Mout kitni dard bhari hai? Iska jawab koi bhi nahi de sakta. Aur jo ise mehsoos karta hai wo apne dil-o-dimagh aur hosh-o-hawas kho beth ta hai. Jab maalik-ul-mout uske qareeb use jism ki qaid se chhudane ati hai. Kaisa khush nasib hoga wo shakhs jo aise lamhon mein sakarat-ul-mout ki dua parhle. ALLAH har marne wale ko maut ke aise lamhon mein asaniyan de,Aameen.→ Marne Ke Bad Ki Dua
Insan Ki Mout Mein Ki Asani-Sakaratal Mout Ki Dua
Jab jism ke qafas se rooh ke parwaz karne ka lamha aata hai. Wo waqt-e-naz’a kahlata hai. Maalik-ul-Mout rooh ko lene pahunch jate hai. Aur maut ke is shadeed sakht waqt ka tajurba koi nahi kar sakta. Siwa uske jiska khud maut se aamna saamna ho raha ho.→ Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Rajioon Full Dua
Ye sakhti bahot dardnaak hai. Alimon ki kitabon (maut ka manzar/maut ka jhatka wagerah) mein sakaraat-ul-maut ke bare mein kafi likha hua hai.
Kayi jagah to yahan tak likha hai ke maut ke waqt insan ko is qadar shadeed dard ka ehsas hota hai. Jo talwar ke teen sau (300) waar se bhi zyada hota hai.
Sakarat-al-Mout Ke Bare Mein Kuch Hadees
Anas Bin Malik R.A. kahte hai ke jab Rasoolullah ﷺ ne maut ki sakhti mehsoos ki to Fatima R.A. kahni lagi: Haye mere Walid ki sakht takleef. Ye sun kar Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Aj ke bad Tere Walid par kabhi sakhti na hogi. Aur Tere Walid par wo waqt aya hai jo sab par ane wala hai. Ab qayamat ke din mulaqat hogi.
Sunan Ibn Majah 1629
Hamse Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hamse Lees bin sa’ad ne bayan kiya, kaha ke mujhse Yazeed bin Al-Haad ne bayan kiya, unse Abdur-Ra’hman bin Qasim ne bayan unse unke walid Qasim bin Muh’ammad ne aur unse ‘Aisha R.A. ne bayan kiya ke Nabi-e-Kareem ﷺ ki wafat hui to Aap meri hansli aur thodi ke darmiyan (sar rakhe hue) the. Aap ﷺ (ki shiddat sakaraat) dekhne ke baad ab main kisi ke liye bhi naz’a ko bura nahi samajhti.
Sahih al-Bukhari 4446
Ummul Momineen Aisha R.A. kahti hai ke Maine Rasoolullah ﷺ ko dekha ke aap sakaraat ke alam mein the, Apke paas ek pyala tha, Jisme pani tha, Ap pyale mein apna haath dalte phir apne chehre par malte aur farmate:
ALLAHumma a’inni ‘ala ghamaraatil mawti wa sakaratil mawti
Ae ALLAH! maut ki sakhti aur maut ki sakaraat door karne ke sath mere madad farma!
Jami’at-Tirmidhi 978
Hadees-e-Mubarika mein darj ye dua agar koi shakhs aam dinon mein bhi parhna chahe to parh sakta hai. Yaqinan iske parhne walon ko ajr-o-sawab to zarur milega hi.→ Janaze Ki Namaz Parhne Ka Tariqa
Aur kya khabar aisa bhi ho jaye ke is dua ko aam dinon mein parhne se ALLAH Rabbul ‘Izzat apne bande ko sakaraat-al-mout ki us sakht ghadi mein use is dua ko parhne ka sharf ata kar de.
Zyada se zyada share karein taki aur log bhi isse sawab hasil karein aur apko bhi sawab-e-jariya mile.
इंसान की मौत में की आसानी-सकरातल मौत की दुआ हिंदी में
मौत कितनी दर्द भारी है?
इसका जवाब कोई भी नही दे सकता| और जो इसे महसूस करता है वो अपने दिल-ओ-दिमाग़ और होश-ओ-हवस खो बैठता है| जब मालिक-उल-मौत उसके क़रीब उसे जिस्म की क़ैद से छुड़ाने आती है|→ सफ़र की दुआ
कैसा खुश नसीब होगा वो शख़्स जो सकरातल-उल-मौत की दुआ पढ़ले| अल्लाह हर मरने वाले को मौत के दर्द में आसानी दे,आमीन|
ये सख्त़ी बहोत दर्दनाक है| आलिमों की किताबों (मौत का मन्ज़र/मौत का झटका) में मौत के वक़्त होने वाले दर्द के बारे में काफी लिखा है| और कई कई जगह पर ये तक आया है के सकरात के लम्हों का दर्द तलवार के तीन सौ (300) मरतबा वार से भी ज़्यादा होता है|
सकरात-उल-मौत के बारे में चंद हदीस हिंदी में
अनस बिन मलिक र.अ. कहते है के जब रसूलुल्लाह ﷺ ने मौत की सख्त़ी महसूस की तो फ़ातिमा र.अ. कहनी लगी: हाए मेरे वालिद की सख़्त तकलीफ़| ये सुन कर रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया: आज के बाद तेरे वालिद पर कभी सख्त़ी ना होगी| और तेरे वालिद पर वो वक़्त आया है जो सब पर आने वाला है| अब क़यामत के दिन मुलाक़ात होगी.
सुनन इब्न माजह 1629
हमसे अब्दुल्लाह बिन युसुफ़ ने बयान किया, कहा हमसे लीस बिन सा’अद ने बयान किया, कहा के मुझसे यज़ीद बिन अल-हाद ने बयान किया, उनसे अब्दुर्रहमान बिन क़ासिम ने बयान उनसे उनके वालिद क़ासिम बिन मुह’म्मद ने और उनसे ‘आइशा र.अ. ने बयान किया के नबी-ए-करीम ﷺ की वफात हुई तो आप मेरी हंसली और थोड़ी के दरमियान (सर रखे हुए) थे| आप ﷺ (की शिद्दत सकरात) देखने के बाद अब मैं किसी के लिए भी नज़’आ को बुरा नही समझती|
सहीह अल-बुखारी 4446
उम्मुल मोमिनीन ‘आइशा र.अ. कहती है के मैने रसूलुल्लाह ﷺ को देखा के आप सकरात के आलम में थे, आपके पास एक प्याला था, जिसमे पानी था, आप प्याले में अपना हाथ डालते फिर अपने चेहरे पर मलते और फरमाते:
दुआ ऊपर वॉलपेपर में पढ़िए
दुआ का तर्जुमा: अल्लाह! मौत की सख्त़ी और मौत की सकरात दूर करने के साथ मेरी मदद फ़रमा!
जामि’अत तिर्मिज़ी 978
हदीस-ए-मुबारिका में दर्ज ये दु’आ अगर कोई शख़्सआम दिनों में भी पढ़ना चाहे तो पढ़ सकता है| यक़ीनन इसके पढ़ने वालों को अजर-ओ-सवाब तो ज़रूर मिलेगा ही|
और क्या ख़बर ऐसा भी हो जाए के इस दुआ को आम दिनों में पढ़ने से अल्लाह रब्बुल ‘इज़्ज़त अपने बंदे को सकरात-अल-मौत की उस सख़्त घड़ी में उसे इस दुआ को पढ़ने का शर्फ़ ‘अता कर दे|
ज़्यादा से ज़्यादा शेर करें ताकि और भी इससे सवाब हासिल करें और आपको भी सवाब-ए-ज़रिया मिले|
Read this post in English here→ Dua to Read Before Dying
Join ya ALLAH Community!
Subscribe YouTube Channel→yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in