Pul e Sirat Ka Safar-Pul Sirat Par Guzarne Me Kamyab Hone Ke Aamaal

Pul e Sirat Ka Safar-Pul Sirat Par Guzarne Me Kamyab Hone Ke Aamaal

Aj is post Pul e Sirat Ka Safar-Pul Sirat Par Guzarne Me Kamyab Hone Ke Aamaal mein ham Pul e Sirat ka Safar ke bare me guftgoo karenge aur kaise is safar me kamyabi hasil karein? Is sawal ke bade pyare jawabat hasil karenge.

Pul e Sirat Ka Safar-Pul Sirat Par Guzarne Me Kamyab Hone Ke Aamaal

[ez-toc]

Pul e Sirat Kya Hai?

Arabic me ‘Sirat’ ka matlab ‘Rasta‘ se hota hai. Pul e Sirat ek wo rasta hoga jo jahannum ke upar se guzarta hua jayega. Pul e Sirat ke rasta par se har ek shakhs ko guzarna hi padega. Chahe wo shakhs nek ho ya phir chahe bad (bura). Ameer Banne Ka Wazifa-Daulatmand Banne Ka Amal yahan dekhiye.

Andhera ho jayega aur phir jahannum ke upar ek pul dala jayega. Jis par se sabko guzarna hoga. Ye Pul e Sirat ka rasta talwar ki dhaar se bhi zyada tez hoga aur bal se bhi zyadah bareeq hoga.

Sabse awwal is Pul e Sirat ke raste par se Ap Huzoor-e-Akram SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam guzrenge aur nikal jayenge. (Hawala Sahih Muslim Hadees adad 451).

Unke bad Apki ummat guzregi aur unke guzarne ke bad deegar ambiya aur unki ummat guzregi. Dua for Any Wish Hajat to Come True yahan dekhiye.

Nek us Pul e Sirat ke raste par se asani se guzar jayega. Aur bad yani bura us raste par se gir jayega (Hawala Sahih Muslim Hadees adad 89).

Pul Sirat Par Guzarne Me Kamyab Hone Ke Aamaal Kya Hai?

Yu to apni zaati zindagi hamein sunnat ki naqal karte hue guzarni chahiye. Jisne ek sunnat apnayi uska bahot bada ajr hai. Sunnat-e-Rasool mein pakeezgi ki bahot badi fazilat batlayi gayi hai. Islam mein pakeezgi ko adha imaan batlaya gaya hai. Pak-saf rehna bhi imaan wale ki nishani hai. Wo musalman hi kya jo har waqt napak rahe. How to Get your Prayers Answered by ALLAH-Ask Accept Dua yahan dekhiye.

ALLAH Ta’ala ne un logon ko apna mahboob qarar diya hai jo tahaarat aur pakeezgi ka pura-pura ahtamaam karte hain. Nabi-e-Kareem SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Irshade Paak hai,
“Tahaarat aur pakeezgi aadha imaan hai.”

Yani aadha imaan to ye hai ke aadmi ruh ko paak saaf rakhe aur aadha imaan ye hai ke aadmi jism ki safayi aur paaki ka khayal rakhe. Ruh ki tahaarat o nazaafat ye hai ke isko kufr-o-shirk aur har tarah ki najaaston se paak kar ke saaleh (nek) aqaayed aur pakeeza ikhlaaq se araasta kiya jaye. Aur jism ki tahaarat o nazaafat ye hai ke ise zaheri na-paakiyon se paak o saaf rakh kar nazaafat aur saleeqe ke adaab se araasta kiya jaye. Why is My Wazifa Not Working? Rules Conditions! yahan dekhiye.

taharat ke ahkam aur nazafat ke adab-1

taharat ke ahkam aur nazafat ke adab-2

Taharat-o-Nazafat ke Adaab

Taharat ke Ahkam aur Nazafat ke Adab

  • So kar uthne ke baad hath dhoye baghair pani ke bartan mein hath na daliye, Kya malum sote mein apka hath kahan-kahan para ho.
  • Ghusal khane ki zamin par pishab karne se gurez karein. Khas taur par jab ghusal khane ki zamin kachi ho.
  • Zaruriyaat se faraaghat ke liye na qibla rukh bethiye aur na qible ki taraf peeth kijiye. Faraaghat ke baad dhaile aur pani se istanja kijiye. Ya sirf pani se tahaarat hasil kijiye. Led, haddi aur koyile waghaira se istanja na kijiye. Aur istanja ke baad sabun ya mitti se khoob achi tarah hath dho lijiye. Benefits of Tahajjud Prayer in Islam yahan dekhiye.
  • Jab pishab ya pakhane ki zarurat ho to khana khane na baithiye, faraaghat ke baad khana khaiye.
  • Khana khane ke liye daayan hath istemal kijiye. Wuzu mein bhi daayen hath se kaam lijiye. Aur istanja karne aur naak waghaira saaf karne ke liye baayan hath istemal kijiye. Islams Praying Importance and Offering Namaz yahan dekhiye.
  • Narm jagah par pishab kijiye taa ke cheente na urein aur hamesha baith kar pishab kijiye. Han agar zamin baithne ke layeq na ho ya koi aur waqeyi majburi ho to khare ho kar pishab kar sakte hain. Lekin aam halaat mein ye bari gandi aadat hai jis se sakhti ke sath parhez karna chahiye.
  • Nadi, naher ke ghaat par, aam raaston par aur saaya daar muqamaat par qazaye hajat ke liye na baithiye, is se dusre logon ko bhi takleef hoti hai. Aur adbo tahzeeb ke bhi khilaaf hai.
  • Jab pakhane jana ho to juta pahen kar aur sir ko topi waghaira se dhanp kar jaiye aur jate waqt ye du’a parhiye,

“ALLAHUMMA Inni A’uzu Bika Minal Khubusi Wal Khabaa-isi”

(Bukhari, Muslim)

Tarjuma: “Ae ALLAH! Teri panah chahta hon shaitaano se, un shaitaano se bhi jo muzakkar hain aur un se bhi jo mau’annas hain.”

Aur jab bait-ul-khala se baher ayen to ye du’a parhiye,

“Alhamdulilla-hillazi azhaba annil-azaa wa aa-faani”

(Nisayi, Ibn Maajah)

Tarjuma: “ALLAH ka shukr hai Jis ne mujh se takleef dur farmayi aur mujhe aafiyat bakhshi.”

  • Naak saaf karne ya balgham thookne ke liye ahteyaat ke sath ugaaldaan istemal kijiye. Ya logon ki nigaah se bach kar apni zarurat puri kijiye. Symptoms of The Day of Resurrection in Islam Nishaniyan Asar e Qayamat yahan dekhiye.
  • Baar-baar naak mein ungli daalne aur naak ki gandagi nikaalne se parhez kijiye. Agar naak saaf karne ki zarurat ho to logon ki nigaah se bach kar achi tarah itmenaan se safayi kar lijiye.
  • Rumaal mein balgham thook kar malne se sakhti ke sath parhez kijiye. Ye bohat buri aadat hai. ‘Illa’ ye ke koi majburi ho.
  • Munh mein pani barh kar baatein na kijiye ke mukhatib par cheentein urein aur usay takleef ho. Isi tarah tambaaku aur paan agar kasrat se khate hon to munh saaf rakhne ka bhi intehayi ahtamaam kijiye aur iska bhi lehaz rakhiye ke baat karte waqt apna munh mukhatib ke qarib na le jaiye. Muslim Religion Islam History and Concept yahan dekhiye.
  • Wuzu kafi ahtamaam ke sath kijiye. Aur agar har waqt mumkin na ho to aksar ba-wuzu rahne ki koshish kijiye. Jahan pani mayassar na ho tayammum kar liya kijiye. Bismil-Laahir-Rahmaanir-Raheem kah kar wuzu shuru kijiye aur wuzu ke dauran ye du’a parhiye,

“Ash-hadu an ‘laa ilaaha illALLAHu wahdahu laa shareeka lahu wa-ash-haadu anna Mu’hammadan abduhu wa-Rasooluhu ALLAHummaj-alni minat-tawwabeena waj-alni minal muta-tahhireen”

(Tirmazi Shareef)

Tarjuma: “Main gawahi deta hon ke ALLAH ke siwa koi ma’abud nahi, Wo yakta hai aur Uska koi shareek nahi aur main gawahi deta hon ke Mu’hammad SallALLAHU’ Alayhe Wasallam ALLAH ke Bande aur Uske Rasool hain. Ae ALLAH! Mujhe un logon mein shamil farma jo bohat zyadah taubah karne wale aur bohat zyadah paak o saaf rahne wale hain.” Islam Religion History Facts True Stories yahan dekhiye.

Aur wuzu se farigh ho kar ye du’a parhiye,

“SubhaanakALLAHumma wabihamdika ashhadu an-laa ilaaha illa anta astaghfirka wa-atoobu ilayka”

Turjuma: “Ae ALLAH! Tu Paak o Bartar hai Apni Hamd o Sana ke sath, main gawahi deta hon ke koi ma’abud nahi magar Tu hi hai, main Tujh se maghfirat ka taalib hon aur Teri taraf ruj’u karta hon.”

(Nisayi)

Nabi-e-Kareem SallALLAHU’ Alayhe Wasallam ka Irshad-e-Mubarak hai,

“Qayamat ke roz Meri Ummat ki Nishani ye hogi ke unki peshaniyan aur wuzu ke ai’zaa noor se jagmaga rahe honge, pas jo shakhs apne noor ko barhaana chahe barha le.” How to Read Faces in Islam yahan dekhiye.

(Bukhari o Muslim Shareef)

  • Pabandi ke sath miswak kijiye.

Nabi Kareem SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Irshad hai ke,

“Agar Mujhe Ummat ki takleef ka khayal na hota to Main har wuzu mein unko miswak karne ka hukm deta.”

Ek martabah ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ke paas kuch log aaye jin ke daant peele ho rahe the. Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne dekh ke takeed farmayi ke miswak kiya karo.

  • Hafte mein kam se kam ek martabah ghusal zarur kijiye. Jum’uah ke din ghusal ka ahtamaam kijiye aur saaf suthre kapre pahen kar jum’uah ki namaz mein shirkat kijiye.

How yaALLAH Dua Wazaif Benefited the Followers?

Nabi Kareem SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne farmaya,

“Amaanat ki adayegi aadmi ko Jannat mein le jati hai.

Sahaba Karaam Radi ALLAHU Anhu ne pucha, ya Rasool ALLAH SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam! Amaanat se kya muraad hai?

Faramaya! “Na-paaki se paak hone ke liye ghusal karna aur is se barh kar ALLAH ne koi amaanat muqarrar nahi ki hai. Pas jab aadmi ko nahane ki hajat ho jaye to ghusal kare.”

  • Na-paaki ki halat mein masjid mein na jaiye aur na hi masjid mein se guzariye. Aur agar koi surat mumkin hi na ho to tayammum kar ke masjid mein jaiye ya guzariye.
  • Balon mein tel daalne aur kanghi ka bhi ahtamaam kijiye. Daarhi ke barhe hue be-dhange balon ko qainchi se darust kar lijiye. Aankhon mein surma bhi lagaiye. Nakhun tarashwaane aur saaf rakhne ka bhi ahtamaam kijiye aur saadgi aur ai’tadaal ke sath munasib zeb o zeenat ka ahtamaam kijiye.
  • Cheenkte waqt munh par rumaal rakh lijiye taa ke kisi par cheent na pare. Cheenkne ke baad Alhamdulillah (ALLAH ka shukr hai), kahiye. Sunne wala YarhamukALLAHU (ALLAH ap par raham farmaye), kahe. Aur is ke javab mein YahdeekALLAH (ALLAH apko hidayet bakhshe), kahiye.
  • Khushbu ka kasrat se istemal kijiye. Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam khushbu ko bohat pasand farmata the. Ap SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam so kar uthne ke baad jab zaruriyaat se farigh hote to khushbu zarur lagate.

Trending Dua Wazaif

Pul e Sirat Ka Safar-Pul Sirat Par Guzarne Me Kamyab Hone Ke Aamaal

Urdu

پل صراط پر گزرنے میں کامیاب ہونے کے اعمال کیا ہیں؟

یوں تو اپنی ذاتی زندگی ہمیں سنّت کی نقل کرتے ہوئے گزارنی چاہیئے۔ جس نے ایک سنّت اپنائی اس کا بہت بڑا اجر ہے۔ سنّتِ رسول صلی اللّٰه علیہ وسلم میں پاکیزگی کی بہت بڑی فضیلت بتلائی گئی ہے۔ اسلام میں پاکیزگی کو آدھا ایمان بتلایا گیا ہے۔ پاک صاف رہنا بھی ایمان والے کی نشانی ہے۔ وہ مسلمان ہی کیا جو ہر وقت ناپاک رہے۔

اللّٰه تعالیٰ نے ان لوگوں کو اپنا محبوب قرار دیا ہے جو طہارت اور پاکیزگی کا پورا پورا اہتمام کرتے ہیں۔
نبی کریم صلی اللّٰه علیہ وسلم کا ارشادِ پاک ہے۔
طہارت اور پاکیزگی آدھا ایمان ہے۔

یعنی آدھا ایمان تو یہ ہے کہ آدمی روح کو پاک و صاف رکھے۔ اور آدھا ایمان یہ ہے کہ آدمی جسم کی صفائی اور پاکی کا خیال رکھے۔ روح کی طہارت و نظافت یہ ہے کہ اس کو کفر و شرک اور معصیت و ضلالت کی نجاستوں سے پاک کر کے صالح عقائد اور پاکیزہ اخلاق سے آراستہ کیا جائے۔ اور جسم کی طہارت و نظافت یہ ہے کہ اس کو ظاہری ناپاکیوں سے پاک و صاف رکھ کر نظافت اور سلیقے کے آداب سے آراستہ کیا جائے۔

طہارت کے احکام اور نظافت کے آداب

١. سو کر اٹھنے کے بعد ہاتھ دھوئے بغیر پانی کے برتن میں ہاتھ نہ ڈالیے، کیا معلوم سوتے میں آپ کا ہاتھ کہاں کہاں پڑا ہو۔
٢. غسل خانے کی زمین پر پشاب کرنے سے پرہیز کریں۔ بالخصوص جب غسل خانے کی زمین کچی ہو۔
٣. ضروریات سے فراغت کے لئے نہ قبلہ رخ بیٹھیئے اور نہ ہی قبلے کی طرف پیٹھ کیجیئے۔ فراغت کے بعد ڈھیلے اور پانی سے استنجا کیجیئے، یا صرف پانی سے طہارت حاصل کیجیئے۔ لید، ہڈی اور کوئلے وغیرہ سے استنجا نہ کیجیئے۔ اور استنجا کے بعد صابن یا مٹی سے خوب اچھی طرح ہاتھ دھو لیجیئے۔
٤. جب پیشاب یا پاخانے کی ضرورت ہو تو کھانا کھانے نہ بیٹھیئے، فراغت کے بعد کھانا کھایئے۔
٥. کھانا کھانے کے لئے دایاں ہاتھ استعمال کیجیئے۔ وضو میں بھی دائیں ہاتھ سے کام لیجیئے۔ اور استنجا کرنے اور ناک وغیرہ صاف کرنے کے لیے بائیں ہاتھ کا استعمال کیجیئے۔
٦. نرم جگہ پر پیشاب کیجیئے تاکہ چھینٹے نہ اڑیں۔ ہمیشہ بیٹھ کر پیشاب کیجیئے۔ ہاں اگر زمین بیٹھنے کے لائق نہ ہو یا کوئی اور واقعی مجبوری ہو تو کھڑے ہو کر پیشاب کر سکتے ہیں۔ لیکن عام حالات میں یہ بڑی گندی عادت ہے جس سے سختی کے ساتھ پرہیز کرنا چاہیئے۔
٧. ندی، نہر کے گھاٹ پر، عام راستوں پر اور سایہ دار مقامات پر قضائے حاجت کے لئے نہ بیٹھیئے۔ اس سے دوسرے لوگوں کو تکلیف بھی ہوتی ہے اور ادب و تہذیب کے بھی خلاف ہے۔
٨. جب پاخانہ جانا ہو تو جوتا  پہن کر اور سر کو ٹوپی وغیرہ سے ڈھانپ کر جایئے اور جاتے وقت یہ دعا پڑھیئے۔

اَللّٰھُمَّ اِنِّی اَعُوذُبِکَ مِنَ الخُبُثِ وَالخَبَآئِثِ
(بخاری، مسلم)

How yaALLAH Testimonials Benefited the Followers?

ترجمہ: اے اللّٰه! تیری پناہ چاہتا ہوں شیطانوں سے، ان شیطانوں سے بھی جو مذکر ہیں اور ان سے بھی جو مؤنث ہیں۔

اور جب پاخانے سے باہر آئیں تو یہ دعا پڑھیں۔

رجمہ: اللّٰه کا شکر ہے جس نے مجھ سے تکلیف دور فرمائی اور مجھے عافیت بخشی۔

٩. ناک صاف کرنے یا بلغم تھوکنے کے لئے احتیاط کے ساتھ اُگالدان استعمال کیجیئے یا لوگوں کی نگاہ سے بچ کر اپنی ضرورت پوری کیجیئے۔
١٠. بار بار ناک میں انگلی ڈالنے اور ناک کی گندگی نکالنے سے پرہیز کیجیئے۔ اگر ناک صاف کرنے کی ضرورت ہو تو لوگوں کی نگاہ سے بچ کر اچھی طرح اطمینان سے صفائی کر لیجیئے۔
١١.  رومال میں بلغم تھوک کر ملنے سے سختی کے ساتھ پرہیز کیجیئے۔ یہ بہت بری عادت ہے۔ اِلَّا یہ کہ کوئی مجبوری ہو۔
١٢. منہ میں پانی بھر کر اس طرح باتیں نہ کیجیئے کہ مخاطب پر چھینٹیں اڑیں اور اسے تکلیف ہو۔ اسی طرح اگر تمباکو اور پان کثرت سے کھاتے ہوں تو منہ صاف رکھنے کا بھی انتہائی اہتمام کیجیئے اور اس کا بھی لحاظ رکھیے کہ بات کرتے وقت اپنا منہ مخاطب کے قریب نہ لے جائیں۔
١٣. وضو کافی اہتمام کے ساتھ کیجیئے۔ اور اگر ہر وقت ممکن نہ ہو تو اکثر باوضو رہنے کی کوشش کیجیئے۔ جہاں پانی میسر نہ ہو تو تیمّم کر لیا کیجیئے۔ بِسمِ اللّٰهِ اِلرَّحمٰنِ الرَّحِیم کہہ کر وضو شروع کیجیئے۔ اور وضو کے دوران یہ دعا پڑھیئے۔

اَشھَدُ اَن لَّا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰهُ وَحدَہٗ لَا شَرِیکَ لَہُ وَ اَشھَدُ اَنَّ مُحَمَّدًا عَبدُہٗ وَ رَسُولُهٗ اَللّٰھُمَّ اجعَلنِی مِنَ التَّوَّابِینَ وَاجعَلنِی مِنَ المُتَطَھِّرِینَ
(ترمذی شریف)

ترجمہ: میں گواہی دیتا ہوں کہ اللّٰه کے سوا کوئی معبود نہیں، وہ یکتا ہے اور اس کا کوئی شریک نہیں اور میں گواہی دیتا ہوں کہ محمّد صلی اللّٰه علیہ وسلم اللّٰه کے بندے اور اس کے رسول ہیں۔ اے اللّٰه! مجھے ان لوگوں میں شامل فرما جو بہت زیادہ توبہ کرنے والے اور بہت زیادہ پاک و صاف رہنے والے ہیں۔

اور وضو سے فارغ ہو کر یہ دعا پڑھیئے۔

سُبحَانَکَ اللّٰهُمَّ وَبِحَمدِکَ اَشھَدُ اَن لَّٓا اِلٰہَ اِلَّا اَنتَ اَستَغفِرُکَ وَاَتُوبُ اِلَیکَ

ترجمہ: اے اللّٰه! تو پاک و برتر ہے اپنی حمد و ثناء کے ساتھ، میں گواہی دیتا ہوں کہ کوئی معبود نہیں ہے مگر تو ہی ہے۔ میں تجھ سے مغفرت کا طالب ہوں اور تیری طرف رجوع کرتا ہوں۔
(نسائی)

How I got my love back?

نبی کریم صلی اللّٰه علیہ وسلم کا ارشادِ پاک ہے۔
قیامت کے روز میری امّت کی نشانی یہ ہو گی کہ ان کی پیشانیاں اور وضو کے اعضاء نور سے جگمگا رہے ہوں گے، پس جو شخص اپنے نور کو بڑھانا چاہےبڑھا لے۔
(بخاری و مسلم)

١٤. پابندی کے ساتھ مسواک کیجیئے۔
نبی کریم صلی اللّٰه علیہ وسلم کا..

 

2 Comments on “Pul e Sirat Ka Safar-Pul Sirat Par Guzarne Me Kamyab Hone Ke Aamaal”

  1. Hello my beti gussa vahut karti hati daat peesti hay .Pani bahut girati hay jab tap ke pas jati hay face wash Karti raheti kiwin.kiun Ase Karti koi Kuch karta hay black magic.please dua for get rid of it .

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *