Prayer in Laylatul Qadr-Dua-Azkar-o-Ibadat
Shab-e-Qadr ka bayan kisi khas ek rat ke liye nahi aya gaya hai. Balqi is rat ko posheeda rakha gaya. Shab-e-Qadr ko tak raaton mein dhunda jaye. Laylatul Qadr Dua-Azkar-o-Ibadat aur iske har ek pahle par ham is post mein guftgoo karenge. Take is shabe qadr aapki ibadat mein char chand lag jaye.
Shab-e-Qadr Kya Hai?
Yeh Woh Raat Hai Jisme ALLAH Subhanahu Wa Ta’ala ne poore Qur’an ko Al-Lawh-al-Mahfuz se Baytul Izzah jo pehle aasman par hai wahan utara. Pul e Sirat Ka Safar-Pul Sirat Par Guzarne Me Kamyab Hone Ke Aamaal
Ramadan ka mahina rahmato aur barkato ka mahina hai. Is maah ki ibadat ka hamein 70 gunah izafah se savab hasil hoga. Shab-e-Qadr ki rat wo raat hai jab ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala ne Quran-e-Kareem nazil farmaya. Kayi jagah ye bhi diya gaya hai ke tamam saal mein ye raat afzal raat hoti hai.
Yahan Itikaf Mein Baithne Ka Tarika Auraton Ke Liye Dekhiye!
Shab-e-Qadr wo raat hai jo hazar mahino se afzal hai. ise shab-e-qadr kyon kaha jata hai kyon ke is ye raat qadr ki rat hoti hai. Ye raat beshqeemti aur nayab hoti hai. Is raat mein savab ka sila badh jata hai. Is raat ki ahmiyat badi hai.
Jo pahle ki ummat 80 saal ibadat karke pahuchti thi. Wo hamare Aqa Muhammad SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ki ummat sirf ek rat mein ibadat karke pahuch sakti hai. Kala Jadu Sifli Ilm Ka Ilaj Amal-Black Magic Sifli Ilm
Laylatul Qadr mein ALLAH ki raza se zameen par farishte aur roohe khoob ta’adaad mein aati hai. (Muaiz-e-Naimiya).
Taak ratein jo 21, 23, 25, 27, 29 hoti hai. Inme se koi bhi shab shab-e-qadr ki raat ho sakti hai. Is rat ki ibadat hamein 80 saal ki ibadat ka savab dengi. Yani jo bhi azkar-o-ibadat ALLAH ka banda is rat mein karega use aam lagatar 80 saalon ki ibadat ka savab hasil hoga.
Esa qatayi nahi hai ke 27 shab ko shab-e-qadr samjhein. Lekin ha, ho bhi sakta hai ke 27 shab, laylatul qadr ho. Lekin hamein yaqini taur par nahi ye samajh na chahiye ke shab-e-qadr wahi ek shab hogi.
Surah Number 97, Al-Qadr
إِنَّا أَنزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِالْقَدْرِ
وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ
لَيْلَةُ الْقَدْرِخَيْرٌ مِّنْ أَلْفِ شَهْرٍ
تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَابِإِذْنِ رَبِّهِم مِّن كُلِّ أَمْرٍ
سَلَامٌ هِيَ حَتَّى مَطْلَعِ الْفَجْرِ
We have indeed revealed this (Qur’an) in the Night of Power (Night of Al Qadr): And what will make you know what the Night of Power (Night of Qadr) is? The Night of Power is better than a thousand Months. Therein the angels and the Spirit (Jibraeel) come down on the earth by ALLAH’s permission, with all decrees : (All that Night) there is Peace until the appearance of dawn. Make Dua For Me
Muhammad Mustafa SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ka Irshad-e-Mubarak hai:
Shabe Qadr Ko Ramazan Ki Aakhri Ashre Ki Taak Raaton Mein Dhundo
Sahih Al-Bukhari, Jild 3, Kitaab Fazail Laylatul Qadr, Hadith No. 2017
Shab e Qadr ki Ibadat Ka Tarika
- Shab-e-Qadr mein ki jane wali Ibadat.
- 2-2- rakat karke nifli salat bhi parh sakte hai.
- Phir bich mein hamd-o-sanah parhte rahna.
- Phir Qur’an-e-Pak ki tilawat karna.
- Thodi der tilawat karne ke bad phir se nifl salat ada kar sakte hai.
- Phir beech-beech mein ALLAH ka zikr bhi kar sakte hai. Tasbeeh parh sakte hai. ALLAH ke pyare-pyare nam ki yani Asma-ul-Husna ki tasbihat bhi parh sakte hai.
- Aur dua mein maghfirat ki dua bhi parhiye.
- Aur isi mili juli alag-alag tarah ki ibadat karte-karte laylatul qadr nikal jayegi.
Maghrib ki namaz bhi is shab ki ibadat mein shumar hoti hai. Aur uske bad Fajr tak jo bhi ibadat karenge wo un sab ibadaton ka silsila dher sara milne wala hai. Dua for Any Wish Hajat to Come True
Isha ki namaz salatul maghrib ke bad jab salatul isha ada karenge to uska bhi savab shab-qadr ki ibadat mein gina jayega.
Aur phir uske bad tarawih se farigh hi taqriban rat 11 baje tak hote hai. Aur ye tarawih bhi iske savab se mahroom nahi hogi. Yani iska bhi pura-pura ajr-ro-savab parhne wale ko milne wala hai.
Aur phir salatul tarawih ke bachte hi kul kitne ghante hai. Mushkil az mushkil 3 se 4 ghante. Yani is 3-4 ghante ki ibadat agar koi kare to use kitna bada ajr-o-savab milne wala hoga. Yahan Quran Se Rizq Ki Dua-Barkat Aur Tarakki Ki Barish dekhiye!
Aur dusre din jab doston mein guftgoo hoti hai to ham ye kehte hai ke-
Miyan tamam rat ibadat mein guzar di.
Jabki hame chand hi ghante ibadat mein mashgool rahe. Aur pane mein mukammal rat ki ibadat ka savab hasil kar liya. Dua Before Sleeping in Arabic
Laylatul Qadr Mein Kya Padhna Chahiye?
Ibadat Nifli Namaz
- 2-2 rakah karke bhi nifle ada ki ja sakti hai. Jaise dusri namaz parhte hai. Surah Fatiha ke bad jo bhi surat yad ho wo parh lijiye.
- Aur har namaz ada karne ke bad du’a ki ja sakti hai. Ya phir ek bar jitni namaz parhi misal ke taur par agar 2-2-2 rakat karke 12 rakat nifl namaz parh li to puri 12 rakat parhne ke bad ek sath dua bhi kar sakte hai.
- Sajde mein jakar khoob dua karein. Dua mein ALLAH se apni, apne ahal-o-ayaal ki maghfirat mange. Aur khas taur par is duniya jo ab nahi hai un logon ke liye bhi maghfirat ki dua kijiye.
- Dua mein apni masail apni pareshani aur hajat ko bhi khuloos-o-ajizi se pesh kijiye. Phir, ALLAH se unke hal ke bheekh mangiye. Yahan tak ke zaar-zaar aansu tak baha dijiye. In aansuon ka sila ALLAH se badkar acha koi aur nahi de sakta.
Zarur dekhiye→ Salatul Tasbeeh Ki Namaz-Procedure Of Salatul Tasbih
Ibadat Azkar
Namaz parhne ke bad ALLAH ka zikr shuru karein.
- Misal ke taur par Hamd-o-sanah ya Asma-ul-Husna ka wird kijiye. Yani ALLAH ki tareef wali duayein bhi parh sakte hai. Ahad namaz ki fazilat bahot hai. Ise bhi khoob parh sakte hai.
- Surah Al-Hashr ki is ayat adad 24 jo ki is Surah ki akhri ayat bhi hai. Is ayat ki bhi badi fazila-o-barkat hai. Iski tasbeeh bhi aap parh sakte hai.
هُوَ اللَّهُ الْخَالِقُ الْبَارِئُ الْمُصَوِّرُ ۖ لَهُ الْأَسْمَاءُ الْحُسْنَىٰ ۚ يُسَبِّحُ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
HuwALLAHUL Khaaliqul Bari-ul-Musawwiru Lahul Asma-ul-Husna Yu sabbihoo Lahu Maa fissamaawati wal-ard Wahuwal ‘Azeezul ‘Hakeem
وہی الله ہے پیدا کرنے والا ٹھیک ٹھیک بنانے والا صورت دینے والا اس کے اچھے اچھے نام ہیں سب چیزیں اسی کی تسبیح کرتی ہیں جو آسمانوں میں اور زمین میں ہیں اور وہی زبردست حکمت والا ہے
Wahi ALLAH hai paida karne wala, thik-thik banane wala, surat dene wala, uske achhe-achhe naam hai, sab cheezein usi ki tasbeeh karti hai jo aasmanon mein aur zameen mein hai, aur wahi zabardast hikmat wala hai.
वही अल्लाह है पैदा करने वाला, ठीक-ठीक बनाने वाला, सूरत देने वाला, उसके अच्छे-अच्छे नाम हैं, सब चीज़ें उसी की तस्बीह करती हैं जो आसमानों में और ज़मीन में हैं, और वही ज़बरदस्त हिकमत वाला हैं|
- Zikr mein ALLAH ke pyare namo ki tasbihat bhi parhiye. ALLAH ke 99 naamon mein se jitne bhi namon ki tasbihat parhna chahein. Ap parhiye.
ALLAH ke pyare kuch nam hai- Ar-Rahman, Ar-Raheem, Al-Hayyu, Al-Qayyum, Al-Awwal, Al-Akhir, Az-Zaahir,Al-Batin, Al-Waaris, Al-Qudoos, As-Subooh, As-Salaam, Al-Mu’min, Al-Mutakabbir, Al-Azeem, Al-Kabeer, Al-Saboor, Al-Haadi, Al-Badi’u, Al-Lateefu, Al-Hashir,Al-Jameel, Al-Jaleel, Al-Jabbaru, Al-Wahid, Al-A’had, An-Noor, Al-Muntaqim, Al-Shahid, Al-Qadar, Al-Wali, Al-Qahhar, Al-Wahhab….
Ibadat Tahajjud Namaz
- Laylatul Qadr ke ke akhri hisse mein ap ibadat ke taur par tahajjud bhi ada kar sakte hai. Jis tarah aam dinon mein tahajjud parhte hai thik waise hi tahajjud parhiye. Tahajjud Prayer in Islamic Religion Methods Benefits in Hadith
Shab e Qadr Dua
Mukammal Ibadat Ke Bad D’ua
Aur jab laylatul qadr apni aakhri hisse mein ho. Yani poori hone ja rahi ho to ese hisse mein aap khoob dil se dua karna nahi bhuliyega. Apne rishtedaron ki gharwalo ki aur ahl-e-qabr ki jis kisi ki bhi maghfirat mangni hai. Maghifirat mange ki dua niche parhiye.
Dua for The Night of Power-The Night of Decree-Laylatul Qadr
اَللَّهُمَّ اِنَّكَ عَفُوٌّ ، تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
ALLAHumma innaka ‘affuwwun tuhibbul ‘afwa fa’fu ‘anni’
O ALLAH You are The One Who forgives greatly, and loves to forgive, so forgive me.
Ae ALLAH tu maaf karne wala hai, maaf karne ko pasand karta hai, pas tu mujhe maaf kar de.
ऐ अल्लाह तू माफ़ करने वाला हैं, माफ़ करने को पसन्द करता हैं, पास तू मुझे माफ़ कर दे|
[At-Tirmidhi]
Aur apne jayaz masail aur maqsad ke liye bhi dua kijiye. Tamam ummah ki maghfirat, khair-o-aman-o-amaan aur imaan ki salaamti ke liye bhi zarur dua kijiyega.
Lalatul Qadr Ki Khas Ibadat
Ramazan-ul-Mubarak ki 21vi Raat yani Laylatul-Qadr Ki Pahli (1) Raat:
-
- 4 rak’at namaz 2 salaam se padhein.
- 4 rak’at namaz 2 salaam se padhein.
-
-
- Har rak’at mein surah Fateha ke baad surah Al-Qadr 1 aur surah ikhlaas 1 martabaa padhein.
- Salaam pherne ke baad Durood-e-Ibraheemi 70 bar padhein. Insha ALLAH farishte apki bakshish ki dua karenge.
-
-
-
2 rak’at namaz is tarha se padhein ke.
-
-
-
- Har rak’at surah Fateha ke baad surah Al-Qadr 1 bar aur surah ikhlaas 3 bar padhein.
- Salaam pherne ke baad Astaghfar 70 bar padhein.
-
Phir ALLAH paak se apni tamam gunahon ki maghfirat aur ALLAH ki rahmaton se apka daaman bhar jaye iski dua kijiye.
-
-
Surah Al-Qadr 21 martaba padhein.
-
Zarur dekhiye→ Itikaf Ka Tarika Aurton Ke Liye
Ramazan-ul-Mubarak ki 23vi Raat: Laylatul-Qadr ki Dusri (2) raat:
-
-
- 4 rak’at nifli namaz 2 salaam se padhein.
- Har rak’at mein surah Fateha ke baad surah Al-Qadr 1 martaba aur surah ikhlaas 3 martaba.
-
Aur phir apni gunahon ki mu’afi mange. Is namaz ke barkat se ALLAH Azzawajal Apki maghfirat farmayega, Insha ALLAH.
-
-
- 8 rak’at namaz 2 salaam se padhein.
- Har rak’at mein surah Faheta ke baad surah Al-Qadr aur surah ikhlaas 1-1 martaba padhein.
- Salaam pherne ke baad teesra (3rd) (Kalima Tamjeed) 70 bar padhein.
- Phir sajde mein jaa kar ALLAH se apne gunahon ki maghfirat ki dua bahut hi ajizi se karein.
-
Is namaz ke padhne wale ko ALLAH Rabbul izzat apki gunahon ki maghfirat farmayega, insha ALLAH.
-
-
- Phir Surah Yaa-seen 1 martaba aur Surah Rahman 1 martaba padhein.
-
Ramazan-ul-Mubarak ki 25wi Raat: Laylatul-Qadr ki Teesri (3) Raat
-
- 4 rak’at namaz 2 salaam se padhein.
- 4 rak’at namaz 2 salaam se padhein.
-
-
- Har rakat mein surah Fateha ke baad surah Al-Qadr 1 bar aur surah ikhlaas 5 baar padhein.
- Salaam pherne ke baad pehla Kalima Tayyab 100 martaba padhein.
- Is namaz ke padhne ke baad ALLAH se apni dili hajat ki dua karein. Insha ALLAH, apki dua ALLAH zarur qubool karega.
-
-
-
4 rak’at namaz 2 salaam se padhein.
-
-
-
- Har rakat mein surah Fateha ke baad surah Al-Qadr aur surah ikhlaas 3-3 martaba padhein.
- Salaam pherne ke baad 70 martaba Astaghfar padhein.
-
Insha ALLAH yeh namaz gunahon ki maghfirat ke liye bahut karguzar sabit hoga.
-
2 rak’at namaz is tarha se padhein ke har rak’at mein surah Fateha ke baad surah Al-Qadr 1 martaba aur surah ikhlaas 15 martaba padhein. Zarur dekhiye→ Shaban Ke Mahine Ki Fazilat
-
-
- Salaam pherne ke baad dusra Kalima (Kalima-e-Shahadat) 70 bar padhein. Phir ALLAH se apne qabr ke azaab se bachane ki dua kijiye.
-
-
Surah Dukhan 1 martaba padhein.
- Phir surah Fateh 7 martaba padhein.
Phir dil ki gehrayiyon se ALLAH Rabbul izzat ki nargah apni zindagi aur akhirat ki behtari ki dua kijiye.
Is raat ki barkat se ALLAH Aapki har jayaz dua qubool farma lega, insha ALLAH.
Ramazan-ul-Mubarak ki 27vi Raat: Laylatul-Qadr ki Chauthi (4) Raat
- 12 rak’at namaz 3 salaam se padhein.
-
-
- Har rak’at mein surah Fateha ke baad surah Al-Qadr 1 bar aur surah ikhlaas 15 bar padhein.
- Salaam pherne ke baad 70 martaba Astaghfar padhein.
-
Insha ALLAH, ALLAH Aapko khoob sawab dega. Zarur dekhiye→ Prayer for Forgiveness Astaghfar in Islam
-
2 rak’at namaz is tarha se padhein ke
-
-
- Har rak’at mein surah Fateha ke baad surah Al-Qadr 3 bar padhein aur surah ikhlaas 27 bar padhein.
- Phir Sajde jaa kar ALLAH se apni gunahon ki maghfirat ki dua kijiye.
-
ALLAH Aapke agle pichhle Sare gunahon ko mu’af marfa dega insha ALLAH.
-
4 rak’at namaz 2 salaam se padhein. Zarur dekhiye→ Shab e Barat Ki Ibadat Ka Tarika
-
-
- Har rak’at mein surah Fateha ke baad surah Takaasur 1 bar padhein aur surah ikhlaas 3 baar padhein.
-
Padhne ke baad apne maut ke waqt ki asaani ki dua kijiye. Insha ALLAH, must ke waqt ALLAH asaani farmayega. Ameen.
-
2 rak’at namaz is tarha se padhein ke
-
-
- Har rakat mein surah Fateha ke baad surah ikhlaas 7 martaba padhein.
- Salaam pherne ke baad Durood-e-Ibraheemi 70martaba padhein.
-
Phir ALLAH se apne waliden ke maghfirat aur qabr mein noor ho, aur Jannat-ul-Firdaus mein ala maqaam mile iski dua kijiye.
-
2 rak’at namaz is tarha se padhein ke
-
-
- Har rak’at mein surah Fateha ke baad surah Alam-Nashrah 1 bar aur surah ikhlaas 3 bar padhein.
- Salaam pherne ke baad surah Al-Qadr 27 baar padhein.
-
Insha ALLAH, Aapke khate mein khoob sawab likh diye jayenge. Ameen.
-
4 rak’at namaz is tarha se padhein ke
-
-
- Har rak’at mein surah Fateha ke baad surah Al-Qadr 3 bar aur surah ikhlaas 50 martaba padhein.
- Salaam pherne ke baad sajde mein jaa kar teesra kamila padhein.
-
Phir ALLAH Azzawajal se apni tamam hajaton ki dua karein chahen wo duniya ki ho ya Akhirat ki. ALLAH Rabbul izzat apni bargah mein qubool farma lega. Insha ALLAH. Zarur dekhiye→ Shab e Barat Prayers
-
Qabr ke azaab se bachne ke liye surah Mulk 7 bar padhein.
Ramazan-ul-Mubarak ki 29vi Raat: Laylatul-Qadr ki Panchwi (5) Raat
- 4 rak’at namaz 2 salaam se padhein.
-
-
- Har rak’at mein surah Fateha ke baad surah Al-Qadr 1 aur surah ikhlaas 3 bar padhein.
- Salaam pherne ke bad Surah Alam-Nashrah 70 bar padhein.
- Phir ALLAH se emaan ki salamati aur usi pe khatma ho iski dya kijiye. ALLAH ne chaha to emaan pe hi Aapko is duniya se uthaya jayega. Ameen.
-
-
4 rak’at namaz 2 salaam se padhein.
-
-
- Har rakat mein surah Fateha ke baad surah Al-Qadr 1 bar aur surah ikhlaas 5 bar padhein.
- Namaz se farigh ho kar 100 martaba Durood-e-Ibraheemi padhein.
-
Phir ro-ro akhirat mein bakshish ki dua karein. Insha ALLAH Aapki bakshish ho jayegi. Ameen.
-
Phir surah Waqiah 7 martaba padh kar rizq ki kushadgi ke liye dua karein.
-
-
- Ramazan-ul-Mubarak ke kisi bhi raat taraweeh ke baad surah Qadr 7 martaba padhein.
- Phir duniya ki har musibat se bachne ki aur ALLAH ke hifz-o-aman mein rehne ki dua karein.
-
ALLAH hamein is shab-e-qadr-Laylatul Qadr par khoob ibadat ki taufeeq ata farmaye, Ameen. Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Surah qadar jo upar hai usme من likha usme usme min aayga na ki mann
Correct kare
Assalamualikum aapi .. Aapi kesi hain aap…. Aap humen koi esa solution batayen humare ghr kisi ne jinn pheka hai or woh hume sbko pareshaan krta hai sb ko dikha liya bss thoda ilaaj krte hain frr se wahi hum bht pareshan hain aaye din ghr me ladai hoti hai woh hum behno pr sote me beth jaata hai or pareshaan krta hai but humne ab ilaaj krana chod diya kiuki ALLAH ke kalmo kalaam me behad taaqat hai hum ghr me 3 times surah baqrah speaker pr chalana start kiya hai dil kehta hai ab isse woh chla jayega…. InshALLAH or aap bhi koi solution batayen… Plszz
https://www.yaallah.in/dua-to-remove-jinn-from-body-jinnat-ka-ilaj-quran-se/ ya ye https://www.yaallah.in/ruqya-sharia-islamic-prayers-healing-love-via-quran-verses/