Roza Kholne ki Dua

Roza Kholne Ki Dua-Dua for Breaking Fast

Is post me tarjuma ke sath ap roza kholne ki dua parhenge. Iske sath-sath Iftar ke bad ki dua aur uska bhi tarjuma hai. Tamam duayein HD pictures mein download kar sakte hai.

Roza Kholne Ki Dua | रोज़ा खोलने की दुआ

With Translations

Wallpapers mein jo roza kholne ki duayein hai inhe aap apne mobile mein save kar lijiye. Aur aj se Roza yahi se parhkar khol jaye. ALLAH Ta’ala apko khoob himmat de aur apki tamam ibadat qubul kare. Sath-sath apki har jayaz tamannaye poori kare. Aur har ek pareshaniy dafah kar de, Ameen.

Roza Kholne Ki Dua-Dua for Breaking Fast-2

Aj Sehri ke bad se lekar sham iftar tak. Yaqinan ham sab ibadat mein mashgool honge. Aur jab iftar ayega to khushiyan sath layega. Rozedar ke chehre par ek muskurahat hogi. Islamic Prayer for Travel Safar Mein Hifazat ki Dua yahan dekhiye!

Iftar ka Waqt Hone Lage to Kya Karein?

  1. Jaise hi iftar ka waqt kareeb aye to wuzu bana lijiye.
  2. Khamoshi se dasarkhwan ke pas beth jayiye.
  3. Iftar ke waqt se kuch lamha pahle hi dastarkhwan laga kar bethiye. Ye afzal.
  4. Ghar tamam afrad ko bhi sath me lekar bethiye. Sabhi ke sar dhake hue ho.
  5. Sabhi se khamoshi se dua karne ki iltija kijiye.
  6. Durood-e-Pak ya hamd-o-sanah parhne lag jayiye. Aur pur sukoon beth kar dono hath uthakar ya phir dil hi dil mein khamoshi se apni har pareshaniyon ke hal ke liye dua kijiyega. ALLAH us waqt ki rozedar ki dua zarur qubool farmata hai.
  7. Jinhone roza nahi rakha hai unhe bhi iftar mein shamil kijiye. Rozedar ke sath Iftar ka savab unhe bhi milega, Insha ALLAH.
  8. Aur jaise hi azan ho, roza kholne ki dua parhiye (jo niche bhi di hui hai.)
  9. Aur khujooron se roza kholiye, ye sunnat hai. Iska bada ajro savab hai. Agar kahin ye muhayya na ho to namak se bhi khol sakte hai.
  10. Roza kholne ke dauran dil mein apni khwahish ki dua karte rehne se ALLAH dua qubool karta hai.
  11. Iftar mein khane ke dauran zyada pani ek dam nahi peena chahiye. Balki thoda-thoda karke piyein.
  12. Zyada tali-bhuni hui khane ki cheezein istimal mein na lijiye. Dua for Getting Pregnant-Success Proof yahan dekhiye!
  13. Kuch khujoor, fal, salad aur halke-phulke snacks khane mein lijiye. Leemu ka arq zarur pijiye. Pani mein mila hua leemu ka arq, shakar, aur namak faydemand sabit hota hai. Rozedar ke din bhar mein hui pani ki qillat ko door karne mein khujoor aur leemu ka arq madad karta hai.
  14. Khane ke bad, iftar ke bad ki dua zarur parhiye. Roza Kholne Ki Dua ke bad Iftar ke bad ki dua dekhiye.

Hadsat Se Bachne Ki Dua-Accident Se Bachne Ka Wazifa yahan dekhiye!

Aur jab iftar ka waqt ho jaye to ye dua parhiye:

Roza Kholne Ki Dua | रोज़ा खोलने की दुआ तर्जुमा के साथ

Iftaar ke waqt ki dua yani roza kholne ki dua Tarjuma ke sath:
اَللّٰهُمَّ اِنَّیْ لَکَ صُمْتُ وَبِکَ اٰمَنْتُ وَعَلَيْکَ تَوَکَّلْتُ وَعَلٰیْ رِزْقِکَ اَفْطَرْتُ
“ALLAHumma inni laka sumtu wabika Aamantu wa ‘alayka tawakkaltu wa ‘ala rizqika aftartu”
 O ALLAH! I fasted for you and I believe in you and I put my trust in You and I break my fast with Your sustenance.
 اے اللّٰه! میں نے تیری خاطر روزہ رکھا اور تیرے اوپر ایمان لایا اور تجھ پر بھروسہ کیا اور تیرے رزق سے اسے کھول رہا ہوں۔
 Ae ALLAH! Maine Teri khatir roza rakha aur Tere upar imaan laya aur Tujh par bharosa kiya aur Tere rizq se ise khol raha hon.
হে আল্লাহ, আমি তোমার জন্য উপবাস করেছি এবং আমি তোমার প্রতি ঈমান এনেছি এবং তোমার উপর আমার আস্থা রাখলাম এবং তোমার রোজগারের সাথে সাথে আমার রোযা ভঙ্গ করেছি।
ऐ अल्लाह! मैंने तेरी खातिर रोज़ा रखा और तेरे ऊपर ईमान लाया और तुझ पर भरोसा किया और तेरे रिज़्क़ से इसे खोल रहा हों|
Roza Kholne Ki Dua-Dua for Breaking Fast

Iftar se farigh hone ke fauran bad ye iftar ke bad ki dua parh leni chahiye. Insha ALLAH iske parhne se susti aur kahili nahi hogi. Ye aam taur par Roza kholne ke bad hoti hai.

Parhiye What is Ramadan-Ramzan Duas-Guidelines, Tips & Suggestions

Iftar ke Bad ki Dua | इफ्तार के बाद की दुआ

ذَھَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوْقُ وَثَبَتَ الْاجْرُ اِنْشَاءَ اللّٰهُ
“Zahabaz- zama‘u wab tallatil ‘oorooqu wa sabatal ajru insha ALLAHU”
The thirst is gone, and the veins are moistened, and the reward is guaranteed, if ALLAH wills.
 پیاس ختم ہو گئی اور رگیں تر ہو گئیں اور انشاء اللّٰه روزے کا اجر اللّٰه کے ہاں پکّا ہو گیا ہے۔
 Pyas khatm ho gayi aur ragen tar ho gayen aur insha ALLAH roze ka ajar ALLAH ke yahaan pakka ho gya hai.
তৃষ্ণাটি চলে গেছে, এবং শিরা ভেজা, এবং পুরস্কার নিশ্চিত করা হয়, যদি আল্লাহ ইচ্ছা করেন
प्यास ख़त्म हो गयी और रगें तर हो गयी और इन्शा अल्लाह रोज़े का अजर अल्लाह के यहाँ पक्का हो गया है|
Read 

इफ्तार के बाद की दुआ- वॉलपेपर

iftar ke baad ki dua-dua after iftar in english

रोज़ा खोलने का हदीस में सही तरीका क्या है?

Roza kholne ke liye ye dua parhni chahiye. Sath-sath kuch hidayat bhi jinhe manenge to sawab hasil karenge.

“ALLAHumma inni laka sumtu wabika Aamantu wa ‘alayka tawakkaltu wa ‘ala rizqika aftartu”

  1. Iftar ka waqt qareeb ho to wuzu bana len.
  2. Dastarkhwan par pur sukoon baith jayen.
  3. Khane-peene ki chizon ko sahi se jama liya jaye yani pahle se hi rakh liya jaye to achha hai
  4. Pur sukoon baith kar ALLAH ka zikr karte rahen ya koi bhi durood shareef parh sakte hai. Har tarah ki durood shareef dekhiye.
  5. Apne dono hath uthakar ALLAH se dua karen. Ek Hadees ka mafhoom hai Abdullah Bin Amr Bin Aas (Radi ALLAHU Anhu) bayan karte hai ke Huzur ﷺ ne irshad farmaya, rozedar ki dua kabhi radd nahi hoti. (Sunan Ibn Majah, Vol 1, #1753-Hasan)
  6. Jisne roza nahi rakha wo bhi iftar ke waqt unke saath iftar kare.
  7. Azan ke sunte hi ek dam khane par hamla na bol do.
  8. Khujuoor se roza khole ya phir namak se ye bhi na ho to jisse khol payen. Khujoor din bhar ki pani ki kami ko bhi door karta hai.
  9. Jab roza khole to apni dili murad apne dil mein rakhen. Insha ALLAH zarur poori hogi.
  10. Dhire-dhire iftar karen aur ghoont-ghoont pani piyen.
  11. Kuch khujooren, thode se fruit aur salad thoda sa meetha aur ek glass leemu pani kafi hota hai. Tali hui chizen kam khayen.
  12. Iftar ke baad ki dua bhi wallpaper se dekh kar parh sakte hai.
  13. Maghrib ki namaz ke baad ek dam pet ko bhar ke khana na khayen. Balki 1/4 jagah khali rakhen. Kahin tarawih parhne me mushkil na ho jaye.

More read Hadsat Se Bachne Ki Dua-Accident Se Bachne Ka Wazifa

Iftar Ke Bad ki Dua | इफ्तार के बाद की दुआ

roza kholne ki dua hindi

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

8 Comments on “Roza Kholne ki Dua”

  1. Meri aeg 29 hai me jinhe pyaar krti hu unhi se shadi krna chahti hu pr smjh nhi aa rha ki wo mujhse shadi krna chahte hai ya nhi or me unke siwa kisi or se shadi nhi kr skti plz aisa koi upay btaiye jise wo or unke ghrwale hmari shadi k liye tyar ho jaaye

    1. Dear sis, Aap website ke search box me likhiye- ‘Kisi ko shadi ke liye razi karne ka wazifa’ aur search button par click kijiye. Wazifa aapke samne aa jayega, wo aap parhiyega.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *