Jab janaza dafn kar diya jaye uske bad uski qabar par mitti dalne waqt ki dua parhkar ye azeem sawab zarur kamayein. Yahan ye dua image mein Hindi mein zarur dekhiye aur apne doston aur gharwalon se share karna mat bhuliyega. Iska sawab-e-jariya apko Insha ALLAH zarur milega, Ameen.→ Ghar Se Nikalne Ki Dua-Leave The House
Janaze Ki Qabar Par Mitti Dalne Ki Dua
﷽
Sallallahu ‘Alayhe Wasallam
Minhaa ‘Khalaqnaakum Wa-Feehaa Nu’eedukum Wa-Minhaa Nu’khrijukum Taaratan U’khraa
Isi zameen se Ham ne Tumhen banaya aur isi mein lautaayenge aur dobara isi se nikaalenge.
इसी ज़मीन से हम ने तुम्हे बनाया और इसी में लौटाएंगे और दोबारा इसी से निकालेंगे
From the (earth) did We create you, and into it shall We return you, and from it shall We bring you out once again.
اسی زمین سے ہم نے تمہیں بنایا اور اسی میں لوٹائیں گے اور دوبارہ اسی سے نکالیں گے۔
Surah #20 | Surah Taaha | Ayat #55
सूरह #20 | सूरह ताहा | आयत #55
Aam taur par ise mitti dene ki dua kehte hai. Kabar par dono hath se ye dua parhte-parhte mitti zarur dijiye aur azeem sawab hasil karein.
Hamare mazhab Islam zindagi guzarne ke sabhi pahluon ke mutalliq hamari mukammal rahnumayi karta hai. Duniya me aane se lekar marne ke bad tak Quran aur Sunnat me beshumaar duaon ka zikr hai. Jinme tadfeen ki duayen bhi shamil hain. Yani marne ke bad mayyat/murdah ko zameen me dafnaate waqt ki duayen.→ Sone Se Pahle ki Dua | Achi Neend Ke Liye Amal
Jab koi insan is duniya-e-faani se rukhsat ho jata hai, yani wafaat pa jata hai. To Musalmano ko chahiye ke uske faut hone ke bad/marne ke bad uski bakhshish ke liye duayen parhni chahiye.
Namaz-e-Janazah ki adayegi ke bad mayyat ko qabrastan le jane par dafnate waqt duayen zarur parhni chahiye. Mayyat ko lahad/qabar me utaarne ke bad mitti daalte waqt is Qurani Ayat ki tilawat karne ko bahut afzal mana jata hai.→ La Hawla Wala Quwwata Ka Wazifa
Qabar Par Mitti Dalne Ki Dua Hadees Ki Roshni Mein
Qabr par mitti dene ke liye hamare Huzur-e-Akram ﷺ ka kya mamla tha?
Al-Sunanul Kubra Lil-Bihaqqi Za’eef (Kamzor) Hadees
“Sunan ki Hadees me hai ke Rusool ALLAH ﷺ ne ek mayyat ke dafn ke bad uski qabar par matti dalte hue pahli bar farmaya, “Minhaa ‘Khalaqnaakum”. Dusri lap(muthi) dalte hue farmaya, “Wa-Feehaa Nu’eedukum”. Teesri bar farmaya, “Wa-Minhaa Nu’khrijukum Taaratan U’khraa.”
- Yahan Sunan se murad Al-Sunanul Kubra Lil-Bihaqqi hai. Aur ye sanad ke aitbar se za’eef (kamzor) hai.
- Kisi bhi Hadees ki kitab me teen bar lap (hath ki muthhi) matti dalne ka zikr nahi aaya hai.
Ibn-e-Kaseer R.A. mazkoora Hadees ko is tarah naqal karne me munfarid hain. Aur Ibn-e-Kaseer R.A. ne isko baghair sanad ke sirf Sunan ke hawale se naqal kiya hai. Isliye isme un logo ke liye koi daleel nahi hai jo teen lap (hath ki muthi) matti dalte hue ayat ko teen hisse me taqseem karke parhne ke qayal (razi) hain.→ Dulha Dulhan Ke Liye Dua
Hazrat Abu Umamah RadiALLAHU Anhu se riwayet hai ke Nabi Kareem ﷺ ki Sahebzaadi Hazrat Umme Kulsoom RadiALLAHU Anha ko qabar me utaara jane laga to Nabi Kareem ﷺ ne ye ayat tilawat farmayi.
“Hamne tumhen is matti se paida kiya aur isi me wapas lautaayenge, aur isi se dobara nikaalenge.”
Ab ye mujhe yad nahi raha ke Nabi Kareem ﷺ ne
“Bismillahi Wa Fee Sabeelillahi Wa ‘Ala Millati Rasoolullahi ﷺ” kaha ya nahi. Phir jab *lahad ban gayi to Nabi Pak ﷺ ne unki taraf tahniyan (shaakhen) phainkin aur farmaya ke eento ke darmiyan ki khali jaghen isse pur (bhar) kar do. Phir farmaya isse hota kuch nahi lekin zinde khush ho jate hain.
→ Hasbiyallahu Wani’mal Wakeel
*Lahad- Qabr
(Musnad Ahmed : 22540)
- Agar koi mazkoora Hadees ko sahee tasleem karta hai to use chahiye ke mazkoora ayat ko isi tarah parhe jis tarah Hadees me zikr aaya hai. Yani puri ayat ek hi dafa me, na ke ayat ko teen hisse me taqseem karke parhe.
(Yad rahe ke mazkoora riwayet sakht za’eef kamzor hai).
Qabr Par Mitti Dene Ki Dua Hindi Aur English Tarjuma
ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala Apni Be-panah ‘Rahmat ke sadqe ham gunahgaaro ke be-shumaar gunaho ko bakhsh de, aameen ALLAHumma aameen.
Dua For Putting Soil On Grave in English
Our religion Islam truly guides us about spending different aspects of our lives. Quran and Sunnah teach us many prayers from birth to death and even after death. One of those prayers is dua after burial in Islam also known as dua while covering the grave with earth.→ Durud e Pak Ka Wazifa
When a person leaves this world permanently means when he dies. Muslims should recite prayers for their forgiveness. Here I am discussing dua for putting soil on the grave.
After performing Islamic Funeral Prayer (Salatul Janazah) of a deceased person and taking him towards the graveyard. And burring his dead body in the earth, one must recite some specific duas.→ Powerful Duas for Forgiveness of Sins in Islam
The recitation of the above given Quranic Verse has very much importance while throwing a handful of dirt on a grave.
May ALLAH The Most Gracious and The Biggest Forgiver, forgive us all (sinners) for our countless sins with His Limitless Mercy, aameen ALLAHumma aameen.
Dua For Putting Soild Onn Grave According to Hadees
Al-Sunanul Kubra Lil-Bihaqqi Za’eef (Weak) Hadees
In Sunan it’s been stated that once The Messenger of ALLAH ﷺ after the burial of a deceased person, while putting soil on his grave first said, “Minhaa ‘Khalaqnaakum”. Then again throwing a handful of earth second time He said, “Wa-Feehaa Nu’eedukum”. On third time He said, “Wa-Minhaa Nu’khrijukum Taaratan U’khraa.”
- The complete Sunan name is Al-Sunanul Kubra Lil-Bihaqqi. That is weak as per authentication.
- It’s not mentioned in any Hadith Book to put three times a handful of soil on a grave.
Ibn-e-Kaseer R.A. is unique in copying the above Hadith in this way. And Ibn-e-Kaseer R.A. copied it without authentication only with respect to Sunan. Therefore, it doesn’t have any proof for the people who are convinced to recite the verse in three parts while throwing a handful of soil three times on a grave.→ Dua Before Sleeping in Arabic
Hazrat Abu Umamah RadiALLAHU Anhu said that when the dead body of Hazrat Umme Kulsoom RadiALLAHU Anha (Daughter of Holy Prophet Mu’hammad ﷺ) was putting down in the grave, The Prophet Mu’hammad ﷺ recited this verse,
“From the (earth) did We create you, and into it shall We return you, and from it shall We bring you out once again.”
Now I didn’t remember that The Messenger of ALLAH ﷺ said
“Bismillahi Wa Fee Sabeelillahi Wa ‘Ala Millati Rasoolullahi ﷺ or not. When the grave was prepared, The Prophet Mu’hammad ﷺ threw some branches inside the grave and said to fill the empty space between the bricks. Then said, it’s not necessary but to please the living only.
(Musnad Ahmed : 22540)
→ Dua for Victory Prosperity and Success
- If one has no issues in the authentication of this Hadith, he should recite the verse in the same way as mentioned in this Hadith. That is to recite the entire verse in one go rather in three parts.
(Remember, this reference is too weak).
क़ब्र पर मिट्टी देने की दुआ हिंदी में
जनाज़े को दफ़नाने के बाद क़ब्र पर मिटटी देने की दुआ हिंदी में पढ़िए
आम तौर पर इसे मिट्टी देने की दुआ कहते है| जब भी जनाज़े में शरीक हो और दफन में वहीँ मौजूद रहे तो कबर पर दोनो हाथ से ये दुआ पढ़ते-पढ़ते मिट्टी ज़रूर दीजिए और अज़ीम सवाब हासिल कीजिए|→ खाना खाने की दुआ
हमारे मज़हब इस्लाम ज़िंदगी गुज़रने के सभी पहलुओं के मुताल्लिक़ हमारी मुकम्मल रहनुमाई करता है| दुनिया मे आने से लेकर मरने के बाद तक क़ुरआन और सुन्नत मे बेशुमार दुआओं का ज़िक्र है| जिनमे तदफीन की दुआएँ भी शामिल हैं| यानी मरने के बाद मय्यत/मुर्दाह को ज़मीन मे दफनाते वक़्त की दुआएँ|
जब कोई इंसान इस दुनिया-ए-फानी से रुख़सत हो जाता है, यानी वफात पा जाता है| तो मुसलमानो को चाहिए के उसके फौत होने के बाद/मरने के बाद उसकी बख़्शिश के लिए दुआएँ पढ़नी चाहिए|
नमाज़-ए-जनाज़ाह की अदाएगी के बाद मय्यत को क़ब्रस्तान ले जाने पर दफनते वक़्त दुआएँ ज़रूर पढ़नी चाहिए| मय्यत को लहाद/क़बर मे उतारने के बाद मिट्टी डालते वक़्त इस क़ुरआनी आयत की तिलावत करने को बहुत अफ़ज़ल माना जाता है|→ बच्चे को सुलाने की दुआ
Aslamualaikum bhai! bhai mera drivery licence ka exsam hai muje koi esa wazifa btaye jise main pehli baar main hi pass ho jaon, aur main wo jo surah qariah aur wazifa works like fire wala kar rahi hun unse muje koi tabdeeli nai nazar ah rahi wo na koi rabta kar rhe han aur na wo mere pass ah rahe han bhai muje to yeh impossible lagh raha hai abh par Allah ki zaat par bhi pura yaqeen hai muje na umeed nahi hone deta ALLAH KARE APKE BTAYE HUE WAZAIFS SE MERI ZING=DAGHI MAIN PHIR SE KHUSHIYON KI BAHAAR AH JAYE AMEEN SUMA AMEEN
Aap ye wazifa parhiye Sis- https://www.yaallah.in/how-to-pass-exams-without-studying-tried-tested-kamyabi-imtihan aur baqi ke wazaif bhi mukammal yaqeen ke sath parhte rahiye. ALLAH Ta’ala aapke haq me sab behtar kare, aameen!