Kun Faya Kun Ka Wazifa

Aksar yaALLAH followers mujhse kun faya kun ki namaz ka wazifa padhne ka tariqa puchte rahte hain. Aaj khas unhi ke liye is namaz me chhupe raaz ke bare me ham janenge. → Allahumma Inni As’aluka Al Afiyah Full Dua

Kun Faya Kun Ka Wazifa

kun faya kun ka wazifa hindi mein


Sallallahu ‘Alayhe Wasallam

Roman English

Quran Pak me aath (8) ayaat me kun faya kun ke alfaaz ek sath istemal hue hain. Jinka matlab aur Urdu tarjuma ye hai,

“Ho ja”, “wo ho jata hai”.

Isse murad ye hai ke jab bhi ALLAH Zille Shanahu ne kisi kaam ka hukm dena hota hai to ALLAH farmata hai,

“Kun” (Ho ja),

“Faya kun” (pas wo kaam ho jata hai).

Kun Faya Kun Namaz Ki Fazilat Aur Fawaid

Is namaz ke be shumar fayede hain. Jis bhi maqsad ke liye saaf niyyat ke sath ise parha jaye, wo maqsad zarur paya-e-takmeel (mukammal) tak pahunchega.→ Qabristan Mein Dakhil Hone Ki Dua

Misal ke taur par ye wazifa in tamam masail ke hal ke liye parha ja sakta hai.

  • Gharelu masail ka khatma
  • Miyan biwi me bahmi nachaaqi (ladayi jhagde)
  • Rizq ki tangdasti ka khatma
  • Mulazmat/naukri ki talash
  • Achhe rishte ki talash
  • Husool-e-Aulaf
  • Imtihan me kamyabi
  • Bimari ki shifa

Kun Faya Kun ki Namaz Kaise Padhe?

Kun Faya Kun Namaz Padhne Ka Tarika

  1. Jummerat ki isha ki namaz ke bad ghusl kar lijiye. Paak saaf kapde pahan kar 4 rak’at nifl namaz ki niyyat kijiye. 2-2 rak’at karke aage bataye gaye tareeqe ke mutabiq namaz is tarah se parhni hai.→ Shaitan Se Bachne Ki Dua

  2. Pahli rak’at me Surah Fatiha ke bad ye Ayat-e-Qurani 100 bar parhiye: Ufawwidu Amree IlALLAHi 

  3. Dusri rak’at me Surah Fatiha ke bad ye Ayat-e-Kareema 100 bar parhiye: Ala IlALLAHi Taseerul Umooru 

  4. Phir rak’at puri parh kar salam pher lijiye.→ Khana Khane Ki Dua

  5. Phir dobara niyyat karte hue teesri rak’at me Surah Fatiha ke bad ye Ayat-e-Mubarika 100 bar parhiye: Nasrunm MinALLAHi Wa Fat-‘Hun Qareebun 

  6. Chauthi rak’at me Surah Fatiha ke bad ye Ayat Shareef 100 bar parhiye: Inna Fata’hna Laka Fat-‘ham Mubeena
  7. Salam pherne ke bad ye Ayat-e-Qurani 100 bar parhiye: Ghufraanaka Rabbana Wa Ilaykal Maseeru 

  8. Phir sar sajdah me rakh kar ye Ayat-e-Mubarika 100 bar parhiye: Astaghfirullaha Wa Atoobu Ilayhi 
  9. Phir sajde se sar utha kar apne maqsad ke liye khoob aajzi aur inkasaari (behad aqeedat) ke sath dua kijiye.→ Dua for Exam-Imtihan Mein Kamyabi ka Wazifa

  10. Ye sirf ek hi din ka amal hai. Agar aap chahen to har jummerat ki isha ki namaz ke bad ye amal parh sakte hain.
  11. Insha ALLAH, jo bhi aapki hajat aur dili tamanna hai wo zarur puri hogi. Jo masle masail hain, unka yaqeeni taur par fauri hal hoga.

Ghaur Talab: Khawateen haiz/maahwari/ayyaam me ye wazifa qatayi nahi parhiye.

Kun Faya Kun Prayer For Any Desire/Problems

English

There are countless secrets hidden in this special prayer. This is a supererogatory prayer that can be offered for any legitimate purposes.

There are eight (8) such places where the words kun faya kun are appeared together in The Noble Quran. The meaning and translation of which is as follows,

“To be” and “It is”.

ALLAH The Sole Owner of this Universe Says “Kun” to command something and “Faya Kun” that just happens.

The Benefits And Virtues Of Kun Fayakun Prayer

This wazifa is having immense benefits. If one performs this with a pure intention having a legitimate purpose. He will definitely get many advantages from this amal.

For instance, this wazifa can be read for any of the following issues and desires.→ Dua for Parents

  • Removal of domestic issues
  • Solving the issues between husband and wife
  • Elimination of financial disaster
  • Searching for a job
  • Searching for a good proposal
  • Having a baby
  • Success in exams
  • Cure of disease

Method Of Offering The Prayer

  1. Take a bath after getting free of Isha prayers on Thursday. Offer 4 rak’at nifl prayer with 4 salam. Offer 2-2 rak’at nifl prayer by following the method described ahead.→ Dua for Success in Daily Life Tasks

  2. In 1st rak’at, recite this verse 100 times after Surah Fatiha: Ufawwidu Amree IlALLAHi 

  3. In 2nd rak’at, recite this verse 100 times after Surah Fatiha: Ala IlALLAHi Taseerul Umooru 

  4. Complete your prayer with salam.

  5. Then again make an intention of 2 rak’at nifl prayer and in 3rd rak’at, recite this verse 100 times after Surah Fatiha: Nasrunm MinALLAHi Wa Fat-‘Hun Qareebun 

  6. In 4th rak’at, recite this verse 100 times after Surah Fatiha: Inna Fata’hna Laka Fat-‘ham Mubeena
  7. Then complete your prayer with salam and recite this verse 100 time: Ghufraanaka Rabbana Wa Ilaykal Maseeru 

  8. Then go to prostration and recite this verse 100 times being in the same state: Astaghfirullaha Wa Atoobu Ilayhi 
  9. Then sit back up and make a prayer for your aim humbly with entire devotion and dedication.→ Ayat e Sajda Ka Wazifa

  10. It’s only a one day process. Though, you can perform this every Thursday after Isha prayers till you want.
  11. Your heartily wish and desire will surely come true. Any tensions and distress you are facing will get out of your life by the Grace of ALLAH The Almighty.

Note: Females are not allowed to offer this prayer during their menses/periods.

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

122 Comments on “Kun Faya Kun Ka Wazifa”

  1. Assalamualaikum mere bete ka naam nubaid hai vah uske abbu ke pass chala gaya hai aur mere pass aane nahin mang raha 11 sal ka hai uski school bhi yahan chalu hai lekin uske abbu mujhe mere pass nahin bhej rahe please bataiye ki mera beta khud se mere pass a jaaye uska sal bekar ja raha hai
    Uske abbu School bhi nahin padhaane mang rahe usse
    Please help kijiye ki mera beta mere paas aajay
    Jazakallah khair

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *