous prayer to get repentance from all the sins and wrongdoings. It’s a precious source to get your repentance accepted by ALLAH The Forgiving.

To read Sayyidul istighfar dua transliteration along with the meaning in English, Roman English, and Hindi, click on the wallpaper above.→ Dua When Visiting A Sick Person

Unlock 8 Secrets & Benefits Of Sayyidul Istighfar

  1. One who will recite this every day at least one (1) time, his all the sins will be forgiven regardless of the numbers.

  2. Reciting this abundantly will remove all the evil from the heart.

  3. The heart of the reciter will attract towards goodness.

  4. ALLAH Tabarak Wata ‘Ala ki ibadat me khoob dil lagega.→ Dua For Everything To Go Well

  5. The heart of the reciter will feel satisfaction in ALLAH’s worship.

  6. After seeking true forgiveness to ALLAH, the recitation of this Istighfar will definitely result into the acceptance of one’s repentance from all the sins.
  7. Inhi beshumaar fawaid ki wajah se Sayyidul Istighfar ko gunah se bachne ki dua bhi kaha jata hai.→ How to Ask ALLAH For Something You Really Want?

  8. By having a lot of benefits, this is also known as a prayer to be saved from sins.

Make a habit of reciting this one (1) time regularly. One can also recite this one (1) time after each obligatory prayer. If one will recite this countless during all day and night, ALLAH The Most Merciful will surely forgive his sins.

Note: Females can read this Istighfar during their menses/periods.

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

26 Comments

  1. Assalamualikum i am married since 14yearrs and i dont have kids i was pregnant in 9years of my marriage but in7 month i lost my preganancy my child heartbeat stopped and lost my child till now i dont have kids please let me know any wazaif

  2. Bhai… Mujhe jawab de me ramjan me bhi mustjani se presan hu please…. Or me jawab kaha or kese check kru

      1. Aslam o alaikum umran bhai hope and pray aap aur app ki team ba fazle khuda khairat say ho gi.
        Bhai mujhay koi wazeefa bata dain kay meray shohar mujh say contact karain aur ham aik sath reh sakain.
        Aaj kal aap ki website par say Allahu rabi la sharikalahu 874 times wala wazifa kar rahi hoon kia yeah is maqsad kay liye parhana theek hay?
        Please guide
        Shukriya

        1. Ye bohat ho powerful wazifa hai al’hamdulillah. Aap kamil yaqeen ke sath jari rakhiye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *