Musafir Ki Dua

ALLAH ta’ala kabhi bhi musafir ki dua radd nahi karta. Magar musafir ka safar bhi halal maqsad ke liye ho. To phir jab bhi safar shuru karein to sabse pahle wuzu bana lein. Aur is post mein di hui duaon ke sath safar ke kuch adaab ka bhi khayal rakhein.

Musafir Ki Dua Aur Safar Ke Bare Mein 7 Hadees

Jo safar karta hai use musafir kahte hain. Aur Inke liye dua bahut khas maane rakhti hai. Kyunke har koi chahta hai ke kahin bhi aana ya jana ho to wo ba-hifazat safar kare. Chor, daku aur luteron se bhi hifazat rahe aur hadsaat se bhi mahfuz rahe. To chaliye safar par jane wale ke liye badi pyari aur aasan duayen jante hain. Zarur parhiye→ Safar Ki Dua in Hindi Urdu Arabic English-Images

Muqeem Ki Musafir Ke Liye Duayen

Muqeem wo shakhs hai jo ghar mein maujud ho yani ghar wale. Musafir ko safar par rawana karte waqt muqeem ko ye duayen parh leni chahiyen.

musafir ki dua

Musafir Ko Rukhsat Karne Ki Dua #1

Hazrat Qaza’ah farmate hain ke mujhse Hazrat Ibn ‘Umr ne farmaya ke aao! Main tujhko is tareeqa par rukhsat karun, jis tarah mujhe Nabi Kareem ﷺ ne rukhsat kiya tha,

أَسْتَوْدِعُ اللّٰهَ دِيْنَكَ وَأَمَانَـتَكَ ، وَخَوَاتِيْمَ عَمَلِكَ

Astawdiullaha Deenaka Wa-Amaanataka Wa-‘Khawaateema ‘Amalika

अस्तव दि’उल्लाहा दी-नका व अमा-न-तका व-ख़वातीमा ‘अ-मलिका

मैं तुम्हारा दीन, तुम्हारी अमानत और तुम्हारे अ’अमाल का अन्जाम अल्लाह के सुपुर्द करता हूँ

Main Tumhara Deen, Tumhari Amanat Aur Tumhare Aimal Ka Anjam ALLAH Ke Supurd Karta Hun

Sunan Abi Dawood : 2600

Agar musafir ek insan hai to dua aise parhiye:

أَسْتَوْدِعُ اللّٰهَ دِيْنَكَ وَأَمَانَـتَكَ ، وَخَوَاتِيْمَ عَمَلِكَ

Agar ek se zyadah log safar par ja rahe hain to is tarah dua parhiye:

أَسْتَوْدِعُ اللّٰهَ دِيْنَكُمْ وَأَمَانَـتَكُمْ ، وَخَوَاتِيْمَ عَمَلِکُمْ

Astawdiullaha Deenakum Wa-Amaanatakum Wa-‘Khawaateema ‘Amalikum

Zarur Dekhiye→ Ghabrahat Ki Dua

Musafir Ko Rukhsat Karne Ki Dua #2

زَوَّدَكَ اللّٰهُ التَّقْوَى‏ وَغَفَرَ ذَنْبَكَ ‏وَيَسَّرَ لَكَ الْخَيْرَ حَيْثُ مَا كُنْتَ

Zawwadakallahut-Taqwa Wa-Ghafara Zanmbaka Wa-Yassara Lakal-‘Khaira Haisu Ma Kunta

ALLAH Tumhen Zaad-e-Raah Mein Taqwa De, Tumhare Gunah Maaf Kare Aur Jahan Kahin Bhalayi Ho Tumhare Liye Aasan Kar De

ज़व्व-दकल्लाहुत तक़वा व-ग़-फ़-र ज़न्म्बका व य-स्स-र लकल ख़ैरा हयसू माकुन्ता

अल्लाह तुम्हें ज़ाद-ए-राह में तक़वा दे, तुम्हारे गुनाह माफ़ करे और जहाँ कहीं भलाई हो तुम्हारे लिए आसान कर दे

Asnaadah Hassan, Sunan Tirmizi (3444)

अस्नादह हस्सन, सुनन तिर्मिज़ी (3444)

Musafir Ko Rukhsat Karne Ki Dua #3

Hazrat Abu Huraira R.A. farmate hain,

Rasool ALLAH ﷺ ne mujhe rukhsat karte waqt farmaya,

اَسْتَوْدِعُكَ اللّٰهَ الَّذِيْ لَا تَضِیْعُ وَدَائِعُهُ

Astawdi’u-kALLAHallazee La Tazee’u Wa Daaee-‘uhu

Main Tumhen Us ALLAH Ki Hifazat Mein Deta hun, JISKI Hifazat Mein Di Hui Cheezein Zaya Nahi Hoti.

Sunan Ibn Majah : 2825

Inme se koi si bhi ek dua parhkar musafir ko ALLAH ke supurd kar dijiye. Insha ALLAH, wo hifazat se apni manzil par pauhanchenge aur khair khairiyat ke sath wapas ghar bhi lautenge, aameen. Zarur Dekhiye→ Isale Sawab Ka Tariqa Aur Fazilat

Musafir Ke Liye Sunnatein/Aadab

Hamse Moosa Bin Isma’eel ne bayan kiya, kaha hamse Hamaam ne bayan kiya, unse Is’haaq Bin ‘Abdullah Bin Abi Tal’ha ne bayan kiya, unse Anas R.A. ne bayan kiya ke,

“Rasool ALLAH ﷺ (safar se) raat ko ghar nahi pahunchte the. Ya subah ke waqt pahunch jate the ya dopahar bad (zawal se lekar ghuroob aftab tak kisi bhi waqt tashreef late).”

Saheeh Al-Bukhari :1800

Ka’ab Bin Maalik R.A. kahte hain ke bahut kam aisa hota ke Rasool ALLAH ﷺ jummerat ke ilawa kisi aur din safar mein niklen (yano Aap ﷺ aksar jummerat ko hi nikalte the).

Darjah: Saheeh (Al-Albani), Sunan Abi Dawud 2605

Ka’ab Bin Maalik R.A. se riwayat hai ke Nabi Akram ﷺ safar se din hi mein aate, (Hassan kahte hain) Chasht ke waqt aate aur jab safar se aate to pahle masjid mein aa kar do rak’at parhte phir usme baithte.

Darjah: Saheeh (Al-Albani), Sunan Abi Dawud 2781

Musafir ki Dua ki Ahmiyat

Safar ke dauran dua mangna kitni ahmiyat rakhta hai, is bat ka andaza mandarja zel Hadees Shareef se lagaya ja sakta hai.

Hazrat Abu Huraira R.A. se riwayat hai ke,

Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:

Teen (3) duaon ki qubooliyat mein koi shak nahi,

  1. Mazloom ki dua
  2. Musafir ki dua
  3. Walid ki apni aulad ke haq mein dua

Sunan Ibn Majah, 3862

Isliye safar karte waqt musafir ko apne liye aur apne tamam ahlo ayaal (khandan) ke liye dua zarur mangni chahiye. In pyari se duaon aur safar ke adab ko apni zindagi ka hissa banaiye aur ALLAH Tabarak Wata ‘Ala ki khas hifazat mein aa jaiye.

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

26 Comments on “Musafir Ki Dua”

  1. Assalamualikum Bhai MERI badi baji (nazia Hassan ) k liye dua kriyega plz Allah unhe jald se jald bimari MERI bahan ki bimari khtm Kar de aur unhe shifa ata farmaaye. Aameen

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *