Khoon Ki Kami Ka Ilaj Aur Ka Wazifa

Khoon jism ki ragon me daudta hai. Iski miqdar me jab kami ho to khoon ki kami ka ilaaj kare kyonke ek sehatyab hatte-khatte insan mein taqriban 4 litre khoon hota hai. Amooman ye miqdar ghati badti bhi rahti hai.

Khoon Ki Kami Ka Ilaj Aur Asardar Wazifa

Khoon ki kami ko medical ki zuban mein ‘Anemia’ kehte hain. Anemia hone ke kayi wajuhat hain. Is post me ham aage tafseel se is bare mein bat karenge. Jiske padhne se Insha ALLAH ek shakhs ko bina dawaiyon ke is marz (beemari) se shifa hasil hogi.

Duniya bhar ke ek tihayi log is marz (beemari) mein mubtila hain. Khoon ki kami se doosre marz (beemari) hone ke poore imkanaat (aasaar) hai. Isliye is beemari se shifa ke liye ek shakhs ko khas khuraaq leni chahiye. Zarur dekhiye→ Wazifa for Anemia

Khoon Ki Kami Yani Anemia Hota Kya Hai?

khoon ki kami kya hoti

Jab khoon mein RCB ka level kam hone lagta hai, to jism mein oxygen ka level ghatne lagta hai. Aur is halaat mein hamare jism mein khoon banna band ho jata hai. Is halaat ko hi khoon ki kami aur anemia kehte hain.

Khoon ki kami hone se din-ba-din ek shakhs kamzor hone lagta hai. Khoon ki kami se mudafiat ka nizam (immune system) bhi kamzor ho jata hai. Aur immune system kamzor ho jaye to tarah-tarah ki beemariyan hone ka andesha hota hai. Misal ke taur par gurday ka nakam hona. Zarur dekhiye→ Sar Dard Ki Dua

Kayi dafah to khoon ki kami is had tak ho jati hai ke alhaida se khoon bhi chadwana pad jata hai.

Am Taur Par Khoon Ki Kami Kyon Hoti Hai?

  1. Khoon ki kami hone ki sabse badi wajah insan ka ghalat khaan-paan. Sahi waqt par khana na khane ki wajah se bhi yeh beemari hoti hai.

  2. Raat ko sahi waqt par na sona. Neend insan ke liye behad zaroori hai. Agar koyi rat bhar na soye to aise shakhs ko bhi khoon ki kami ho jati hai.

  3. Nasha karna maslan: sharab, tambaaku ya phir cigarette waghairah.

  4. Jism mein Iron aur Vitamin B-12 ki kami se bhi khoon ki kami hoti hai.

  5. Kisi bhi wajah se khoon ka zyada bahaw ho jana jaise khooni bawaseer auraton mein har mahine ki mahwari.

Auraton Mein Khoon Ki Kami Kyon Hoti Hai?

  1. Haiz/Mahwari ke dauran khoon ka zyada bahaw ho jane se khawateen (auraton) mein yeh beemari bahut zyada payi jati hai.

Isiliye auraton ko chahiye ke wo apne khane-peene mein jis-jis fal aur sabziyon se khoon banta hai wo zyada se zyada shumar karein.

  1. Khawateen (aurat) ko yeh marz tab bhi ho jata hai. Jab ek aurat ka hamal (bachcha) baar baar zaaya ho jaye. Aur iske saath khoon ka bahaw bhi hota hai.

Jiski wajah se aurtein anemic ho jati hai. Wo apne khane peene ka khas khayal rakhein sath-sath kisi achhe tabeeb (doctor) se ilaaj karwayein. Zarur dekhiye→ Mahwari ka Ilaj in Urdu

Tandrust Rehne Ke Liye Ek Shakhs Ko Kitni Gram/DL Khoon Ki Zarurat Hoti Hai?

Ek tandrust shakhs ke jism mein 11-12 gram/Dl (decilitre) Hemoglobin (Khoon) hota hai. Yehi hemoglobin agar 9-11 gram/dl ho to ise khoon ki kami ya anemia kehte hain. Jab ki chaukane wali baat yeh hai ki, zyadatar khawateen ke jism mein 7 gram/dl hemoglobin dekhne ko mil raha hai. Jiski wajah se unhe takleefein bhi bad jati hai. Zarur dekhiye→ Khawateen Me Athra Marz Ka Rohani Ilaj

Khoon Ki Kami Hone Ke Kuchh Alamaat (Symptoms)

Apko Kaise Malum Ho Ke Ap Mein Khoon Ki Kami Hai Ya Nahi?

  1. Sans lene mein pareshani hona;
  2. Thakawat mehsus karna;
  3. Kamzori hona;
  4. Hath pair thande hona;
  5. Jild (skin) ka peela pad jana;
  6. Sar mein dard rehna;
  7. Dil ki dhadkan ka ka betarteeb chalna;
  8. Chhati mein dard hona.

Khoon Ki Kami Theek Karne Ke Gharelu Nuskhe

  • Khajoor

Khajoor mein iron paya jati hai. Aur ye sunnat bhi hai. Iron ki kami bhi khoon ki kami hone ki ek badi wajuhat hai. Rozana 3-5 khajoor kholkar raat mein pani mein dalkar rakh dein. Subah uthkar nihar munh (khali pet) us pani ko peelein aur phir khajoor kha lein. Insha ALLAH panch (5) hafton mein khoon ki kami se shifa mil jayegi. Zarur dekhiye→ Dua for Excessive Bleeding

  • Anjeer

Anjeer ek mewa hota hai. Aath (8) anjeer ko 200 ml doodh mein ubal kar rozana piyein. Anjeer aur doodh mein maujood vitamin, iron, fiber aur calcium lene se, Insha ALLAH khoon ki kami door ho jayegi.

  • Tulsi

Tulsi ke patton mein antioxidant hota hai. 8-10 tulsiyon ki patti ko chabane se khoon ki kami door ho sakti hain Insha ALLAH.

  • Taazi Sabziyan

Taazi sabziyan apni diet mein shamil kare. Isse jism mein antioxidant level achha hoga. Aur khoon badhne lagega.

  • Chukandar

Beet, khoon ki kami ko sahi karne ke liye bahut madadgar sabit ho sakta hai. Rozana ek (1) chukandar ka juice peene ka mamool banayein.

  • Paneer 

Panner doodh ka bana hota hai. Jisme achhe level mein calcium hota hai. Panner khane se bhi khoon ki kami ka marz jald door hoga Insha ALLAH.

Rasgulla bhi jism mein khoon banane mein bahot madad karta hai. Ise bhi aap kayi bar khane mein le sakte hai.

Khoon Ki Kami Ka Ruhani Ilaj

Ye Bahot aazmooda aur asardar wazifa hai. Kuch hi dino mein iska asar ap khud dekhenge.

Khoon Ki Kami Ka Ilaj Aur Wazifa

Khoon Ki Kami Ki Dua Padhne Ka Tareeqa

  1. Wuzu ki halat mein rehte huye;
  2. Sabse awwal Bismillah padhiye;
  3. Phir upar di huyi dua ko teen (3) martaba padhiye;
  4. Padhne ke bad kisi meethi cheez par dam kar dein. Jaise ki, chayi, doodh ya sharbat;
  5. Mareez ko yeh dam ki huyi cheez pila dein. Khud mareez hain to peelein;
  6. Aisa rozana karte rahiye jab tak apko is marz (beemari) se shifa hasil na ho jaye.

Insha ALLAH is dua ki barkat se jald is beemari se shifa hasil hogi. Achhi diet lene ke sath agar is dua ko padhne ka mamool bana liya jaye. Yeh bahut mufeed (fayedahmand) sabit hoga. ALLAH tamam marz mein mubtila logon ko shifa de, Ameen.

Agar apko ye post pasand aye to ise apno se zarur share kijiiye taaki wo bhi isse fayda hasil kar sake!

Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.

ख़ून की कमी का इलाज और का वज़ीफ़ा

ख़ून जिस्म की रगों में दौड़ता है। इसकी मिक़दार में जब कमी हो तो ख़ून की कमी का इलाज करे क्योंकि एक सेहतयाब हट्टे-कट्टे इंसान में तक़रीबन 4 लीटर ख़ून होता है। अमूमन यह मिक़दार घटती-बढ़ती भी रहती है। ज़रूर देखिए→ हमल की हिफाज़त के लिए तावीज़

ख़ून की कमी को मेडिकल की ज़ुबान में ‘एनीमिया’ कहते हैं। एनीमिया होने के कई वजूहात हैं। इस पोस्ट में हम आगे तफ़सील से इस बारे में बात करेंगे। जिसके पढ़ने से इंशा अल्लाह आपको बिना दवाइयों के इस मर्ज़ से शिफ़ा हासिल होगी।

दुनिया भर के एक तिहाई लोग इस मर्ज़ में मुब्तिला हैं। ख़ून की कमी से दूसरे मर्ज़ (बीमारी) होने के पूरे इमकनात (आसार) है। इसलिए इस बीमारी से शिफ़ा के लिए एक शख़्स को ख़ास ख़ुराक़ लेनी चाहिए।

ख़ून की कमी यानी एनीमिया होता क्या है?

लेकिन जब ख़ून में आरसीबी (RCB) का लेवल कम होने लगता है, तो जिस्म में ऑक्सीजन का लेवल घटने लगता है। और इस हालात में हमारे जिस्म में ख़ून बनना बंद हो जाता है। इस हालात को ख़ून की कमी या एनीमिया कहते हैं। ज़रूर देखिए→ बच्चे की आसानी से पैदाइश के लिए वज़ीफ़ा

ख़ून की कमी होने से दिन-ब-दिन एक शख़्स कमज़ोर होने लगता है। ख़ून की कमी से मुदाफ़ियत का निज़ाम यानी के इम्यून सिस्टम भी कमज़ोर हो जाता है। और इम्यून सिस्टम कमज़ोर हो जाए तो तरह-तरह की बीमारियां होने का अंदेशा होता है। मिसाल के तौर पर गुर्दे का नाकाम होना।

कई दफ़ह तो ख़ून की कमी इस हद तक हो जाती है की अलैहिदा से ख़ून भी चढ़वाना पड़ जाता है।

आम तौर पर ख़ून की कमी क्यों होती है?

1. ख़ून की कमी होने की सबसे बड़ी वजह इंसान का ग़लत खान-पान है। सही वक़्त पर खाना न खाने की वजह से भी यह बीमारी होती है।

2. रात को सही वक़्त पर न सोना। नींद इंसान के लिए बेहद ज़रूरी है। अगर कोई रात भर ना सोए तो ऐसे शख़्स को भी ख़ून की कमी हो जाती है।

3. नशा करना मसलन: शराब, तंबाकू या फिर सिगरेट वगैरह।

4. जिस्म में आयरन और विटामिन बी-12 की कमी के वजह से भी ख़ून की कमी होती है।

5. किसी भी वजह से ख़ून का ज़्यादा बहाव हो जाना जैसे ख़ूनी बवासीर या फिर औरतों में हर महीने की माहवारी।

औरतों में ख़ून की कमी क्यों होती है?

  1. हैज़/माहवारी के दौरान ख़ून का ज़्यादा बहाव हो जाने से ख़्वातीन (औरतों) में यह बीमारी पाई जाती है।

इसलिए औरतों को चाहिए के वो अपने खाने पीने में जिस-जिस फल और सब्ज़ियों से ख़ून बनता है वो ज़्यादा से ज़्यादा शुमार करें।

  1. ख़वातीन(औरतों) को यह मर्ज़ तब भी हो जाता है। जब एक औरत का हमल (बच्चा) बार बार ज़ाया हो जाए। और इसके साथ ख़ून का बहाव भी होता है।

जिसकी वजह से औरतें एनीमिक हो जाती हैं। वो अपने खाने पीने का ख़ास ख़्याल रखें साथ-साथ किसी अच्छे तबीब (डॉक्टर) से इलाज करवाएं।

तंदुरुस्त रहने के लिए एक शख़्स को कितने ग्राम/डीएल ख़ून की ज़रूरत होती है?

एक तंदुरुस्त शख़्स के जिस्म में 11-12 ग्राम/डीएल हीमोग्लोबिन (ख़ून) होता है। यही हीमोग्लोबिन अगर 9-11 ग्राम/डीएल हो तो इसे ख़ून की कमी या फिर एनीमिया कहते हैं। जब की चौकाने वाली बात यह है की, ज़्यादातर ख़्वातीन के जिस्म में 7 ग्राम/डीएल ख़ून देखने को मिल रहा है। जिसके वजह से उनकी तकलीफ़े भी बढ़ जाती हैं। ज़रूर देखिए→ किताब पढ़ने की दुआ

ख़ून की कमी होने के कुछ अलामत

आपको कैसे मालूम हो की आप मैं ख़ून की कमी है या नही?

  1. सांस लेने में परेशानी होना;
  2. थकावट महसूस करना;
  3. कमज़ोरी होना;
  4. हाथ पैर ठंडे होना;
  5. जिल्द (स्किन) का पीला पड़ जाना;
  6. दिल की धड़कन का बेतरतीब चलना;
  7.  छाती में दर्द होना;

ख़ून की कमी ठीक करने के घरेलू नुस्ख़े

  • खजूर

खजूर में आयरन पाई जाती है। और यह सुन्नत भी है। आयरन की कमी भी ख़ून की कमी होने की एक बड़ी वजूहात है। रोज़ाना 3-5 खजूर खोलकर रात में पानी में डालकर रख दें। सुबह उठकर निहार मुंह (ख़ाली पेट) उस पानी को पीलें और फिर खजूर खा लें। इंशा अल्लाह पांच (5) हफ़्तों में ख़ून की कमी से शिफ़ा मिल जायेगी।

  • अंजीर

अंजीर एक मेवा होता है। आठ (8) अंजीर को 200 एमएल (ml) दूध में उबाल कर रोज़ाना पीएं। अंजीर और दूध में मौजूद विटामिन, आयरन, फाइबर और कैल्शियम लेने से, इंशा अल्लाह ख़ून की कमी दूर हो जाएगी।

  • तुलसी

तुलसी के पत्तों में एंटीऑक्सीडेंट होता है। 8-10 तुलसी के पत्तियों को चबाने से ख़ून की कमी दूर हो सकती हैं, इंशा अल्लाह।

  • ताज़ी सब्ज़ियां

ताज़ी सब्ज़ियां अपनी डाइट में शामिल करें। इससे जिस्म में एंटीऑक्सीडेंट लेवल अच्छा होगा और ख़ून बढ़ने लगेगा।

  • चुकंदर

बीट, ख़ून की कमी को सही करने के लिए मददगार साबित हो सकता है। रोज़ाना एक (1) ग्लास चुकंदर का जूस पीने का मामूल बनाएं।

  • पनीर

पनीर दूध का बना होता है। जिसके अच्छे लेवल में कैल्शियम मौजूद होता है। पनीर खाने से भी ख़ून की कमी का मर्ज़ जल्द दूर होगा इंशा अल्लाह।

रसगुल्लाह भी जिस्म में ख़ून बनाने में बहुत मदद करता है। इसे भी आप कई बार खाने में ले सकते हैं।

ख़ून की कमी का रूहानी इलाज

यह बहुत आज़मूदा और असरदार वज़ीफ़ा है। कुछ ही दिनों में इसका असर आप ख़ुद देखेंगे।

ख़ून की कमी की दुआ पढ़ने का तरीक़ा

  1. वुज़ू की हालत में रहते हुए;
  2. सबसे अव्वल बिस्मिल्लाह पढ़िए;
  3. फिर ऊपर दी गई दुआ को तीन (3) मरतबा पढ़िए;
  4. पढ़ने के बाद किसी मीठी चीज़ पर दम कर दें। जैसे की, चाय, दूध या शरबत;
  5. मरीज़ को यह दम की हुई चीज़ पिला दें। अगर आप ख़ुद मरीज़ हैं तो आप पी लें।
  6. ऐसा रोज़ाना करते रहिए जब तक आपको इस मर्ज़ (बीमारी) से शिफ़ा हासिल ना हो जाए।

इंशा अल्लाह इस दुआ की बरकत से जल्द इस बीमारी से शिफ़ा हासिल होगी। अच्छी डाइट लेने के साथ अगर इस दुआ को पढ़ने का मामूल बना लिया जाए। यह बहुत मुफ़ीद (फ़ायदेमंद) साबित होगा। अल्लाह तमाम मर्ज़ में मुब्तिला लोगों को शिफ़ा दे, आमीन।

अगर आपको ये पोस्ट पसंद आए तो अपनों से शेयर ज़रूर कीजिएगा!

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

17 Comments on “Khoon Ki Kami Ka Ilaj Aur Ka Wazifa”

  1. Kya dua aise karsakte h ki ya allah iss hajat ko mere haq me duniya or akhirat me behtareen bana de or isse qubool karde ya aise kehna chahiye ki agar ye mere haq me duniya or akhirat ke liye behatar hai toh isse qubbol krde

  2. AoA imran bhae meri permanent job ka masla atka hua ha.. or delay hota ja raha h koi wafiza ya amal btae.. jo me apni masle hal hone k liye prh sakun

  3. AoA,
    Mene khuwab me aqeeq ki ring kanstone chamakte hue dekha.. jese mene ring pehni ha or us ka stone chamak raha ha.. phr or kch log han unhone ne b aqeeq ki ring pehni ha sb ki ring k stone chmak rahe ha jese us me se light nkal rahi ho lkn kch hi makhaus logo k hath me ring thi ..
    Mjhe is ki tabeer janni ha.. is se pehele b mjhe aqeeq k kafi khuwab achuke han. Q k me aqeeq yamni ki ring pehnta hn.. jo khuwab mene is se pehele dekhe wo bad ma uska matlab smjh aya k wo ik ishara tha ksi chiz ki trf.

      1. AoA, Imran bhae
        Mera ksi k sath b relationship ziada din tak nhi chalta apne ap ghlt fehmia paida hojati han or relationship khtm hojata ha ..or meri age shadi ki nkalti jarahi ha isliye me chahta hn is year me hi meri shadi hojae ksi ache khandan ki larki se is k liye koi wazifa btaen ..pls

          1. AoA imran bhae,
            Apne jo wazifa btaya tha jldi shadi k liye ” ya hafizu ya fatahu ya kareemu” ye me uth bethte kasrat se prh raha hn ..lkn ab tk koi kamiyabi nhi mili

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *