Jis kisi shakhs ne sunnaton par amal kiya usne apni duniya aur akhirat bana li. Huzur ﷺ jis tarah paani peete aur paani ki tamam sunnate ham is post mein parhenge. Yaqinan is tariqe se piya hua paani hamare jism mein fayda hi pahunchayega. Pani peene ki dua yani pahle ki aur paani peene ke bad ki dua hamesha parhne ka mamool banane wale ko azeem sawab hasil hoga.
Pani Peene Se Pahle Aur Bad Ki Dua-12 Hadees Hindi Me
Pani peene ke pahle aur baad dono ki sunnatein kya hai. Aur iske bare mein tafseel se Hadees-e-Mubarika parhiye.

Pani Peene Se Pahle Ki Dua Bismillah Parhiye!
Aur Pani Peene Ke Baad Mein Alhamdulillah Parhiye!
Pani peene ke adab aur ise peene ke sath-sath sawab bhi kamaye. Apne gharwalon aur bachchon ko bhi ye sunnat tariqe sikhaiye. Huzur ﷺ ki sunnat par zindagi bhar amal karne se hi akhirat mein kamyabi hasil hogi, Insha ALLAH. Zarur parhiye→ La Ilaha Illallah Dua Benefits in Hadees
Kisi bhi sunnat ko mamuli na samjhe. Kyonke na jane konsi sunnat ke amal se hamein ALLAH ﷻ jannat ata farma de.
Jab se mujhe is sunnat ke bare mein malum hua. Maine beth hi kar paani peene ki adat bana li. Yani beth kar pani peena chahiye aur teen (3) saans mein peena chahiye. Namaz Ke Baad Ki Dua
Aur ab ye hal hai ke khade ho kar janwaron ki tarah pani peena qatayi pasand nahi ata.
Hikayat (Sacha Waqi’ah): Sunnat Tariqe Se Pani Peene Ke Fayde
Mera ek ghair musalman dost mujhe beth kar paani peete hue kafi din se dekh raha tha. Aur usne ek din doctor se ye maamla poochh hi liya. Doctor ne use beth kar paani peene ke jismani fayde ke bare mein tafseel se bata diya.
Aur ye science ke ijaad (talash) kiye hue fayde the. Isse ye malum hota hai ke kisi bhi sunnat ko mamuli nahi samajhna chahiye. Parhna mat bhuliyega→ Ayatul Kursi in Hindi HD Images
Pani Peene Ke Sunnat Tariqon Ke Bare Me Hadees
Paane peene se judi tamam khas Hadees-e-Mubarika main apke liye pesh kar raha hoon. In sabhi Hadees ko parhne wale ashkhaas (log) paani peene ke sahi sunnati aadaab seekh jayenge.
(Hadees #1) Pani ya Koi Bhi Peene Ki Cheez Ko Baith Kar Peena Chahiye (Siwaye Aab-e-Zamzam)
Sayyidina Abu Hureira Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Koi tumme se khada ho kar na piye aur jo bhool se pee le to qai kar daale.”
Saheeh Muslim 5279
(Hadees #2) Pani ya Koi Bhi Peene Ki Cheez Ko Baith Kar Peena Chahiye (Siwaye Aab-e-Zamzam)
Sayyidin Abu Sa’eed Khudri Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai, mana kiya Nabi ﷺ ne khade hokar peene se.
Saheeh Muslim 5277
(Hadees #3) Aab-e-Zamzam Khade Hokar Peene Ki Sunnat
Sayyidina Ibn Abbas Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai Maine Rasoolullah ﷺ ko zamzam ka pani pilaya aur Aap ﷺ khade the.
Saheeh Muslim 5280
(Hadees #4) Sirf Pani Hi Nahi Khade Hokar Khana Bhi Mana
Sayyidina Anas Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai,
Rasoolullah ﷺ ne mana kiya khade hokar pani waghairah peene se.
Qatadah Radi ALLAHu ‘Anhu ne kaha aur khade hokar khana khana kaisa hai?
Sayyidina Anas Radi ALLAHu ‘Anhu ne kaha:
Ye to aur zyada bura hai.
Saheeh Muslim 5275
(Hadees #5) Mashk Ko Upar Karke Peena Mana
Maskh ko upar karke peena bhi mana.
Sayyidina Abu Sa’eed Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai,
Mana kiya Rasoolullah ﷺ ne mashk ke moonh ko ulat kar peene se. (aisa na ho koi keeda waghairah moonh mein chala jaye).
Saheeh Muslim 5271
Ghaur Kijiye: Is Hadees-e-Mubarika se hame is bat ka bhi ilm ho jata hai ke ham donge ya jug ya koi bhi bartan ko ooncha karke pani na piye. Kyonke hamare nazar pani par parhti nahi. Aur usme agar kachra waghairah ho ya keeda wagerah ho to wo moonh mein jane ka khatra bana rahta hai.
(Hadees #6) Jab Paani Piye To /Glass Bartan Ke Ander Saans Na Lein
Sayyidina Abu Qatadah Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai,
Rasoolullah ﷺ ne mana kiya bartan ke ander hi saans lene se.
Saheeh Muslim 5285
(Hadees #7) Jab Paani Piye To Teen (3) Ghoont/Saans Mein Piyein
Sayyidina Anas Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai,
Rasoolullah ﷺ teen bar saans lete bartan mein. (yaani peene mein bartan ke bahar teen ghoont mein peete.)
Saheeh Muslim 5286
(Hadees #8) Jab Paani Piye To Teen (3) Ghoont/Saans Mein Piyein Sehatyab Rahoge Insha ALLAH.
Sayyidina Anas Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai,
Rasoolullah ﷺ peene mein teen bar saans lete aur farmate:
Aisa karne se khoob sairi hoti hai aur pyas khoob bujhti hai ya bimari se tandurusti hoti hai aur paani achhi tarah hazam hota hai.
Sayyidina Anas Radi ALLAHu ‘Anhu ne kaha Main bhi paani peene mein teen bar saans leta hoon.
Saheeh Muslim 5287
(Hadees #9) Peene Aur Khane Ki Chizon Ko Dhakne Se Usme Waba Nahi Utarti
Sayyidina Jabir Bin Abdullah Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai ke Maine suna Rasoolullah ﷺ se,
Aap ﷺ farmate the:
Bartan dhaanp do aur mashk band kar do. Isliye ke saal mein ek raat aisi hoti hai jisme waba utarti hai phir wo waba jo bartan khula paati ya maskh khuli paati hai usme sama jati hai.
Saheeh Muslim 5255
(Hadees #10) Khana Aur Peene Hamesha Seedhe Yani Dahine Hath Se Chahiye
Sayyidina Abdullah Bin ‘Umar Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
Jab tum mein se koi khaye to dahine hath se khaye aur jab piye to dahine hath se piye isliye ke shaitan bayein hath se khata hai aur bayein hath se peeta hai.
Saheeh Muslim 5265
(Hadees #11) Donge ya Maskh Se Moonh Lagakar Peena Mana
Abu Huraira Radi ALLAHu ‘Anhu ne bayan kiya tha ke Rasoolullah ﷺ ne maskh ke moonh se moonh lagakar paani peene ki mumani’at ki thi aur (isse bhi aapne mana farmaya tha ke) koi shakhs apne pados ko apni deewar mein khoonte waghairah gaadne se roke.
Saheeh Muslim 5627
(Hadees #12) Pani Peene Se Pahle Bismillah Kahna Aur Bad Mein Alhamdulillah Kahna
Ibn ‘Abbas Radi ALLAHu ‘Anhu se riwayat hai:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
“Oont ki tarah ek hi ghoont mein na piyo, do ya teen ghoont mein piyo. Peene se pahle ALLAH ka naam lo (Bismillah) aur peene ke baad USKI ‘hamd karo (Alhamdulillah).”
At- Tirmidhi
Pani Peene Ki Dua Parhkar Sawab Hasil Kijiye
Pani Peene Ke Baad Ki Dua Transliteration in Arabic
اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِیْ سَقَانَا عَذْبًا فُرَاتًا بِرَحْمَتِهٖ وَلَمْ یَجْعَلْهُ مِلْحًا اُجَاجًا بِذُنُوْبِنَا
Pani Peene Ke Baad Ki Dua Transliteration in Roman Urdu
Al’hamdulillahillazee Saqaana ‘Azban Furaatan Bira’hmatihi Walam Yaj-‘alhu Mil’han Ujaajan Bizunoobina
Pani Peene Ke Baad Ki Dua ka Tarjuma in English
All Praise Be To ALLAH, WHO Through HIS Mercy Gave Us Sweet Water To Drink And Did Not Make It Bitter Because Of Our Wrongdoings
Pani Peene Ke Baad Ki Dua ka Tarjuma in Roman Urdu
Tamam Ta’areefein ALLAH Ke Liye Hain JISNE Apni Ra’hmat Se Hamein Peene Ko Meetha Wa Shafaaf Pani Diya Aur Hamare Gunah Ke Sile Mein Ise Khaara Aur Namkeen Nahi Banaya
Upar di hui is dua ke bare mein Hadees mein koi hawala maujood nahi hai. Yani ye Hadees se sabit nahi hai. Lekin isme ALLAH ﷻ ki tareef ki gayi hai. Is dua ko agar koi shakhs parhna chahe to paani peene ke baad parh sakta hai. Insha ALLAH use sawab zarur milega.
पानी पीने की दुआ यानी पहले और पानी पीने के बाद की दुआ और हदीस
पानी पीने से पहले की दुआ बिस्मिल्लाह पढ़िए!
और पानी पीने के बाद में अल्हाम्दुलिल्लाह पढ़िए!
पानी पीने के अदब और इसे पीने के साथ-साथ सवाब भी कमाए| अपने घरवालों और बच्चों को भी ये सुन्नत तरीक़े सिखाए| हुज़ूर ﷺ की सुन्नत पर ज़िंदगी भर अमल करने ही से आख़िरत में कामयाबी हासिल होगी, इंशा अल्लाह| ज़रूर पढ़िए→ दो सजदों के बीच की दुआ
किसी भी सुन्नत को मामूली ना समझे| क्योंके ना जाने कौनसी सुन्नत के अमल से हमें अल्लाह ﷻ जन्नत ‘अता फ़र्मा दे|
जब से मुझे इस सुन्नत के बारे में मालूम हुआ| मैने बैठ ही कर पानी पीने की आदत बना ली| यानी बैठ कर पानी पीना चाहिए और तीन (3) साँस में पीना चाहिए|
और अब ये हाल है के खड़े हो कर जानवरों की तरह पानी पीना क़तई पसंद नही आता|
हिकायत (सच्चा वाक़ि’आह): सुन्नत तरीक़े से पानी पीने के फायदे
मेरा एक ग़ैर मुसलमान दोस्त मुझे बैठ कर पानी पीते हुए काफ़ी दिन से देख रहा था| और उसने एक दिन डॉक्टर से ये मामला पूछ ही लिया| डॉक्टर ने उसे बैठ कर पाने पीने के जिस्मानी फायदे के बारे में तफ़सील से बता दिया|
और ये साइन्स के ईजाद (तलाश) किए हुए फायदे थे| इससे ये मालूम होता है के किसी भी सुन्नत को मामूली नही समझना चाहिए| पढ़ना मत भूलिएगा→ क़ब्र के अज़ाब से बचने की दुआ
पानी पीने के सुन्नत तरीक़ों के बारे मे हदीस
पाने पीने से जुड़ी तमाम खास हदीस-ए-मुबारिका मैं आपके लिए पेश कर रहा हूँ| इन सभी हदीस को पढ़ने वाले अशख़ास (लोग) पानी पीने के सही सुन्नति आदाब सीख जाएँगे|
(हदीस #1) पानी या कोई भी पीने की चीज़ को बैठ कर पीना चाहिए (सिवाए आब-ए-ज़मज़म)
सय्यिदिना अबू हुरेरा रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है के रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया:
“कोई तुममे से खड़ा हो कर ना पिए और जो भूल से पी ले तो क़ई कर डाले|”
सहीह मुस्लिम 5279
(हदीस #2) पानी या कोई भी पीने की चीज़ को बैठ कर पीना चाहिए (सिवाए आब-ए-ज़मज़म)
सय्यिदिना अबू सा’ईद खुदरी रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है, मना किया नबी ﷺ ने खड़े होकर पीने से|
सहीह मुस्लिम 5277
(हदीस #3) आब-ए-ज़मज़म खड़े होकर पीने की सुन्नत
सय्यिदिना इब्न अब्बास रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है मैने रसूलुल्लाह ﷺ को ज़मज़म का पानी पिलाया और आप ﷺ खड़े थे|
सहीह मुस्लिम 5280
(हदीस #4) सिर्फ़ पानी ही नही खड़े होकर खाना भी मना है
सय्यिदिना अनस रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है,
रसूलुल्लाह ﷺ ने मना किया खड़े होकर पानी वगेरह पीने से|
क़तादाह रदी अल्लाहु ‘अन्हु ने कहा और खड़े होकर खाना खाना कैसा है?
सय्यिदिना अनस रदी अल्लाहु ‘अन्हु ने कहा:
ये तो और ज़्यादा बुरा है|
सहीह मुस्लिम 5275
(हदीस #5) मश्क को उपर करके पीना मना है
मश्क को उपर करके पीना भी मना|
सय्यिदिना अबू सा’ईद रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है,
मना किया रसूलुल्लाह ﷺ ने मश्क के मूँह को उलट कर पीने से| (ऐसा ना हो कोई कीड़ा वग़ैरह मूँह में चला जाए)|
सहीह मुस्लिम 5271
ग़ौर कीजिए: इस हदीस-ए-मुबारिका से हमे इस बात का भी ‘इल्म हो जाता है के हम डोंगे या जग या को भी बर्तन को ऊँचा करके पानी ना पिए| क्यॉंके हमारी नज़र पानी पर पढ़ती नही| और उसमे अगर कचरा वगेरह हो या कीड़ा वग़ैरह हो तो वो मूँह में जाने का ख़तरा बना रहता है|
(हदीस #6) जब पानी पिएं तो /ग्लास बर्तन के अंदर साँस ना लें
सय्यिदिना अबू क़तादाह रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है,
ने मना किया बर्तन के अंदर ही साँस लेने से|
सहीह मुस्लिम 5285
(हदीस #7) जब पानी पिएं तो तीन (3) घूँट/साँस में पिएं
सय्यिदिना अनस रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है,
रसूलुल्लाह ﷺ तीन बार साँस लेते बर्तन में| (यानी पीने में बर्तन के बाहर तीन घूँट में पीते|)
सहीह मुस्लिम 5286
(हदीस #8) जब पानी पिएं तो तीन (3) घूँट/साँस में पिएं सेहतयाब रहोगे इंशा अल्लाह|
सय्यिदिना अनस रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है,
रसूलुल्लाह ﷺ पीने में तीन बार साँस लेते और फरमाते:
ऐसा करने से खूब सैरी होती है और प्यास खूब बुझती है या बीमारी से तंदुरुस्ती होती है और पानी अच्छी तरह हज़म होता है|
सय्यिदिना अनस रदी अल्लाहु ‘अन्हु ने कहा मैं भी पानी पीने में तीन बार साँस लेता हूँ|
सहीह मुस्लिम 5287
(हदीस #9) पीने और खाने के चीज़ों को ढकने से उसमे वबा नही उतरती
सय्यिदिना जाबिर बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है के मैने सुना रसूलुल्लाह ﷺ से,
आप ﷺ फरमाते थे:
बर्तन ढांप दो और मश्क बंद कर दो| इसलिए के साल में एक रात ऐसी होती है जिसमे वबा उतरती है फिर वो वबा जो बर्तन खुला पाती या मश्क खुली पाती है उसमे समा जाती है|
सहीह मुस्लिम 5255
(हदीस #10) खाना और पीने हमेशा सीधे यानी दाहिने हाथ से चाहिए
अब्दुल्लाह बिन ‘उमर रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया,
जब तुम में से कोई खाए तो दाहिने हाथ से खाए और जब पिए तो दाहिने हाथ से पिए इसलिए के शैतान बायें हाथ से ख़ाता है और बायें हाथ से पीता है|
सहीह मुस्लिम 5265
(हदीस #11) डोंगे या मश्क से मूँह लगाकर पीना माना
अबू हुरैरा रदी अल्लाहु ‘अन्हु ने बयान किया था के रसूलुल्लाह ﷺ ने मश्क के मूँह से मूँह लगाकर पानी पीने की मुमानि’अत की थी और (इससे भी आपने मना फरमाया था के) कोई शख़्स अपने पड़ोस को अपनी दीवार में खूँटे वग़ैरह गाड़ने से रोके|
सहीह मुस्लिम 5627
(हदीस #12) पानी पीने से पहले बिस्मिल्लाह कहना और बाद में अल्हम्दुलिल्लाह कहना
इब्न ‘अब्बास रदी अल्लाहु ‘अन्हु से रिवायत है:
रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया,
“ऊँट की तरह एक ही घूँट में ना पियो, दो या टीन घूँट में पियो| पीने से पहले अल्लाह का नाम लो (बिस्मिल्लाह) और पीने के बाद उसकी ‘हम्द करो (अल्हम्दुलिल्लाह)|”
अत-तिर्मिज़ी
पढ़ना मत भूलिएगा
पानी पीने की दुआ पढ़कर सवाब हासिल कीजिए
पानी पीने के बाद की दुआ का अरबी में ऊपर वॉलपेपर में पढ़िए
पानी पीने के बाद की दुआ हिंदी में ऊपर वॉलपेपर में पढ़िए
पानी पीने के बाद की दुआ का तर्जुमा हिंदी में
तमाम ता’अरीफें अल्लाह के लिए हैं जिसने अपनी र’हमत से हमें पीने को मीठा वा शफ़ाफ़ पानी दिया और हमारे गुनाह के सिले में इसे ख़ारा और नमकीन नही बनाया
उपर दी हुई इस दु’आ के बारे में हदीस में कोई हवाला मौजूद नही है| यानी ये हदीस से साबित नही है| लेकिन इसमे अल्लाह ﷻ की ता’अरीफ की गयी है| इस दुआ को अगर कोई शख़्स पढ़ना चाहे तो पानी पीने के बाद पढ़ सकता है| इंशा अल्लाह उसे सवाब ज़रूर मिलेगा|
अगर आपको ये पोस्ट पसन्द आए तो लाइक और शेयर ज़रूर कीजिएगा|
Join ya ALLAH Community!
Subscribe YouTube Channel→yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Mere liye ek aisa wazifa bataiye jismai mere owner apna ghar sale karne ke liye tayaar hojaye jald se jald, I am from India, one of my company director wanter to sell his bunglow and he was looking for buyer, when I got a purchaser to his bunglow for 40cr now he tells me to 45cr. And my buyer is in need of that place in urgent. Pls help me with wazifa which can help me with this issue, thanks a lot
https://www.yaallah.in/fori-hajat-poori-hone-ka-wazifa/
Assalam alaikum Bhai, mere face pe bahut sare daag aur chhaiya ho gayi koi jaldi thik hone wala asar daar wazifa Bata de Bhai chehra bahut kharab dikh rha hai plz..
Chehre se daag aur jhhaiyan khatm karne ke liye dua parhiye- https://www.yaallah.in/gora-hone-ka-wazifa-chehre-ke-daag-dhabbe-hatane-ki-dua/