Rujjat se hifazat ke liye kya padha jaye? Rujjat hone ki kya wajah hai? Rujjat khatam karne ka amal jinhe rujjat se nijat chahiye unke liye hai. Yani rujjat ki kaat kaise ki jaye? Rujjat se fauran bachne ka durust aur asardar tarika kya hai?
Har Tarah Ki Rujjat Khatam Karne Ka Amal
Rujjat ke hawale se mere pas kayi sawal ate hai. Jo log aam taur par wazifa ya koi amal parhte rahte hai. Unhe kayi bar rujjat ho jati hai.
Rujjat ko lekar jaise ki log kaafi uljhan mein hain. Ye post parhne ke bad ap rujjat se achhe se waqif ho jayenge. Ap log ye janna bhi chah rahe honge ke rujjat me hota kya hai? Zarur dekhiye→ Astaghfar in Islam
Aur agar rujjat ho jaye to iski kaat kaise ki jaye yani rujjat ka ilaj kaise kiya jaye? Aur isse hifazat ki dua ke bare mein bhi parhenge.
Rujjat Kya Hoti Hai?
Rujjat ka maane hota hai palatna ya ulta asar karna. Rujjat amliyat (ruhani amal/wazaif) se judi huyi ek cheez hai. Jab hum ruhani amal karte hain yani ki koyi wazeefa parhte hain.
Rujjat bhi ek qism ka reaction hai. Jiski hone ki kuchh wajuhat (wajah) hain. Agar hum rujjat se bachne ke liye koshish karein to yeh bahtareen hoga. Kyon ki jaise ki marz se shifa ke liye dawayi ke sath parhez bhi zaruri hoti hai.
Wazifa ya koi amal parhne me humse ghaltiyan aur kotahi ho jati hai. Akhirkar phir humare parhe gaye wazaif se humari mushkil mein izafah ho jata hai. Masle pesh ane lagte hain.
Ye rujjat ke hi asrat mein se hai. Zarur dekhiye→ Akhir ALLAH Meri Dua Kaise Qubool Kare?
Rujjat Ki Alamaat Kya Hai?
Ruhaniyat wale koi bhi amal ya wazaif (wazeefa) karne se rujjat ho to anjam kya hota hai?
Aisi halat se guzar rahe shakhs mein neeche di hui tamam ya kuch alamatein nazar aa sakti hai.
- Tabyat ka nasaaz (kharab) hona;
- Ghabrahat ya bechaini rehna;
- Raaton ko neend na aana;
- Kisi bhi tarah ke zahni amraz ka shikar ho jana;
- Jis pareshani liye amal ya wazifa parha tha, pareshani ka dafa hone ki bajaye aur badh jana. Misal ke taur par agar shohar/biwi ki mohabbat ke liye amal/wazeefa padha tha. Aise me rujjat ho gayi to phir inke rishton mein aur kadwahat ana aur larayi jhagre hona aam bat ho jati hai. Baaz auqat (kayi bar) Bandish rujjat ki wajah se bhi ho jati hai. Zarur dekhiye→ Qaza-e-Umri Aur Kaffarah
Rujjat Kyon Hoti Hai?
- Rujjat hone ka andesha tab hota hai. Jab koyi ek sath ek hi maqsad ke liye kayi wazaif kare. Jaise ki hum bukhar ya kisi beemari ke liye mu’alij (doctor) ki di huyi zyada ta’adad me dawayiyan lene lagte hain. Aur wo sab fayda pahunchane ki bajaye nuqsan dene lagti hai.
Waise hi pareshani ya musibat ke dafa hone ke liye ya phir hajaton ke poora hone ke liye humein sabr-o-tahammul se kaam lena chahiye. Ek waqt par ek hi maqsad ke liye bahut sare wazeefe ya amliyat/dua nahi padhni chahiye. Kyon ki isse rujjat ho sakti hai.
Jaise ki dawayiyon ka ulta asar hota hai. Jise angrezi mein ya phir yoon kahe to humare aam zuban mein ‘reaction’ kehte hain. Misal ke taur par aksar hi log kehte hain, mujhe falan dawayi ka reaction hua hai.
Waise hi agar rujjat hone ka andesha ho, to ek shakhs ke liye isse behtareen kuchh nahi ho sakta ki wo amliyat (amal) ya phir wazaif padhne ke dauran unse judi cheezon se ehtiyat kare. Jisse ke rujjat se mehfooz (bacha) raha ja sakta hai.
- Amal ki sharait ko poora na karna. Yani ke ruhani amal karte waqt uski ginti mein ghalti karna. Misal ke taur par agar aapko ALLAH ka Ism Shareef sau (100) martaba padhna hai. Magar dhyan na dene ke wajah se isse zyada ya kam ta’dad mein Ism shareef ko padh lena.
Halanki agar amal ke dauran dhyan na rahe aur agar shaitan behka hi de, jisse ke aap ta’dad bhool gaye hon. To is halaat mein amal padhne ke bad ALLAH se mafi mange. Aur amal/wazaif qubool hone ki dua kariye. Aap chahein to Salatul Tauba ada kar sakte hain. Salatul Tauba ki link yaha dekhiye→ Salatul Taubah Ki Namaz Ka Tarika
- 1-1 Harf ki adayegi mein ghalti karna yani zuban se thik tariqe se na bolna. Quran Majeed ki ayaat ke muwakkil hote hain. Aise halat mein agar koyi us ayat ke harf ki sahi se adayegi na kare. Jaldbazi mein ghalat padh de, to bhi rujjat ho sakti hai.
Isliye jab bhi Quran Majeed ya phir ALLAH ke Ism Mubarak ka wazaif ya amal padhein to dheere-dheere aur ba-adab padhein. Jisse ki lafz ki adayegi sahi se ho jaye.
- Kayi wazeefon mein waqt muqarrar hota hai. Aise mein us amal/wazeefe ko uske tay (muqarrar) waqt par na padhkar kisi aur waqt par padhne se bhi rujjat ho sakti hai.
Jis wazeefe ka waqt jis waqt muqarrar ho, usi waqt amliyat padhein. Jaise ki Isha ki Namaz ke bad to Isha mein hi amal/wazeefe ko padhiye. Aur phir rozana usi waqt par amal padhiye. Han 5-10 minute waqt aage-pichhe ho jaye to isme pareshani ki koyi bat nahi hai.
- Ruhani amal/wazeefa humesha paak aur saaf jagah par padhein. Kyon ki amal/wazeefa padhne ke dauran ALLAH ke noorani farishte nazil hote hain. Aise mein bahut zaruri hai ki, pakeezgi ka khas khayal rakhe jaye. Napaki ke masle wajah se bhi rujjat ho sakti hai.
Rujjat Se Hifazat Ka Amal
Ab ham rujjat ko khatm karne ke durust tariqe ke bare mein bat karenge.
Yeh amal Auliya ALLAH Mu’in Al-Deen Hassan Chishti Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz R.A. ka bataya hua amal hai. Is wazeefe ke padhne se rujjat se yaqeenan hifazat hogi, Insha ALLAH. Zarur dekhiye→ Tahajjud Ki Namaz Padhne Ka Tarika
Agar wazeefa na karne ki wajah rujjat ho jane ka dar ya khatra ho to aise halat mein sabse awwal is dua ko padhna shuru karein aur phir apne maqsad ke liye wazeefa/amal karein.
Rujjat Se Hifazat Ka Amal #1
اِذَا السَّمَاءُ اَنُشَقّتُ وَاَذِنتَ لِرَبِّهَا وَ حَقَّتّ وَ اِذَا الاَرْضُ مُدَّتَ مَا فِيْهَا وَ تَخَلَّتُ
Izas Samao Anu-shakkatu Wa Azinata Lirabbiha Wa ‘Haqqata Wa Izal-Ardu Muddata Maa Feeha Wa Takhallat.
Upar di hui Surah Inshiqaq ki ayat 1 se lekar 4 ko rozana ka mamool bana lein. Insha ALLAH, rujjat nahi hogi aur apke wazeefa bhi sahi kaam karenge. Rujjat ke liye ye bhi ek kargar ilaj hai.
Rujjat Se Hifazat Ka Amal #2
-
Wuzu ki halat mein rehte huye.
-
Awwal Durood-e-Ibrahimi teen (3) bar padhein.
-
Har baar Bismillah ke sath Surah Fatiha saat (7) bar padhein.
-
Phir Bismilla ke sath ek (1) dafa ayatal kursi padhiye.
-
Phir Charo Qul teen (3) martaba har baar Bismillah ke sath padhiye. Yani ke Surah Kafiroon; Surah Ikhlas; Surah Falaq Aur Surah Naas.
- Phir Bismillah ke sath teen (3) bar yeh dua padhiye:
بٍسْمِ اللّٰهِ الَّذِىْ لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهٖ شَيْء فِىْ الْاَرْضِ وَلَا فِىْ السَمَآءٍ وَ هُوَ السَّمِيْعُ الْعَلِيْمُ
-
Phir Bismillah karke yeh dua teen (3) bar padhein:
اَعُوْذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
-
Phir Bismillah ke sath teen (3) bar yeh dua padhiye:
وَ اِلٰهُكُمْ اٖلٰه وَّاحِدْ لَا اِلٰهَ اِلَّا هُوَ الرَّحْمٰنُ الرَّحِيْمُ
-
Phir se Bismillah ke sath saat (7) martaba Ayatal Kursi padhiye.
- Phir Bismillah ke sath saat (7) bar yeh dua padhiye:
مَا شَا اَللّٰهِ لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِٱللَّهِ
-
Phir se teen (3) martaba Durood-e-Ibrahimi padhiye.
Ek baar is amal ko har namaz ke bad subah aur sham mustaqil karein. Ise humesha mamool ka bana lein. Chahein to har ghante ke bad bhi padh sakte hain. Insha ALLAH, is wazeefa ke barkat se rujjat se ta-umr hifazat rahegi, Ameen.
Rujjat Ki Kaat Ka Amal
Upar di huyi ‘Rujjat’ ki hifazat ke dono amal/wazeefa rujjat ki kaat ke liye bhi padhi ja sakti hai. Insha ALLAH, is amal ke padhne se purani se purani rujjat ki kuchh hi dino mein kaat ho jayegi Insha ALLAH, Ameen. Zarur dekhiye→ Buri Nazar ki Dua in Quran-Hadees
Wazeefa Padhne Ka Tareeqa
Wazeefa/amal padhne ke kuchh tareeqe yeh hain. Agar insab sharait ko poora karne ke sath wazeefa/amal padhi jaye, to Insha ALLAH yaqeenan wazeefe kaam karenge. Aur sath-sath rujjat se bhi hifazat rahegi.
- Wazeefa karne se pehle sadaqa dein, jitna aap de sakein.
- Wazeefa padhne ke dauran haram kamon se parhez karein. Yani ke jo cheezein Islam mein mana hai.
- Qibla ke tarf munh karke wazeefa padhein.
- Paak-saaf jagah par baithkar wazeefa padhein.
- Wazeefa tashahhud yani ke namaz mein At-Tahyat padhne ke liye hum jaise bethte hain. Us halaat mein wazeefa padhein.
- Wazeefa padhne ke dauran 2 rakat Salatul Tauba ki namaz ka mamool bana lein.
- Dhyan se wazeefa padhein taki huroof ke adayegi mein ghalti na ho.
- Wazeefa padhne se pehle itmenan se wuzu banayein. Itmenan se banaye gaye wuzu ke wajah se shaitan phir ibadat mein khalal nahi dal payega, Insha ALLAH.
- Yu to bande ko astaghfar khoob parhte rahna chahiye. Kyonke ye har pareshani se mehfooz rakhti hai. Jin dino wazeefa padhe zyada se zyada Istighfar ka wird rakhein.
- Aur aap chahein to Ayate Karima ka wird rakhein. Jo Yunus Alahis Salam ki dua hai. Insha ALLAH isse fayeda hoga, Ameen.
Agar apko ye post pasand aye to apke apno se share kijiyega!
Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.
Dhyan Dijiyega:
Khawateen Haiz/mahwari ke dauran ye amal nahi parhein.
रुज्जत ख़त्म करने का अमल
रूज्जत से हिफ़ाज़त के लिए क्या पढ़ी जाए? रुज्जत होने की वजह क्या है? रुज्जत ख़त्म करने का अमल जिन्हे रूज्जत से निजात चाहिए उनके लिए है। यानी रुज्जत की काट कैसे की जाए? रुज्जत से फ़ौरन बचने का दुरुस्त और असरदार तरीक़ा क्या है? ज़रूर देखिए→ काला जादू का तोड़
हर तरह की रुज्जत ख़त्म करने का अमल
रुज्जत के हवाले से मेरे पास कई सवाल आते हैं। जो लोग आम तौर पर कोई वज़ीफ़ा या अमल पढ़ते रहते हैं। उन्हे कई बार रुज्जत हो जाती है।
रुज्जत को लेकर जैसे की लोग काफ़ी उलझन में हैं। यह पोस्ट पढ़ने के बाद आप रुज्जत से अच्छे से वाक़िफ़ हो जाएंगे। आप लोग यह भी जानना चाह रहे होंगे की रुज्जत में होता क्या है?
और अगर रुज्जत हो जाए तो इसकी काट कैसे की जाए। और इससे हिफ़ाज़त की दुआ के बारे में भी पढ़ेगे।
रुज्जत क्या होती है?
रुज्जत का मा’अने (मतलब) होता है पलटना या उल्टा असर करना। रुज्जत अम्लियात (रूहानी अमल/वज़ाइफ़) से जुड़ी हुई एक चीज़ है। जब हम रूहानी अमल पढ़ते हैं यानी की कोई वज़ीफ़ा पढ़ते हैं।
रुज्जत भी एक क़िस्म का रिएक्शन है जिसकी होने की कुछ वजूहात (वजह) हैं। अगर हम रुज्जत से बचने की कोशिश करें तो यह बेहतरीन होगा। क्यों की जैसे मर्ज़ से शिफ़ा के लिए दवाई के साथ परहेज़ भी ज़रूरी होती है। ज़रूर देखिए→ जादू का तोड़ क़ुरआन से
वज़ीफ़ा या अमल पढ़ने में हमसे कोई ग़लतियां या कोताही हो जाती है। आख़िरकार फिर हमारे पढ़े गए वज़ाइफ़ से हमारी मुश्किल में इज़ाफ़ह हो जाता है। मसले पेश आने लगते हैं। यह रुज्जत के ही असरात में से है।
रुज्जत की अलामत क्या है?
रूहानियत वाले कोई भी अमल या वज़ाइफ़ (वज़ीफ़ा) करने से रुज्जत हो जाए तो उसका अंजाम क्या होता है?
ऐसे हालात से गुज़र रहे शख़्स में नीचे दी हुई तमाम या कुछ अलामतें नज़र आ सकती हैं।
- तबियत का नासाज़ (ख़राब) होना;
- घबराहट या बेचैनी रहना;
- रातों को नींद न आना;
- किसी भी तरह के ज़हनी अमराज़ का शिकार हो जाना;
- जिस परेशानी के लिए अमल या वज़ीफ़ा पढ़ा था, परेशानी का दफ़ह होने के बजाए और बढ़ जाना। मिसाल के तौर पर अगर शौहर/बीवी की मुहब्बत के लिए अमल/वज़ीफ़ा पढ़ा था। ऐसे में रुज्जत हो गई तो फिर इनके रिश्तों में और कड़वाहटक आना और लड़ाई झगड़े होना आम बात हो जाती है। बाज़ औक़ात (कई दफ़ह) बंदिश रुज्जत के वजह से भी हो जाती है।
रुज्जत क्यों होती है?
- रुज्जत होने का अंदेशा तब होता है। जब कोई एक साथ एक ही मक़सद के लिए कई वज़ाइफ़ करे। जैसे की हम बुख़ार या किसी बीमारी के लिए मु’आलिज (डॉक्टर) की दी हुई ज़्यादा तादाद में दवाइयां लेने लगते हैं। और वो सब फ़ायेदह पहुंचाने की बजाए नुक़सान देने लगती है।
वैसे ही परेशानी या मुसीबत के दफ़ह होने के लिए या फिर हाजतों के पूरा होने के लिए हमें सब्र-ओ-तहम्मुल से काम लेना चाहिए। एक वक़्त पर एक ही मक़सद के लिए बहुत सारे वज़ीफ़े या फिर दुआ/अमल नहीं पढ़नी चाहिए। क्योंकि इससे रुज्जत हो सकती है। ज़रूर देखिए→ दुश्मन की ज़ुबान बन्दी की दुआ
जैसे की दवाइयों का उल्टा असर होता है। जिसे अंग्रेज़ी में या फिर यूं कहे तो हमारे आम ज़ुबान में ‘रिएक्शन’ कहते हैं। मिसाल के तौर पर अक्सर ही लोग कहते हैं, मुझे फ़लां दवाई का ‘रिएक्शन’ हुआ है।
वैसे ही अगर रुज्जत होने एक अंदेशा हो, तो एक शख़्स के लिए इससे बेहतरीन कुछ नही हो सकता की वो अम्लियात (अमल) या फिर वज़ाईफ़ पढ़ने के दौरान उनसे जुड़ी चीज़ों से एहतियात करे। जिससे के रुज्जत से महफू़ज़ (बचा) रहा जा सकता है।
- अमल की शराइत को पूरा न करना। यानी की रूहानी अमल करते वक़्त उसकी गिनती में ग़लती करना। मिसाल के तौर पर अगर आपको अल्लाह का इस्म शरीफ़ सौ (100) मरतबा पढ़ना है। मगर ध्यान न देने के वजह से इससे ज़्यादा या कम तादाद में इस्म शरीफ़ को पढ़ देना।
हालांकि अगर अमल के दौरान ध्यान न रहे और शैतान बहका ही दे, जिससे की आप तादाद भूल गए हों। तो इस हालात में अमल पढ़ने के बाद अल्लाह से माफ़ी मांगे। और अमल/वज़ाइफ़ क़ुबूल होने की दुआ करिए। आप चाहें तो सलातुल तौबा अदा कर सकते हैं। सलातुल तौबा की लिंक यह देखिए।
- 1-1 हर्फ़ की अदाएगी में ग़लती करना यानी ज़ुबान से ठीक से न बोलना। क़ुरआन मजीद के आयत के होते हैं। ऐसे हलात में अगर कोई उस आयत के हर्फ़ की सही से अदाएगी ना करे। तो भी रुज्जत हो सकती है। ज़रूर देखिए→ दुश्मन से बचने और ग़लबा पाने की दुआ
इसलिए जब भी क़ुरआन मजीद या फिर अल्लाह के इस्म मुबारक का का अमल/वज़ाइफ़ पढ़े तो धीरे-धीरे बा-अदब पढ़े। जिससे की लफ़्ज़ की अदाएगी सही से हो जाए।
- कई वज़ीफ़ो में वक़्त मुक़र्रर होता है। ऐसे में उस अमल/वज़ाइफ़ को उसके तय (मुक़र्रर) वक़्त पर न पढ़कर किसी और वक़्त पर पढ़ने से भी रुज्जत हो सकती है।
जिस वज़ाइफ़ का वक़्त जिस वक़्त मुक़र्रर हो उसी वक़्त पढ़े। जैसे की ईशा की नमाज़ तो ईशा की नमाज़ के बाद ही अमल/वज़ाइफ़ पढ़िए। और फिर रोज़ाना उसी वक़्त अमल को पढ़िए। हां 5-10 मिनट आगे-पीछे हो जाए तो इसमें परेशानी की कोई बात नही है।
- रूहानी अमल/वज़ाइफ़ हमेशा पाक और साफ़ जगह पर पढ़े। क्योंकि अमल/वज़ाइफ़ पढ़ने के दौरान अल्लाह के नूरानी फरिश्ते नज़िल होते हैं। ऐसे में बहुत ज़रूरी है की, पाकीज़गी का ख़ास ख़याल रखा जाए। नापाकी के मसले की वजह से भी रुज्जत हो सकती है।
रुज्जत से हिफ़ाज़त का अमल
अब हम रुज्जत को ख़त्म करने के दुरुस्त तरीक़े के बारे में पढ़ेगे। ज़रूर देखिए→ दूध पीने की दुआ
यह अमल औलिया अल्लाह मु’इन अल-दिन हसन चिश्ती हज़रत ख़्वाजा ग़रीब नवाज़ का बताया हुआ अमल है। इस वज़ीफ़ा के पढ़ने से इंशा अल्लाह यक़ीनन रुज्जत से हिफ़ाज़त होगी।
अगर वज़ीफ़ा न करके की वजह रुज्जत हो जाने का डर या ख़तरा हो तो ऐसे में सबसे पहले इस दुआ को पढ़ना शुरू करें। और फिर अपने मक़सद के लिए वज़ीफ़ा/अमल करें।
रुज्जत से हिफ़ाज़त का अमल #1
إِذَا ٱلسَّمَآءُ ٱنشَقَّتْ
وَأَذِنَتْ لِرَبِّهَا وَحُقَّتْ
وَإِذَا ٱلْأَرْضُ مُدَّتْ
وَأَلْقَتْ مَا فِيهَا وَتَخَلَّتْ
इज़स-समाउन शक़्क़त व-अज़िनत लि-रब्बिहा व-’हुक़्क़त व-इज़ल अरदु मुद्दत व-अल-क़त मा-फ़ीहा व-तख़ल्लत
ऊपर दी हुई सूरह इंशिक़ाक़ की आयत 1 से लेकर 4 को रोज़ाना का मामूल बना लें। इंशा अल्लाह, रुज्जत नही होगी और आपके वज़ाइफ़/अमल भी सही काम करेंगे।
रुज्जत से हिफ़ाज़त का अमल #2
-
वुज़ू की हालत में रहते हुए।
-
सबसे पहले दुरूद-ए-इब्राहिमी तीन (3) बार पढ़े।
-
हर बार बिस्मिल्लाह के साथ सात (7) बार अलहम्दु शरीफ़ पढ़े।
-
फिर बिस्मिल्लाह के साथ एक (1) बार आयतल-कुर्सी पढ़िए।
-
फिर चारो क़ुल बिस्मिल्लाह के साथ तीन (3) मरतबा पढ़िए। यानी की, सूरह काफ़िरून; सूरह इख़्लास; सूरह फ़लक़ और सूरह नास।
- फिर बिस्मिल्लाह के साथ तीन (3) बार यह दुआ पढ़िए:
بٍسْمِ اللّٰهِ الَّذِىْ لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهٖ شَيْء فِىْ الْاَرْضِ وَلَا فِىْ السَمَآءٍ وَ هُوَ السَّمِيْعُ الْعَلِيْمُ
-
फिर बिस्मिल्लाह के साथ यह दुआ तीन (3) बार पढ़िए:
اَعُوْذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
-
फिर बिस्मिल्लाह के साथ तीन (3) बार यह दुआ पढ़िए:
وَ اِلٰهُكُمْ اٖلٰه وَّاحِدْ لَا اِلٰهَ اِلَّا هُوَ الرَّحْمٰنُ الرَّحِيْمُ
-
फिर बिस्मिल्लाह के साथ सात (7) मरतबा आयतल-कुर्सी पढ़िए।
- फिर बिस्मिल्लाह के साथ सात (7) मरतबा यह दुआ पढ़िए:
مَا شَا اَللّٰهِ لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِٱللَّهِ
-
फिर से तीन (3) मरतबा दुरूद-ए-इब्राहिमी पढ़िए।
एक बार इस अमल को हर नमाज़ के बाद सुबह और शाम मुसतक़िल करें। इसे हमेशा का मामूल बना लें। चाहें तो हर घंटे के बाद भी पढ़ सकते हैं। इंशा अल्लाह, इस वज़ीफ़ा की बरकत से ता-उम्र रुज्जत से हिफ़ाज़त रहेगी, अमीन। ज़रूर देखिए→
रुज्जत की काट का अमल
ऊपर दी हुई रुज्जत से हिफ़ाज़त की दोनो अमल/वज़ीफ़ा रुज्जत की काट के लिए भी पढ़ी जा सकती है। इंशा अल्लाह, इस अमल के पढ़ने से पुरानी से पुरानी रुज्जत की कुछ ही दिनों में काट हो जाएगी, आमीन।
वज़ीफ़ा पढ़ने का तरीक़ा
वज़ीफ़ा/अमल पढ़ने के कुछ तरीक़े यह हैं।अगर इन सब शराइत को पूरा करने के साथ वज़ीफ़ा/अमल पढ़ी जाए, तो इंशा अल्लाह यक़ीनन वज़ीइफ़ (वज़ीफ़ा) काम करेंगे। और साथ-साथ रुज्जत से भी हिफ़ाज़त रहेगी।
- वज़ीफ़ा करने से पहले सदक़ा दें, जितना आप दे सकें।
- वज़ीफ़ा पढ़ने के दौरान हराम कामों से परहेज़ करें, यानी की जो चीजें इस्लाम में मना है।
- क़िब्ला के तरफ़ मुंह करके वज़ीफ़ा करें।
- पाक-साफ़ जगह पर बैठकर वज़ीफ़ा पढ़े।
- वज़ीफ़ा तशह्हुद की हालत में पढ़े। यानी की अत-तहयात पढ़ने के लिए जैसे बैठते हैं, उस हालात में वज़ीफ़ा पढ़े।
- वज़ीफ़ा पढ़ने के दौरान सलातुल तौबा की नमाज़ पढ़ने का मामूल बनाएं।
- ध्यान से वज़ीफ़ा पढ़े ताकि हुरूफ़ की अदाएगी सही से हो जाए।
- वज़ीफ़ा पढ़ने से पहले इत्मीनान से वुज़ू बनाएं। इत्मीनान से बनाए गए वुज़ू के वजह से शैतान फिर इबादत में ख़लल नही डाल पाएगा, इंशा अल्लाह।
- यूं तो बंदे को अस्तग़फ़ार ख़ूब पढ़ते रहना चाहिए। क्योंकी यह हर परेशानी से महफू़ज़ रखती है। जिन दिनों वज़ीफ़ा पढ़े ज़्यादा से ज़्यादा अस्तग़फ़ार का विर्द रखें।
- आप चाहें तो आयत-ए-करीमा का विर्द रखें। जो युनुस अलैहिस सलाम की दुआ है। इंशा अल्लाह इसे फ़ायेदह होगा, आमीन।
ध्यान दीजिएगा:
ख़वातीन यानी औरतें इन वज़ाईफ को हैज़ (माहवारी) में नहीं पढ़ें|
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Bhai jo pehle number kaa wazifa h rujjat khatam karne ka uska tareeqka samajh nahi aaya kaise pdhni h din me or kitni bar
Money, respect problem
Detail: My name is ASLAM and my my mother name is ZeboonNisa.. My age is 52 years old. I am failing in every business for the last 30 years. Because of this all the relatives, fraternity have turned their backs on me. There is only one SON, he also went away with his wife. Now both of us live in the house.
https://www.yaallah.in/rizq-ki-tangi-ka-wazifa/ and do this https://www.yaallah.in/powerful-wazifa-for-rizq/