Dreams are a part of sleep. Every single human dream. What we dreamt is sometimes meaningful. Islamic Dream Interpretation Meaning Khwab ki Tabeer is a fresh new post about the interpretation of the frequent dreams we see. → Dreams in Islam- Bure Khawab Se Bachne Ki Dua
Dream Types and What’s the Tabeer Khwab Interpretation
Khawab aur Unki Tabeer Janiye
Khwabon Ke Bare Mein Hadees
Hazrat Ibne ‘Umar R.A. Ne Huzur ﷺ se riwayat ki:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya achha khwab nabuwwat ke sattar (70) hisson mein se ek (1) hissa (sattarwaan 70/1 hissa) hai.
Saheeh AL-Muslim #5916
Abu Qatada Radi ALLAHU ‘Anhu ne bayan kiya:
Nabi-e-Kareem ﷺ ne farmaya achhe khwab ALLAH ki taraf se hote hai aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hai.
Saheeh Al-Bukhari #6984
Hazrat Anas Bin Malik Radi ALLAHu ‘Anhu ne bayan kiya ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya kisi nek aadmi ka achha khwab nabuwwat ka chhiyaleeswan hissa hai.
Saheeh Al-Bukhari #6983
Abu Sa’eed Al-Khudri Radi ALLAHu ‘Anhu ne bayan kiya:
Ke Unhone Rasoolullah ﷺ ko ye farmate hue suna ke jab tumme se koi aisa khwab dekhe ke jise wo pasand karta ho to wo ALLAH ki taraf se hota hai. Uspar ALLAH ki ‘hamd kare aur use bata dena chahiye lekin agar koi iske siwa koi aisa khwab dekhta hai jo ise napasand hai to ye shaitan ki taraf se hota hai pas uske sharr se panah mange pas uske sharr se panah mange aur kisi se aise khwab ka zikr na kare. Ye khwab ise kuch nuqsan nahi pahuncha sakega.
Saheeh Al-Bukhari #6985
Abu Hureira Radi ALLAHu ‘Anhu ne bayan kiya:
Ke maine Nab-e-Kareem ﷺ se suna Aapne farmaya ke jisne Mujhe khwab mein dekha to kisi din Mujhe bedaari mein bhi dekhega aur shaitan Meri surat mein nahi aa sakta. Abu Abdullah (Hazrat Imam Bukhari Rahmatullah ‘Alayhi) ne kaha ke Ibn Sireen ne bayan kiya ke jab Aan Hazrat ﷺ ko koi shakhs Aapki surat mein dekhe.
Saheeh Al-Bukhari #6993
Koi Doodh Ki Nami Dekhe Uski Pasli ya Nakhoon Mein
Hazrat Ibn ‘Umar Radi ALLAHu ‘Anhuma ne bayan kiya ke Maine Rasoolullah ﷺ se suna Aapne farmaya Main soya hua tha ke Mere pas doodh ka ek pyala laya gaya aur Maine uska doodh piya. Yahan tak ke uski sairabi ka asar Maine apne nakhoon mein zahir hota dekha. Uske bas Maine uska bacha hua de diya. Aapka ishara Hazrat ‘Umar Radi ALLAHu ‘Anhu ki taraf tha. Sahabah ne pucha Aapne iski tabeer kya ki ya Rasoolullah? Aan Hazrat ﷺ ne farmaya ke ‘Ilm.
Saheeh Al-Bukhari #7006
Alfazon Ke Hisab Se Khwabon Ki Tabeer
Misal ke taur par jaise ke aapne khwab mein “bacha” dekha to uski tabeer neeche sabse awwal wale link mein (akhir mein-B) maujood hai.
Aur agar khwab mein kisi ka bhi “chehra” dekha to uski tabeer uske neeche wale dusre wale link (akhir mein-C) mein maujood hai.
→ Har Khwab Ki Tabeer Online-A
→ Har Khwab Ki Tabeer Online-B
→ Har Khwab Ki Tabeer Online-C
→ Har Khwab Ki Tabeer Online-K
→ Har Khwab Ki Tabeer Online-N
→ Har Khwab Ki Tabeer Online-OP
→ Har Khwab Ki Tabeer Online-S
→ Har Khwab Ki Tabeer Online-TU
→ Har Khwab Ki Tabeer Online-VWX
Bahot jaldi apko tamam khwabon ki tabeer ke links yahan mil jayenge. Agar apko koi khwab aye jo yahan links mein maujood nahi hai. To hamein zarur bataye. Wo bhi update kar diye jayenge.
Namaz ki Barkat
Sawal. Maine khawab mein dekha ke main aur mere bhai ka sala ham dono masjid mein hain. Masjid ke andar din hai aur masjid ke bahar rat ka sama hai. Hamein masjid se bahar kisi zaruri kam se jana hota hai. Tou mere bhai ka sala kahta hai chalo bahar chalte hain. Main us se kahta hun ke sher aa jayega. Main nahi ja raha. Wo kahta hai ke nahi ayega, phir main us ke sath bahar chala jata hun.
Thodi dur hi chalte hain ke ek bada sa sher aa jata hai. Ham dar kar masjid ki taraf bhagte hain. Sher hamare piche bhagta hai magar pakad nahi pata. Jabke wo hamare bilkul qarib hota hai ke ek chalang mar kar hi pakad le. Lekin ham bal-bal bach jate hain. Mere bhai ka sala tou masjid mein pahle hi chala jata hai lekin main bad mein pauhanchta hun. Sher masjid ke darwaze ko bahar se dhakka de kar kholne ki koshish karta hai. Jab ke main darwaza band kar ke andar se kundi laga leta hun?
Jawab. Ap ke khawab ke mutabiq apko kisi bade hadse se namaz ki barkat ne bacha liya hai. Ap har namaz ke bad ek bar Ayat-ul-Kursi aur 119 bar ‘ya Hafeezu’ padh kar du’a kiya karein.
Khub Guzregi
Sawal. Khawab mein dekha malum nahi ke konsi masjid tameer ho rahi hai. Pahle apne doston ke sath hun tou wo log jo masjid tameer kar rahe hote hain, mujhe kahte hain ke masjid ki tameer kar do. Main kahti hun thik hai. Main aur meri dostein masjid ki tameer karti hain aur ek puri diwar khadi kar deti hain. Phir ham chale jate hain.
Ek hafte ke bad maine dekha ke Khana Ka’aba ki tameer ho rahi hoti hai. Arbi libas mein bohat se admi aur auratein hain aur wahan bohat bada mitti ka maidan hai. Wo log kahte hain ke maghrib ya phir isha ki azan hone wali hai. Jaldi se tameer kar dete hain, phir main bhi madad karti hun. Wahan bohat se gandum ke bore hote hain. phir gandum bikhar jati hai?
Jawab. Apke khawab ke mutabiq apko achhi azdawaji zindagi mayassar ane ka ishara hai. Agarche apke aur apke shohar ke mizaj mein faraq hoga.
Popular Posts
Zakhmi Angutha
Sawal. Khawab mein dekha ke jahan ham pahle rahte the. Us ghar ke bahar mein rikshe mein kisi ladke ke sath gayi hun. Ladka shayed mera jan-ne wala hai. Kahan gaye hain, pata nahi. Lekin ek aur ladke ne hamein pani pilaya.
Jab maine pani ke liye glass uthaya tou wo mere hath mein hi toot gaya. Aur mere dahne hath ke anguthe ki nas kat kar bahar nikal ayi. Lekin khoon nikalne ki bajaye mere anguthe se pani nikalna shuru ho gaya. Taqriban ek glass pani nikla. Iske bad khoon nikalna shuru hua jo ke band hi nahi ho raha hai aur mujhe sakht takleef ho rahi hai?
Jawab. Ap ke khawab ke mutabiq ap ke kisi bimari mein mubtala hone ka andesha hai. Ap fauri taur par sadqah dein aur astaghfar kasrat se padha karein.
Munasib Rishta
Sawal. Maine khawab mein dekha ke apne chacha ke ghar hun. Main, chacha aur phupha bahar charpayi par baithe hain. Meri (phupho ki ladki jise main pasand karta hun) wo bistar uthane ke liye bahar ati hai. Main use apna batwa deta hun. Wo wapas wo batwa mujhe de deti hai.
Main kahta hun itni nafrat achhi nahi. Kuch der bad chacha aur phupha bahar chale jate hain. Aur phir wo bad mein muj se kahti hai ke main ap se muhabbat karti hun. Phir meri ankh khul jati hai?
Jawab. Ap ke khawab ke mutabiq jis ladki ko ap pasand karte hain, agar munasib tariqe se aur baham mashware ke sath rishte ki bat aage badhayi jaye tou wo achhi shareek-e-hayat sabat ho sakti hai.
Ap ‘ya Lateefu ya Wadudu’ 200 bar padh kar du’a kar liya karein.
Buzurgo ki Arwaah
Sawal. Rat taqriban 2 se sadhe 3 ke darmeyan khawab dekha ke mere walid aur walidah aye hain (mere walid aur walidah ka intaqal us waqt hua jab main char sal ka tha). Meri walidah khamosh baithi thein jab ke mere walid mujh se kah rahe the ke tum ham se kabhi milne aye ho? Kabhi hamein yad kiya hai? Iske bad meri ankh khul gayi?
Jawab. Ap ke khawab mein ye ishara hai ke ap apne marhum buzurgo ke aisal-e-savab ke liye kuch nafli ibadaat aur sadqaat hadya kar diya karein. Niz agar ho sake tou kabhi kabhar unki qabron par bhi chale jaya karein. Sadaqah dene se balaye khatm hoti hai yahan→ Sadaqah Ki Dua dekhiye!
Khwab Me Saanp Dekhna Kaisa Hai?
Apne khwab me saanp dekhne ki kayi alamat ho sakti hai. Iski koi ek alamat zaruri nahi hai.
Agar koi shakhs apne khwab mein kisi bhi tarah ka bhale hi wo kaala ho ya safed yani saanp hi dekhe.
- To iski alamat aam taur par koi chhupa hua ya zahiri dushman hai.
- Ya koi aisa bhi ho sakta hai jo apke saamne apka dost bankar rahta ho. Lekin aapke peeth peechhe apki burayi karta phirta ho. Apki gheebat karta ho. Apko badnaam karte phirta ho. Aise log bhi chhupe dushman se kam nahi hote.
- Ya phir ye bhi ho sakta hai ke ye aap hi ke dimagh ki koi yaaddaast rah gayi ho. Zaruri nahi hai ke har khwab ki koi alamat hi ho. Aam taur par ye hamari hi dimaghi sochein ikaththi ho kar raat ko dimagh me ane lag jate hai.
Khwab Mein Apne Dant Ka Tutna Kaisa Hai?
Koi apne khwab me ye dekhta hai ke uske daant ya phir daarh munh se nikal gayi yani toot gayi hai. To iska matlab apne pyare rishtedaron mein se kisi ka inteqal hona hai.
Ab isme do batein paida hoti hai.
- Agar upar ke daant ya daarh tooti hai to dadihaal walon ki taraf se kisi ka inteqal ho sakta hai. Magar ye zaruri nahi ye alamat sach ho hi jaye.
- Agar neeche ke daant ya daarh tooti hai to nanihaal walon ki taraf se kisi ki maut hone ka andesha ho sakta hai. Lekin in baton ka matlab ye nahi ke ye alamat sahi sabit ho.
Must Read
- What’s the Purpose of Life, Any Wish Fulfilling 1 Day Mantra
- Symptoms of The Day of Resurrection in Islam Nishaniyan Asar e Qayamat
- Quran Prayer for Protection Safety Hifazat Ki Dua in Hadees
Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
AOA,
2-3 din pehlay meinay 2 khuwab ki tabeer pochi thi per ab mujhe apney woh do post kahin bhi nazar nai arahay.. Mein jawab ka intezar kar rahi hun please mujhe bataein woh q show nai horahay kahin bhi.
apka khwab bataye sis.
AOA,
Meinay kuch saal pehlay khuwab dekha tha mein jis banday say nikah ki khuwaishmand hun woh ek shaks ky sath masjid ky bahir chaltay huway jarahay hain or woh Muhammad SAW hoty hain or woh ap SAW ko bolty hain she belongs to me.. Mein wahin thora dur khari hoti hun or mein bas unko ek admi say bt karta huwa dekhti hun or mere dil mey yeh hota hai ky woh Ap SAW hain mein shakal nai dekhti per unhoney blue color ka shalwar kameez pehna hota hai…
Mujhe is khuwab ka matlb bataein pls jahan mein nikah karna chahati hun uaky ghar walay is rishtay say razi nai q ky woh apney beitay ki shadi hi nai karna chahaty… Ek dafa rishta dala or phr mana kardia jiski wajasay meri family bhi ab razi nai is rishtay ky liye meri us banday say ab bt nai hoti per bar bar khayal ata hai is khuwab ka ky yeh khuwab ka kia matlb tha kia meinay jisko khuwab mey dekha tha woh sach mey Muhammad SAW thy or unko uska yeh kehna ky she belongs to me is ka kia matlb hai?
Khwab mein marte hue insan ko pani pilana aur pani pene ke baad marjaye – Tabeer bataiye
sahi se alamat nahi milti lekin araam aur khushi ho sakti hai.