Mushkil Kam Asan Karne Ka Wazifa

Kisi bhi bade se bada mushkil kam asan karne ka wazifa. Har pahad jaisa mushkil dikhne wala kam is amal ke zariye fauran asan aur poora ho jayega.

Mushkil Kam Asan Karne Ka Wazifa

Mushkil Kam Asan Karne Ka Wazifa ya Muqtadiru


Sallallahu ‘Alayhe Wasallam

Mushkil Kam Asan Karne Ka Wazifa

Roman English

Hamari zindagi mushkilo se bari pari hain. Har waqt koi na koi pareshani hamen ghere rakhti hain. Dil o dimagh me koi sukoon ko sukoon nahi milta. Kisi bhi sakht aur bade se badi pareshani ya mushkil se mushkil kam se fauran asan hone ke liye koshish karne mein koi burayi nahi hai.

ALLAH Ta’ala himmat karne walon ke sath hai. Aur unhi kandhon par utna wazan dalta hai jitna ke wo kandhe jhel sake.

Agar aap kisi sakht se sakht mushkil kam ko aasaan karne mein dilchaspi rakhte hai. Aur uska hal talash karne se qasir hain. To aap Ism-e-Mubarak ka aasan aur mujarrab amal zarur parhiye.

Insha ALLAH, dekhte hi dekhte aapka mushkil kam kitna hi bada aur mushkil kyon na hoga fauran hal ho jayega, Aameen.

Mushkil Kaam Asan Hone Ka Wazifa Parhne Ka Tareeqa

  1. Jo bhi din ap chune is amal ko parhne ke liye chun sakte hai. Safar Ki Dua HD Images Yahan dekhiye!

  2. Sab se pahle ‘itminan ke sath wuzu bana lijiye. Itminan se wuzu banane se shaitan apko wargalata nahi hai. Aur apka dhyan poori tarah se namaz aur amal me laga rahta hai.

  3. Fajr ki namaz ada kijiye.

  4. Namaz mukammal parhne ke bad Ism e Ilahi, “ya Muqtadiru” ek hazar (1000) martaba parhiye. “ya Muqtadiru” ke maani hain, “Badi Qudrat WALA”. Nihayet aqeedat ke sath wird kijiyega. Parhne ke dauran apne mushkil kaam ko achhe tareeqe se apne zehan me rakhiyega. Yani apne maqsad ki taraf pura dhyaan rakhiyega. Yahan Shadi Ki Dua in Quran in Hindi dekhiye!

  5. Amal parhne ke bad ALLAH Ta’ala ke huzoor apne dono hath uthakar khoob aajzi ke sath apne mushkil Kaam ke aasan hone ki du’a mangiye.

  6. Is amal ki koi miyad nahi hai. Yani jab tak aapka mushkil kaam aasan nahi ho jata, aap ne rozana ye amal parhna hai. Insha ALLAH, kuch hi din me aapki ye mushkil tal jayegi.

ALLAH ke Pak Nam ki fazilat se chand hi dino me aapka kaam banta hua dikhayi dega. Aur bil-aakhir bohat aasani ke sath apne anjaam ko pauhanchega.

Ghaur Talab: Khawateen ye wazifa haiz/ maahwari/ ayyaam ke dauran namaz ada kiye baghair parh sakti hain.

Mushkil Kam Asan Karne Ka Wazifa in English

Islamic Prayer To Make Hard Task Easy 

If you are facing issues in any difficult task. It seems very hard for you to accomplish. And you are willing to overcome it. This is the right place for you. See Dua Answered Immediately here.

No matter how tough, difficult and burdensome the task is. Just start this wazifa to overcome it and to achieve success in it.

How to Perform this Wazifa to Resolve the Burdensome Task?

  1. Whichever you wanna initiate this wazifa you are good to go.

  2. Very firstly, make ablution very calmly. Making ablution in a calm manner helps you to get rid of satan. Ultimately,your concentration during your prayers will be boosted Insha ALLAH Ameen.

  3. After performing the morning prayers. See Dua for Achieving Success here.

  4. Recite The Lovely Name of ALLAH, “ya Muqtadiru” one thousand (1000) times. The meaning of “ya Muqtadiru” is “The Powerful”. During this recitation keep the resolution of your tough task in your mind.

  5. Thereafter, raise both of your hands and make a dua for your purpose of resolving your tough and burdensome task as soon possible.

  6. This wazifa has no time period (fixed number of days). You can perform until you get complete resolution.

Through the recitation of This Lovely Name of ALLAH one can easily approach towards a favorable resolution of one’s tough task. That too very quickly. See Short Dua for Success in Exam to Achieve Excellent Results here.

Note: Females are allowed to perform this wazifa during their menses/periods without offering the morning prayers.

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube ChannelyaALLAH Website Official

Follow yaALLAH Website!

FB Community Ke Member Baniye- yaALLAH Facebook Community

Instagram par Follow Kijiye- instagram.com/yaALLAH.in

26 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *