Sabr Ki Dua in Hindi

Sabr Ki Dua in Hindi सब्र की दुआ

Sabr Ki Dua in Hindi | सब्र की दुआ

सब्र वो बेशक़ीमती ने’अमत है जो अल्लाह पाक ने इन्सान को ‘अता की| सब्र की दुआ (Sabr Ki Dua) के ज़रिये सब्र करने के साथ-साथ इसका सवाब भी कमाया जा सकता है| इस पोस्ट में हम तफसील से जानेंगे क़ुरआन और हदीस में सब्र के बारे में क्या तलकीन फरमाई गयी है?

Sabr wo beshqeemti nemat hai jo ALLAH pak ne insan ko ‘ata ki. Sabr ki dua (सब्र की दुआ ) ke zariye sabr karne ke sath-sath iska sawab bhi kamaya ja sakta hai.  Is post mein ham tafseel se janenge Quran aur Hadees mein sabr ke bare me kya talkeen farmayi gayi hai.

सब्र क्या है?

सब्र शुक्र गुज़ारी को कहते है के जिस हाल में भी अल्लाह त’आला ने रखा उसका शुक्र है।

जिसने शुक्र किया वही सब्र की अदायेगी में खरा उतरा। अलबत्ता बग़ैर शुक्र के सब्र नही किया जा सकता।

क्योंकि जब इंसान के दिल में शुक्र नही होगा तो ज़ाहिर सी बात है के सब्र भी नहीं होगा।

सब्र और शुक्र एक ही सिक्के के दो पहलु है|

सब्र और शुक्र दोनो दुनिया और आख़िरत में हसनाह है और कामयाबी की निशानी है। जिस इंसान ने सब कुछ खो कर हर मुश्किल परेशानी झेल कर भी सब्र और शुक्र किया उसी ने जीत हासिल की।

बेशक सब्र करने वालों से अल्लाह पाक इस क़दर खुश होता है के, फरिश्तों की मजलिस में उस साबेरीन यानी सब्र करने वाले मो’अ-मिन का ज़िक्र करता है।

क़ुरआन मजीद में अल्लाह त’आला फरमाता है:

“और यक़ीनन जो कोई सब्र से काम ले, और दर गुज़र कर जाए, तो ये बड़ी हिम्मत की बात है।”

सूरह अश-शुरा, आयत न. 43

अल-जुनैद कहते है: मुसीबत की घड़ी में खामोशी इख़्तियार करना सब्र है।

धु-नुन कहते है: बिना किसी बद-लेहाज़ि और शिकायत के चुप चाप परेशानी को झेलना सब्र है।

अबू उसमान कहते है: सब्र करने वाला इंसान खुद को उस साचे में ढाल लेता है के हर परेशानी आसानी से झेल ले।

अमर इब्न उसमान अल-मक्की कहते है: सब्र का मतलब चाहे जितनी भी परेशानियाँ आये बिना किसी शिकायत और ग़म के अल्लाह त’आला के और नज़दीक चले जाना।

हज़रत अयूब अ.स. का वाक़िया

हज़रत अयूब अ.स. के पास दुनिया की हर नेमत थी। अल्लाह त’आला के उन्हे नबी होने का खिताब, अच्छी सेहत, खूबसूरती, खूब माल-ओ-दौलत, नेक बीवी, बच्चे, बादशाहत सब दी।

शायद ही ऐसी कोई चीज़ होगी जिसे अल्लाह पाक ने उन्हे अता ना की हो। इन तमाम चीजों के लिए वो अल्लाह पाक का खूब शुक्र भी अदा करते थे। और खूब इबादत भी करते थे।

तब शैतान अल्लाह रब्बुल ‘इज़्ज़त से कहने लगा: ये आपका शुक्र क्यों ना अदा करे?
आपने इन्हे हर नेमत से नवाज़ा है।

ज़रा इनसे हर वो नेमत छीन कर देखिये। फिर ये आपका शुकर नही अदा करेंगे। बल्कि न-शुक्र हो कर शिकायत करने लगेंगे।

तब अल्लाह पाक ने फरमाया:

अगर तुम्हे ऐसा लगता है तो ठीक है। मैं इनसे ये सब नेमत कर बता दूँ। फिर देखना मेरा नबी कैसे फिर भी मेरा शुक्र गुज़ार रहता है या नही।

तब अल्लाह त’आला ने हज़रत अयुब अ.स. से हर नेमत छीन ली। सारी दौलत, औलाद, जवानी, सेहत यहाँ तक के कोढ़ और भी ना जाने कितनी बीमारी दे दी।

हज़रत अयुब अ.स. के सिर्फ उनकी बीवी और गिने चुने कुछ रिशतेदार ही बच गए। जो कभी कभी उनसे मिलने आ जाते थे।

उनकी हालत ऐसी हो गयी थी के खाने को घर में कुछ नही होता था। सेहत ऐसी थी के आँखों से कुछ सूझता नही था। ना ही चल पाते थे।

ऐसी हालत में हज़रत अयुब अ.स. ने अपनी इबादतों को और बढ़ा दिया। ना-शुक्रि का एक शिकन तक आने नही दिया।

बल्कि वो तो इस बीमारी, मुफ्लिसि के लिए अल्लाह पाक का और ज़्यादा शुक्र अदा करते थे।

और कहते थे के ” या अल्लाह तूने मुझे इस क़ाबिल समझा के मुझे आज़माइश् में डाला।

उन्होंने अपनी इबादतों को बढ़ा दिया। जो कुछ रिश्तेदार उनसे मिलने आ जाते थे वो कहते थे के क्या खता हुई है हज़रत आपसे के अल्लाह पाक ने आपको इतनी मुसीबतों में डाल दिया।

तो हज़रत अयुब अ.स. कहते थे के मुझे मेरे रब को राज़ी करना है, इसमें भी मेरे लिए बेहतरी ही है।

उन्होंने कभी ना-शुक्रि नही की। ना ही शिकवा शिकायत किया बस अल्लाह पाक से दुआ करते रहे। उनकी रज़ा में राज़ी रहे।

इसका फल भो उन्हे मिला। हज़रत अयुब अ.स. को एक चशमे में नहाने की, और एक चसमे से पानी पीने की बशारत हुई।

फिर हज़रत अयुब अ.स. ने एक चश्मे से नहाया और दूसरे चश्मे से पानी पिया।

उस मुबारक चश्मे के पानी से उनकी जवानी वापस आ गयी। उनकी सेहत वापस आ गयी। ऐसे जैसे वो कभी बूढ़े हुए ही नही थे ना किसी क़िस्म की बीमारी ने उन्हे छुआ।

वो जब वापस आये तो उनकी बीवी ने उनसे पूछा, क्या अपने मेरे शौहर को उस तरफ जाते हुए देखा?

उनकी शकल आप जैसी ही थी लेकिन वो बूढ़े और बीमार है। तब हज़रत अयुब अ.स. ने बताया मै ही हूँ तुम्हारा शौहर।

यही मिलता है सब्र और शुक्र करने वालों को इस दुनिया में भी अल्लाह पाक नवाज़ देता है। और आखि़रत में भी अपनी रहमत के साये में छुपा लगा। इंशा अल्लाह

अल्लाह पाक क़ुरअन मजीद में इरशाद फरमाता है:

“और जब तुम्हारे परवरदिगार ने तुम्हे ज़्यादा दिया की अगर (मेरा) शुक्र करोगे तो मै यक़ीनन तुम पर (नेमत की) ज़्यादति करूँगा और अगर कही तुमने ना शुक्रि की तो यक़ीनन मेरा अज़ाब शख्त है।”

सूरह इब्राहीम, आयत न. 7

“नमाज़-ए-असर की क़सम। बेशक इंसान घाटे में है। मगर जो लोग ईमान लाये, और अच्छे काम करते रहे और आपस में हक़ का हुक्म और सब्र की वसिहत करते रहे।”

सूरह अल-असर, आयत न.1, न. 3

ताक़तवर होने पर भी सब्र करना क्या है?

जिस पर ज़ुल्म किया गया उसमे ज़ुल्म का जवाब देने की ताक़त होने के बावजूद भी अगर उसने सिर्फ़ और सिर्फ़ अल्लाह की रज़ा के ख़ातिर सब्र किया  उसे आख़िरत में सब्र का  अजर मिलेगा इंशा अल्लाह|

कोई ऐसा शख्स जिसने आपको बदनाम किया, परेशान किया, आपके उपर मुसीबतों का पहाड़ तोड़ दिया।

आपके के लिए जिंदगी का हर लम्हा दर्दनाक बना दिया। उस वक़्त आपने सब्र से काम ले कर ना उसको जवाब दिया और ना ही उसके लिए अपनी ज़बान से बद दुआ निकाली।

आपके पास ताक़त, रुतबा होते हुए अपने उपर हुए ज़ुल्म का बदला लेने का ज़िम्मा अपने अल्लाह सुभानहु के उपर छोड़ दिया।

इसे ही कहते है असली सब्र करने वाला मोमिन। क्योंकि अगर अपने उपर हुए ज़ुल्म का बदला आपने खुद ही ले लिया।

अल्लाह त’आला क़ुरअन मजीद में इरशाद फरमाता है:

“और आप ﷺ को जो हुक्म भेजा जाता है उसकी पैरवी किये जाओ और (तकलीफों पर) सब्र करो, यहाँ तक के खुदा फैसला करदे, और वो सब से बहतर फैसला करने वाला है।”

सूरह युनुस, आयत न. 109

सब्र कहते है, कोई तकलीफ-देह बात पेश आये तो ज़ुबान से कोई ख़िलाफ-ए-शर’अ बात ना निकले।

ना जिस्म के दूसरे अ’अज़ा से किसी भी तरह का ख़िलाफ-ए-शर’इ कोई काम करे।

ना परवरदिगार से शिकवा करे ना आमाल में नाफ़रमानी हो। अगर ग़म, बीमारी, परेशानी के वक़्त भी ये कैफियत है तो ये आदमी सब्र करने वाला है।

यानी अगर किसी इंसान को ऐसी परेशानियों का सामना करना पड़ रहा हो। जो उसके लिए बहुत तकलीफों वाला है। फिर भी ना उसके ज़ुबान से कोई शिकवा हो और ना ही अल्लाह त’आला की नाफरमानी करे।

बल्कि उसके साथ जो भी गुज़रा है उसे अल्लाह पाक की रज़ा समझ कर उसपर शुक्र करे।

वही इंसान सब्र और शुकर करने वाला है।

सब्र करने वाले का हर आने वाला दिन उसके गुज़रे हुए दिन से बेहतर हुआ करता है।

ये पक्की बात अपने दिलों पर लिख लीजिये। अल्लाह त’आला को सब्र करने वालों से मुहब्बत है।

सब्र का इनाम

अल्लाह त’आला फरमाते है:

“हर मुश्किल के बाद आसानी है”

सूरह इन्शिराह आयत न. 5

अल्लाह त’आला का हुक्म है:

“ऐ ईमान वालों! सब्र और नमाज़ से सहारा (और मदद) हासिल करो, बिला शुबा हक़ त’आला (हर तरह से) सब्र करने वालों के साथ रहते है।”

लिहाज़ा कैसी भी परेशानी वाले हालात में मायूस ना हो। बल्कि अल्लाह त’आला मांगे, वुज़ू कीजिये।

दो रक’अत निफ्लि नमाज़ पढ़िये और अल्लाह त’आला से ही अपनी शिकायत को कहिये।

इसलिए के अल्लाह पाक फरमाता है:

“ऐ ईमान वालो! अल्लाह ही से मदद तलब करो साथ सब्र के और नमाज़ के, बेशक अल्लाह त’आला साबिरीन के साथ है।”

ख्वाहिशात शैतान का हथियार है, जिससे वो इंसाम को क़ाबू में करता है।

और सब्र इंसान का हथियार है, जिससे शैतान क़ाबू में आ जाता है।

एक हदीस ए मुबारिका का मफहूम है, लफ़्ज़ों में कुछ इधर उधर हो जाए तो अल्लाह त’आला मु’आफ करे।

एक दफा हज़रत मुहम्मद ﷺ के जूते का तस्मा मुबारक टूट गया। तब आप ﷺ ने उस वक़्त ये दुआ पढ़ी,
إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ

इन्ना लिल्लाही व इन्ना इलय ही राजि’ऊन।

तो एक सहाबा जो ये देख रहे थे अर्ज़ किया, या रसूल अल्लाह ﷺ ये दुआ तो किसी के मौत के वक़्त पढ़ी जाती है।

फिर आप ﷺ ने फरमाया

“इस दुनिया में तुम्हे कोई भी परेशानी आये, हर छोटी से छोटी परेशानी या बड़ी से बड़ी मुसीबत में इस दुआ को पढ़ सकते है।

अल्लाह त’आला इसका अजर तुम्हे इस दुनिया और आखि़रत में ज़रूर आता फरमायेगा”।

इस हदीस से मालूम होता है हर मुसीबत परेशानी के वक़्त इस दुआ को पढ़ा जा सकता है।

इस उम्मीद से के अल्लाह पाक इसका बदला हमें ज़रूर आता करेगा। इंशा अल्लाह

सब्र करने की तलकीन हदीस में

हज़रत अबू हुरैरह र.अ. से रिवायत है के नबी-ए-करीम ﷺ ने फरमाया:

अल्लाह त’आला का इरशाद है के जब ईमान वाला बंदा के किसी प्यारे को उठा लूँ, और वो सवाब की उम्मीद मे सब्र करे तो मेरे पास उसके लिए जन्नत के सिवा कोई मुआवज़ा नही।”

सही बुखारी, मा’अरिफुल हदीस

हदीस ए मुबारिका

उम्मे सलमह र.अ. से रिवायत है के, रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया के:

“जब कोई शख्स किसी मुसीबत में मुबतीलाह हो जाए और ये कहे:

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ

इन्ना लिल्लाही व इन्ना इलयही राजी’ऊन

“हम अल्लाह के है और हम उसी के तरफ लौटाए जायेंगे।”

“ऐ अल्लाह पाक पाक! मेरी मुसीबत में मेरी तलाफ़ी कर, मेरे नुक़सान का इज़ालह कर और उस के बदले में मुझे उससे बेहतर चीज़ आता फरमा।”

तो यक़ीनन अल्लाह त’आला उसको अजर और बेहतर बदला देगा। उम्मे सलमह र.अ. कहती है की जब अबू सलमा र.अ. का इंतेक़ाल हुआ तो मैंने वही दुआ दुहराई जिसका रसूल अल्लाह ﷺ ने मुझे हुक्म दिया था। तो अल्लाह त’आला ने मुझे उनसे बेहतर बदला दिया (मेरी शादी मुहम्मद ﷺ से हुई थी)।”

मुस्लिम: रियाज़ अल-सालिहीन, न. 921

सब्र की दुआ (सब्र के बारे में क़ुरअन मे हुक्म)

رَبَّنَا أَفْرِغْ عَلَيْنَا صَبْرًا وَتَوَفَّنَا مُسْلِمِينَ

“ऐ हमारा रब! हम पर सब्र डाल और हमको (साबित कदमी से) मुसलमान रहते हुए (दुनिया से) उठाले। अमीन ”

सूरह अल अरफ, आयत न. 126

दिल में सब्र आने की ये दोनो दुआ आप हर नमाज़ के बाद जितनी चाहे उतनी मरतबा पढ़ सकते है।

इंशा अल्लाह, सब्र तो आयेगा ही साथ ही उस सब्र का अजर भी आपको इस दुनिया में और आखि़रत में भी मिलेगा। अमीन

ग़ौर तलब: ख़्वातीन हैज़/माहवारी में ये दोनो अमल देख कर क़ताई ना करें।
अगर मुँह ज़बानी याद है तो इसका विर्द कर सकती है।

अल्लाह त’आला फरमाते है:

जिन लोगों ने अल्लाह त’आला की रज़ामंदी के लिए दुनिया की तक़लीफ़ों पर सब्र किया।

नमाज़ पढ़ी और अल्लाह त’आला की दी हुई रोज़ी में से उसकी राह में ख़र्च किया और बुराई के मुकाबले में नेकी करते रहे।

तो ऐसे लोग है जिनकी दुनिया का अनजाम अच्छा है। और आखि़रत में उनके रहने के लिए जन्नत है।

जन्नत के हर दरवाज़े से फरिश्ते उनके पास आ कर उन्हे सलाम पेश करेंगे।

और कहेंगे की, दुनिया में जो तुम सब्र करते रहे थे। आज तुमको ये उसी सब्र का बदला मिला है।

अल्लाह पाक इरशाद फरमाते है के,

ऐ नबी ﷺ! मुसलमानों को दुनिया के तमाम नुकसानों और तकलिफों को बस सब्र करने वालों को हमारी रज़ामंदि की खुश खबरी सुना दीजिये।

क़ुरआन मजीद:

“सब्र करने वालों को (दुनिया और आखि़रत की भलाई की)खुश खबरी सुना दो।”

सूरह अल बक़राह

कितनी फ़ख़्र की बात है के दुनिया की तकलीफों पर सब्र करने वालों के लिए अल्लाह त’आला सब्र करने वालों का साथी और मददगार है।

अल्लाह त’आला इरशाद फरमाता है के, दुनिया की तकलीफों पर सब्र करते है, उन्हे बेशुमार बदला दिया जायेगा।

ये दुनिया हमारे लिए क़ैद खाना है। जिसमें हमें तकलीफों, मुश्किलों, परेशानियों का सामना करना पड़ेगा।

यहाँ तक के ऐसी तकलीफें मिलेगी जिनका कोई इलाज नही। ऐसी परेशानियाँ जिनका कोई हल नही।

फिर भी अल्लाह पाक की रज़ा में राज़ी रहना चाहिए। क्योंकि इस दुनिया में जिसने जितनी ज़्यादा तकलीफों को झेला उसे आखि़रत में उतना ही सवाब और मक़ाम मिलेगा। इंशा अल्लाह

पहले ज़माने के लोग खौ़फ ज़दा हो जाते थे जब उन्हे असनिया मिलती थी। क्योंकि उन्हे ये पता था के इस दुनिया में जितनी परेशानिया मिलेगी अखिरत में इसका इतना ही अजर ओ सवाब है।

बेशक अल्लाह पाक अपने बंदो के साथ ना-इंसाफी नही करता है।

क़ुरआन मजीद

“अगर तुम सब्र करो और परहेज़गारी इख़्तियार करो तो उनकी चाल तुम्हे कुछ भी नुक़सान नही पहुॅचायेगी”।

सूरह अल इमरान, आयत न. 120

सब्र की दुआ क्या है?

यूँ तो क़ुरअन पाक मे सब्र के बारे कई जगह पर अल्लाह पाक ने इरशाद फरमाया है। लेकिन ये वो आयत है जिसमे सब्र करने वालों के लिए फ़ज़ीलत बयाँ है।

क़ुरअन पाक मे अल्लाह त’आला का इरशाद है:

“إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ”

“बेशक अल्लाह त’आला सब्र करने वालों के साथ है।”

सूरह अल-बक़राह आयत न. 153

इसलिए मुश्किल पर परेशान न हुआ करें। ये जिंदगी का हिस्सा है। अगर खुशियाँ हमेशा नही रहती तो ग़म भी हमेशा नही रहा करते।

हर हाल में अल्लाह अज़्जवजल का शुक्र करना चाहिए। अल्लाह पाक का शुक्र अदा करना भी नही कर सकते। हमारा रोम-रोम अल्लाह पाक के एहसानों में डूबा है।

अपने प्यारों से शेयर कजिये सवाब ए जरिया ज़रूर कमाएं।

Sabr Kya Hai?

Sabr kahte hai shukr guzari ko ke jis haal mein bhi ALLAH Ta’ala ne rakha uska shukr hai.

Jisne ne shukr kiya wahi sabr ki adayegi mein khara utra. Albatta baghair shukr ke sabr nahi kiya jaa sakta.

Kyunki jab insan ke dil mein shukr nahi hoga to zahir si baat hai wo shikayat hi kar raha hai.  Yahan →Aqeeqah Karne Ki Dua Aur Tariqa  dekhiye!

Sabr aur shukr dono jeet ki nishani hai. Jis insan ne sab kuch kho kar har mushkil pareshani jhel kar bhi sabr aur shukr kiya usne jeet hasil ki.

Beshaq sabr karne walon se ALLAH paak is qadar khush hota hai ke, farishton se ki majlis mein us sabrin yani sabr karne wale insan ka zikr karta hai.

Sabr wo hai jismein na shukri to dor kuch ghalat karne bhi baaz aa jaye.

ALLAH Ta’ala farmata hai:

“Aur yaqeenan jo koyi Sabr se kaam le, aur dar ghuzar kar jaaye, to yeh badi Himmat ki baat hai”.

Surah Ash- Shura, Ayat no. 43

Al-Junaid kahte hai: Musibat ki ghadi mein khamoshi ikhtiyar karna Sabr hai.

Dhu-Nun kahte hai: Bina kisi bad-lehazi aur shikayat ke chup chap pareshani ko jhelna sabr hai. Abu Usman kahte hai: Sabr karne wala insan khud ko us saache mein dhaal leta hai ke har pareshani asaani se jhel le.

Amr Ibn Usman Al-Makki kahte hai: Sabr ka matlab chahe jetni bhi pareshaniyan ayen bina kisi shikayat aur gham ke ALLAH Ta’ala ke aur nazdeek chale jana.

Kuch Ullama kahte hai: Sabr ke mayine hai ALLAH paak se madad mangna. Is soch ke sath ke uske siwa koyi madad nahi kar sakta.

Hazrat Ayub A. S. Ka Waqiah

Hazrat Ayub A. S. ke pas duniya ki har nemat thi ALLAH Ta’ala ke Nabi hone khitaab, achhi sehat, khubsurati, khoob maal-o-daulat, biwi, bachche, badshaahat di.

Aisi koyi cheez nahi thi jise ALLAH paak ne unhe ‘ata na ki ho. In tamam chizon ke liye wo ALLAH paak ka khoob shukr ada kiya bhi karte. Aur khoob ibadat bhi. Tab shaitan ne ALLAH Rabbul ‘Izzat se kaha yeh shukr kyon na kare? Aapne inhe har nemat se nawaza jo hai.

Zara inse har wo nemat chheen kar dekhiye. Phir yeh apka shukr nahi ada karenge. Balki na shukre ho kar shikayat karne lagenge.

Tab ALLAH paak ne farmaya

Agar tumhe esa lagta hai to thik hai. Main inse ye sab nematen chheen kar bata doon. Phir dekhne Mera nabi kaise phir bhi Mera shukr guzar rahta hai ya nahi.

Tab ALLAH Ta’ala ne Hazrat Ayub A. S. se har nemat chhin li. Sari daulat, aulad, jawani, sehat yahan tak ke kodh aur bhi na jane ketni bimari de di. Unke pas bache sirf unki biwi aur gine chune kuch rishtedar jo kabhi kabhi unse milne aa jate the.

Unki halat aisi ho gayi thi ke khane ko ghar mein kuch nahi hota tha. Sehat aisi thi ke ankhon kuch soojhta nahi, na hi chal pate the. Aisi halat mein Hazrat Ayub A. S. ne apni ibadaton ko aur badha diya. Na shukri ka ek shikan tak ane diya.

Balki wo to is bimari, muflisi ke liye ALLAH paak khoob zyada shukr ada karte the, ke TUNE mujhe is qabil samjha ke mujhe azmaish mein dala. Yahan →Surah Kahf in Hindi  dekhiye!

Unhone apki ibadaton ko badha diya. Jo kuch rishtedar unse mile aa jate the wo kehte the ke kya khata huyi hai Hazrat apse ke ALLAH paak ne apko etni musibaton daal diya. To wo kehte the ke mujhe mere Rab ko razi karna hai, ismein bhi mere liye behtari hi hai.

Unhone kabhi na shukri nahi ki nahi shikwa shikayat kiye bas ALLAH paak se dua karte rahe. Unki raza mein razi rahe.

Is phal bhi unhe mila, Hazrat Ayub A. S. ko basharat huyi kisi ek se chasme mein nahane ke liye. Aur ek chasme se pani pine ke liye. Tab wo apni biwi ko kahi khade kara kar us mubarak chasme ki taraf gaye. Ek chasme se nahaya aur dusre chasme se pani piya.

Us mubarak chasme ke pani se unki jawani wapas aa gayi, unki sehat wapas aa gayi. Aise jaise wo kabhi budhe huye hi nahi the na kisi qism ki bimari ne unhe chhua. Yahan→Surah Mulk In Hindi Translation dekhiye!

Wo jab wapas aye to unki biwi ne unse puchhe, kya apne mere shauhar us taraf jate huye dekha?

Unki shakal aap jaisi hi thi lekin wo budhe kamzor aur bimar hai. Tab Hazrat Ayub A. S. ne bataya mai hi hun tmhara shauhar. Yahi milta hai sabr aur shukr kar walon ko is duniya mein bhi ALLAH paak nawaz deta hai.

Aur akhirat mein bhi apni rehmat ke saye me chhupa lega. Insha ALLAH

ALLAH paak Qur’an majeed mein irshad farmata hai:

“Aur jab tumhare Parwardigar ne tumhe zyada diya ki agar (MERA) Shukr karoge to mai yaqeenan tum par (nemat ki) zyadti karunga aur agar kahi tumne na shukri ki to yaqeenan mera azaab shakht hai”.

Surah Ibraheem, Ayat no. 7

“Namaz-e-Asr ki Qasam. Beshaq insan ghate mein hai. Magar jo log imaan laye, aur achhe kaam karte rahe aur aapas mein Haq ka hukm aur Sabr ki wasiyat karte rahe”.

Surah Al-Asr, Ayat no. 1-3

Taaqatwar Hone Par Bhi Sabr Karna Kya Hai?

Koyi aisa shakhs jisne apko badnaam kiya, pareshan kiya, apke upar musibaton ka pahaad tod diya.

Aapke ke liye zindagi har lamha dardnaak banaya diya. Us waqt apne Sabr se kaam ke kar na usko jawab diya aur na hi uske liye apni zabaan se bad dua nikali. Yahan→ Surah Waqiah In Hindi Translation dekhiye!

Aur ab apke paas etni taqat, etna rutba hai ke apki ek waar se uski zindagi badtareen ho sakti hai. Lekin apne upar huye zulm ka badla lene ka zimma apne ALLAH Subhanahu ke upar chhor diya.

Ise hi kehte hai asli sabr karne wala momin. Kyunki agar apne upar huye zulm ka badla aapne khud hi le liya.

To Yeh Kaisa Sabr Hua?

Sabar karna to wo hai jismein apni taqlifon ko bhul kar taqleef dene wale ko ko bhula diya jaye.

Uske liye apne dil kisi bhi tarah ka bughaz na rakhein. Aur apne upar huye zyadti ka badla lene ka faisla ALLAH paak par chhor kar zindagi mein aage badh kar ALLAH paak shukr ada kiya.

Kyunki beshaq, ALLAH paak se zyada behtareen faisla karne koyi nahi kar sakta.

ALLAH Ta’ala Qur’an Majeed mein irshad farmata hai:

“Aur Aap ﷺ ko jo hukm bheja jata hai uski pairwi kiye jao aur (takleefon par) Sabr karo, yaha tak ke Khuda Faisla karde, aur wo sab se behtar faisla karne wala hai”.

Surah Yunus, Ayat no. 109

Asal Sabr Kya Hai?

Sabr kehte hai, koi takleef deh baat pesh aye to zaban se koyi khilaf-e-shar’a baat na nikale.

Na Jism ke dusre a’aza se koyi khilaf-e-shar’a koi kaam kare. Yahan→ Surah Yaseen in Hindi Tarjuma dekhiye!

Na Parwardigaar se shikwa kare na amaal mein nafarmani ho. Agar gham, bimari, pareshani ke waqt bhi ye kaifiyat hai to yeh admi babr karne wala hai.

Yani agar kisi insan ko aisi pareshaniyon ka saamna karna pad raha ho. Jo uske liye bahut taklifon wala hai. Phir bhi na uske zaban se koyi shikwa ho aur na hi ALLAH Ta’ala ki nafamani kare.

Balki uske saath jo bhi guzra hai use ALLAH paak raza samajh kar uspar shukr kare.

Wahi insan sabr aur shukar karne wala hai.

Sabr karne wale ka har aane wala din uske guzre huye din se behtar hua karta hai. Aur be-sabri karne wale ka har ane wala din uske guzre huye din se badtar hua karta hai.

Ye pakki baat apne dilo par likh lijiye, ALLAH Ta’ala ko sabr karne walo se Muhabbat hai.

Sabr Ka Inaam

ALLAH Ta’ala farmate hai:

“Har mushkil ke baad Asaani hai”

ALLAH Ta’ala ka hukm hai:

“Ae imaan walo! Sabr aur namaz se sahara (aur madad) haasil karo, Bila Shubha Haq Ta’ala (har tarah se) Sabr karne walo ke saath rehte hai”

Lihaza kesi bhi pareshani wale halaat ho mayus na ho. Balki ALLAH Ta’ala se maange, wazu kijiye.

Do rak’at nifli namaz padhiye aur ALLAH paak hi se apni shikayat ko kahiye. Dekhiye→ Salatul Hajat Namaz Ka Tarika

isliye k ALLAH Paak farmata hai:

“Ae imaan walo! ALLAH hi se madad talab karo saath sabr ke aur namaz ke, Beshaq ALLAH Ta’ala sabireen ke saath hai.

Khwahishat shaitaan ka hathiyaar hai, jisse wo insaan ko qaabu mein karta hai.

Aur sabr insaan Ka hathiyaar hai, jisse shaitaan qaabu mein aa jata hai. Yahan→ Roza Kholne ki Dua dekhiye!

Ek hadees-e-mubarika ka mafhoom hai, lafzon mein kuch idhar udhar ho jaye to ALLAH Ta’ala muaf kare.

Ek dafa Hazrat Muhammad ﷺ ke jute ka tasma mubarak toot gaya. Tab aap ﷺ ne us waqt yeh padhi,

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ

Inna lillahi wa inna ilay hi raji’oon.

To ek sahaba jo yeh dekh rahe the arz kiya Ya Rasool ALLAH ﷺ yeh dua to kisi ke maut ke waqt padhi jati hai.

Phir aap ﷺ ne farmaya

“Is duniya mein tumhe koyi bhi pareshan aye har chhoti se chhoti pareshani ya badi se badi musibat is dua ko padh sakte, ke ALLAH Ta’ala iska ajar tumhe is duniya na sahi lekin akhirat mein zarur ata farmayega”.

Is hadees se maloom hota hai har musibat pareshani ke waqt is dua ko padha jaa sakta hai. Dekhiye→ Marne Ke Bad Ki Dua

Is ummeed se ke ALLAH paak iska badla hamein zarur ata karega. Insha ALLAH

Sabr Karne Ki Talkeen Hadees Me

Hazrat Abu Huraira R. A. se Riwayat hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ ne farmaya:

ALLAH Ta’ala ka irshad hai ke Jab imaan wala Banda ke kisi pyare ko uthaa lun, aur Wo sawab ki ummeed me Sabr kare to mere paas uske liye Jannat ke siwa koyi muawza nahi”.

Sahi Bukhari, Ma’ariful Hadees

Hadees-e-Mubarika

Umme Salmah R. A. se riwayat hai ke, Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya ke:

“Jab koyi shakhs kisi musibat mein mubtilah ho jaye aur ye kahe:

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ

Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Raji’oon

“Ham ALLAH ke hai aur ham USI ke taraf lautaye jayenge”.

“Ae ALLAH paak! Meri musibat mein meri talaafi kar, mere nuqsan ka izalah kar aur us ke badle mein mujhe usse behtar cheez ata farma”

To yaqeenan ALLAH Ta’ala usko ajar aur behtar badla dega. Umme Salma R. A. kehte hai ki jab Abu Salma R. A. ka inteqaal hua to maine wahi dua duhrayi jiska Rasool ALLAH ﷺ ne mujhe hukm diya tha. To ALLAH Ta’ala ne mujhe unse behtar badla diya (meri shadi Muhammad ﷺ se huyi thi) “.

Muslim: Riyaz Al-Saliheen, no. 921

Yahan→ Char Qul in Hindi Tarjuma dekhiye!

Rasool-e-Kareem ﷺ farmate hai:

“Momin ka muamla bhi ajeeb hai ke, jab ALLAH Ta’ala use Nemat bakshta hai to wo shukr karta hai aur ispe isko sawab milta hai aur jab ALLAH Ta’ala use azmata hai aur uspe taklif dalta hai tab wo Sabr karta hai aur ispe bhi isko sawab milta hai”.

Sahih Muslim, Kitab 042, No. 7138

Ajar-o-Sawab Ki Ummeed Mein Sabr

Al Salma Bin Zaid R. A. bayan karte hai,

“Rasool ALLAH ﷺ ki ek beti ne aapko paigham bheja ke aapka beta akhri sanson par hai, aur aap ﷺ se darkhwast ki ke aap un ke pas ayen, Rasool ALLAH ﷺ ne ital’a dene wale ko ye keh kar wapis bheja: ” ALLAH Ta’ala hi ka hai jo wo leta hai aur ji deta hai, aur har cheez ki muddat (duniya mein) mehdood hai, isliye usse kaho ke Sabr kare, aur ALLAH Ta’ala se ajar ki ummeed rakhe”.

Al-Bukhari, Muslim | Riyaz Al-Saliheen no. 924

Wazaahat:

Subhan ALLAH! ALLAH Ke Nabi ﷺ Is hadees mein momin ki sifat bayan kar rahe hai, yani momin ki khubi yeh hai ke jab uspe pareshani ati hai to ALLAH Ta’ala par tawakkul rakhte huye sabr karta hai.

Jab Koyi nemat milti hai to ALLAH Ta’ala ka Shukr ada karta hai.

Lekin Afsos! Aaj humpar koi dushwari ati hai to bajaye apne Rab par tawakkul (bharosa) rakhne ke ham shikayat karte hai

Aur jab ALLAH paak hamare muamlaat ko durust kar deta hai to bajaye shukrane ada karne ke, ham apni khushiyon mein ALLAH paak ko naraaz kar baithte hai.

ALLAH Ta’ala reham kare, kis hadd tak hum gumrahi me ji rahe hai. Kyunki rah-e-raas wahi jo ALLAH paak ki raza mein razi rahe aur dukhon par sabr ke sath shukr bhi ada kare. Yahan→ Kunde Ki Niyaz in Hindi dekhiye!

ALLAH paak ka shukr ada karna bhi chahein to bhi nahi kar sakte. Hamara rom-rom ALLAH paak ke ehsaano mein dooba hai.

Sabr Ke Bare Me Quran Me Hukm

رَبَّنَا أَفْرِغْ عَلَيْنَا صَبْرًا وَتَوَفَّنَا مُسْلِمِينَ

“Ae hamara Rab! Ham par Sabr daal aur hamko (Sabit kadmi se) Musalmaan rahte huye (duniya se) uthale”. Ameen

Surah: Al Araf, Ayat no. 126

Dil mein sabr ane ki yeh dono dua aap har namaz ke baad jetni chahe utni ta’adad mein padh sakte hai.

Insha ALLAH, sabr to aayega hi sath hi us sabr ka ajar bhi apko is duniya mein aur akhirat mein bhi milega. Ameen

Ghaur Talab: Khwateen haiz/maahwari mein yeh dono amal de kh kar qayati na karein. Apko yaad munh-zabani yaad hai to iska wird kar sakti hai.

ALLAH Ta’ala farmate hai:

Jin logon ne ALLAH Ta’ala ki razamandi ke liye duniya ki taklifon par sabr kiya.

Namaz padhi aur ALLAH Ta’ala ki di huyi rozi mein se USKI raah mein kharch kiya aur burayi ke mukable mein neki karte rahe.

To aise log hai jinki duniya ka anjaam achcha hai. Aur akhirat mein unke rahne ke liye Jannat hai. Yahan→ Surah Baqarah in Hindi dekhiye!

Jannat ke har darwaze se farishte unke paas aa kar unhe salaam pesh karenge.

Aur kahenge ki, duniya mein jo tum sabr karte rahe the. Aaj tumko yeh usi sabr ka badla mila hai.

ALLAH paak irshad farmate hai ke,

Ae Nabi ﷺ ! Musalamanon ko duniya ke tamaam nuksano aur taklifon ko bas sabr karne walon ko hamari razamandi ki khush khabri suna dijiye.

Qur’an Majeed:

“Sabr karne walon ko (duniya aur akhirat ki bhalayi ki) khush khabri suna do”.

Surah: Al-Baqarah

Ketne fakhr ki baat hai ke duniya ki taklifon par sabr karne walon ke liye ke ALLAH Ta’ala sabr karne walon ka sathi aur madadgaar hai.

ALLAH Ta’ala irshad farmata hai ke, duniya ki taklifon par sabr karte hai, unhe beshumar badla diya jayega.

Yeh duniya hamare liye qaid khana hai. Jismein hamein taklifon, mushkilon, pareshaniton ka samna karna padega.

Yahan tak ke aisi taklifen milengi jinka koyi ilaaj nahi. Aisi pareshaniyan jinka koyi hal nahi.

Phir bhi ALLAH paak ki raza mein razi rahna chahiye. Kyunki is duniya mein jisne jetni zyada taklifon ko jhela use akhirat mein utna hi sawab aur maqqm milega.

Pahle zamaane ke log khauf zada ho jate the jab unhe asaniyon par asaaniyan milti thi. Kyunki unhe yeh pata tha ke is duniya mein jetbi pareshaniyan, mushkilen, taklifen, milengi akhirat mein iska etna hi ajar-o-sawab hai.

Beshaq ALLAH paak apne bando ke sath na-insafi nahi karta hai. Yahan→ Bidat Kya Hai? dekhiye!

Agar koyi apke khilaaf chaal par chaal chal raha hai. Apko nicha dikhlane ke liye.

Ya phir apke haq se apko dar badar kar diya hai. Sabr kijiye aur apne faisle ALLAH Ta’ala par chhor dijiye.

Kyun wo bahtareen chaal chalne wala hai.

Qur’an Majeed

“Agar tum Sabr karo aur parhezgari ikhtiyaar karo to un ki chaal tumhe kuch bhi nuqsan nahi pahuchaye gi”.

Surah Al-Imran, Ayat no. 120

Sabr Ki Dua Kya Hai?

Yun to Quran pak me sabr ke bare kayi jagah par ALLAH pak ne irshad farmaya hai. Lekin ye wo ayat jisme sabr karne walon ke liye fazilat bayan hai.

Qur’an paak me Allah Ta’ala ka Irshad hai:

“إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ”

“Beshak ALLAH Ta’ala Sabr karne walo ke saath hai”

Surah Al-Baqarah Ayat No. 153

Isliye ghamon par pareshan na hua karein. Yeh zindgi ka hissa hai, agar khushiyan hamesha nahi rehti to phir gham bhi hamesha nahi raha karte.

Momin ki Sifat Sabr aur Shukr Karna

Baghair shukr ke sabar ho hi nahi sakta. Jis insaan ke andar shukr ka ehsaas hoga wahi insan sabr kar sakta hai.

Jo ALLAH paak ka shukr-guzar banda ho, wo koyi na koyi mauka shukr-guzari ka dhund hi leta hai.

Jaise agar wo bahut badi mushkilon se jhoojh raha hai. Phir bhi wo ALLAH Ta’ala ka shukr ada karta hai ke, Ya ALLAH Ta’ala tera lakh lakh shukr hai ke tune mujhe isse zyada badi mushkil mein nahi dala.

Aur is ehsaas ke sath shukr karna ke iska badla akhirat mein zarur milega. Yahi ek momin ki pehchaan.

Aur wo is baat se bhi khush ho shukr ada karta hai ke ALLAH paak mujhse muhabbat karta hai isliye to USNE mujhe azmaish mein dala hai.

Taki mere gunahon ko bakhsh kar akhirat mein mera datja buland kar sake. Yahan→ 100 Durood Shareef PDF dekhiye!

Agar apko hamari yeh post pasand aye to apno se zarur sahre kijiyega!

अपने प्यारों से शेयर कर सवाब-ए-जारिया ज़रूर कमायें|

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *