Khana Khane Ki Dua

Huzoor-e-Akram SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne hamein har ek cheez ke adab aur tariqe batlaye. Aj ham khane peene ke adab yani sunnat tariqe aur khana khane ki dua parhenge. Dekhiye khana khane se pehle ki dua aur uske bad ki dua. Aur sath-sath doodh peene ki dua.

Khana Khane Se Pehle Aur Bad Ki Dua

Aur Khana Khane Aur Peene ki Sunnati Adab

Khana Khane Ki Dua

Yahan dekhiye→ Dawat Khane Ki Dua Aur Uske Adaab Hadees Mein

Zindagi mein roz marra ke kam jab ham karte hai. Unhe karne mein agar sunnat tariqa apna le. To bakhshish ka zariyah bhi ban sakta hai. Pyare Aqa ﷺ ki ek sunnat ko pakadne ka matlab azimushshaan hai. Gusse Ki Dua-Tension Khatam Karne Ki Dua yahan dekhiye.

Aur dekhiye nah, ye sunnatein itni chhoti-chhoti adaton me dhalna itna mushkil bhi nahi. Ek bar jab adat ban jaye. To phir kya kehne. Apki esi nek adaton ko phir zamana salam karega. ALLAH aur Rasoolullah ﷺ ko khushi pahuchegi.

Isi tarah se rozana khane-peene ke bhi chand adab hai. Unhi adab aur khane-peene ki sunnaton ke bare mein ham parhenge. Sath-sath duayein bhi parhenge.

More reads

Khane Ke Adab Aur Duayein

  • Jab khana khane lage to usse pahle achi tarah se hath dho lijiye.
  • Khana khane beth jayein to phir Bismillah parh lijiye.
  • Hamesha sidhe hath se khana khayiye.
  • Jab bhi khana khaye sath mein khayein. Na ki tanha.

Hadees-e-Mubarika Mein Khane ki Sunnatein

Ek Hadees mein aya hai ke jis khane ko khane se pahle dua nahi parhi jati.

  • Us khane mein shaytan shareek ho jata hai.
  • Ek Sahaba Radi ALLAHU Anhu ne Huzoor-e-Akram ﷺ se farmaya:

Ae Rasoolullah hamare pas khana tha lekin phir bhi hamari bhookh nahi miti.

Rasoolullah ﷺ ne jawab mein pucha:

Shayad tum sab ne khana alag-alag khaya?

To unhone jawab diya:

Ye sach hai.

Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya:

Khana sath mein khaya karo aur khane khane se pahle Bismillah parh liya karo. ALLAH barakah ata farmayega.

  • Kuch yahudiyon ne Rasoolullah ﷺ ke khane ke gosht mein zaher milakar diya, jise unhone apne Sahabaon ke Radi ALLAHU Anhu ke sath Bismillah parhkar khaya. Un sab ko zara bhi nuqsan nahi hua.

yaALLAH Dua Wazaif Testimonials

Khana Khane Ki Duayein

Jab bhi lazeez khane ki dawat par jao. Ya phir khana khao to ye dua zarur parhlo:

bismillahi wa ala barakatillah

بِسْمِ اللهِ وَعَلَىٰ بَرَكَتِ اللهِ

Bismillahi Wa a’la Barkatillah 

बिस्मिल्लाही व ‘अला बरकतिल्लाह

With ALLAH’s name and upon the blessings  granted by ALLAH (do we eat)

Maine ALLAH ke nam se aur ALLAH ki barkat par khana shuru kiya

मैंने अल्लाह के नाम से और अल्लाह की बरकत पर खाना शुरू किया

Agar khana khane se pehle ki dua bhool jaye to kya parhna chahiye?

Ek hadees se sabit hai ke jab khana khane ki dua yani Bismillah parhna bhool jayein to yad ane par ye dua parhiye:

bismillah awwalahu wa akhirahu

بِسْمِ اللهِ اَوَّلهُ وَ اٰخِرَهُ

Bismillahi Awwalahoo Wa Akhirahoo 

बिस्मिल्लाही अव्वलहू व आख़िरहू

With ALLAH’s name in the begininng and at the end

Maine iske awwal wa akhir mein ALLAH ka nam liya

मैंने इसके अव्वल व आख़िर में अल्लाह का नाम लिया

Aayeshah R.A. says:

“Rasoolullah ﷺ said: ‘When one eats and has forgotten to recite ‘Bismillah’, then when one remembers while eating, one should recite ‘Bismillahi Awwalahu wa Aakhirahu'”.

Ash-Shama’il Al-Muhammadiyah | Sahih Isnad (Zubair Ali Za’i)

Beemar ke Sath Khana Khane Ki Dua Kya Hai?

Jab kisi beemar jise korh ya koi chhooth ka marz (marz jo chhoone se failta ho) ke sath khana kha rahe ho to ye dua parhiye:

بِسْمِ اللهِ ثِقَتً م بِاللهِ وَتَوَكُّلاً عَلَيْهِ

Bismillahi Siqatan-mBillahi Watawakkulan ‘Alayhi

बिस्मिल्लाही सिक़त-म बिल्लाहि वतवक्कुलन अलयही

With ALLAH’s name and while having trust and reliance in ALLAH (do I have this meal).

ALLAH ke nam se aur ALLAH par yaqeen aur bharosa karte hue main ye khata hu.

अल्लाह के नाम से और अल्लाह पर यक़ीन और भरोसा करते हुए मैं ये खाता हूँ|

Rozi Me Barkat Ki Dua-Dua for Money Barkat yahan dekhiye.

Aam Taur Par Khana Khane Se Pehle Ki Dua

Khana khane ke pahle ye dua parh lijiye:

اَللَّهُمَّ بَارِكْ لَناَفِيْهِ وَاَطْعِمْنَا خَيْرًا مِّنْهُ

ALLAHUMMA Barik Lana Feehi Wa At ‘Imnaa Khairan mMinhu

अल्लाहुम्मा बारीक़ लना फ़ीहि व अत ‘इमना ख़ैर-म मिनहू

O ALLAH grant us barakah in this food and grant us food better than this.

ya ALLAH is khane mein barkat daal aur hamein isse bhi behtar khana ‘ata kar.

Khana Khane Ke Bad Ki Dua #1

الْحَمْدُ لِلَّهِ حَمْدًا كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ غَيْرَ مَكْفِيٍّ وَلَا مُوَدَّعٍ وَلَا مُسْتَغْنًى عَنْهُ رَبَّنَا

Alhamdulillahi ‘Hamdan Kaseeran Tayyiban mMubarakan Feehi Ghayra Makfeeyin wWala Muwadda’in wWala Mustaghnan ‘Anhu Rabbana

अल्हम्दुलिल्लाही ‘हमदन कसीरन तय्यिब म मुबारकन फ़ीहि ग़ैयरा मकफीय्यि-व्ववला मुवद्दा ‘इ व्वला मुसतग़नन ‘अन्हु रब्बना

ALLAH praises and praises are due to ALLAH-praises that are pure and full of blessings for the food which is without sufficiency (which man needs abuntandtly all the time) and to which we cannot say adieu and farewell and of which we are not needless. Our Lord accept our thanksgiving.

Tamam tareefein ALLAH hi ke liye hai- tareefein jo pak hai aur barkaat se bhare khane ke liye hai jo kafi nahi (jiski insan ko har waqt kasrat se zarurat hai) jise ham alvida nahi keh sakte aur jo hamare liye fazool nahi. Ae Rabb hamara shukr qubool kar.

तमाम तारीफें अल्लाह ही के लिए है- तारीफें जो पाक है और बरकात से भरे खाने के लिए है जो काफी नहीं (जिसकी इन्सान को हर वक़्त कसरत से ज़रूरत है) जिसे हम अलविदा नहीं कह सकते और जो हमारे लिए फज़ूल नहीं| ऐ रब्ब हमारा शुक्र क़ुबूल कर|

Safar Ki Dua yahan dekhiye.

Khana Khane Ke Bad Ki Dua #2

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِيْ كَفَانَا وَاَرْوَانَا غَيْرَ مَكْفِيٍّ وَّلاَ مَكْفُوْرٍ

Alhamdulillahi allazee Kafaanaa Wa Ar Waanaa  Ghayra Makfeeyin wWala Makfoorin

अल्हम्दुलिल्लाही ल्लज़ी कफाना व अरवाना ग़ैयरा मैकफीय्यि-व्वला मकफूरिन

Tamam tareefein ALLAH hi ke liye hai Jisne hamein khane ko kafi khana diya jisne hamari pyas bujhayi jabki ese khane ki (hamein) sabko hamesha zarurat thi aur ham ALLAH ke na shukre nahi.

तमाम तारीफें अल्लाह ही के लिए है जिसने हमें खाने को काफी खाना दिया जिसने हमारी प्यास बुझाई जबकि ऐसे खाने की (हमें) सबको हमेशा ज़रूरत थी और हम अल्लाह के न शुक्रे नहीं|

Khana Khane Ke Bad Ki Dua #3

It was narrated that Abu Sa’eed R.A. said: When the Prophet ﷺ ate or drank something, he would say,

“Al-hamdu Lillah illazee at’amana wa saqana wa ja’alana muslimeen

(Praise be to ALLAH Who has given us food and drink and made us Muslims).”

Abu Dawood, 3850; Al-Tirmidhi, 3457

khana khane ke baad ki dua with translations

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَجَعَلَنَا مُسْلِمِينَ

Alhamdulillahi allazee At’amnaa Wasaqaana Waja’alnaa Minal Muslimeena 

अल्हम्दुलिल्लाही-ल्लज़ी अत अमना वसक़ाना वज’अलना मिनल मुस्लीमीना

Tamam tareefein ALLAH hi ke liye hai Jisne hamein khana aur peene ke liye diya aur hamein musalman banaya

तमाम तारीफें अल्लाह ही के लिए है जिसने हमें खाने और पीने के लिए दिया और हमें मुस्लमान बनाया|

Khana Khane ke Bad ki Dua #4

Aur jab khana kha lein to ye dua parhiye:

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِيْ هُوَاَشْبَعَنَا وَاَرْوَانَا وَاَنْعَمَ عَلَيْنَا وَاَفضَلَ

Alhamdulillahi allazee huwa ashba’anaa wa-ar-waana  wa-an-‘ama ‘alayna wa afzala

अल्हम्दुलिल्लाही-ल्लज़ी हुवा अश ब’आना व-अर-वाना व-अन-‘अमा ‘अलयना व अफज़ला

All praise is for ALLAH who has satiated and refreshed us (with nourishment) and who has bestowed on us His favors and blessings.

Tamam tareefein ALLAH hi ke liye hai Jisne hamein (ghiza se) tasalli aur taaza dam ata kiya aur Jisne ham par Apne ehsan aur barkaat backhshe.

तमाम तारीफें अल्लाह ही के लिए है जिसने हमें (ग़िज़ा से) तसल्ली और ताज़ा दम अत किया और जिसने हम पर अपने एहसान और बरकात बख़्शे|

Doodh Peene Ki Dua Kya Hai?

Jab bhi doodh piye pahle niche di hui doodh peene ki dua parh lijiye aur phir doodh pee lijiye:

Doodh Peene Ki Dua

اَللَّهُمَّ بَارِكْ لَناَفِيْهِ وَزِدْ نَامِنْهُ

ALLAHUMMA barik lana feehi wa zidna minhu

अल्लाहुम्मा बारिक लना फ़ीहि व ज़िदना मिनहु

O ALLAH grant us barakh in this (milk) and grant us more than this

Ae ALLAH hamare liye isme barkat ‘ata farma aur hamein isse aur zyadah de

ऐ अल्लाह हमारे लिए इसमें बरकत ‘अता फ़रमा और हमें इससे और ज़्यादा दे

It was narrated that Abu Ayyoob al-Ansari R.A. said: When the Messenger of ALLAH ﷺ ate or drank something, he would say,

“Al-hamdu Lillah illathi at’ama wa saqa wa sawwaghahu wa ja’ala lahu makhrajan

(Praise be to ALLAH Who has given food and drink, made it easy to swallow and has made a way out for it).”

Abu Dawood (3851) and classed as Saheeh (authentic) by al-Albani in al-Saheehah (2061)

22 Comments on “Khana Khane Ki Dua”

  1. MASHALLAH APNE BHUT ACHE SE KAHNE KI DUA BTAI ALLAH HAME PADNE LIKHNE KE SATH SATH AMAL KARNE KI TOFEEQ ATA FARMAYE.

  2. A/s
    plz mko btaye me kon si dua pdhu me kuch bhi khati piti hu mko bilkul nhi lgta, even me kahne se phle khane ki chiz pr,AYTAL KURSI PDH KR khati hu , plz mko btaye kya pdh kr khau ki khaya piya lge.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *