Sar Dard Ki Dua

Ye ek aisa marz hai jo bada hi aam hai. Isiliye har koi sar dard ki dua chahta hai. Magar dua itni asan ho ke kahin bhi kisi bhi hal mein koi shakhs parh sake. Aur shadeed se shadeed sir dard bhi ho to usse bhi nijat pa sake.

Sar Dard Ki Dua-Seconds Mein Ghayab!

Main apse yahi guzarish karunga ke agar apko har kabhi bahot zyada hi sar mein dard rahta hai. To ap sabse pahle fursat mein kisi achhe doctor se raabta karein. Isse pahle ke ye apna sangeen roop dikhaye. Is marz ko itna halke mein na lein.

Lekin phir bhi usi waqt sar mein dard se fauran nijat pane ke liye ap ye wazifa parh sakte hai.

ya salamo

Sar Mein Dard Se Nijat Ke Liye Wazifa #1

Upar diye gaye ALLAH ke pyare naam ‘ya Salaamo’ ko jis kisi ke bhi sar mein dard ho uski peshani par 7 bar sidhe yani dayein hath ki kalime ki ungli yani shahadat ki ungli ke ishare se likhde.

Likhte waqt ungli peshani ko chhooni chahiye. Jaise upar likha hai wese hi likhna hai. Agar ap chahe to zabar aur pesh lagaye bina bhi likh sakte hai. Sar dard ke wazifa ko english mein dekhiye→ wazifa for headache

Agar kisi se nahi likhwa sakte hai to koi masla nahi hai. Ap khud bhi apne dayein hath ki shahadat ki ungli se likh sakte hai. Neeche misal dekhiye.

ya salamo sar dard ki dua

Sar Dard Ki Dua/Wazifa #2

Dusra bada hi asan amal hai. Qurani ki Surah #108 jo Surah Al-Kawsar hai. Ye bahot hi chhoti si lekin fazilat bhari Surah hai. Agar apke sar mein dard ho raha hai to ap khud bhi parh sakte hai. Ya phir kisi aur mareez ke liye bhi parh sakte hai.

Bahot hi behtar hoga ke wuzu banakar parhe. Bahot hi zyada majboori mein bila wuzu ke bhi parha ja sakta hai. Lekin agar munh subani yad hai to hi bina wuzu ke parh sakte hai. Zarur dekhiye pet me dard ki dua→ Pet Dard Ki Dua-Stomach Pain K Liye Wazifa

Surah Kawsar ko 7 martaba parh kar mariz ke sar par 1 bar dam kar dijiye. Aur ho gaya!!

sar me dard ke liye surah kawsar

insha ALLAH usi waqt sar mein kitna bhi shadeed dard kyon na ho raha hoga nijat mil jayegi.

सर में दर्द से निजात के लिए वज़ीफ़ा #1

उपर दिए गये अल्लाह के प्यारे नाम ‘या सलामो’ को जिस किसी के भी सर में दर्द हो उसकी पेशानी पर 7 बार सीधे यानी दायें हाथ की कलमे की उंगली यानी शहादत की उंगली के इशारे से लिख दें| ख़ुद को इतना बुरा न समझो ज़रुर देखिए→ एहसास-ए-कमतरी का वज़ीफ़ा

लिखते वक़्त उंगली पेशानी को छूनी चाहिए| जैसे उपर लिखा है वैसे ही लिखना है| अगर आप चाहे तो ज़बर और पेश लगाए बिना भी लिख सकते है|

अगर किसी से नही लिखवा सकते है तो कोई मसला नही है| आप खुद भी अपने दायें हाथ की शहादत की उंगली से लिख सकते है| कैसे लिखना है ऊपर देखिए|

सर में दर्द से निजात के लिए वज़ीफ़ा #2

सर में दर्द की दुआ हिंदी में

अगर किसी के सर में बहोत ही शदीद दर्द हो रहा है तो उससे फ़ौरन निजात पाने के लिए ये छोटा सा वज़ीफ़ा उसी वक़्त किया जा सकता है| और फिर ख़ुद कमाल देखना|

दूसरा बड़ा ही आसान अमल है| क़ुराआन की सूरह #108 जो सूरह अल-कवसर है| ये बहोत ही छोटी सी लेकिन फ़ज़ीलत भरी सूरह है| अगर आपके सर में दर्द हो रहा है तो आप खुद भी पढ़ सकते है| या फिर किसी और मरीज़ के लिए भी पढ़ सकते है|

बहोत ही बेहतर होगा के वुज़ू बनाकर पढ़ें| बहोत ही ज़्यादा मजबूरी में बिला वुज़ू के भी पढ़ा जा सकता है| लेकिन अगर आपको मुंह ज़ुबानी याद है तो ही आप बिना वुज़ू के पढ़ सकते है वरना नहीं|

सूरह कवसर को 7 मर्तबा पढ़ कर मरीज़ के सर पर 1 बार दम कर दीजिए| और हो गया!!

इंशा अल्लाह उसी वक़्त सर में कितना भी शदीद दर्द क्यों ना हो रहा होगा निजात मिल जाएगी|

If you loved this post please do not forget to share it with your loved ones to earn rewards.

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

9 Comments on “Sar Dard Ki Dua”

  1. Assalamualaikum
    Ham love marriage karna chahte h lagbhag sab koi man gaya h bs ladki ke abbu nahi man rahe h 😥
    Aapse gujarish h koi tarqeeb bataye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *