Barzakh jo zindagi aur maut ke bich hai. Zindagi ko paar karke yani barzakh ko faand hi kar insan qabr mein pahunchta hai. Lekin bure amal ho to Qabr mein shadeed azaab hota hai. Barzakh ke us taraf ki zindagi ki aur yahi sabse pahli seedhi hoti hai. → ALLAHumma Alhimni Rushdi Hadith
[ez-toc]
Qabr Ke Azab Se Bachne Ki Dua Aur Hadees

Agar insan qabr mein hone wale azaab ko dekh le to zindagi mein har tarah ka gunah karna chhod de.
Munkar-nakeer ke sawalon ke jawab jo na de payega. Uske liye Qayamat ka roz aana bada bhari hone wala hoga. Ek-ek din sakht shadeed azab ka ke phir maut bhi na hogi jo dard se nijat mil jaye.→ SubhanALLAHi WaBihamdihi SubhanALLAHil ‘Azeem
Ek aisi band kothri jisme ek roshni ki kiran bhi nahi hogi. Aur gunahgar ke liye to zara bhi nahi. Yahan tak ke pasliyan idhar ki udhar ki pasliyon me ja milegi.
Qabr Aur Jahannam Ke Azaab Se Bache Rahne Ki Dua
Qabr Ke Azab Se Kaise Bache?
Huzur-e-Akram ﷺ ne hamein aise azab se bachne ki badi hi pyari dua batlayi. Lekin iska ye matlab nahi ho jata ke zindagi bhar ham nek amal aur apne ma’abood ki ibadat karna chhodkar sirf aur sirf ye dua hi parhte rahein.
Ye dua jahannam aur qabr ke azab se panah mangnge ke liye hai. Iske sath-sath dajjal ke tamam fitnon se aur zindagi bhar ki aazmayishon se Insha ALLAH bache rahenge.
Insha ALLAH kabhi bhi sakht aur shadeed musibat aur nagahani afat se hamesha ke liye bache rahenge.→ Allahumma Antas Salamu Wa Minkas Salam Full Dua
Jahannam, Qabr, Dajjal Ke Fitno, Zindagi Aur Maut Ki Azmayisho Se Nijat
Ap ﷺ Jahannam, Qabr, Dajjal Ke Fitno, Zindagi Aur Maut Ki Azmayisho Se ALLAH Ki Panah Manga Karte.
Hadees No. 1
Insha ALLAH in Hadees par amal karenge to qabr ke sath-sath jahannam ke azab se bhi bache rahenge.
Abu Hureira R.A. kahte hai ke maine Rasoolullah ﷺ ko farmate hue suna:
“Jisne meri ita’at ki usne ALLAH ki ita’at ki jisne meri nafarmani ki usne ALLAH ki nafarmani ki”
Ap qabr ke Azab, Jahannam ke Azab, Zindah aur Murdah logo ko pahunchne wale fitne aur maseeh Dajjal (Kana Dajjal) ke fitne se panah mangte the.
Sunan An-Nasa’i 5512
Hadees No. 2
Abu Hureira R.A. Bayan Karte Hai Ke Nabi-e-Kareem ﷺ Ne Farmaya:
Panch chizon se ALLAH ki panah talab karo,
- Jahannam ke azab Se,
- Qabr ke azab se,
- Maut aur
- Zindagi ke fitne se aur
- Maseeh Dajjal (Kana Dajjal) ke fitne se.
Sunan An-Nasa’i 5513
Yahan Dekhiye→ Qabristan Mein Dakhil Hone Ki Dua
Hadees No. 3
Abullah Bin Abbas R.A. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ unhe ye dua sikhate the jaise Ap Quran ki surat sikhate the (farmate the) kaho:
اللَّهُمَّ إِنَّا نَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ “
Tarjuma: Ae ALLAH! Main Teri panah mangta hun Jahannum ke azaab se, aur main Teri panah mangta hun Qabr ke azaab se, aur main Teri panah mangta hun maseeh Dajjal ke fitnon se, aur main Teri panah mangta hun zindagi aur maut ki aazmayeshon se!
Sunan An-Nasa’i 5513
Kufr, Ghareebi (Tangdasti) Aur Azab Qabr Se Nijat Ke Liye
Hadees No. 4
Hazrat Muslim Bin Abu Bakr ؓ se manqool hai ke mere waalid mohtaram har namaz ke baad yeh parha karte the:
‘ALLAHumma inni aa-uzu bika min al-kufri wal-faqri wa ‘azaab al-qabr
“Ae Allah! main kufr, ghareebi (tangdasti) aur azaab qabr se teri panah chahta hon.”
Toh main bhi yeh kalimaat kehne laga. Waalid mohtaram poochne lagey: beta! yeh kalimaat kis se sikhe hain? Maine kaha: aap se, Unho ne farmaya: Rasool Allah ﷺ bhi namaz ke baad yeh kalimaat kaha karte the.
Sunan An-Nasa’i: Jild 2, Kitab As-Sahwa 13, Hadeeth No. 1348 Darja: Hasan
Click here to read this in English→ Dua for Qabar/Grave Punishment
क़ब्र के अज़ाब से बचने की दुआ
बरज़ख़ जो ज़िंदगी और मौत के बीच है| ज़िंदगी को पार करके यानी बरज़ख़ को फाँद ही कर इंसान क़ब्र में पहुँचता है| लेकिन बुरे अमल हो तो क़ब्र में शदीद अज़ाब होता है| बरज़ख़ के उस तरफ की ज़िंदगी की यही सबसे पहली सीढ़ी होती है|
अगर इंसान क़ब्र में होने वेल अज़ाब को देख ले तो ज़िंदगी में हर तरह का गुनाह करना छोड़ दे|
मुनकर-नकीर के सवालों के जवाब जो ना दे पाएगा| उसके लिए क़यामत का रोज़ आना बड़ा भारी होने वाला होगा|
एक-एक दिन सख़्त शदीद अज़ाब का के फिर मौत भी न होगी जो दर्द से निजात मिल जाए|
एक ऐसी बंद कोठरी जिसमे एक रोशनी की किरन भी नही होगी| और गुनहगार के लिए तो ज़रा भी नही| यहाँ तक के पसलियां इधर की उधर की पसलियों मे जा मिलेगी| अज़ाबों का क़हर टूट पड़ेगा| यहाँ→Marne Ke Bad Ki Dua देखिये|
क़ब्र के और दीगर अज़ाब से बचे रहने की दुआ
हुज़ूर-ए-अकरम ﷺ ने हमें ऐसे अज़ाब से बचने की बड़ी ही प्यारी दुआ बतलाई| लेकिन इसका ये मतलब नही हो जाता के ज़िंदगी भर हम नेक अमल और अपने मा’अबूद की इबादत करना छोड़कर सिर्फ़ और सिर्फ़ ये दुआ ही पढ़ते रहें|
क़ब्र के तीनों सवालों के जवाबात देना सभी को लाज़मी है और जिस किसी ने ये जवाबात दिए उसके लिए क़ब्र ही में आसानियाँ होंगी| और क्योंकर (कैसे) न हो उसने दुनिया ही में नेक अ’अमाल जो किये होंगे|
ये दुआ जहन्नम और क़ब्र के अज़ाब से पनाह मांगने के लिए है| इसके साथ-साथ दज्जाल के तमाम फितनों से और ज़िंदगी भर की आज़माइशों से इंशा अल्लाह बचे रहेंगे|
इंशा अल्लाह सख़्त और शदीद मुसीबत और नागहानी आफ़त से हमेशा के लिए बचे रहेंगे|
जहन्नम, क़ब्र, दज्जाल के फितनों, ज़िंदगी और मौत की आज़माइशों से निजात
हदीस न. 1
इन हदीस पर अमल करने वाला इंशा अल्लाह क़ब्र और जहन्नम के अज़ाब से बचा रहेगा|
अबू हुरेरा र.अ. कहते है के मैने रसूलुल्लाह ﷺ को फरमाते हुए सुना:
“जिसने मेरी इता’अत की उसने अल्लाह की इता’अत की जिसने मेरी नाफ़रमानी की उसने अल्लाह की नाफ़रमानी की”
आप क़ब्र के अज़ाब, जहन्नम के अज़ाब, ज़िंदा और मुर्दाह लोगो को पहुँचने वाले फितने और मसीह दाज्जल (काना दज्जाल) के फितने से पनाह माँगते थे|
सुनन अन-नसा’ई 5512
हदीस न. 2
अबू हुरेरा र.अ. बयान करते है के नबी-ए-करीम ﷺ ने फरमाया:
पाँच चीज़ों से अल्लाह की पनाह तलब करो,
- जहन्नम के अज़ाब से,
- क़ब्र के अज़ाब से,
- मौत और
- ज़िंदगी के फितने से और
- मसीह दज्जाल (काना दज्जाल) के फितने से|
सुनन अन-नसा’ई 5513
हदीस न. 3
अबुल्लाह बिन अब्बास र.अ. से रिवायत है के रसूलुल्लाह ﷺ उन्हे ये दुआ सिखाते थे जैसे आप क़ुरआन की सूरत सिखाते थे (फरमाते थे) कहो:
तर्जुमा:
ऐ अल्लाह! मैं तेरी पनाह माँगता हूँ जहन्नम के अज़ाब से, और मैं तेरी पनाह माँगता हूँ क़ब्र के अज़ाब से, और मैं तेरी पनाह माँगता हूँ मसीह दज्जाल के फितनों से, और मैं तेरी पनाह माँगता हूँ ज़िंदगी और मौत की आज़माएशों से!
सुनन अन-नसा’ई 5513
कुफ़्र, ग़रीबी (तंगदस्ती) और अज़ाब क़ब्र से निजात के लिए
हदीस न. 4
हज़रत मुस्लिम बिन अबु बकरा ؓ से मनक़ूल है कि मेरे वालिद मोहतरम हर नमाज़ के बाद ये पढ़ा करते थे:
अल्लाहुम्मा इन्नी आ’ऊज़ुबिका मिनल कुफरी वल फक़री व अज़ाबिल क़ब्र
’’ए अल्लाह मैं कुफ़्र , ग़रीबी (तंगदस्ती) और अज़ाब क़ब्र से तेरी पनाह चाहता हूँ”।
तो में भी ये कलिमात कहने लगा। वालिद मोहतरम पूछने लगे बेटा ये कलिमात किस से सीखे हैं? मैंने कहा आपसे। उन्होंने फ़रमाया रसूल अल्लाह ﷺ भी नमाज़ के बाद ये कलिमात कहा करते थे।
अपने प्यारों को भी क़ब्र के अज़ाब से बचाने में मदद कीजिए अल्लाह आपको भी क़ब्र के अज़ाब से बचाएगा, इंशा अल्लाह|
सुनन अन-नसाई: जिल्द 2, किताब अस-सहवा 13, हदीस न. 1348 दर्जा: हसन
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Agar qabr ka azab Qur’aan se saabit ho to please references dijyega. Jazakumullahu Khaira!
mere bhai ye Hadis se sabit hai ap dekhiye wahan reference bhi hai.