Mayyat Ki Maghfirat Ki Dua

Jab kisi door ke rishtedar ya phir kisi khas shakhs jo musalman ho unka inteqal ho jaye to is Mayyat ki maghfirat ki dua zarur kiya kijiye. Iski Hadees parhkar iska ajar zarur kamayein. Mayyat ki maghfirat karne wala sirf ALLAH Ta’ala hi hai. ALLAH Chahe to marne wale ki darje buland bhi kar de. Aur parhne wale ko ajar bhi wo zarur deta hai. → Attahiyat Lillahi Wa Salawatu Dua

Mayyat Ki Maghfirat Ki Dua Hadees Mein

Roman English

Mayyat Ki Maghfirat Ki Dua Hadees Mein

Allahummaghfirlahu wara f'a darajatahu tarjuma hadees

Kayi Hadees aisi hai jinme Huzur-e-Akram ﷺ ne marne wale ke liye maghfirat ke liye dua farmayi. Aur Hadees mein ye bhi batlaya gaya hai ke mayyat ke liye yani jo is duniya ko chhorh kar chale gaye hai unke liye. Yani unke darajaat ko buland karne ke liye ye dua-e-maghfirat karna bada hi fazilat bhara sabit hota hai.→ SubhanALLAHi WaBihamdihi SubhanALLAHil ‘Azeem

Kya Marne Wale Tak Quran Pak Ki Tilawat Aur Dusre Azkar Ka Sawab Pahunchta Hai?

Jo bhi ham murde ko sawab pahunchane ke liye parha karte hai. Misal ke taur par Quran-e-pak ki tilawat aur baki azkar jo bhi marne wale ke gharwale parha karte hai. Is niyyat se ke marne wale ko iska sawab pahunch jaye.→ Safar Ki Dua in Hindi

Marne wale tak is tarah ke eesal-e-sawab nahi pahuncha karte. Han ye zarur hai ke ALLAH Azzawajal apne fazl-o-karam se un kalam-e-mubarak aur azkar ke parhne ki evaz mein murde ki bakhshish kar de. Aur qabr ke azab se nijat bhi de de.

Kyon ke ALLAH Ta’ala jo chahe kar sakta hai. Aur apne fazl se ek gunahgar ko bhi bakhsh deta hai.

Sabse aham bat jo hai wo yahi ke bas marne wale ke liye dua-e-maghfirat karte raha karo.→ Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Rajioon Full Dua

Hazrat Abu Huraira ne farmaya,

“Marne wale ke darje ko uski maut ke bad buland kiya ja sakta hai.

Unhone ne farmaya, ‘Mere Aaqa wo kaise?’

Unhe batlaya gaya,

‘Tumhari aulad tumhare liye maghfirat ki dua kare.'”

Mayyat Ki Maghfirat Se Judi Kuch Hadees-e-Mubarika

Usman ibn Affan se riwayat hai:

Jab kabhi Huzoor Pak ﷺ mayyat ko dafnane se faraghat pate (farigh hote), to uske pas khade hote (uski qabr ke pas) aur farmate:

Apne bhai ke liye bakhshish mango, aur uski sabit qadmi ke liye bheek mango, jiske liye usse ab sawal kiya jayega.

Abu Dawud ne farmaya:

Raawi (bayan karne wala) ka pura naam Buhair b. Raisan hai.

Sahih Al-Albani | Sunan Abi Dawud 3221

ALLAH ke Rasool ﷺ ne hamari maujudgi me ek Musalman aadmi ki namaz-e-janazah parhayi, aur maine Unhe ye dua parhte hue suna,

اَللّٰهمَّ إِنَّ فُلَانَ بْنَ فُلَانٍ فِيْ ذِمَّتِكَ وَحَبْلِ جِوَارِكَ فَقِهِ فِتْنَةِ الْقَبْرِ وَ عَذَابِ النَّارِ وَأَنْتَ أَهْلُ الْوَفَاءِ وَالْحَمْدِ اَللّٰهُمَّ فَاغْفِرْ لَهُ وَارْحَمْهُ إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُوْرُ الرَّحِيْمُ

“ALLAHumma inna [Mayyat ka naam] fi zimmatika wa ‘habli jiwaarika, faqihi fitnatil qabri wa ‘azaabinnari wa anta ahlul wafa-i wal ‘hamdi ALLAHumma faghfir lahu war-‘hamhu innaka antal Ghafoorur Raheemu”

[Agar marne wali aurat hai, to yahan kuch alfaz me ‘hu’ ki jagah ‘ha” ka istemal hoga.]

[Ae ALLAH! (Mayyat ka naam) Tere zimme aur Teri panah mein hai, pas ise qabr ki aazmayesh aur aag ke azab se bacha aur Tu Wada Pura Karne Wala aur Tareef ke Layeq hai. Ae ALLAH! Pas ise bakhsh de aur is par raham kar, beshak Tu hi Bakhshane Wala Behad Meherban hai.]

Sunan Abi Dawud

→ Kun Faya Kun Ka Wazifa

→ Janaze Ki Namaz Parhne Ka Tariqa

Anas bin Malik ne farmaya:

Maine Huzoor Pak ﷺ ko mayyat ki namaz parhte waqt ye dua parhte hue suna:

اَللّٰهُمَّ اغْفِرْ لَهُ وَارْحَمْهُ وَعَافِهِ وَاعْفُ عَنْهُ وَأَكْرِمْ نُزُلَهُ وَوَسِّعْ مُدْخَلَهُ وَاغْسِلْهُ بِالْمَاءِ وَالثَّلْجِ وَالْبَرَدِ وَنَقِّهِ مِنَ الْخَطَايَا كَمَا نَقَّيْتَ الثَّوْبَ الْأَبْيَضَ مِنَ الدَّنَسِ وَأَبْدِلْهُ دَارًا خَيْرًا مِنْ دَارِهِ وَأَهْلًا خَيْرًا مِنْ أَهْلِهِ وَزَوْجًا خَيْرًا مِنْ زَوْجِهِ وَأَدْخِلْهُ الْجَنَّةَ وَأَعِذْهُ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَعَذَابِ النَّارِ
(Mard ke liye)

“ALLAHummaghfir Lahu War-‘hamhu Wa-‘Aafihi Wa’fu ‘Anhu Wa-Akrim Nuzulahu Wa-Wass’ee Mud-‘khalahu Waghsilhu Bilmaai Wassalji Wal-Baradi Wa-Naqqihi Minal ‘Khataaya Kama Naqqaytas Saubal Abyada Minaddanasi Wa-Abdilhu Daaran ‘Khairan Min daarihi Wa-Ahlan ‘Khairan Min Ahlihi Wa-Zaujan ‘Khairan Min Zaujihi Wa-Ad’khilhul Jannata Wa-aa-‘iz-hu Min ‘Azaabil Qabri Wa-‘Azaabinnari”

اَللّٰهُمَّ اغْفِرْ لَهَا وَارْحَمْهَا وَعَافِهَا وَاعْفُ عَنْهَا وَأَكْرِمْ نُزُلَهَا وَوَسِّعْ مُدْخَلَهَا وَاغْسِلْهَا بِالْمَاءِ وَالثَّلْجِ وَالْبَرَدِ وَنَقِّهَا مِنَ الْخَطَايَا كَمَا نَقَّيْتَ الثَّوْبَ الْأَبْيَضَ مِنَ الدَّنَسِ وَأَبْدِلْهَا دَارًا خَيْرًا مِنْ دَارِهَا وَأَهْلًا خَيْرًا مِنْ أَهْلِهَا وَزَوْجًا خَيْرًا مِنْ زَوْجِهَا وَأَدْخِلْهَا الْجَنَّةَ وَأَعِذْهَا مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَعَذَابِ النَّارِ

(Aurat ke liye)

(Upar wali dua me jahan-jahan ‘hu’ istemal hua hai, wahan-wahan ‘ha’ istemal hoga.)

[Ae ALLAH! Iski bakhshish farma aur is par raham farma aur isse darguzar farma aur iski achchi mahmaani kar aur iske dakhil hone ki jagah kushadah kar de aur ise pani, baraf aur aulon se dho dal aur ise khataon se is tarah saf kar de jaise safed kapda mail kuchail se saf kiya jata hai aur ise iske is ghar se behtar ghar aur iske ghar walon se behtar ghar wale aur iske sathi se behtar sathi ata farma aur ise jannat me dakhil farma aur ise azab-e-qabr aur aag ke azab se bacha le.]

Auf bin Malik ne farmaya: Meri direena khwahish thi ke main faut hota aur Rasool ALLAH ﷺ meri namaz-e-janazah parhate jaise mayyat ki namaz parhayi.

Sahih Muslim

→ Namaz Ke Baad Ki Dua

Abu Hurairah ne farmaya:

Rasool ALLAH ﷺ jab namaz-e-janazah parhte to ye dua parha karte:

اَللّٰهُمَّ اغْفِرْ لِحَيِّنَا وَمَيِّتِنَا وَشَاهِدِنَا وَغَآئِبِنَا وَصَغِيْرِنَا وَكَبِيْرِنَا وَذَكَرِنَا وَأُنْثَانَا، اَللّٰهُمَّ مَنْ أَحْيَيْتَهُ مِنَّا فَأَحْيِهِ عَلَى الْإِسْلَامِ وَمَنْ تَوَفَّيْتَهُ مِنَّا فَتَوَفَّهُ عَلَی الْإِيْمَانِ، اَللّٰهُمَّ لَا تَحْرِمْنَا أَجْرَهُ وَلَا تُضِلَّنَا بَعْدَهُ

“ALLAHummaghfir Li’hayyina Wa Mayyitina Wa Shaahidna Wa Ghaa-ibina Wa Sagheerina Wa Kabeerina Wa Zakarina Wa Unsaana. ALLAHumma Man A’hyaitahu Minna Fa-a’hyihi ‘Alal Islami Wa Man Tawaffaytahu Minna Fatawaffahu Alal Imani. ALLAHumma La Ta’hrimna Ajrahu Wala Tudillana Ba’adahu.”

[Ae ALLAH! Bakhsh de hamare har zindah ko aur hamare har faut-shudah ko aur hamare har hazir ko aur hamare har ghayeb ko aur hamare har chhote ko aur hamare har bade ko aur hamare har mard ko aur hamari har aurat ko. Ae ALLAH! Ham me se jise Tu zindah rakhe, Tu usay Islam ke sath zindah rakh aur jise Tu maut de imaan par maut de. Ae ALLAH! Hamen iske ajar se mahroom na rakh (jo hamne marne wale ke liye parha) aur iske bad hamen gumrah bhi na kar dena.]

Sunan Ibn Majah | Jild. 1, Kitab 6, Hadees 1498

→ Qabristan Mein Dakhil Hone Ki Dua

Duas for Forgiveness of The Deceased in Hadith

There are a number of Hadith which educate us to make a prayer for the deceased. This helps the dead to raise a degree after his death.

Are The Rewards of the Quran & Other Recitation Reaches To The Deceased?

Whatever we recite for i.e. The Noble Quran or other recitations to convey the rewards to the deceased (dead). Usually, this happens in the home of the dead by his family members.→Dua For Death in Islam

They just perform these recitations with the intention of conveying the rewards to their loved ones who passed away.

The fact is that it never reaches the deceased (dead). However, it is for sure that ALLAH The Exalted can forgive the dead or minify/lessen the punishment in the grave of the dead. With HIS bounty or virtue. Against, whatever we have recited.

As ALLAH The Reckoner can do whatever HE wants to. And indeed the mercy of ALLAH The Almighty overpowers HIS anger.

Few Hadith Regarding The Forgiveness of the Deceased

Abu Hurayra said, “The dead person can be raised a degree after his death.

He said, ‘My Lord, how is this?’

He was told,

‘Your child can ask for forgiveness for you.'”

Hasan Al-Albani | Al-Adab Al-Mufrad 36

→ Allahummaghfirli Warhamni Wahdini Warzuqni

Narrated Uthman ibn Affan:

Whenever the Prophet (ﷺ) became free from burying the dead, he used to stay at him (i.e. his grave) and say:

Seek forgiveness for your brother, and beg steadfastness for him, for he will be questioned now.

Abu Dawud said:

The full name of the narrator Buhair is Buhair b. Raisan.

b=ibn

Sahih Al-Albani | Sunan Abi Dawud 3221

→ Dua for Sleep in English

The Messenger of Allah (ﷺ) led the funeral prayer of a Muslim man in our presence, and I heard him saying

“ALLAHumma inna [name of the dead person] fi dhimmatika wa habli jiwarika, faqihi fitnatal- qabri; wa ‘adhaban-Nari, wa Anta ahlul-wafa’i wal-hamdi; Allahumma faghfir lahu warhamhu, innaka Antal-Ghafur-ur-Rahim

[If the dead person is a woman, one can change hu in some words here with ha]

[O ALLAH, (so-and-so son of so-and-so) is in Your Protection and inside the surroundings of Your Refuge. Safeguard him from the trial of the grave and the punishment of the Hell. You keep Your Promise and You deserve to be praised. O ALLAH! Forgive him and be merciful to him. Indeed, You are the Forgiving, the Merciful].”

Abu Dawud

→ Attahiyat Lillahi Wa Salawatu Dua

‘Anas b. Malik said:

I heard the Prophet ﷺ say (while offering prayer on a dead body):

O ALLAH! forgive him, have mercy upon him. Give him peace and absolve him. Receive him with honour and make his grave spacious. Wash him with water, snow and hail, cleanse him from faults as is cleaned a white garment from impurity. Requite him with an abode more excellent than his abode, with a family better than his family, and with a mate better than his mate, and save him from the trial of the grave and torment of Hell.

‘Auf b. Malik said: I earnestly desired that I were the dead person to receive the prayer of the Messenger of Allah (ﷺ) as this dead body had (received).

Sahih Muslim

→ Quran Verses About Hardship

It was narrated that Abu Hurairah said:

“When the Messenger of Allah (ﷺ) offered the funeral prayer he would say:

‘ALLAHummaghfir lihayyina wa mayyitina, wa shahidina wa gha’ibina, wa saghirina wa kabirina, wa dhakarina wa unthana. ALLAHumma man ahyaitahu minna faahyihi ‘alal-Islam, wa man tawaffaytahu minna fa tawaffahu ‘alal- iman. ALLAHumma la tahrimna ajrahu wa la tudillana ba’dah.

[O ALLAH, forgive our living and our dead, those who are present and those who are absent, our young and our old, our males and our females. O ALLAH, whomever of us You cause to live, let him live in Islam, and whomever of us You cause to die, let him die in (a state of) faith. O ALLAH, do not deprive us of his reward, and do not let us go astray after him].’”

Sunan Ibn Majah | Vol. 1, Book 6, Hadith 1498

Join ya ALLAH Community!

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

10 Comments on “Mayyat Ki Maghfirat Ki Dua”

  1. Assalamalaikum
    Mere husband mujse mohabbat karte hai khyaaal b rakhte hai thoda bht mera par mujhe bht taane marte hai aur meri qadar nai karte jaisa taisa sunate hai unki zuban band karne ka aur zuban mithi karne ka plz koi wazifa bataye dusro k sath bht compare karte jai

  2. Asalamualaikum bhai mera next month exsam hy aur mujse tyari nahi ho pa rahi tnsn ki wja se please bhai muje koi esa wazifa btaye jise mera dehan lagh jaye aur main exsam pass kr lun kyun ke mere liye yeh exsam pass karn abhohat zaroori hai main is main fail nahi hona chahti please jaldi bta den tym bhohat kam hai aur meri puri tyari bhi nahi ho pa rahy

  3. Imran bhai mera nam rida ha ma bht parashan hun rishty ko lakar kia ma apny or us larky k lia ya qahaar ka wazifa kar sakti hun? Dua bieh kijiya ga i am your follower

    1. Agar jadu ke asraat hai to aap parh sakti hain sis. ALLAH Tabarak Wata ‘Ala aapka naseeb bohat achha kare, aameen!

      1. Assalamu alikum ..mujhy ek non muslim ne sawal kiya k .ramzan me Marne walon ka kio hisab nahi hota aur unhen jannat nasib hai to kya suicide karke Marne walon ko b ramzan me kio hisab nahi hota ….a sawal tha uska lakin mujhy jawab pata nahi pls reply de. Mery sawal ka

          1. Asslamwalaikum whatsaap group hai apka

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *