Sadaqah Ki Dua

Sadaqah yani sach. Ye lafz Sidq se liya gaya hai Sidq yani ALLAH ke liye kisi ghareeb aur mohtaj ki madad karna. Magar jab sadaqah dein to ALLAH ki raza ke liye dete hue is ayat ka zikr karenge to wird ka sawab yaqinan milega.

Sadaqah Ki Dua

Aala Darje Ka Sadaqah

Farmate hain ke ek saheb Nabi-e-Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallam ki khidmat mein aaye, aur poochha ki sabse zyada sawab wala sadaqah konsa hai? Dekhiye→ Ya Zal Jalali Wal Ikram

Aapne farmaya ki sabse aala darze ka sadaqah yeh hai ki apni sehat ke halat mein sadaqa karo. Aur aise waqt mein sadaqah karo jab tumhare dil mein yeh khayal ho ki yeh maal aisi cheez nahi hai ki ise yunhi luta diya jaye, aur maal kharch karne mein takleef bhi ho rahi hai.

Is halat mein yeh andesha hai ki is sadaqah karne ke nateeje mein baad mein faqa-qasi (tang dasti) ka shikar ho jaun, aur baad mein maloom nahi kya halaat hon.

Us waqt jo sadaqa karoge yeh bada ajr (sawab) wala hoga, uske baad farmaya ki sadaqah dene ka dil mein khayal aaya hai to usko talao (takheer) nahi.

Isse is baat ki tarf ishara kiya gaya hai ki baaz log sadaqa karne ko taalte rehte hain, aur yeh khayal karte hain ki jab marne ka waqt bilkul qareeb aa jayega. Dekhiye→ Cheenk Aane Ke Baad Ki Dua

Us waqt kuchh wasiyat kar jayenge, ki marne ke baad mera itna maal falan ko de dena, aur itna maal falan ko de dena, aur itna maal falan kaam mein laga dena wagairah.

To Huzoor SallALLAHu ‘Alayhe Wasallam farma rahe hain ki tum to keh rahe ho itna maal falan ko de dena, are ab to woh tumhara maal raha hi nahi, woh to kisi aur ka ho gaya kyun?

Isliye ki sharayi masla yeh hai ki agar koi shakhs bimari ki halat mein koi sadaqah kare. Ya sadaqah karne ki wasiyyat kare ki itna maal falan ko de diya jaye ya hiba kare.

Aur usi bimari mein uska inteqal ho jaye, is surat mein sirf ek tihayi maal ki had tak sadaqah nafiz (zari) hoga. Baaqi do tihayi warison ko milega. Isliye ki yeh warison ka haq hai, isliye ki marne se pehle bimari mein hi us maal ke sath warison ka haq mutalliq ho jata hai.

Socha yeh tha ke aakhri umar mein jakar kisi sadaqa-e-zariya mein laga denge to sari umar sawab milta rahega. Halanki yeh halate majboori ka sadaqah hai.  Ajr-o-sawab wala sadaqah to woh hai jo sehat ke waqt mein maal ki zaroorat aur mohabbat aur uske jama karne ke khayal ke waqt mein kiya jaye. Dekhiye→ Rabbighfir Warham Wa Anta Khairur Rahemeen

Wasiyyat Ek Tihayi Maal ki Had Tak Jaari Hoti Hai

Yahan yeh baat samajh lijiye ki baaz log wassiyat ke khwahish-mand to hote hain ki sadaqa-e-zariya mein koi cheez lag jaye, aur marne ke baad uska sawab milta rahe, lekin agar woh apni zindagi mein sehat ki halat mein yeh wasiyyat likh gaye ki mere marne ke baad itna maal falan zaroorat mand ko de diya jaye, to yeh wassiyat sirf ek tihayi ki had tak nafiz (zaari) hogi, ek tihayi se zyada mein nafiz nahi hogi, isliye Nabi-e-Kareem SallALLAHu ‘Alayhe Wasallam farma rahe hain ki, sadaqa karne ka daeya (jazba) paida hua hai us par abhi amal kar lo.

Apni Aamdani Ka Ek (1) Hissa Sadaqah Karne Ke Liye Alag Kar Do

Aur iska ek tariqa main aapke samne pehle bhi bayan kar chuka hoon jiska buzurgon ne bhi tajurba kiya hai. Us par agar insan amal karle to phir sadaqah karne ki toufeeq ho jati hai. Dekhiye→ Dawat Khane Ki Dua

Warna hum log to nek kaam ko taalne ke aadi ban chuke hain. Yeh tariqa yeh hai ki aapki jo aamdani hai uska ek hissa muqarrar kar len ki yeh hissa ALLAH ke raah mein sadaqa karenge ALLAH Ta’ala jitni toufeeq de.

Chahe woh daswan (10) hissa muqarrar kare ya beeswan hissa wagairah, aur phir jab aamdani aaye. Usme se woh muqarrar hissa nikaal kar alag rakh de aur uske liye koi lifafa bana lo.

Usme dalte jao, ab yeh lifafa khud yaad dilata rahega ki mujhe kharch karo, kisi sahi masraf (kharch ki jagah) par lagao. Uski barkat se ALLAH Tabarak Wa Ta’ala kharch karne ki toufeeq de dete hain.

Warna agar kharch ka mauqa samne aata hai to, aadmi sochta rehta hai ki kharch karoon ya Na karoon. Lekin jab yeh lifafa maujood hoga, pehle se uske andar paise maujood honge.

Woh khud yaad dilayega aur mauqa samne aane ki surat mein sochne ki zaroorat pesh nahi aayegi, agar har insan apni hesiyat ke mutabiq yeh mamool bana le to uske liye kharch karna asaan ho jayega. Dekhiye→ Nakhun Katne Ka Sunnat Tarika

ALLAH Ta’ala Ke Yaha Ginti Nahi Dekhi Jati

Yaad rakho ALLAH Tabarak Wa Ta’ala ke yaha ginti aur tadad nahi dekhi jati, balki jazba aur akhlaq dekha jata hai.

Ek aadmi jiski aamdani sau (100) rupay hain, woh agar ek (1) rupya ALLAH ke raah mein deta hai. Woh us aadmi ke barabar hai jiski aamdani ek lakh rupay hai.

Aur woh ek hazar rupaye ALLAH ke raah mein deta hai, aur kuchh pata nahi ki woh ek rupya dene wala apne ikhlas ki wajah se usse bhi aage badh jaye.

Is waaste ginti ko na dekho, balki yeh dekho ki ALLAH Tabarak Wa Ta’ala ke raste mein sadaqah karne ki fazeelat hasil karni hai. ALLAH Ta’ala ki razamandi hasil karni hai to phir apni aamdani ka thoda sa hissa ALLAH ki raah mein zaroor kharch kar do.

Mere Walid Ka Mamool

HAmesha mehnat se hasil hone wali aamdani ka beeswan hissa aur begair mehnat ke hasil hone wali aamdani ka daswan hissa.

Alag lifafe mein rakh diya karte the. Aur aapka yeh sari zindagi ka mamool tha. Agar ek rupya bhi kahin se aaya to usi waqt uska daswan hissa nikaal kar uski rezgari kara kar us lifafe mein daal dete. Dekhiye→ Namaz Se Pehle Takbeer

Aur agar sau (100) rupaye aaye to das rupaye daal dete. Waqti taur par agarche is amal mein thodi se dushwari hoti thi. Ki filhal toote huye paise maujood nahi hain.

Ab kya karen, uske liye mustaqil intezam karna padta tha, lekin sari umar kabhi bhi is amal ke khilaf nahi dekha aur maine woh thaila kabhi sari umar bhi khali nahi dekha, Al-humdullilah.

Is amal ke nateeja yeh hota yeh hota hai ki jab aadmi is tarah nikaal nikaal kar alag karta rehta hai to woh thaila khud yaad dilata rehta hai ki mujhe kharch karo, aur kisi sahi jagah par lagao, ALLAH Ta’ala uski barkat se kharch ki toufeeq ata farma dete hain.

Sadaqah Dene Ki Kya Koi Dua Bhi Hai?

Maine Quran-e-pak mein taqreeban 71 ayatein aisi parhi hai jin mein ALLAH Jalla Jalaaluhoo ne sadaqah ka zikr kiya hai. Unme se chand ka is post mein bhi zikr karunga. Zarur parhiye→ Ya Zal Jalali Wal Ikram

Quran-e-pak mein Surah #57 Surah Al-Hadeed ki ayat #18 mein ALLAH Rabbul ‘Izzat ka irshad-e-mubarak hai:

إِنَّ الْمُصَّدِّقِينَ وَالْمُصَّدِّقَاتِ وَأَقْرَضُوا اللَّهَ قَرْضًا حَسَنًا يُضَاعَفُ لَهُمْ وَلَهُمْ أَجْرٌ كَرِيمٌ

Innal mussaddiqeena walmussaddiqaati waqradullaha Qarzan Hasanaa yuza-‘afu lahum walahum ajrun kareem

Beshak khairat karne wale mard aur khairat karne wali auratein aur jinho ne ALLAH ko achha qarz diya unke liye dugna kiya jayega aur unhe umdah badla milega.

Sadaqah Aur Sadaqah-e-Jariya Mein Kya Faraq Hai?

Sadqah se murad apne maal-o-daulat mein se ALLAH Ta’ala ki khushnoodi (raza) ke liye ghareeb aur miskeen ke liye kharch kiya jaye.
Jabki sadqah-e-jariya se murad aise nek aimal hain jiska fayedah insan ke marne ke bad bhi duniya wale uthate rahen. Zarur parhiye→ Nooh Alaihis Salam Ki Dua

Sadaqah Ki Iqsaam (Qismein)

  1. Farz Sadaqah- Farz sadqah yani ke zakat jo ke Islam ka teesra rukun hai.
  2. Wajib Sadqah- Sadqah-e-fitr, qurbani aur nazr karna waghaira wajib sadqaat hai.
  3. Nifli Sadqah- Aam taur par ki gayi khair khairaat ko nifli sadqat mein shumar kiya jata hai.

Sadqah-e-Jariya Ki Iqsaam (Qismein)

Sadqah-e-Jariya ki mandarja zail qismein hain.

  1. Aisa ilm jo insan ne kisi ko sikhaya ho ya phailaya ho.
  2. Nek aulad jo apne walidain ke liye dua kare.
  3. Koi bhi nek amal jo waqf kar diya jaye yani jis ka faiz (fayedah) agli naslen uthati rahen, jaisa ke pani ka kunwan khudwana, masjid banwana, musafir khana banwana, darakht lagana waghairah.

Sadqah-e-Jariya ka savab na sirf is duniya mein milta hai balki marne ke bad bhi milta rahta hai. Zarur parhiye→ Doodh Peene Ki Dua

Kis-Kis Shakl Mein Sadaqah Diya Ja Sakta Hai?

  • Zarurat mand ki mali imdad karna yani paise dena sadqah hai.
  • Kisi bhooke ko khana khilana sadqah hai.
  • Mohtaj/yateem ko kadpe dilana sadqah hai. Zarur dekhiye→ Ayat-e-Sakina Ki Fazilat
  • Yahan tak ke parindo ko dana pani khilana-pilana bhi sadqah hai.

Sadqah Ke 12 Fayde

Sadqah dene ke be panah fayde hain jaisa ke,

  1. Dil Ki sakhti ko khatm karke naram banata hai.
  2. Aafat-o-museebaton ke liye ek dhaal (bachaw ka zariya) hai.
  3. Kulli shifa ka zariya hai.
  4. Maal mein zyadti aur barkat ka moajab (wajah) hai.
  5. Izzat ka muhafiz hai. Zarur dekhiye→ Rishta Pakka Hone Ki Dua
  6. ALLAH Ta’ala ke ghusse ko thanda karne ka behtareen zariya hai.
  7. Rizq me izafe ke liye farishte dua go hote hain.
  8. Buri maut se hifazat karta hai.
  9. Maut ko taalta hai.
  10. Jannat ke darwazon se guzar hoga.
  11. Dozakh ki aag aur qabr ke azab se bachata hai.
  12. Roz-e-Mahshar aag barsati garmi mein thanda saya banta hai.

Sadaqah Dene Ki Dua

Sadaqah dene ki dua aisi to khas kisi bhi Hadees-e-mubarika se sabit nahi hai. Lekin Quran-e-pak ki ayat-e-mubarika ka wird karna sawab kamane ka zariya hai.

Jab sadaqah de aur ye ayat-e-mubarika parhenge to sadaqah dene aur is ayat ka wird karne dono ka sawab yaqinan milega, Insha ALLAH.

sadaqah ki dua surah baqarah ayat 127

Sadqah Ki Ahmiyat Aur Fazilat

Sadaqah dene ke bare mein badi hi jani mani bat saalon se main sunte aya hoon jo ke sach hai. Ke Jab bhi sadaqah do to aise do ke ek hath se dusre hath tak ko khabar na lage. Zarur dekhiye→ Cheenk Aane Ke Baad Ki Dua

Sadaqah kisi ko dikhakar ya kisi ko dikhane ke liye hargiz na do. Jaise ke ajkal fashion chal raha hai ghareebon ko khada kar ke video aur photo banwate hai sadaqah dete hue. Jo ALLAH ke liye nahi kiya kisi aur ko dikhane ke liye kiya wo sarasar shirk hai.

Sadqe ki Ahmiyat aur fazilat sirf Quran Pak tak hi mahdood nahi hai balki bahut si Ahadees mein bhi iske bare mein zikr aaya hai.

Quran Pak Ki Roshni Mein

﴿وَما تُنفِقوا مِن خَيرٍ فَلِأَنفُسِكُم وَما تُنفِقونَ إِلَّا ابتِغاءَ وَجهِ اللَّهِ وَما تُنفِقوا مِن خَيرٍ يُوَفَّ إِلَيكُم وَأَنتُم لا تُظلَمونَ ﴿٢٧٢﴾ لِلفُقَراءِ الَّذينَ أُحصِروا فى سَبيلِ اللَّهِ لا يَستَطيعونَ ضَربًا فِى الأَرضِ يَحسَبُهُمُ الجاهِلُ أَغنِياءَ مِنَ التَّعَفُّفِ تَعرِفُهُم بِسيمـٰهُم لَا يَسـَٔلونَ النّاسَ إِلحافًا وَما تُنفِقوا مِن خَيرٍ فَإِنَّ اللَّهَ بِهِ عَليمٌ

Surah Baqarah, Ayat Adad 273

Tarjuma:

Aur jo bhi tum bhali cheez ALLAH ki raah mein kharch karoge uska fayedah khud paoge. Tumhen sirf ALLAH ki razamandi talb karne ke liye khairaat karni chahiye aur jo bhi tum bhali cheez kharch karoge tumhen uska pura-pura badla diya jayega aur tum par zulm nahi kiya jayega. Sadqaat ke mustahiq sirf fuqra hain jo ALLAH ki raah (jahad) mein rok diye gaye. Jo zameen mein (karobar waghairah) ke liye chal phir nahi sakte, nadaan log unki be sawali ki wajah se unhe maldaar khayal karte hain, aap unki alamat se unhe pahchan lenge. Wo logon se chimat kar sawal nahi karte aur tum jo kuch maal kharch karoge beshak ALLAH Ta’ala use Janne WALA hai.

Ahadees Ki Roshni Mein

Hazrat Anas Bin Maalik RadiALLAHu Anhu se marwi hai ke Huzoor Pak ﷺ ne farmaya,

“Beshak sadqah ALLAH Ta’ala ke ghusse ko thanda karta hai aur buri maut se bachata hai.”
Is Hadees ko Imam Tirmizi aur Ibn Habban ne riwayat kiya hai. Imam Tirmizi farmate hain : ye Hadees is sanad ke sath Husn Ghareeb hai.

Hazrat Abu Huraira RadiALLAHu Anhu se riwayat hai ke Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya,

“Jisne pak kamayi se ek khajoor ke barabar sadqah kiya, to ALLAH Ta’ala usko APNE dayen hath mein le leta hai aur ALLAH sirf pak kamayi ko qubool karta hai, phir usko khairat karne wale ke liye paalta rahta hai jis tarah tum mese koi shakhs apne bachhre ko paalta hai yahan tak ke wo khairat pahad ke barabar ho jati hai.”

Saheeh Bukhari, Jild Awwal, Hadees :1336

Sadqah karne ki itni barkatein hain ke hamein bhi ise apni zindagi ka hissa banana chahiye. Mushkilaat door aur aasaniyan paida hone ka behad aasan zariya hai. Bas ke rizq halal, niyyat pak aur kisi qism ka dikhawa na ho. Maqsad sirf ALLAH ki raah mein kharch karna ho. ALLAH ke bandon ki khoob madad kijiye. ALLAH Jalla e Shanahu aapki madad farmaye ga, aameen ALLAHumma aameen.

सदक़ाह की दुआ हिंदी में

सदक़ाह यानी सच। ये लफ्ज़ सिद्क़ से लिया गया है सिद्क़ यानी अल्लाह के लिए किसी ग़रीब और मोहताज की मदद करना। मगर जब सदक़ाह दें तो अल्लाह की रज़ा के लिए देते हुए इस आयात का ज़िक्र करेंगे तो विर्द का सवाब यक़ीनन मिलेगा। यहाँ→ ज़िना से बचने की दुआ  देखिए|

सदक़ाह की दुआ

आला दर्जे का सदक़ाह फरमाते हैं के एक साहेब नबी-ए-करीम ﷺ की ख़िदमत में आये, और पूछा की सबसे ज्यादा सवाब वाला सदक़ाह कोनसा है?

आपने फरमाया की सबसे आला दर्जे का सदक़ाह यह है की अपनी सेहत के हालत में सदक़ाह करो जब तुम्हारे दिल में यह ख़याल हो की यह माल ऐसी चीज़ नही है की इसे यूँही लूटा दिया जाए, और माल ख़र्च करने में तकलीफ भी हो रही है।

इस हालत में यह अंदेशा है की इस सदक़ाह करने के नतीजा में बाद में फ़ाक़ा-क़ासि (तंग दस्ति) का शिकार हो जाऊँ, और बाद में मालूम नही क्या हालात हो।

उस वक़्त जो सदक़ाह करोगे यह बड़ा अजर (सवाब) वाला होगा, उसके बाद फरमाया की सदक़ाह देने का दिल में ख़याल आया है तो उसकी टालो नही।

इससे इस बात की तरफ इशारा किया गया है की बाज़ लोग सदक़ाह करने को टालते रहते हैं, और यह ख़याल करते हैं की जब मरने का वक़्त बिल्कुल क़रीब आ जायेगा।

उस वक़्त कुछ वसीयत कर जायेंगे, की मरने के बाद मेरा इतना माल फलान को दे देना, और इतना माल फलान काम में लगा देना वगै़रह्।

तो हुज़ूर ﷺ फरमा रहे हैं की तुम तो दे देना, अरे अब तो वो तुम्हारा माल रहा ही नही, वो तो किसी और का हो गया क्यों?

इसलिए की शरा’इ मसला यह है की अगर कोई शख्स बीमारी की हालत में कोई सदक़ाह करे। ये सदक़ाह करने की वसीययत करे की इतना माल फलान को दे दिया जाए या हिबा करे।

और उसी बीमारी में उसका इंतेक़ाल हो जाए, इस सूरत में सिर्फ एक तिहाई माल की हद तक सदक़ाह नफ़ीज़ (ज़ारी) होगा। बाक़ि हो तिहाई वारिसों को मिलेगा। इसलिए की यह वारिसों का हक हैं, इसलिए की मरने से पहले बीमारी में ही उस माल के साथ वारिसों का हक़ मताल्लिक़ हो जाता है। यहाँ→दुआ-ए-हिज़बुल बहर की फ़ज़ीलत देखिए|

सोचा यह था के आख़री उमर में जाकर किसी सदक़ा-ए-ज़ारिया में लगा देंगे तो सारी उमर सवाब मिलता रहेगा। हालांकि यह हालते मजबूरी का सदक़ाह है। अजर-ओ-सवाब वाला सदक़ाह तो वो है जो सेहत के वक़्त में माल की ज़रूरत और मुहब्बत और उसके जमा करने के ख़याल के वक़्त में किया जाए।

वसीययत एक तिहाई माल की हद तक जारी होती है

यहाँ यह बात समझ लीजिये की बाज़ लोग वसीययत के ख़्वाहिश-मंद तो होते हैं की सदक़ा ए जरिया में कोई चीज़ लग जाए, और मरने के बाद उसका सवाब मिलता रहे, लेकिन अगर वो अपनी जिंदगी में सेहत की हालत में यह वसीयात लिख गये की मेरे मरने के बाद इतना माल फलान ज़रूरत मंद को दे दिया जाये, तो यह वसीययत सिर्फ एक तिहाई की हद तक नफीज़ (ज़ारी) होगी, एक तिहाई से ज्यादा में नफीज़ नही होगी, इसलिए नबी ए करीम ﷺ फरमा रहे है की, सदका करने का दिया (जज़्बा) पैदा हुआ है उसपर अभी अमल करलो.

अपनी आमदनी का एक (1) हिस्सा सदक़ाह करने के लिए अलग कर दो

और इसका एक तरीक़ा मैं आपके सामने पहले भी बयान कर चुका हो जिसका बुज़ुर्गों ने भी तजुर्बा किया है। उस पर अगर इंसान अमल काले तो फिर सदक़ाह करने की तौफीक़ हो जाती है।

वरना हम लोग तो नेक काम को टालने के आदि बन चुके हैं। यह तरीक़ा यह है की आपकी जो आमदनी है उसका एक हिस्सा मुक़र्रर कर लें की यह हिस्सा अल्लाह के राह में सदक़ाह करेंगे अल्लाह त’आला जितनी तौफीक़ दे।

चाहे वो दस्वं (10) हिस्सा मुक़र्रर करे या बीस्वं हिस्सा वग़ैरह, और फिर जब आमदानी आये। उसमे से वह उसके लिए कोई लीफ़ाफ़ा बना लो।

उसमे डालते जाओ, अब यह लीफाफा खुद याद दिलाता रहेगा की मुझे खर्च करो, किसी सही मैराफ् (खर्च की जगह) पर लगाओ। उसकी बरकत से अल्लाह त’आला खर्च करने की तौफीक़ दे देते हैं। यहाँ→तहज्जुद की नमाज़ पढने का तरीक़ा देखिए|

वरना अगर खर्च का मौक़ा सामने आता है तो, आदमी सोचता रहता है की खर्च करूँ या नही। लेकिन जब यह लीफाफा मौजूद होगा, पहले से उसके अंदर पैसे मौजूद होंगे।

वह खुद याद दिलाएगा और मौक़ा सामने आने की सूरत में सोचने की ज़रूरत पेश नही आयेगी, अगर हर इंसान अपनी हैसियत के मुताबिक यह मामूल बना ले तो उसके लिए खर्च करना आसान हो जायेगा।

अल्लाह त’आला के यहाँ गिनती नही देखि जाति

याद रखो अल्लाह पाक के यहाँ गिनती और त’अ दाद नही देखी जाती, बल्कि जज़्बा और अखलाक़ देखा जाता है।

एक आदमी जिसकी आमदनी सौ (100) रुपए है, वो अगर एक रुपया अल्लाह के राह मे देता है। वो उस आदमी के बराबर है जिसकी आमदनी एक लाख रुपए है।

और वह एक हज़ार रुपए अल्लाह के राह में देता है, और कुछ पता नही की वह एक रुपया देने वाला अपने इखलास की वजह से उस्से भी आगे बढ़ जाए।

इस वास्ते गिनती को न देखो, बल्कि यह देखो की अल्लाह त’आला के रास्ते में सदक़ाह करने की फ़ज़ीलत हासिल करनी है। अल्लाह त’आला की रज़ामंदी हासिल करनी है तो फिर अपनी आमदनी का थोड़ा सा हिस्सा अल्लाह की राह में ज़रूर खर्च करदो।

मेरे वालिद का मा’अमूल

हमेशा मेहनत से हासिल होने वाली आमदनी का बीस्वा हिस्सा और बेगैर मेहनत के हासिल होने वाली आमदनी का दस्वा हिस्सा।

अलग लीफाफा में रख दिया करते थे। और आपका यह सारी जिंदगी का मामूल था। अगर एक रुपया भी कहीं से आया तो उसी वक़्त उसका दस्वा हिस्सा निकाल कर उसकी रेज़्गारी करा कर उस लीफाफे में डाल देते। यहाँ→ मनी निकलते वक़्त की दुआ देखिए|

और अगर सौ (100) रुपए आये तो दास रुपये डाल देते। वाक्ति तौर पर अगर्सगो इस अमल में थोड़ी से दुष्वारी होती थी। की फिल्हाल टूटे हुए पैसे मौजूद नही है।

अब क्या करें, उसके लिए मुस्तक़िल इंतेज़ाम करना पड़ता था, लेकिन सारी उमर कभी भी इस अमल के खिलाफ नही देखा और मैंने वोह थैला कभी सारी उमर भी खाली नही देखा, अल-हमदुल्लिलाह।

इस अमल के नतीजा ये होता है की जब आदमी इस तरह निकाल निकाल कर अलग करता रहता है तो वह थैले खुद याद दिलाता रहता है की मुझे खर्च करो, और किसी सही जगह पर लगाओ, अल्लाह त’आला उसकी बरकत से खर्च की तौफीक आता फरमा देते हैं।

सदक़ाह और सदक़ाह-ए-जारीयाह में का फर्क है?

सदक़ाह से मुराद अपन माल-ओ-दौलत में से अल्लाह त’आला की खुशनूदि (रज़ा) के लिए ग़रीब और मिस्कीन के लिए खर्च किया जाए।

जबकि सदक़ाह-ए-जारीयाह से मुराद ऐसे नेक अमल है जिसका फायेदा इंसान के मरने के बाद भी दुनिया वाले उठाते रहें।

  • फ़र्ज़ सदक़ाह- फ़र्ज़ सदकाह यानी के ज़कात जो के इसलाम का तीसरा रुकु है।
  • वाजिब सदक़ाह – सदक़ाह -ए-फ़ितर्, क़ुरबानी और नज़र करना वग़ैराह वाजीब सदक़ाह है।
  • निफ्लि सदाक़ाह – आम तौर पर की गयी खैर खैरात को निफ्लि सदक़ाह में शुमार किया जाता है।

सदाक़ाह-ए-जरिया की इक़साम (क़िस्में)

1. ऐसा इल्म जो इंसान ने किसी को सिखाया हो या फैलाया हो।
2. नेक औलाद जो अपने वालिदैन के लिएर दुआ करें।
3. कोई भी नेक अमल जो वक़्फ़ कर दिया जाए यानी जिस का फ़ैज़ (फायेदा) अगली नस्लें उठती रहे, जैसा के पानी का कुनवं खुदवाना, दरख़्त लगाना मुसाफिर का खाना बनवाना, मसजीद वग़ैरह।

सदक़ाह ए जरिया का सवाब न सिर्फ इस दुनिया में मिलता है बल्कि मरने के बाद भी मिलता रहता है।

पैसे देना सदक़ाह है।

किसी भूके को खाना खिलाना सदक़ाह है। मोहताज/यतीम को कपड़े दिलाना सदक़ाह है।

यहाँ तक के परिंदो को देना पानी खिलाना-पिलाना भी सदक़ाह है। यहाँ→ग़ुस्ल करने की दुआ और निय्यत  देखिए|

सदाक़ाह के 12 फायदे

सदक़ाह देने के बे पनाह और चौंका देने वाले फायदे और फ़ज़ीलत है| जिनमे से 12 यहाँ आप जान लीजिए|

1. दिल की सख़्ती को खत्म करके नरम बनाता है।
2. आफत-ओ-मुसीबतों के लिए एक ढाल (बचाव का जरिया) है।
3. कुल्ली शिफा का ज़रिया है।
4. माल में ज्यादती और बरकत का मोअजब (वजह) है।
5. इज़्ज़त का मुहाफ़िज़ है।
6. अल्लाह त’आला के ग़ुस्से को ठंडा करने का बेहतरीन ज़रिया है।
7. रिज़्क़ में इज़ाफ़े के लिए फरिश्ते दुआ ग़ो होते है।
8. बुरी मौत से हिफाज़त करता है।
9. मौत को टालता है।
10. जन्नत के दरवाज़े से गुज़र होगा।
11. दोज़खा की आग और क़ब्र के अज़ाब से बचाता है।
12. रोज़-ए-मेहशर् आग बरसती गर्मी में ठंडा साया बनता है।

सदक़ाह देने की दुआ

क्या सदक़ाह देने की क्या कोई दुआ भी है?

मैंने कुर’आन ए पाक में तक़रीबन 71 आयतें ऐसी पढ़ी है जिन मेे अल्लाह त’आला सदक़ाह का ज़िक्र किया है।

उनमे से चंद का इस पोस्ट में भी ज़िक्र करूँगा।

कुर’आन ए पाक में सुरत #57 अल-हदीद की आयत #18 में अल्लाह पाक फरमाता है:

“बेशक खैरात करने वाले मर्द और खैरात करने वाली औरतें और जिन्होंने अल्लाह को अच्छा क़र्ज़ दिया उनके लिए दूंगा किया जायेगा और उन्हे उम्दाह बदला मिलेगा”।

सदाक़ाह देने की दुआ ऐसी तो खास किसी भी हदीस-ए-मुबारिका से साबित नही है।

लेकिन क़ुर’आन पाक की आयत-ए-मुबारिका का विर्द करना सवाब कमाने का ज़रिया है।

जब सदक़ाह दे और ये आयत-ए-मुबारिका पढ़ेगे तो सदक़ाह देने और इस आयत का विर्द करने दोनो का सवाब यक़ीनन मिलेगा, इंशा अल्लाह

सदाक़ाह की अहमियत और फ़ज़ीलत

सदाक़ाह देने के बारे में बडी ही जाने मानी बात सालों से मैं सुनते आया हों जो के सच है। के जब भी सदक़ाह दो तो ऐसे दो के एक हाथ से दूसरे हाथ तक को ख़बर न लगे| यहाँ→अस्तग़फार की दुआ हदीस में देखिए|

सदक़ाह किसी को दिखा कर या किसी को दिखाने के लिए हरगिज़ न दो। जैसे के आजकल फैशन चल रहा है गरीबों को खडा कर के वीडियो और फ़ोटो बनवाते है सदक़ाह देते हुए। जो अल्लाह के लिए नही किया किसी और को दिखाने के लिए किया वो सरासर शिर्क है।

सद्क़े की अहमियत और फ़ज़ीलत सिर्फ क़ुर’आन पाक तक ही महदूद नही है बल्कि बहुत सी हदीस में भी इसके बारे में ज़िक्र आया है।

क़ुर’आन पाक की रौशनी में

وَما تُنفِقوا مِن خَيرٍ فَلِأَنفُسِكُم وَما تُنفِقونَ إِلَّا ابتِغاءَ وَجهِ اللَّهِ وَما تُنفِقوا مِن خَيرٍ يُوَفَّ إِلَيكُم وَأَنتُم لا تُظلَمونَ ﴿٢٧٢﴾ لِلفُقَراءِ الَّذينَ أُحصِروا فى سَبيلِ اللَّهِ لا يَستَطيعونَ ضَربًا فِى الأَرضِ يَحسَبُهُمُ الجاهِلُ أَغنِياءَ مِنَ التَّعَفُّفِ تَعرِفُهُم بِسيمـٰهُم لَا يَسـَٔلونَ النّاسَ

सूरत बक़राह #273

तर्जुमा:

और जो भी तुम भाली चीज़ अल्लाह की राह में खर्च करोगे उसका फायेदा खुद पाओगे। तुम्हे सिर्फ अल्लाह की रज़ामंदी तलब करने के लिए खैरात करनी चाहिए, और जो भी तुम भली चीज़ खर्च करोगे तुम्हे उसका पुरा-पुरा बदला दिया जायेगा और तुम पर ज़ुल्म नही किया जायेगा।

सदक़ाह के मुस्तहिक़ सिर्फ फ़ुक़रा हैं जो अल्लाह की राह (जहद) में रोक दिये गये।

जो जमीन में (कारोबार वग़ैरह) के लिए चल फिर नही सकते, नादान लोग उनकी बे सवाली की वजह से उन्हे मालदार ख्याल करते है, आप उनकी अलामत से उन्हे पहचान लेंगे।

वो लोगों से चिमट कर सवाल नही करते और तुम जो कुछ माल खर्च करोगे बेशक अल्लाह त’आला उसे जानने वाला है।

हदीस-ए-मुबारिका की रौशनी में

हज़रत अनस बिन मलिक र. अ. से मरवी है के हुज़ूर पाक ﷺ ने फरमाया,

“बेशक सदक़ाह अल्लाह त’आला के ग़ुस्से को ठंडा करता है और बुरी मौत से बचाता है”।

इस हदीस को इमाम तिर्मिज़ी और इब्न हब्बन ने रिवायत किया है। इमाम तिर्मिज़ी फरमाते है: ये हदीस इस सनद के साथ हुसम् ग़रीब है।

हज़रत अबू हुरैरह र. अ. से रिवायत है के रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया

“जिसने पाक कमाई से एक खजूर के बराबर सदक़ाह किया, तो अल्लाह त’आला उसको अपने दाएँ हाथ में ले लेता है और अल्लाह सिर्फ पाक कमाई को कु़बूल करता है, फिर खैरात करने वाले के लिए पालता रहता है जिस तरह तुममे से कोई शख्स अपने बच्चे को पालता है यहाँ तक के वो खैरात पहाड़ के बराबर हो जाती है”।

सहीह बुखारी, जिल्द अव्वल, हदीस: #1336

सदक़ा करने की इतनी बरकतें है के हमें भी इसे अपनी जिंदगी का हिस्सा बनाना चाहिए। मुश्किलात दूर और आसानियाँ पैदा होने का बेहद आसान ज़रिया है।

बस के रिज़्क़ हलाल, निय्यत पाक और किसी क़िस्म का दिखावा न हो। मक़सद सिर्फ अल्लाह की राह में खर्च करना हो। अल्लाह के बंदो की खूब मदद कीजिये।

अल्लाह जल्ला शा-नहु आपकी मदद फरमायेगा, अमीन अल्लाहुम्मा आमीन।

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

21 Comments on “Sadaqah Ki Dua”

  1. Kia non Muslim ke naam ka sadqa krskte hain?

  2. AOA sir mera nikah howa hai aur main apny husband k sth bhot batamezi karti hu ms n bawi sub k sth thk rahti hu plz mujy btain k jadu chek krny ki dua ygisy k liye dua

  3. Assalamualikum bhai shadi ke leye mujarrab wazifa bataye plz 1000 wazife kar chuki hu

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *