Salatul Tasbeeh Ki Namaz-Procedure Of Salatul Tasbih

Salatul tasbeeh ki namaz bahot maqbool hai. Iski bari ahmiyat hai. Iski khoob fazilat hai. Salatul tasbeeh namaz kuch makrooh waqt mein nahi padhe. Aage tafseel se aap parhenge. Aur jab iske bad dua mangenge to beshaq qubool hogi.

Salatul Tasbeeh Ki Namaz Ka Tarika

Salatul Tasbeeh Ki Namaz

What is Salatul Tasbih?

Salatul Tasbih Kya Hai? 

Salat– Namaz+Tasbih– ALLAH ki hamd-o-sana ya Zikr.

Salatul tasbih se muraad hai ‘tasbih ki namaz’ se hai. Jaisa ke salatul tasbih namaz ke naam se hi zahir hota. Ye ek aisi salah (namaz) hai jis mein ek khas tasbih ka parhna shamil hai. Khas ye isliye kahi jati hai kyonke is salat mein ALLAH ki hamd-o-sana ki jati hai. ALLAH ki tareef bayan ki jati hai. Aur ye tareef ek wird mein hota hai jo ek tayshuda ta’adaad mein hi parha jata hai.

Is khas tasbih ki be panah fazilat hai. Salah tasbih bohat hi aham aur fazilat wali namaz hai. Ye ek khas nifl namaz hai aur behtareen nifli ibadaat mein iska shumar hoti hai. Islams Praying Importance and Offering Namaz yahan dekhiye.

Salatul Tasbeeh Ki Namaz Ka Tarika yani ye namaz kaise parhi jati hai ise ham tafseel mein aage parhenge.

Salatul Tasbih Ki Namaz Ki Fazilat o Ahmiyat

Salatul Tasbih, jis namaz mein ALLAH ka zikr hota hai. Kya ap salah ki ahmiyat aur iski fazilat janna nahi chahenge?

Aur agar aapne iski ahmiyat jaan li aur iski fazilat aapne agar yahan sunli to is salatul tasbih ki namaz ko aap parhna qatayi nahi chhorenge. Har roz parhenge, ji ha har roz. Tahajjud Prayer in Islamic Religion Methods Benefits in Hadith yahan dekhiye.

ALLAH ka zikr, hamd-o-sana jab jahan hota hai to tamam farishte masroor ho jate hai. Farishte jab kahin ALLAH ka zikr hota hai, to ALLAH se kehte hai ke ya ALLAH apka falan banda falan jagah par apka zikr apki hamd-o-sana mein masroof hai. Aur ye farishte ALLAH ke pas paigham lekar jate hai. Paigham us salatul tasbih ada karne wale ki janib se. ALLAH ko khabar pahuch jati hai.

Bas, phir ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala in farishton ko ibadat karne wale ke liye inaam dene ka hukm kar dete hai. Aur ye farishte ALLAH ke hukm tameel karne mein lag jate hai.

Salatul Tasbeeh mein rakat sirf Chaar (4) hoti hai. Jin par mushtamil ye nifl namaz apne andar be panah savab aur fazilat ikattha kiye hue hai. Aur ham gunahgaron ke liye ALLAH se maafi hasil karne ka zariyah hai ye. Apni bakhshish aur raah e nijat hai ye tasbih salat.

ALLAH ke zikr mein lutf milta hai, duniya se banda ghafil hota chala jata hai. Aur wo zikr uske savab kamane ka ek asaan sa zariya ban jata hai. Esi hai is salatul tasbih ki namaz ki fazilat. Islams Praying Importance and Offering Namaz yahan dekhiye.

Gunahon ki bakhshish ka samaan hai ye tasbih ki namaz. Tasbih salah ke parhne se sagheera aur yahan tak ke kabeera gunah tak mu’af ho jate hain, Insha ALLAH. Bas parhne mein wo khuloos, taqwa aur wo bandgi ka jazba paida ho. Salah salatul tasbih har tarah ke gunahon ki bakhshish ka zariya banti hai.

Chahe bande ke kitna hi bad se bade gunah kyon na kiya ho. Bas ke ALLAH Ta’ala ki Rahmat se mehroom na rahe. Aur mayoos na ho. Ummid rakhe. Us bande ki zindagi ke agle aur pichle gunah, jaan kar (jaan boojh kar kiye gaye, ya ghalti se hone wale gunah) ya phir anjane me kiye hue gunah. Yahan tak ke ese-ese gunah jo banda kar ke bhool tak chuka ho. Use ese gunah yad bhi na rahe ho.

Gharz ke har tarah ke gunah is tasbih namaz ki fazilat se mu’af ho jate hain. Beshak, ALLAH Zille Shanahu Bada hi Ghafoorurraheem hai. Salatul tasbih namaz ki adayegi mein khas khayal rakha jaye. Koi kotahi nahi barti jaye.

Khoob ache tareeqe aur aqeedat ke sath parhi jaye to isse bohat savab hasil kiya ja sakta hai. Tamam gunaho ki bakhshish bhi hasil ki ja sakta hai, Insha ALLAH, Ameen.

Is post ka PDF version yahan dekhiye How to Perform Salatul Tasbih pdf

Hadees Ki Roshni Mein Salatul Tasbeeh

Salatul Tasbih Namaz Ki Fazilat o Ahmiyat Hadees Shareef Ki Roshni Mein

Hadis shareef mein is namaz ke bare mein batlaya gaya hai. Tasbih namaz ki be-paayan fazilat ka andaza is Mubarak Hadees Shareef se lagaya ja sakta hai.

Huzoor Akram Mu’hammad Mustafa SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne apne chacha Hazrat Abbas RadiALLAHU Anhu ko tasbih namaz ki targheeb farmayi.

“Aap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne unhe farmaya ke agar har roz salatul tasbih ek bar parh sakein to har roz parh lein aur agar har roz nahi parh sakein to har jumma mein ek martaba parh lein aur agar har jumma mein bhi na parh sakein to har mahine mein ek bar parh lein aur agar ye bhi na kar sakein to har saal mein ek bar parh lein aur agar ye bhi na kar sakein to tamam umr mein ek bar parh lein.”

Salatul Tasbeeh Parhne Ka Sahi Waqt Kya Hai?

Salatul Tasbeeh ki namaz kis time parhi ja sakti hai aur kis time nahi.

Salatul Tasbeeh Namaz Kab Parh Sakte Hai?

Salatul tasbih ki namaz ke parhne ka koi khas muqarrar waqt tay nahi hai. Ye nawafil hai. Isiliye is namaz ko aap din se le kar raat tak kisi bhi waqt parh sakte hain.

Siwaye un auqaat ke jin mein namaz parhna mana hai. Yani makrooh auqaat (jin auqaat mei ibadat mana hai) ke ilawa kisi bhi waqt ap salatul tasbh ki namaz parh sakte hain.

More Reads

Salatul Tasbih Ka Waqt Jo Makrooh Hai

Salatul Tasbeeh Namaz Kab Nahi Parh Sakte Hai?

Salatul tasbih makrooh waqt mein nahi parhni chahiye. Jis waqt namaz parhne ki manahi hoti hai. Use makrooh waqt kaha jata hai. Yahan makrooh auqaat se muraad:

  1. Tul’u e Aftaab yani suraj nikalne ka waqt.
  2. Zawal ka waqt (har ek shahar ka zawal ke waqt mein farq hota hai). Aur,
  3. Ghuroob e aftaab yani suraj dhalne ka waqt.

Salatul Tasbih Me Kya Parhte Hai?

Namaz Salatul Tasbih Mein Kon Si Tasbih Parhni Hai?

Salatul tasbeeh namaz padhne ka tarika ek dam asan hai. Sirf ek martaba thik se ise samajhne ki der hai. Is namaz mein ek tasbih parhi kati hai. Wo tasbih ALLAH ka zikr hoti hai. Ye tasbih bohat afzal hai kyunke is mein ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala ki Wahdaaniyat aur Tareef bayaan ki gayi hai.

Aur ALLAH Zille Shanahu ko Apni tareef bahot pasand. Taa ham ye mubarak kalmaat is salah salatul tasbih ka nihayat aham hissa hota hai.

Is tasbih mein jo wird kiya jata hai wo teesra kalima ka ek hissa hai. Uski sahi taur par adayegi hona laazmi hai. Mukammal adayegi ke sath in kalmaat ka mafhoom samajh kar parha jaye to beshak apki tasbih namaz zarur qubool hogi, Ameen. Six Kalimah in Islam in Arabic yahan dekhiye.

Tasbih namaz ki mubarak tasbih ye hai,

“Subhan ALLAHi Wal Hamduli ALLAHi Wala Ilaaha Il ALLAHU Wa ALLAHU Akbar”

ALLAH Azmat wala hai aur sab tareef ALLAH ke liye hai aur ALLAH ke siwa koi Ma’abud nahi aur ALLAH bohat Bara hai.

اللّٰه عظمت والا ہے اور سب تعریف اللّٰه کیلئے ہے اور اللّٰه کے سوا کوئی معبود نہیں اور اللّٰه بہت بڑا ہے۔

Glory is to ALLAH, and praise is to ALLAH, and there is none worthy of worship but ALLAH, and ALLAH is the Greatest.

अल्लाह अज़मत वाला है और सब तारीफ अल्लाह के लिए है और अल्लाह के सिवा कोई मा’अबूद नहीं और अल्लाह बहुत बड़ा है|

yaALLAH Happy Followers

Salatul Tasbeeh Namaz Padhne Ka Sahi Tarika

Namaz e salatul tasbeeh ka tareeka batate huye iski fazilat ka bhi Aap ﷺ ne khud zikr kiya hai.

Salatul Tasbeeh Ki Namaz ka Tarika

Hadees-e-Mubarika

Abdullah Ibn Abbas R. A. Bayan Karte Hai:

Rasool ALLAH ﷺ Ne Al-Abbas Ibn Abdul Muttalib Se Farmaya:

“Abbas Mare Chacha, Kya Mai Aapko Na Dun, Kya Aapko Pesh Na karun, Kya Aapko Chanda Na Dun, Kya Main Aapke Liye Das Chizen Na Pesh Karun?

Agar Aap Unpar Amal Karenge To ALLAH Ta’ala Aapke Pichhle Aur Akhri, Purane Aur Naye, Jaane Anjaane, Chhote Aur Bade, Pushida Aur Khule Gunah Mu’af Kar Dega.

Yeh Das Chizen Hai: Aap Chaar Rak’at Namaz Padhein, Har Ek Mein Fatiha Al-Katab Aur Ek Surah Padhein, Jab Aap Pahle Rak’at Ke Surah ki Tilawat Se Farigh Ho Jaye To Khade Ho Kar Pandrah (15) Martaba Padhein:

“Subhan ALLAHi”, ” W-ALhamduLilLahi”, “Laa iLaaha ILLaLLahu”, “wALLAHu Akbar”,

Phir Ruku Karte Waqt Das (10) Martaba Padhe,

Phir Ruku Se Utha Kar Das (10) Martaba padhe.

Phir Sajde Mein Dus Martaba padhein,

Phir Sajde Se Sar Utha Kar Das (10) Martaba Padhe.

Phir Sajde Mein Das (10) Martaba padhe.

Phir Sajde Se Sar Utha kar Das bar Padhe

Aur har mein Aise Hi Padhe, Aap Chaar Rak’aton mein padhe.

Agar Aap Ise Rozana Ek Baar Padh Sakte Hai To Padhe, Agar Nahi To Hafte Mein Ek Baar, Agar Nahi To Saal Mein Ek Baar, Agar Nahi To Zindagi Mein Ek Baar”.

Sunan Ibn Dawood #1297, Kitab As-Salat, Darja: Saheeh

Zarur dekhiye→ Doodh Peene Ki Dua

Mujhse ek shakhs ne jisse sharf sahbat hasil tha hadees bayan ki hai logon ka khyal hai ki wo Abdullah Bin Umar R. A. the, unhone kaha:
Nabi kareem ﷺ ne Farmaya: kal tum mere paas ana, Mai tumhe dunga, anayat karunga aur nawazunga”,

Mai samjha ke Aap ﷺ mujhe koi taufah anayat farmayenge (jab mai kal pahucha to)

Aap ﷺ ne farmaya:

“Jab suraj dhal jaye to khade ho jao aur chaar rakat namaz ada karo, phir waise hi bayan kiya jaise upar wali hadees mein ghuzra hai, albatta usme yeh bhi hai ki:

“Phir tum sar uthao yani dusre sajdah se to achhi tarah baith jao aur khade mat ho yaha tak ke das-das bar Tasbeeh wa tahmeed aur takbeer wa tahleel kar lo phir ye amal charon rak’aton mein karo, phir Aap ﷺ ne farmaya:

“Agar tum ahal zameen mein sab se bade gunahgar ho ge to bhi is amal se tumhari gunahon ki bakhshish ho jayegi”,

Maine arz kiya: Agar Mai us waqt yeh namaz ada na kar sakun?

Aap ﷺ ne farmaya: “To raat ya din mein kisi waqt ada kar lo”.

Abu Dawood kahte hai: Ise Mastamad bin Rayaan ne Abu Al-Jaozah se inhone Abdullah bin Umar R. A. riwayat kiya hai.

Neez ise Rooh bin Masyab aur Zafar bin Sulaimaan ne Umar bin Malik Nakri se, Umar ne Abu Al-Jozaah se Abu Al-Jozaah ne Ibn Abbas R. A. se bhi mauqofan riwayat kiya hai, albatta Raavi ne Rooh ke riwayat mein,

Faqaal hadees ‘an Al Nabi ﷺ (To ibn Abbas ne Nabi kareem ﷺ ki hadees bayan ki) ki jameel ka izafah kiya hai.

Sunan Ibn Dawood #1298, Kitab As-Salat, Darja: Daeef

Salatul tasbih namaz mein chaar (4) rakatein ada ki jati hai. Rak’at-ba-rak’at sahi tariqa niche parhiye.

Salatul Tasbeeh Ki Namaz Ki Niyat Kaise Karen?

Salatul tasbeeh ki namaz ki niyyat ka tariqa bada hi asaan hai. Jis tarah aam nawafil ki niyyat karte hai thik wese hi iski niyyat bhi ki bandhi jayegi.

Bas nifl namaz ki jagah ap salatul tasbih ya tasbih namaz bolni hai. Niyat karta hu main 4 rakat salatul tasbeeh ki waaste ALLAH Ta’ala ke, muh mera Qaba Shareef ki taraf, waqt zohar ka (jis waqt bhi parhein wo waqt bol sakte hai).

Salatul Tasbih Namaz Ki Rak’aton Mein Kya Padha Jata Hai.

Awwal (1st) Raq’at

  1. Sana yani ‘Subhana kallahumma wa bi hamdika wa tabara kasmuka wata ‘ala jadduka wa laa ilaaha ghairuk‘ parhne ke baad yaani Surah Fatiha se thik pahle pandrah (15) martaba ye kalma parhiye. Phir Surah Fatiha aur koi si bhi surat ki tilawat kijiye. Surah Fateha ki Fazilat yahan dekhiye.

“Subhan ALLAHi Wal Hamduli ALLAHi Wala Ilaaha Il ALLAHU Wa ALLAHU Akbar”

  1. Uske bad das (10) martaba wahi tasbih jo upar di hui hai parh lijiye.
  2. Ruk’u mein Subhana Rabbi-yal Azeem parhne ke bad phir se yahi tasbih baar (10) parh lijiye.
  3. Phir qome ki halat mein ‘tasm’ee aur tahmeed, yani Sami ALLAH huliman Hamidah, Rabbana laka-l hamd parh kar das (10) martaba parhenge.
  4. Phir pahle sajde ki halat mein Subhana Rabbi yal ‘aala teen (3) martaba parhne ke bad dus (10) martaba parhiye.
  5. Phir sajde se uth kar dusre sajde mein jane se pahle jise jalsa kahte hai iski halat mein dus (10) martaba parhiye.
  6. Phir dusre sajde mein bhi thik pahle sajde ki tarah dus (10) martaba yahi tasbih parhni hai.
  7. Aur phir attahiyaat, Durood-e-Ibraheemi aur dua maasoora parh kar salama pher lijiye.
  8. Is tarah ek rakat mein is kalme ki kul ta’adad pajhattar (75) martaba ho jayegi. Aur phir agli rakat ke liye ALLAHU akbar kehte hue sajde se uthiye aur hath bandh kar khade ho jayein.

yaALLAH Dua Wazaif 

Theek pahli raqa’t ki tarah ap ne chaar (4) rakat mukammal karne hai. Har rakat mein pachattar (75) martaba ye tasbih parhni hai. Is tarah kul char (4) rakat tasbih namaz mein is kalma ko ap teen sau (300) martaba parhenge.

Salatul Tasbih Ada Karne ke Bad Du’a Magne ka Tariqa

  1. Akhir me Pyare Aqa Mu’hammad Mustafa SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke sadqe aur tufail mein apni hajat ke poori hone ki bheekh mangiye.

Popular yaALLAH Dua Wazaif 

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ كَرِيمٌ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

ALLAHumma innaka ‘Afuwwun kareemun tuhibbul ‘Afwa fa’fu ‘Anni

ya ALLAH tu maaf karne wala, karam karne wala hai aur muafi ko pasand karne wala hai, mere gunaah maaf farma de.

اے اللہ تو معاف کرنے والا ہے اور معافی کو پسند کرتا ہے تو تو مجھ کو معاف فرما دے ۔

या अल्लाह तू माफ़ करने वाला, करम करने वाला है और माफ़ी को पसन्द करने वाला है, मेरे गुनाह माफ़ फ़रमा दे|

Sunan Ibn Majah, Vol 3, 731

Salatul Tasbeeh Ki Namaz ka Tarika

Is post ka PDF version yahan dekhiye How to Perform Salatul Tasbih pdf

More Reads

Salatul Tasbih Me Kalima Parhna Bhul Jaye to Kya Karein?

Agar Kalma Tarteeb Ke Lehaz Se Parhna Bhool Jayen To Aisi Surat Mein Kya Kiya Jaye

Ghalti insan se hi hoti hai. Agar ap kisi bhi raq’at mein ek muqam par kalima parhna bhool jayen to use agle muqam mein shumar kar lein.

Misal ke taur par agar ap Surah Fatiha ke bad koi bhi Surat parh kar kalma parhna bhool gaye hain. Aur sidhe ruk’u mein chale gaye hain. To ruk’u mein ‘Subhana Rabbi Yal Azeem’ parhne ke bad ap 10 +10 = 20 martaba kalma parhein ge.

Yani das (10) martaba wo kalma jo ap pichle muqam par parhna bhool gaye aur das (10) martaba ruk’u ke muqam ka kalma yani tasbih. Dono mila ke ap bees (20) martaba kalma parheinge.

Isi tarah dobara ap se agar aise ho jaye to ap isi tariqe se agle muqam mein wo kalma pura kar sakte hain. Yani pichle muqam par jitna kam parha tha use agle muqam par parhne mein shumar kar lijiye.

Phir bhi ese do waqfe hai jahan esa nahi kiya ja sakta.

More yaALLAH Dua Wazaif 

Do (2) Waqfe Jahan Choota Gayi Tasbih Shamil Nahi Ki Ja Sakti

Salah salatul tasbih ada karte waqt do (2) muqamaat aise aate hain jahan pe ap choota gyi tasbih shumar nahi kar sakte. Wo hain:

  1. Qoma
  2. Jalsa
  1. Qoma

Jab ruku pura kar ke Rabbana lakal ‘hamd kahte hue khade hote hai use Qoma kahte hai. Ruku me chhooti hui ta’adad ko qoma mein jod kar nahi parh sakte hai.

To Phir Kya Kiya Jaye?

Iske liye ruk’u mein chhooti hui tasbih ko jab sajde mein jayein to sajde ki tasbih ki ta’aad mein jodkar pura kar lenge. Usse pahle nahi. Yani pahle sajde mein ap das ki bajaye ab bees (20) martaba kalma parh lenge.

  1. Jalsa

Qoma ki tarah jalsa bhi ek chota waqfa hai. Namaz mein do sajdo ke bich jab kuch lamhon ke liye betha jata hai use jalsa kaha jata hai. Jahan ap zyadah der ruk nahi sakte.

Isliye jalsa se pichle muqam jaisa ke pahla sajdah mein agar ap kalma parhna bhool gaye hon. To is kalma ki kami ap jalsa mein puri nahi kar sakte. Jalsa mein ap das (10) martaba hi kalma parheinge. Aur pahle sajdah mein choote gaye kalme ki kami ap dusre sajde mein puri kar leinge. One Time Wazifa for Hajat-Dua to Fulfill a Wish Immediately-Hajat Ki Dua yahan dekhiye.

Yani awwal sajde mein bhooli hui kalima yani tasbih ki ta’adad ko dusre sajde mein hi poori kar sakte hai. Usse pahle nahi.

Misal ke taur par awwal sajde mein das (10) martaba kalima parhna bhool gaye hai to dusre sajde mein use jodkar ap ab bees (20) martaba kalma parheinge.

Aur Jab Dusre Sajde Mein Kalima Parhna Bhool Jayein To?

Agar ap aakhri yani chauthi rakat mein akhri muqam yani dusre sajde mein kalma yani tasbih parhna bhool gaye hain. To aisi surat mein ap sajde se uth kar Attahiyaat parhne se pahle das (10) martaba kalma parh kar kalme ki kami puri kar sakte hain.

Ghaur Talab: Khawateen haiz/mahwaari ke dauran tasbih namaz qatayi nahi parhein. 

Is post ka PDF version download karne ke liye click kijiye

How to Perform Salatul Tasbih pdf

Salatul Tasbeeh Ki Namaz Ka Tarika in Urdu

salatul tasbeeh ki namaz ka tarika in urdu

सलातुल तस्बीह की नमाज़ का तरीक़ा हिंदी में

सलातुल तस्बीह की नमाज़ का तरीक़ा जानने से पहले सबसे पहले हम ये जान लेते है के सलातुल तस्बीह की नमाज़ होती क्या है?

सलातुल तस्बीह क्या है?

सलात- नमाज़+तस्बीह- अल्लाह की हमद्-ओ-सना या ज़िक्र।

सलातुल् तस्बीह से मुराद है ‘तस्बीह की नमाज़’ से है। जैसा के सलातुल तस्बीह नमाज़ के नाम से ही ज़ाहिर होता। ये एक ऐसी सलाह (नमाज़) है जिस में एक खास तस्बीह का पढ़ना शामिल है। खास ये इसलिए कही जाती है क्योंकि इस सलात में अल्लाह की हमद्-ओ-सना की जाती है। अल्लाह की तारीफ बयान की जाती है। और ये तारीफ एक विर्द् में होता है जो एक तेशुदा त’अदाद में ही पढा जाता है।

इस खास तस्बीह की बेपनाह फ़ज़ीलत है। सलातुल तस्बीह बहुत ही अहम और फ़ज़ीलत वाली नमाज़ है। ये एक खास निफल नमाज़ है और बेहतरीन निफ्लि इबादतों में इसका शुमार होती है।

सलातुल तस्बीह की नमाज़ का तरीका यानी ये नमाज़ कैसे पढ़ी जाती है इसे हम तफ़्सील में आगे पढ़ेगे।

देखिये→ मरने के बाद की दुआ

सलातुल तस्बीह की नमाज़ की फ़ज़ीलत ओ अहमियत

सलातुल तस्बीह, जिस नमाज़ में अल्लाह का ज़िक्र होता है। क्या आप सलाह की अहमियत और इसकी फ़ज़ीलत जानना नही चाहेंगे?

और अगर आपने इसकी अहमियत जान ली और इसकी फ़ज़ीलत आपने यहाँ सुनलि तो इस सलातुल तस्बीह की नमाज़ को आप पढ़ना क़तायी नही छोड़ेगे। हर रोज़ पढ़ेगे, जी हाँ हर रोज़।

अल्लाह का ज़िक्र, हमद्-ओ-सना जब जहाँ होता है तो तमाम फरिश्ते मसरूर हो जाते है। फरिश्ते जब कहीं अल्लाह का ज़िक्र होता है, तो अल्लाह से कहते है के या अल्लाह आपका फलां बंदा फलां जगह पर आपका ज़िक्र आपकी हमद्-ओ-सना में मसरूफ है। और ये फरिश्ते अल्लाह के पास पैग़ाम उस सलातुल् तस्बीह अदा करने वाले की जानिब से अल्लाह को ख़बर पहुँच जाती है।

बस, फिर अल्लाह सुभानहु वत’आला इन फरिश्तों को इबादत करने वाले के लिए इनाम देने का हुक्म कर देते है। और यह फरिश्ते अल्लाह के हुक्म की तमील करने में लग जाते है। यहाँ सुबह उठने की दुआ देखिए|

सलातुल् तस्बीह में रकात् सिर्फ चार (4) होती है। जिन पर मुश्तमिल ये निफ्लि नमाज़ अपने अंदर बेपनाह सवाब और फ़ज़ीलत इकट्ठा किये हुए है। और हम गुनाहगारों के लिए अल्लाह से माफी हासिल करने का ज़रिया है। अपनी बख़शीश और राह ए निजात है ये तस्बीह सलात।

अल्लाह के ज़िक्र में लुत्फ़ मिलता है, दुनिया से बंदा ग़ाफ़िल होता चला जाता है। और वो ज़िक्र उसके सवाब कमाने का एक आसान सा ज़रिया बन जाता है। इसी है इस सलातुल तस्बीह की नमाज़ की फ़ज़ीलत।

गुनाहों की बख़्शिश का समान है ये तस्बीह की नमाज़। तस्बीह सलाह के पढ़ने से सगीरा और यहाँ तक के कबीरा गुनाह तक मु’आफ़ हो जाते हैं, इंशा अल्लाह

बस पढ़ने में वि ख़ुलूस तक़्वा और वो बंदगी का जज़्बा पैदा हो। सलातुल् तस्बीह हर तरह के गुनाहों की बख़्शिश का ज़रिया बनती है।

चाहे बंदे के कितने ही बड़े से बड़े गुनाह क्यों न किये हो। भी के अल्लाह त’आला की रहमत से मेहरूम न रहे। उस बंदे की जिंदगी के अगले और पिछले गुनाह, जान कर (जान बूझ कर किये गये, या गलती से होने वाले गुनाह) या फिर अंजाने में किये हुए गुनाह। यहाँ तक के ऐसे-ऐसे गुनाह जो बंदा कर के भूल तक चुका हो। उसे ऐसे गुनाह याद भी न रहे हो।

ग़र्ज़ के हर तरह के गुनाह इस तस्बीह नमाज़ की फ़ज़ीलत से मु’आफ़ हो जाते है।

बेशक, अल्लाह ज़िल्ले शानहु बड़ा ही ग़फूरूर रहीम है।

सलातुल् तस्बीह नमाज़ की अदायेगी में खास ख़याल रखा जाए। कोई कोताही नही बरती जाए। खूब अच्छे तरीक़े और अक़ीदत के साथ पढ़ी जाए तो इससे बहुत सवाब हासिल किया जा सकता है। तमाम गुनाहों की बख़्शिश भी हासिल की जा सकती है, इंशा अल्लाह

हदीस की रौशनी में सलातुल् तस्बीह

सलातुल् तस्बीह नमाज़ की फ़ज़ीलत ओ अहमियत हदीस शरीफ की रौशनी में

हदीस शरीफ में इस नमाज़ के बारे में बतलाया गया है। तस्बीह नमाज़ की बे-पनाह फ़ज़ीलत का अंदाज़ा इस मुबारक हदीस शरीफ से लगाया जा सकता है। यहाँ→ पसंद की शादी का वज़ीफ़ा या अल्लाह टेस्टीमोनियल  देखिए|

हुज़ूर अकरम मुहम्मद ﷺ ने अपने चाचा हज़रत अब्बास र. आ. को तस्बीह नमाज़ की तरगीब फरमयी।

“आप ﷺ ने उन्हे फरमाया के अगर हर रोज़ सलातुल् तस्बीह एक बार पढ़ सकें तो हर रोज़ पढ़े लें और अगर हर रोज़ नही पढ़ सकें तो हर जुम्मा में एक मरतबा पढ़ ले और अगर हर जुम्मा में न पढ़ सकें तो हर महीने में एक बार पढ़ लें और अगर ये भी न कर सकें तो हर साल में एक बार पढ़ लें और अगर ये भी न कर सकें तो तमाम उमर में एक बार पढ़ लें”.

सलातुल् तस्बीह पढ़ने का सही वक़्त क्या है?

सलातुल् तस्बीह की नमाज़ किस टाइम पढ़ी जा सकती है और किस टाइम नही। यानी इसका कोई ख़ास वक़्त मुक़र्रर नहीं होता है|

सलातुल् तस्बीह नमाज़ कब पढ़ सकते है?

सलातुल् तस्बीह की नमज के पढ़ने का कोई खास मुक़र्रर वक़्त तै नही है। ये नवाफिल् है। इसलिए इस नमाज़ को आप दिन से ले कर रात तक किसी भी वक़्त पढ़ सकते है।

सिवाए उन औक़ात के जिन में नमाज़ पढ़ना मना है। यानी मकरूह औक़ात (जिन औक़ात में इबादत मना है) के इलावा किसी भी वक़्त आप सलातुल् तस्बीह नमाज़ पढ़ सकते है।

सलातुल् तस्बीह का वक़्त जो मकरूह है

सलातुल् तस्बीह नमाज़ कब नही पढ़ सकते है?

सलातुल् तस्बीह मकरूह वक़्त में नही पढ़नी चाहिए। जिस वक़्त नमाज़ पढ़ने की मनाही होती है। उसे मकरूह वक़्त कहा जाता है। यहाँ मकरूह औक़ात से मुराद:

तुल’उ ए अफ्ताब यानी सूरज निकलने का वक़्त। ज़वाल का वक़्त (हर एक शहर का ज़वाल के वक़्त में फर्क होता है)। और ग़ुरूब ए अफ़्ताब यानी सूरज ढलने का वक़्त।

सलातुल् तस्बीह में क्या पढ़ते है?

नमाज़ सलातुल् तस्बीह में कौन सी तस्बीह पढ़नी है?

सलातुल् तस्बीह नमाज़ पढ़ने का तरीका एक दम आसान है। वो तस्बीह अल्लाह का ज़िक्र होती है।

यह तस्बीह बहुत अफज़ल है क्योंकि इस में अल्लाह सुभान्नाहु वाता ‘आला की तारीफ बयान की गयी है।

और अल्लाह ज़िल्ले शानहु को अपनी तारीफ बहुत पसंद है।

इस तस्बीह में जो विर्द् किया जाता है वो तीसरा कलिमा का एक हिस्सा है। मुकम्मल अदायेगी के साथ इन कल्मात् का माफ़हूम समझ कर पढ़ा जाए तो बेशक आपकी तस्बीह नमाज़ ज़रूर कुबूल होगी,

“अल्लाह अज़मत वाला है और सब तारीफ अल्लाह के लिए है और अल्लाह के सिवा कोई मा’आबूद नहीं और अल्लाह बहुत बड़ा है”।

यहाँ→ हर तरह की खुजली दूर करने की दुआ  देखिए|

सलातुल् तस्बीह नमाज़ पढ़ने का सही तरीका

नमाज़ ए सलातुल् तस्बीह का तरीका बताते हैं इसकी फ़ज़ीलत का भी आप ﷺ ने ज़िक्र फरमाया है।

हदीस-ए-मुबारिका

अब्दुल्लाह इब्न अब्बास र. आ. बयान करते है:

रसूल अल्लाह ﷺ ने अल-अब्बास इब्न अब्दुल मुत्तालिब से फरमाया:

“अब्बास मेरे चचा, क्या में आपको न दूँ, क्या आपको पेश न करूँ, क्या आपको चंदा न दूँ, क्या मैं आपके लिए दस चीजें न पेश करूँ?

अगर उनपर अमल करेंगे तो अल्लाह त’आला आपके पिछले और आखरी, पुराने और नये, जाने अनजाने, छोटे और बड़े, पुशीदा और खुले गुनाह मु’आफ कर देगा।

यह दस चीजें है: आप चार रकात नमाज़ पढ़े, हर एक में फातिहा अल-कतब और एक सुरह पढे, जब आप पहले रकात के सुरह की तिलावत से फ़ारिग़ हो जाए तो खड़े हो कर पंद्रा (15) मरतबा पढ़े:

“सुभान अल्लाहि”, “व-अल्हमदुलिल्लाही”, ” ला इलाहा इलल्ललाहु”, वल्लाहु अकबर”,

  • फिर रुकु करते वक़्त दस (10) मरतबा पढ़े,
  • फिर रुकु से उठा कर दस (10) मरतबा पढ़े,
  • फिर रुकु से उठा कर दस (10) मरतबा पढ़े।
  • फिर सज्देह में दस (10) मरतबा पढ़े,
  • फिर सज्देह से सर उठा कर दस (10) मरतबा पढ़े।
  • फिर सज्देह में दस (10) मरतबा पढ़े।
  • फिर सज्देह से सर उठा कर दस बार पढ़े
  • और हर में ऐसे ही पढ़े, आप चार रकतों में पढ़े।
  • अगर आप इसे रोज़ाना एक बार पढ़ सकते है तो पढ़े, अगर नही तो हफ्ते में एक बार, अगर नही तो साल में एक मरतबा, अगर नही तो जिंदगी में एक बार”|

सुनन् इब्न दावूद #1297, किताब अस-सलात, दर्जा: सहीह

हदीस-ए-मुबारिका

मुझे एक शख्स ने जिससे शर्फ सहबत हासिल था हदीस बयान की है लोगों का ख़्याल है की वो अब्दुल्लाह बिन उमर र. आ. थे, उन्होंने कहा:

नबी करीम ﷺ ने फरमाया: कल तुम मेरे पास आना, मै तुम्हे दूंगा, अनायत् करूँगा और नवाज़ुन्गा”,

मै समझ के आप ﷺ मुझे कोई तौफह अनायत् फेरोयेंगे (जब मै कल पहुँचा तो)

आप ﷺ ने फरमाया:

“जब सूरज ढल जाए तो खड़े हो जाओ और चार रकात नमाज़ अदा करो, फिर वैसे ही बयान किया जैसे उपर वाली हदीस में ग़ुज़रा है, अलबत्ता उसमे ये भी है की:

“फिर तुम सर उठाओ यानी दूसरे सज्देह से तो अच्छी तरह बैठ जाओ और खड़े मत हो यहाँ तक के दस-दस बार तस्बीह व तहमीद और तकबीर व तहलील कर लो फिर ये अमल चारों रक’आतों में करो,

फिर आप ﷺ ने फरमाया:

“अगर तुम अहल ज़मीन में सब से बड़े गुनाहगार होंगे तो भी इस अमल से तुम्हारी गुनाहों की बख़्शिश हो जायेगी”,

मैंने अर्ज़ किया: अगर मै उस वक़्त यह नमाज़ अदा न कर सकूँ?

आप ﷺ ने फरमाया: “तो रात या दिन में किसी वक़्त अदा कर लो”।

अबू दावूद कहते है:

इसे मस्तामद बिन रयान ने अबू अल-जोज़ह से इन्होंने अब्दुल्लाह बिन उमर र. अ. रिवायत किया है।

नीज़ इसे रूह बिन मस्याब और ज़ाफर बिन सुलैमान ने उमर बिन मलिक नक्रि से, उमर ने अबू अल-जोज़ाह से अबू अल-जोज़ाह ने इब्न अब्बास र. आ. से भी मौक़ोफन रिवायत किया है, अलबत्ता रावि ने रूह के रिवायत में,

फ़क़ल् हदीस ‘अं अल नबी मोहम्मद ﷺ (तो इब्न अब्बास ने नबी करीम ﷺ की हदीस बयान की) की जमील का इज़ाफह किया है।

सुनन इब्न दावूद #1298, किताब अस-सलात, दर्जा:दईफ्

सलातुल् तस्बीह नमाज़ में चार (4) रक’आतें अदा की जाती है। रक’अत बा रक’अत सही तरीक़ा नीचे पढ़िये।

यहाँ→ छींक आने की दुआ  देखिए|

सलातुल् तस्बीह की नमाज़ की निय्यत कैसे करें?

जिस तरह आम नवाफिल् की निय्यत करते है ठीक वैसे ही सलातुल् तस्बीह की नमाज़ की निय्यत का तरीक़ा है।

1. बस निफ्लि नमाज़ की जगह आपको सलातुल तस्बीह या तस्बीह नमाज़ बोलनी है। नियत करता हूँ मैं 4 रक’अत सलातुल् तस्बीह की, वास्ते अल्लाह त’आला के, मुँह मेरा क़ाबा शरीफ की तरफ, वक़्त ज़ोहर का (जिस वक़्त भी पढ़े वो वक़्त बोल सकते है)।

2. सलातुल् तस्बीह नमाज़ की रक’आतों में क्या पढ़ा जाता है।

3. अव्वल यानी “सुभाना कल्लाहुम्मा व बी हमदिका व तबारा कसमुका वता ‘आला जददुका व ला इलाहा ग़ैरुक” पढ़े के बाद यानी सुरह फातिहा से ठीक पहले 15 मरतबा ये कलमा पढ़िये। फिर सुरह फातिहा और कोई सी भी सूरत की तिलावत कीजिये।

4. “सुभान अल्लाही, व-अल्हमदुलिल्लाही, व-ला इलाहा इलाल्ललाहू, व अल्लाहु अकबर”

5. उसके बाद दस 10 मरतबा वही तस्बीह जो उपर दी हुई है पढ़ लीजिये।

6. रुक’ऊ में सुभाना रब्बी-यल अज़ीम पढ़ने के बाद फिर से यही तस्बीह 10 बार पढ़िये।

7. फिर क़ोंमे की हालत में ‘तस्म’ई और तहमीद, यानी समी अल्लाह हुलीमन हमीदाह, रब्बना लका-ल हंम्द पढ़ कर दस मरतबा पढ़ेगे।

8. फिर पहले सज्देह की हालत में सुभाना रब्बी यल’आला तीन 3 मरतबा पढ़ने के बाद दस मरतबा पढ़िये।

9. फिर पहले सज्देह से उठ कर दूसरे सज्देह में जाने से पहले जिसे जलसा कहते है इसकी हालत में दस 10 मरतबा पढ़िये।

10. फिर दूसरे सज्देह में भी ठीक पहले सज्देह की तरह दस मरतबा यही तस्बीह पढ़नी है।

11. और फिर अत्ताहियात्, दुरूद्-ए-इब्रहीमि और दुआ मासूरा पढ़ कर सलाम फेर लीजिये।

12. इस तरह एक रक’अत में इस कलमा की कुल त’आदाद 75 मरतबा हो जायेगी।

13. और फिर अगली रक’अत के लिए अल्लाहु अकबर कहते हुए सज्देह से उठिए और हाथ बंध कर खड़े हो जाईये।

14. ठीक पहली रक’अत की तरह आप ने चार (4) रक’अत पढ़नी है। इस तरह कुल चार (4) तस्बीह नमाज़ में इस कलमा को आप तीन (300) मरतबा पढ़ेगे।

15. सलातुल् तस्बीह अदा करने के बाद दु’आ मांगने का तरीक़ा
आखिर में प्यारे आक़ा ﷺ के सद्क़े और तुफैल में अपनी हाजत के पूरी होने की भीख मांगिये।

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ كَرِيمٌ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَن

या अल्लाह तू माफ़ करने वाला, करम करने वाला है और माफ़ी को पसन्द करने वाला है, मेरे गुनाह माफ़ फ़रमा दे|

सुनन इब्न माजाह्, वॉल #3, #731

सलातुल् तस्बीह में कलिमा पढ़ना भूल जाए तो क्या करें?

अगर कलमा तर्तीब के लिहाज़ से पढ़ना भूल जाये तो ऐसी सूरत में क्या किया जाए

अगर किसी भी रक’अत में एक मुक़ाम पर कलिमा पढ़ना भूल जाये तो उस अगले मुक़ाम में शुमार कर लीजिये।

मिसाल के तौर पर अगर आप सुरह फातिहा के बाद कोई भी सूरत पढ़ कर कलमा पढ़ना भूल गए हैं। और सीधे रुक’उ मे चले गए हैं। तो रुक’उ में ‘सुभाना रब्बी यल अज़ीम’ पढ़ने के बाद आप 10+10=20 मरतबा कलमा पढ़ेगे।

यानी दस 10 मरतबा वो कलमा जो आप पिछले मुक़ाम पर पढ़ना भूल गए और दस 10 मरतबा रुक’उ के मुक़ाम का कलमा यानी तस्बीह। दोनो मिला के आप बीस 20 मरतबा कलमा पढ़ेगे।

इसी तरह दुबारा आप से अगर ऐसे हो जाए तो आप इसी तरीक़े से अगले मुक़ाम में वो कलमा पुरा कर सकते हैं। यानी पिछले मुक़ाम पर जितना कम पढ़ा था उसे अगले मुक़ाम पर पढ़ने में शुमार कर लीजिये।

फिर भी ऐसे दी वक़्फ़े है जहाँ ऐसा नही किया जा सकता।

दो (2) वक़्फ़े जहाँ छोट गयी तस्बीह शामिल नही की जा सकती

सलाह सलातुल् तस्बीह अदा करते वक़्त दो (2) मुक़मात् ऐसे आते हैं जहाँ पे आप छूट गयी तस्बीह शुमार नही कर सकते।

वो है:

1. क़ोमा
2. जलसा

1. क़ोमा: जब रुकु पुरा कर के रब्बना लकल् ‘हम्द कहते हुए खड़े होते है उसे क़ोमा कहते है। रुकु में छूटी हुई त’अदद को क़ोमा में जोड़ कर नही पढ़ सकते।

तो फिर क्या किया जाए?

इसके लिए रुक’उ में छूटी हुई तस्बीह को जब सज्देह में जाएँ तो सज्देह की तस्बीह की त’अदद में जोड़कर पुरा कर लेंगे। उससे पहले नही, यानी पहले सज्देह में आप दस की बजाए अब बीस मरतबा कलमा पढ़ लेंगे

2. जलसा: क़ोमा की तरह जलसा भी एक छोटा वक़्फ़ा है। नमाज़ में दो सजदों के बीच जब कुछ लम्हों के लिए बैठा जाता है उसे जलसा कहा जाता है। जहाँ आप ज़्यादा देर रुक नही सकते।

इसलिए जलसा से पीछे मुक़ाम जैसा के पहले सज्दाह में अगर आप कलमा पढ़ना भूल गये हों। तो इस कलमा की कमी आप जलसा में पूरी नही कर सकते। जलसा में आप 10 मरतबा ही कलमा पढ़ेगे।

और पहले सज्देह में छोट गये कलमे की कमी आप दूसरे सज्देह में कर सकते है।

यानी अव्वल सज्देह में भूलि हुई कलिमा यानी तस्बीह की त’अदद को दूसरे सज्देह में ही पूरी कर सकते है। उस पहले नही।

मिसाल के तौर पर अव्वल सज्देह में 10 मरतबा कलिमा पढ़ना भूल गये है तो दूसरे सज्देह में उसे जोड़कर आप अब 20 मरतबा कलमा पढ़ेगे।

ध्यान दीजिये: ख़वातीन हैज़ माहवारी के दिनों में ये नमाज़ क़तई न पढ़े।

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

10 Comments

  1. Assalamualaikum bhai apne bataya hai salatul tasbeeh namaz mein pehli rakat mein behtar hai surah Al haakumut takaasur padein sana ki jagah padhni hai ye surah hum thoda confuse hai please batayein bhai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *