Itikaf ka tarika khas taur par aurton ke liye ham bat karenge. Itikaf me kya padhna chahiye aur iski duayein kya hai. Sabkuch is post me asan zuban mein hindi me janiye.
Itikaf Ka Tarika Aurton Ke Liye
Maah-e-Ramazan mein ki jane wali ibadaton mein se ek ibadat “Itikaaf” hai. Itikaf ka tarika padhne se pahle ham itikaf ke bare mein kuch khas batein jan lete hai.
Itikaf yun to kisi bhi mahine ya ayyam mein kiya jaa sakta hai lekin ramazan ke akhri ‘ashre mein Itikaf karna sunnat muwaqqida hai. Yahan padhiye→ Ramadan Ashra Ki Dua.
Itikaf Kya Hota hai?
Itikaf ka lugwi (dictionary) matlab theherna, ruk jana aur jam jana hai.
Sharayi istelaa’h mein Itikaf ki tareef Ibn Hajar Rahmatullah Alaihe ne in lafzo mein ki hai:
“Makhsoos shakhs ka makhsoos sift par masjid mein baithe rahne ka naam Itikaf hai”. (Fathul Bari 271/4)
Itikaf Ka Maqsad Kya Hota Hai?
Itikaf ka maqsad duniya ke taraddud (roz-marrah) fikr aur mashghuliyat (masroofiyat) se zehan ko farigh kar ke dil ko pure taur par ALLAH Tabarak Wa Ta’ala ki hamiya waqt yaad karke uske zariye qalb (dil) ki safayi karna hi maqsood hai. Zarur dekhiye→ What is Ramadan-Ramzan Duas-Guidelines, Tips & Suggestions
Kyun ke duniya mein rahte huye insan ko bahut se fikron pareshaniyon ka samna karna padta hai. Aur chahne ke baad bhi insan unse sab fikron se pichha nahi chhoda sakta.
ALLAH Ta’ala ka zirk karne se dil ka zang utarta rahta hai. Dil par ghaflat aur nafsi khwahishat jo teh dar teh jam chuki hai. Aur ahista-ahista dil ko kamzor aur haq Ta’ala se dor karne ka sabab banti hai wo sab ALLAH ke zikr se utar jati hai.
ALLAH Ta’ala se hama waqti t’alluq ke wajah se dil ka ayina shafaf ho jata hai. Duniyawi ashghaal mein mashroof rahne ki wajah se dil ka itminaan kho jane ka khadsha hota hai. Zarur dekhiye→ Shaban Ke Mahine Ki Fazilat
Jab ke ALLAH Ta’ala ke zikr se dil ko itminaan naseeb hota hai.
Farman-e-ilaahi hai:
“Ala bi zikr-illahi tatma i’nnun quloob”
Tarjuma: “khabardaar ALLAH ke zikr se hi itminaan hasil hota hai”
Surah Al-Rad Ayat #28
Yani sawab aur ‘Qurbe-iIahi’ (ALLAH ke bahut qareeb) ki niyat se apne aap ko kisi makhsoos waqt ke liye masjid mein duniyawi Ashghaal (duniya ke masle masail) aur huqooq-ul-ibaad (ALLAH ke makhlookh ke liye jo bhi zimmedaariyan) se khud ko ruk lene ka naam Itikaf hai.
Kya Khawateen Yani Aurtein Itikaf Kar Sakti Hai?
Ji han khawateen yani aurtein bhi itikaf kar sakti hai. Iski kuch sharait aur masail hai jinhe janna bahot hi zaruri hai.
- Khawateen Itikaf ghar ke kisi kamre mein kar sakti hai. Aur khaawind ya sar-parast ki ijazat ke sath aisi masjid Jaha aurten ibadat karti hai waha kar sakti hai.
- Jaha unhe sirf aur sirf ALLAH ki ibadat aur zikr mein dobe rahna hai. Ghar ke kisi afraad se kisi tarha guftugu nahi karni hai.
- Ghar ke kaamon, zimmedariyun se khud ko door kar lena hai.
- Sirf ALLAH ke khyal, zikr, ibadat mein khoye rahna hai.
- Jab nind aye to nind puri kar sakte, isme koyi manahi nahi hai.
Itikaf Ki Muddat
Itikaf mein kam se kam aur zyada se zyada kitne din baitha ja sakta hai. Yahan auraton aur mardon dono ke liye hi ek hi hukm hai jiske bare mein ham janenge. Zarur dekhiye→ Kunde Ki Niyaz in Hindi
Itikaf ramazan mein bhi aur ghair ramazan mein bhi kiya jaa sakta hai.
Lekin ramazan mein kiya gaya Itikaf afzaliyat rakhta hai. Ramazan mein kiya hua itikaf isi maah ke akhiri ashrah (akhri 10 din) mein karna sunnat hai.
Abu Hurairah R.A se riwayat hai ke Rasool ALLAH ﷺ har ramadan mein 10 din Ettekaaf kiya karte the. Jis saal Aap faut (parda farmaye) huye us saal Aap ﷺ ne bees (20) din Itikaf kiya.
(Sahih Bukhari 245/4)
Itikaf ghante bhar ke liye bhi kiya jaa sakta hai aur taweel dino (lambe dino) tak bhi kiya ja sakta hai.
Rasool ALLAH ﷺ ne zyada se zyada bees (20) din tak Itikaf kiya jiski daleel niche di gayi hai.
Y’ala bin Umaiya Rahmatullah Alayhi kahte hai jab mai masjid jata hun khawah ek ghadi ke liye hi jaun Itikaf ki niyyat kar leta hun.
Aap chahen to jab bhi masjid mein jaye Masjid mein dakhil hone ki dua padh lijiye.
Uske baad Itikaf ki niyyat kar sakte hai. Chahe Aap kuch der ke liye hi jaye. Namaz padhein Qur’an paak ki tilawat karein.
Jetne der bhi Aap masjid mein rahein sirf ALLAH ki ibadat karein ALLAH ka zikr. Isse Itikaf ka sawab bhi Aapko milega.
Masjid se bahar aate hi Aapka Itikaf khatm ho jayega.
Itikaf Karne Ki Dua
Itikaf ki niyat is tarha se karein:
Nawaitu sunnat-al Itikaf (Niyat ki maine sunnat Itikaf ki)
Nifli Itikaf karne wala jab chahe Itikaf khatm kar sakta hai. Chahe jis muddat ke niyat ki thi usse pahle hi khatm karde. Us par koyi gunah ya qaza nahi hai. Zarur dekhiye→ Tera Teji Kyon Manate Hain?
Lekin wajib nazar (mannat) ka Itikaf ke liye zaruri hai ke jetne muddat ki niyat ki thi utni muddat puri ki jaye.
Itikaf Ki Sharait
-
Musalmaan hona.
-
A’qal (pagal na ho) baligh ho, lehaza bachche ka Itikaf nahi hoga.
-
Badan paak ho, agar Itikaf ke dauran Itikaf karne wala kisi aise sabab se janwi (na paak) ho jaye. Jo Itikaf ko baatil (kharab) karne wala ho. Ahtalaam (nind mein maani (sperm) nikal jaye). To wo ja-ye Itikaf (Itikaf ke jagah) se nikal kar ghusl ke liye jaa sakta hai. Ghusl kar ke wo dubara Itikaf karne wala ho jayega. Aur zarurat padne par bayt-ul-khala (Toilet) ke liye bhi jaa sakta hai. Isse uska Itikaf nahi totega balki jari rahega.
-
Itikaf ke dauran ladayi jhagre se bachna hai. Balke siwaye ALLAH ke kisi aur chiz ke bare mein sochna bhi nahi hai.
-
Baaz dafa dil ghabrane par log ek jagah se dusri jagah baithte hai. Aapne yeh bhi nahi karna hai.
- Ja-e-Itikaf (Itikaf ki jagah) se uthna bhi nahi hai. Aur wahi baith kar ALLAH ki ibadat karni hai, ALLAH ke khyal mein zikr mein khud ko masroof rakhna hai.
-
Maujuda waqt mein sab ki zindagi mein mobile ka istemaal zaruri ho gaya hai. Lekin Itikaf mein Itikaf karne wale shakhs ko mobile se door rahna hoga. Mobile ka istemaal bilkul nahi karna hai.
Sawal: Agar aurat ko haiz/maahwari ya nifaas (bachcha hone ke baad khoon jaari hona) jaari ho jaye to kya karna chahiye?
Jawab: Ja-e-Itikaf (Itikaf ki jagah) se uth kar itikaaf ki niyat khatm kar dengi. Masjid se nikal jayengi. Is itikaf ki koyi qaza, fidya ya kaffara nahi hai.
Haiz nifaas ke din pure karne ke baad usne jetne dino ke Itikaf ki niyat ki thi. Agar usme se abhi kuch din baki ho to wo chahen to dubara Itikaf mein dakhil ho sakti hai. Aur na chahen to karna zaruri nahi.
Lekin agar Itikaf nifli nahi balke wajib hai. Yani nazar (mannat) ka Itikaf to aisi surat jetne dino ke Itikaf ki niyat ki thi utne dino ki muddat puri karna farz hai. Zarur dekhiye→ Shab e Barat Ki Ibadat Ka Tarika
Aurat Ke Liye Itikaf Ki Do (2) Sharait Aur Hai:
Khaawind Yani Shauhar Ki ljazat
Sayyedina Abu Hurairah R.A se riwayat hai ke Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:
“Koyi aurat apne shauhar ki maujoodgi mein uski ijazat ke baghair siwaye ramazan ke nifli roza na rakhein”.
(Sunan Tirmizi, Abu-Ab-Al-Saum)
Jab ke Saheeh Bukhari mein hai:
“Aurat ke liye yeh halal nahi hai uska shauhar maujood ho aur uski ijazat ke baghair roza rakhein”.
(Saheeh Bukhari, Saheeh Muslim)
“Lihaza aurat ke liye jayaz nahi ke wo apni khaawind ke ijazat ke baghair Itikaf mein baithe”.
Jis tarha aurat ka nifli namaz aur nifli roze ke liye apne khaawind ki ijazat hasil karna zaruri hai. Us tarha aurat ka Itikaf ke liye bhi apne khaawind ki ijazat lena zaruri hai.
Agar khaawind ijazat na de to aurat ka Itikaf karna durust nahi.
Aurat mard ki na-ghawari ke baad khud Itikaf kar leti hai. Wo khaawind ki na-farmani ka gunah mool leti hai.
Aurat ka khaawind ko naraz kar ke koyi bhi nilfli ibadat karna durust nahi.
Khaawind ke ijazat ki shart nifli ibadat mein isliye rakhi gayi hai. Mumkin hai ke mard ko aurat se koyi khidmat leni ho ya apni hajat puri karna ho. Zarur dekhiye→ Kun Fayakun Ki Namaz-Testimonial
Jab wo halat-e-ibadat mein hoti ho to mard aisa nahi kar sakta. Isliye khaawind agar razi nahi hai to Itikaf karna durust nahi.
Lehaza roze aur Itikaf ke dauran ham-bistari karna sakht taur par mana hai. Humbistari ki dua yaha dekhiye→ Biwi Se Humbistari Ki Dua in Hindi English Urdu
Isliye aurat ko mard ki raza-mandi se hi Itikaf ki niyat karna lazmi hai.
Kya Aurat Itikaf Me Bahar Ja Sakti Hai?
Aurat Itikaf mein bahar nahi jaa sakti. Lekin aurat farz namaz ke liye bhi Masjid mein jana chahe to iska apne khaawind se ijazat lena zaruri hai.
Kuch shehron mein auraton ki Masjid hai. Aur pahle zamane mein bhi payi gayi hai.
Chunanche Farmane Nabi ﷺ hai:
“ALLAH ke bando ko ALLAH ki masjid mein jane se na ruko Jab tumme se kisi ki biwi (Masjid mein jane ki) ijazat mange to de diya karo”.
(Saheeh Bukhari 783)
Is hadis se ye wazih hota hai ke aurat ghar se bahar namaz ke liye nikle ya Itikaf ke liye kisi aur zaruri kaam ke liye.
Wo apne khaawind se ijazat lene ki paband ho.
Aur khaawind ko ye taakeer ki gayi hai ke wo aurat ko Masjid mein jane se na roke.
Yaad rakhein ghar se bahar nikalne ke liye ya Masjid mein jane ke liye aurat par kuch sharait hai.
Aurat Ke Bahar Jane Ke Liye Yeh Sharait Hai
- Aurat baghair khushboo ke jayegi.
- Kapde sada aur m’amuli pahen kar niklegi.
- Bajne wala zewar, awaz paida karne wala jota aur khat khatahat paida karne wale kapde pahen kar nahi jayegi.
- Banaw singar kar ke ghar se bahar nahi jayegi.
- Apne pure jism ko chehre samet ek badi chadar ( jilbaab) se dhap legi take us ke jism, uske kapde, uska zewar aur mehendi wagairah ki zeenat zahir na ho.
Chunanche aurat jab Itikaf ke liye bhi ghar se nikal kar Masjid mein jaye to kuch baaton ka khas khyal rakhne ki paband ho.
- Mahaul Pur Aman Ho- Aurat ke Itikaf ke liye dusri shart ye hai ke aurat ne jahan Itikaf karna hai wahan mahaul pura aman ho aur kisi fitne ka andesha na ho.
- Masajid mahfooz ho- Mardon ke taraf se kisi chhed-chhad taak-jhank ka koyi amkaan na ho. Taake aurat ki a’smat w’afat ki hifazat ke hawale se khaawind ko kisi na-ghawaar surat haal ka samna na karna pade. Zarur dekhiye→ Pasand Ki Shadi Ka Wazifa ya ALLAH Testimonial
Aur mu’asharti lihaze se uske izzat par koyi ungli na utha sake.
Mahaul puri Aman hone ki shart se hi ye masle bhi nikalta hai ki kawari ya be-shauhar aurat apne wali (baap, bhai, beta,maa ya jo bhi ghar mein uska sar-parast ho) ki ijazat ke sath Itikaf karegi.
Jiski wajah yeh hai ki ladki ne ghar se nikal kar Masjid mein jana hai. Lihaza uska sar-parast yeh bahtar janta hai ke uski ghar se nikalne mein kya-kya mufasid hai?
Agar mahsoos kare ke ladki ke ghar se nikalne se koyi fitna paida ho sakta hai to wo apne zer sar-parast aurton ko Itikaf se rukne ka haq istemaal kar sakta hai.
Baaz khawaateen ki Itikaf baithne ka bahut shauk hota hai. Aur wo jazbat mein aa kar apne khaawind ya sar-parast ke taraf se raza-mandi ke baghair Itikaf kar leti hai. Zarur dekhiye→ yaALLAH Testimonial 1 Day Hajat Wazifa
Lekin sharay’i hadud (hadd) ke lihaz se ye mahle nazar (na-ghawar) hai.
Baaz khaawind ya walid khadshat (fikar) hone ke bawajood isliye Itikaf se mana nahi karte ke kahi neki ke kaam se rukne ka unhe gunah na ho.
Yaad rahe ke nifli ibadat mein agar koyi haqeeqi man’a ho ya haqeeqi khatre ka khadsha (fikar) ho to mard khaawind ho ya sar-parast aurat ko nifli ibadat khusosan ghar se bahar jaa kar anjaam dene wali ibadat se ruk sakta hai.
Kyun ki aurat ki a’fat Wa A’smat (izzat-o-aabro) ki hifazat aur mu’ashre mein apne gharane ki haisiyat aur taqaddus (naam) ka tahuffaz (hifazat) karna farz hai.
Zer parast (ghar ke mard) ki ijazat lena farz hai aur zer ibadat nifli hai. Lehaza farz par nifl ko tarzi nahi nahi di jayegi.
Itikaf Ki Iqsaam (Qismein)
Yani kitni tarah ke itikaf hote hai.
Itikaf ki teen (3) qismein hai:
- Nifli: Yeh wo Itikaf hai jo kisi waqt bhi kisi bhi muddat tak Masjid mein kiya jaa sakta hai.
- Ramazan ke akhri ashrah mein Itikaf karna sunnat hai. Chunanche ﷺ har ramazan ke akhri ashra mein Itikaf kiya karte the.
- Wajib: Yeh wo Itikaf hai jiski nazar (mannat) mani jaye.
Nazar (Mannat) Ka Itikaf Ka Tarika
Jis tarha nifli namaz, nifli roze, nifli Haj, nifli sadqa waghairah ki mannat maan li jaye to uska pura karna wajib ho jata hai.
Is tarha agar koyi shakhs Itikaf ki mannat maan le to us par mannat puri karna wajib hai.
“Sayyedina Umar bin khattab R.A ne jehaliyat ke zamane mein Itikaf ki mannat maani thi ke wo Masjid-ul-Haram mein ek raat Itikaf karenge.
Umar R.A ne Rasool ALLAH ﷺ se us baat ka puchha to Aap ﷺ ne farmaya:
“Apni nazar (mannat) puri karo aur ek raat Itikaf karlo”
(Saheeh Bukhari #237/4, Saheeh Muslim, Raqumul Hadees #1556)
Isse yeh bhi sabit hota hai ke jehalat mein kisi kaam ki mannat mani ho jisme koyi shirk, kufr ya mu’aseet ki baat na payi jaye to usko zamane Islam mein pura karna lazmi hai. Zarur dekhiye→ Dua for Health Shifa Cure Healings Islamic Prayers Result Testimonials
Itikaf Ka Tarika Bina Roze Ke
Itikaf baghair roze ke bhi ho sakta hai.
Itikaf Ke Liye Roze ki shart
Itikaf ke liye roza rakhna shart nahi lehaza agar koyi shakhs roza nahi rakh sakta wo Itikaf karlen baghair roze ke.
Aur jo shakhs roza rakh sakta aur wo ramazan mein Itikaf kare to us par ramazan hone ki wajah se roza rakhna farz.
Wajib Itikaf yani nazar (mannat) ka Itikaf to us mein roza rakhna farz nahi hai.
Albatta agar nazar mannat ke waqt ye bhi dil mein mannat ho ke ho Itikaf ke sath-sath roza bhi rakhengi to roza rakhna wajib.
Mallickion ke zamane mein nazar (mannat) ke nifli aur wajib dono Itikaf ke liye roza rakhna shart hai.
Hanfiyon ke nazdeek wajib Itikaf yani nazar (mannat) Itikaf ke liye roza rakhna shart hai. Lekin nifli Itikaf ke liye roza rakhnna zaruri nahi hai. Albatta yeh ke ramazan ke mahina ho aur roza rakhne ki himmat wa taqat ho to us par roza rakh farz hai.
Ja-e-Itikaf Mein Dakhil Hone Ka Waqt
20 Ramazan-ul-Mubarak ki shaam ko Itikaf karne wala masjid mein pahuch jaye. Aur agle roz subha fajar ke baad Itikaf ki jagah mein dakhil ho jaye.
Itikaf Ki Fazilat Ehmiyat
“Ibraheem Wa Isma’il An tah-hira baitiya lit-taw ifeen wal’aa kifeena war-rukka’ais-sujood”.
“Aur Hamne Taakid Farmayi Ibrahim Wa Israil Ko Mera Ghar Khoob Suthra Karo Tawaaf Waalo’n Aur Itekaf Waalo’n Aur Ruku Wa Sujood Kay Liye”
(Surah Baqarah Ayat #125)
Is Ayat-e-mubarika se ye sabit hota hai ke ALLAH ke nazdeek Itikaf aur Itikaf karne walon ki ketni ehmiyat hai.
Duniyawi masle, masail masroof, nafsi khawahishat ke wajah se jo dil par zang jam chuki hai.
Hazrat Ibne Abbas R.A. se riwayat hai ke Sarkar-e-Do Alam ﷺ ne itikaf karne walon ke bare me irshad farmaya ke
m’uatkif tamam gunahon se mehfooz rahta hai aur usko is qadar sawab milta hai jaise koi shakhs tamam tar nekiyan kar raha ho.
Mishkaat Shareef
Hamara jism jo hamare nafs ka gulaam hota hai. Jo kaam nafs kahti hai wahi jism karta hai. Zarur dekhiye→ Acha Rishta Aane Ki Dua yaALLAH Testimonial
Itikaf ka maqsad jism ko bhi nafsaati khawahishat se azaadi dila na hai. Maslan ungliyun par tasbihat padhna, hothon ko ALLAH ke zikr mein harkat mein lana. Aur ankhon ko bhi is tarike se laga dena jaise ankh band kar ke zikr karna hai.
Is tarha kho jana ke Aap apne Aapko aisi duniya mein payenge jaha ALLAH ke zikr ka bol bala hota hai.
Ettekaaf ka khas maqsad yahi honi chahiye ke duniyawi masle masail se nikal kar khud ko apne rooh ko yaha tak ke apne jism rooh ko bhi ALLAH ki yaad mein daal dena hai. Zarur dekhiye→ Dua for Job Success-Powerful Wazifa to Get a Job Fast-Testimonials
Yani jismani taur par tu Aap Itikaf mein baith hi gaye lekin rooh, zehan, aur dil ko bhi ALLAH ke yaad-o-zirk mein mashroof karna hai.
Aur haraam kaamon se dil-o-dimag ko nikal kar ALLAH ki hamd-o-sana zikr mein jama dena hai. Apni hade bana leni hai ke Aapki jism ko hi nahi rooh ko bhi sukoon mil jaye.
Aur is tarha se jab Aap lagatar Itikaf mein apna waqt bitate rahenge to Aapka dil-o-dimag zehan jism aur Aapka rooh etna khalis (saaf) ho jayega.
Ke Aapko duniya ki koyi khabar hi nahi rahegi. Aur Aapko bahut itminan aur sukoon milega. Zarur dekhiye→ Cheenk Aane Ke Baad Ki Dua
Insha ALLAH isse Aapki jismani bimariyan bhi ALLAH Tabarak Wa Ta’ala apne fazlo karam se khatam farmayega aur dil ko sukoon mil jayega.
Ham nau-jawano ko bhi chahiye Itikaf mein zyada se zyada din ke liye baithne ki niyat karein.
Aur apne bhaiyo behno aur azeezon ko bhi iski etmiyat batayen aur Itikaf mein baith kar ALLAH ki ibadat ki salah den.
Iski barkat se ALLAH Aapko aur ham sab ko har pareshani se mahfooz rakhega. Ameen
Agar kisi khawateen ke haiz/maahwari ke din ane wale hai aur unka khas mann hai Itikaf mein baithne ka to wo tabeeb (doctor) ki salah se dawayi le kar Itikaf mein baith sakti hai.
Lekin agar khawateen ko pata ho ke haiz/maahwari ke din kal ya ane wale dusre teesre din tak hi aa jayenge to wo Itikaf mein na baithe.
Paak ho kar 7,5 ya 3 din bhi Itikaf mein baith sakti hai.
Agar Aapko hamare Itikaf ki post pasand aye to apne bhaiyon behno doston pyaron aur rishtedaron se zarur share karein take Aapko bhi iska azar-o-sawab mile. Zarur dekhiye→ Dua to Enter Home Ghar Me Dakhil Hone Ki Dua
Itikaf Ke Bare Mein Zaruri Masail
Itikaf se jude aurton ke kuch zaruri sawal bhi hote hai jinhe jan lena zaruri hai.
Kin haalaat itikaf chhod sakte hai?
Kya isme ghar ka kaam bhi kar sakte hai?
Kin halat mein itikaaf batil (khatm aur radd) ho jata hai? sab kuch janiye!
Sawal: Kya itikaf me aurat khana bana sakti hai?
Jawab: Behtar to yahi hota hai ke itikaf ke maqsad ko pura karen. Yani ALLAH ki ibadat karein. Aur bahot hi zaruri ho to khana banaye warna nahi.
Sawal: Kya Itikaf mein masjid se bahar nikal sakte hai?
Jawab: Agar koi tadbeer aisi ho sakti hai ke khud nikle baghair kam ho jaye to khud na nikle. Mamuli khatre se ghabrakar fauran nikal ana durust nahi.
Sawal: Agar koyi bhul se masjid se bahir nikal jaye to?
Jawab: Aise me uska itikaf radd ho jayega.
Sawal: Agar usko zabardasti masjid se nikala jaye to? Ya uska nikalna kisi majburi ke wajah se zaruri ho misal ke taur pe:
Jawab:
•Peshab ya pakhane ya ghusle jinabat ya ghusle istihaza ya ghusl mas-e-mayyat ke liye ho.
•Aur uska sabab uske ikhtiyar (raza-mandi) se hi ho.
Sawal: Kya Itikaf me Namaz-e-jummu’ah mein hazir ho sakta hai?Kya itikaf toot jayega?
Jawab: Ji han ho sakta hai isse itikaf nahi tootega.
Sawal: Kya Namaz-e-janaza mein shareek ho sakta hai? Kya isse bhi itikaf jari rahega?
Jawab: Ji han ho sakta hai isse itikaf jari rahega.
Sawal: Kya Mayyat ke ghusl aur kafan-dafan ke liye ja sakte hai?
Jawab: Ji han kar sakte hai.
Sawal: Kya bimar ki ayadat karne ke liye masjid se bahar ja sakte hai?
Jawab: Ji han ja sakte hai nikalna jayaz hai. Albatta dusre tamam kamon ke liye masjid se bahir nikal theek nahi. Lekin kuch zaruri aise kaam hai jinka pura karna bahut zaruri hai magar ehtiyat-e-lazmi se kiya jana lazmi hai.
Ehtiyat-e-lazmi yeh hai ke masjid se nikle to qareeb tareen (nazdeeki rasta) rasta ikhtiyat karein. Aur zarurat se zyada rukna nahi hai. Aur aise kamon mein mashghool hone se bachna jisse itikaf ki sirat baqi na rahe itikaf ko batil (radd) kar de.
Masjid se nikla hua ho to bahar aaye (chhaw) mein baithna jaiz nahi.
Ehtiyat-e-lazmi yeh bhi hai ke kaam pura ho jane ke baad mutlaqan (poori tarah se) bahar na baithe magar yeh ke majburi ho.
Sawal: Kya itikaaf mein batein kar sakte hai?
Jawab: Itikaaf mein mutkif ko batein karna ki mumaniyat to nahi hai. Magar fuzul ki baatein karna jayaz nahi. Bina zarurat masjid me duniya ki batein karne se nekiyan zaayah ho jati hai. Balki deen yani Qur’an aur hadees ki batein karenge to sawab hasil hoga.
Mutakif ko bila zarurat kisi shakhs ko mubah batein karne ke liye bulana aur batein karna makrooh hai. Aur khas isi gharaz se mehfilein jamana najayaz hai.
Shamiyah
Sawal: Kya iddat mein ramazan, sunnat, nifli ya nazar (mannat) ka itikaf ho sakta hai?
Jawab: Ji ha ho sakta hai.
Sawal: Kya Itikaf me hambistari kar sakte hai?
Jawab: Itikaf ki halat mein mutkif ko jan bujhkar ya bhulkar bhi ye kam nahi karna chahiye. Raat me ya din me ghar me ya masjid mein biwi ko bos-o-kinar hona yani kiss waghera karna. Ya phir shehwat se uske badan ko chhoona sab haram hai.
Daar-ul-Hikaam
Aur yahi batein khawateen ke liye bhi laazmi hai. Ke wo bhi apne shauhar ke sath itikaf ke dauran aisa qatayi nahi karein.
Itikaf Mein Kya Padhna Chahiye?
- Itikaaf me panch waqt namaz sahi waqt par padhni chahiye.
- Ramazan ke aakhiri (ashrah) das (10) raaton mein taak (21, 23, 25, 27, 29) raat mein (Laylatul-Qadr) talash kijiye. Itikaf mein rahte huye in raaton ki ibadat ki jaye to ALLAH Azzawajal Sare umar ke gunahon ko mu’af farmayega. Insha ALLAH. Yahan→ Laylatul Qadr Azkar-o-Ibadat dekhiye!
- Taraweeh ki namaz padhni chahiye mardo ko jamat ke sath masjid mein jaha wo itikaf mein baithe hai. Aur aurten sunnat taraweeh padh sakti hai jaha wo Itikaf mein baithi hai.
- Baki waqt Qur’an-e-kareem ki tilawat kar sakte hai. Chahen Tu tarjume ke sath padh sakte hai.
- Astaghfar kasrat se padh sakte hai.
- Chahen to ALLAH ke 99 namon ko tarjume ke sath yaad kar sakte hai.
- Zyada se zyada se der ALLAH se duayen mang sakte hai.
- ALLAH ki hamd-o-sana padh sakte.
- Qar’an-e-kareem ke jo sureh Aapko yaad nahi use yaad kar sakte.
- Raaton mein uth kar tahajjud ki namaz padh sakte hai. Apne gunahon par sharmindagi zahir kar ALLAH Tabarak Wa Ta’ala se apni maghfirat ki dua ki jaa sakti hai.
Yani ALLAH ki yaad mein hamd-o-sana aur tilawat mein reh kar zyada se zyada sawab kama sakte hai. Jo apne liye is duniya aur akhirat dono jahano mein fayede ka sabab banega.
Aur ALLAH Aapse razi ho jayega, Insha ALLAH.
Agar apko itikaf ke bare me ye post pasand aye to apnon se zarur share kijiyega, Jaza kALLAHU khair!
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Masla upar parhiye
kia koi lady agr aitkaaf main bethi ho ghar main to kia wo paan kha sakti hai?
pan khane ki aisi kya zarurat aan padi, parhez kare