PCOS Ka Wazifa

Khwateen (auraton) mein hone wala yeh marz badi tezi se phail raha hai. PCOD, ovarian cyst ya PCOS ka wazifa ye sab ek hi nam hai. Ye un khwateen ke liye hai jinke pas ilaj ke liye zyada paise nahi wo ek lambe arse se aulad se mehroom hai.

PCOD, Ovarian Cyst ya PCOS Ka Wazifa

Upar di hui in tamam bimariyon ko ham yahan PCOS hi kahenge. Is post mein jahan bhi PCOS ki bat kahi gayi hai to parhne wale ko yahi samajhna hai ke baqi PCOD aur Ovarian Cyst ke bare mein bhi kah rahein hai.

PCOS Kya Hota Hai?

Polycystic Ovary Syndrome jise aam zuban mein PCOS kehte hain. Khwateen mein yeh beemari ab bahut aam ho chuki hai. Yeh hormone ki gadbadi se hone wali ek beemari hai. Zarur dekhiye→ Dua for Getting Pregnant-Success Proof

Is post mein hum PCOS ke ruhani ilaaj ke bare mein janenge. Sath-sath kuchh diets yani isme khane aur peene ke bare mein bhi janenge. Yaqeenan ALLAH ke kalaam me bahut taqat hai. Is dua ke zariye is marz se apko mukammal taur par shifa hasil hone wali hai.

Is marz (beemari) ka tabeeb (doctor) ke paas, yani ke medical science mein bhi ab kahin jakar iska seedha sateek ilaaj mil paya hai. Isliye is marz mein mubtila khwateen (auraton) ki zindagi is marz ki wajah se bahut hi takleef-dah (takleef dene wali) ban chuki hai.

Sabse badi takleef to ye ke wo maa nahi ban pati hai. Hamila hone mein unhe bahut pareshaniyon ka samne karna padta hai. Agar aurat hamil yani pregnant ho bhi jaye to ye bachche aur maa dono ke liye khatra bani rahti hai. Iske bare mein ham rohani ilaj aage dekhenge. Zarur dekhiye→ Kitab Padhne Ki Dua

Choonki, medical science ke pas is marz ki dawa hi maujood nahi hai. Jo is marz ko jad se khatm kar de. Aise halaat mein khwateen (auratein) is marz ki shifa ko lekar na-ummeed ho chuki hain. Aur is marz ko apna muqaddar samajh kar zindagi basar (guzaar) kar rahi hain.

ALLAH Ta’ala ke kalaam mein bahut taqat hai. Aur ALLAH Ta’ala ne aisa koyi marz (beemari) nahi banaya jiski dawa usne na banayi ho.

Hazrat Abu ‘Huraira RadiALLAHu ‘Anhu se riwayat hai:

RasoolALLAH Mu’hammad Mustafa ﷺ ne farmaya:

“ALLAH Ta’ala ne aisi koyi beemari nahi utari, jiski dawa bhi nazil na ki ho.”

Saheeh Al-Bukhari Hadees #5678

Ho sakta hai, medical science mein kisi beemari ka ilaaj maujood na ho. Magar ALLAH ke kalaam mein har beemari ki shifa maujood hai. Quran-e-Kareem Mumin (jo ALLAH par imaan laye hain) unke liye shifa hai.

Agar tawakkul se ALLAH se dua ki jaye to, ALLAH Rabbul ‘Alameen ek shakhs ko bina dawaiyon ke shifa de de. Phir to hum agar is marz ke liye ALLAH ke Ism-e-Mubarak se shifa hasil karne ka amal padhenge. To yaqeenan is marz se shifa hasil hogi, Insha ALLAH.

PCOS ke marz mein khwateen (aurat) ke raham (bachha daani) ki ovary mein masana (ganth/gilti) ho jati hai. Is marz ko hi ‘Polycystic Ovary Syndrome’ kehte hain. Yeh marz aur kayi doosre marz ko dawat deta hai. Zarur dekhiye→ Har Bimari Se Shifa Ki Dua

Is marz ke wajuhat (wajah) se hamilah hone mein kaafi pareshaniyon ka samna karna padta hai. Aur hamal ke na thehar pane ke wajah se ek aurat ko sasural waalon ke tanz (taana) se bhi guzarna padta hai.

Is lihaz se yeh marz bahut hi sangeen hai. Is marz se shifayab hona auraton ki chahat hoti. Ghut-ghut kar tanhayi mein apni zindagi guzar rahi auraton aulad se mehroom rah jati hai. Unke liye ye andhere mein roshni ki kiran hai.

PCOS Marz Ki Alamaat

Is marz ke hone se yeh sab alamatein (symtoms) zahir ho sakti hain:

  1. 1. Chehre aur badan par baalon ka aana.
  2. Haiz/mahwari ka betarteeb aana.
  3. Haiz/Mahwari aana hi band ho jana.
  4. Haiz/Mahwari ke dauran bahut shadeed dard hona.
  5. Hamilah hone mein pareshani aana, yani ke hamal ka na thehar pana.
  6. Sar mein dard rehna.
  7. Neend na aana.
  8. Thakawat rehna.
  9. Wazan badhna.
  10. Chehre par dane (pimples) hona.
  11. Baalon ka jhadna.
  12. Baalon ka patla hona.
  13. Mood badalte rehna.

Is marz ke wajah se kayi aur beemariyan panapti hain. PCOS ka marz hone se wazan badhne lagta hai. Aise mein dil ki beemari aur gurde ki beemari; blood pressure hone ka khatra bhi bana rehta hai. Zarur dekhiye→ Blood Pressure Ka Wazifa

Sath-sath is beemari ke wajah se khwateen ke baal jhadne lagte hain. Chehre aur jism pe baal aane lagte hain. Chehre ke baal hatane ki dua yaha dekhiye.

PCOS Kyon Hota Hai?

PCOS ka marz hone ki kuchh wajuhat (wajah) yeh hain:

  1. Yeh khandani beemari ho sakti hai.
  2. Wazan badhne se yeh beemari ho sakti hai.
  3. Ghalat khaan-paan ke wajah se khwateen (aurat) ke jism mein ‘Androgen’ harmone ka badh jana. Is harmone ke badhne se hi ovary mein masana (ganth/gilti) hone lagte hain.
  4. Harmone ki gadbadi se yeh marz hota hai.
  5. Tension lene se bhi yeh marz ho sakta hai.

PCOS Se Shifa Ke Gharelu Nuskhe

Is post mein ham is marz se nijat ke liye Islamic dua to age parhenge hi lekin usse pahle bahot hi asan gharelu nuskhe zarur dekh lijiye.

  1. Alsee

Alsee ke beej ko peeskar achhi tarah powder bana lein. Ek glass neem garm (gunguna) pani mein ek chammach powder dalkar rozana subah nihar munh (khali pet) piyein. Zarur dekhiye→ Ghutno Me Dard Ki Dua

Insha ALLAH, yeh amal paanch (5) hafto tak karein to is marz se shifa hasil hogi.

  1. Daalchini

Daalchini ko peeskar iska powder bana lein. Neem garm pani mein ek chammach daalchini mila kar rozana peeyein. Jab tak apko fayedah mehsus na ho.

  1. Pudina

8-10 pudine ki patti ko pani mein ubal kar. Use chhan kar piyein. Insha ALLAH is marz se rahat hogi.

PCOS se shifa pane ke liye warzish (exercise) karna bhi bahut mufeed (fayedahmand) sabit hoga. Warzish karne se jism mein harmone ka level sahi rahega aur is takleef se nijat dilwane mein yeh amal madadgar sabit hoga.

Jin khwateen (auraton) ko yeh marz hai. Unke liye yeh bhi lazmi hai. Ki wo ek achhi diet lein jaise ki hari sabziyan; seb; akhrot; chokar wala aata waghairah, jisme fiber payi jati hon. Sath-sath ek achhi neend lein. Aur agar kisi wajah se tension le rahi hain. To tension bhi lena band karein. Zarur dekhiye→ Dua to Get Beautiful Baby Child-Aulad e Narina

PCOS Mein In Cheezon Se Parhez Kariye

1. Candy, choclate.
2. Soda, coldrink.
3. Zyada cheeni na lein.
4. Masale dar khana.
5. Junk food.

PCOS Se Shifa Ka Ruhani Ilaaj

ya salamo PCOS Ka Wazifa

يَا سَلَامُ

ya Salamu

या सलामु

PCOS Ka Wazeefa Padhne Ka Tareeqa

  1. Wuzu ki halat mein rehte huye;
  2. Fajr ki namaz aur Maghrib ki namaz ke bad, ALLAH ka Ism-e-Mubarak ‘ya Salamu’ ko ek sau biyalees (142) martaba padhiye;
  3. Phir hath uthakar ALLAH Ta’ala se dil ki gehrayion se apni beemari ki shifa ki dua kariye;
  4. Is amal ki koyi miyad nahi hai;
  5. ALLAH par tawakkul rakh kar is dua ko padhte rahein, Insha ALLAH jald is beemari se shifa hogi, Ameen.

PCOS ke marz mein khwateen ko haiz/mahwari ke betarteeb chalne ka masla bhi pesh ata hai. Kabhi to yoon hota hai, ki haiz aata hi nahi. Aur kuchh khwateen ko betarteeb haiz ata hai. To kya aise halaat mein ek aurat namaz padh sakti hai? Iske bare mein Hadith ki roshni mein janenge. Zarur dekhiye→ Jaldi Hamal ki Dua ya Pregnant Hone Ka Wazifa

Jab kisi aurat ko haiz/mahwari ke ilawa koyi aur khoon nazar aaye to woh mustahaza hogi. Mustahaza aisi aurat ko kehte hain, jo istihaza ki beemari mein mubtila hon. Yani ke us khwateen (aurat) ko haiz ke wajah se nahi balki kisi aur rag waghairah ke wajah se khoon aata ho.

Mustahaza Aurat Pakizah Hoti Hai

Hazrat ‘Aisha RadiALLAHu ‘Anha se riwayat hai:

Fatima Binte Abi Hubaish ko istihazah ka khoon aya karta tha. To unhone ne Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ se is ke mut’aliq puchha.

Aap Mu’hammad ﷺ ne farmaya:

“Ki yeh rag ka khoon hai aur haiz ka nahi hai. Isliye jab haiz ke din guzar jayein to ghusl karke namaz padh liya karo.”

Saheeh Al-Bukhari Hadees #320

Upar diye Hadees-e-Mubarika se yeh maloom hota hai. Ki istihaza ki halat mein ek aurat namaz ada kar sakti hai. Isliye agar kisi ko pcos ke marz ke wajah se khoon jaari hota hai. Zarur dekhiye→ Undue Menses, Istihaza Ke Masail Aur Ilaj in Islam

Aise halaat mein wo aurat haiz/mahwari ke din chhorkar, uske bad ghusl (naha) karke namaz ada kar sakti hai. Haiz kam se kam teen (3) din aur zyada se zyada (10) din ke liye hota hai. Is hisab se khwateen apne adaat ke hisab se utne din namaz tark kar dein. Aur phir ghusl (naha) karke namaz ada karna shuru kar dein.

Agar ek aurat ko pcos ka marz hone se pehle saat (7) din haiz ka khoon jaari hota tha. To wo apni is adaat ke hisab se saat (7) din namaz tark kar dein. Aur agar kisi ko das (10) din haiz ka khoon jaari hota tha. To woh das (10) din namaz tark kar de. Iske bad ghusl karke namaz shuru kardein. Kyon ki yeh haiz ka khoon nahi hoga, to haiz ke din guzar jane ke baad us aurat par namaz farz ho jayegi.

Ghaur Talab:

Yeh amal khwateen haiz/mahwari mein bhi padh sakti hain.

Sawab-e-Jariya: Is post ko apne aziz aur pyaron se share kijiye take unhe bhi isse fayda hasil ho.

Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

30 Comments on “PCOS Ka Wazifa”

  1. Asalamualaikum
    Pls meri madad keriye.
    Kuch din se meri tabayt theek nhi rah rahi
    Job ki jagah b kuch sahi nahi chalraha
    Mere ghr ki bread earner muje pe hai
    But kaam me bilkul bhi mann nhi lag raha
    Ajeeb se saye mehsus hote hai aas pass pls pls reply dein

  2. Kya koi b wazifa krne k liye ijazat lena zarori hota he ???

  3. Meney 2 Saal phele Apne Mamu ki shadi k liye wazifa Kiya tha apki site set to Mamu ki shadi hogai ab 2 Saal hogye hain Unko olad nahi hat cheez Dua wagera har totka Kiya Hy Mami Kafi Mayoos hogai hy phele meney bandhish shadi sey khtm karne wala wazifa Kiya tha ab ap Mujhe koi Dua bta dain Jo Mami pharey usko Olad hojaey wo Kafi depressed Hy kindly tell me something

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *