Ilm Mein Izafa Ki Dua

‘Ilm hasil karna aj kitna zaruri ho gaya hai. Is post mein ham seekhenge ‘ilm me izafa ki dua Aur ‘ilm ki dua unhi ke liye hai jinhe ‘ilm seekhne ka shauq-o-zauq hai. Ke jiske baghair duniya mein guzara bhi nahi. Duniya aur akhirat dono ko banane ke liye deen ka ‘ilm hona laazmi hai.

Ilm Mein Izafa Ki Dua

Maine ek bada hi aam sawal ka bahot dilchasp jawab ek deen ki kitaab mein parha.

Bade hi ghaur se parhiyega, ye ta’umr kam ane wali baat hai.

Kisi aam adna gunehgar insan ne ek aalim se sawal poocha.

‘Ilm kya hai?

Unhone ne jawab diya,

“Kisi bhi shay ke bare mein sahi-sahi jankari. Chahe wo duniya ki ho ya akhirat ki.”

Phir us adna se gunehgar insan se dusre aalim se thik yahi sawal poocha. Sawal apko aage batane se pahle ek bahot hi zaruri bat main yahan apko ye bata doon. Zarur dekhiye→ Nakhun Katne Ka Sunnat Tarika

Ke jiska jitna aur jis martabe ka ‘ilm hota hai uska jawab bhi thik-thik waisa hi hota hai.

Dusre ‘aalim ne jawab daryaft farmaya,

‘Ilm wo hota hai jo gunehgar ko gunah ka ehsas karwaye!

Chaliye apke liye is jawab ko thoda tafseel se samjha doon. Kyonke jab mujhe ye samajh aya tha to is jawab ne meri poori duniya hi badal di thi, Alhamdulillah!

‘Ilm wo hota hai jo kisi bhi insan ko ye sikhaye ke jo gunah wo karta hai wo kitna sangeen hai.  Chaliye ek misal le lete hai. Zarur dekhiye→ Sar Dard Ki Dua

Jab kisi zinakhor ko ye ‘ilm ho jaye ke zina karne ka anjam kitna bura hai. Yani iska azab kitna bada hai. Aur is gunah se ALLAH ki kitna sangeen narazgi hasil hoti hai. Tab hi to gunah ko tark (chhorhne) ke bare mein kabhi wo sochega.

Jab tak in tamam baton ka use ‘ilm na hoga tab tak wo kaise is gunah ko tark karne ke bare mein sochega.

Halanki hidayat to sirf ALLAH Ta’ala hi ki taraf se milti hai.

To doston un aalim ke jawab ke mutabiq ‘ilm wo hota hai jo gunah aur nekiyon ka ehsas karwa de. Subhan ALLAH!

Warna logon ko zindagi bhar gunah karne ki aisi adat ho jati hai ke wo ye bhi bhool jate hai ke iska azaab kitna sangeen hai.

ALLAH ham sab ko gunah se mehfooz rakhe, Ameen!

‘Ilm Hasil Karne Ke Liye Farman-e-Alishan

Ilm ka Islam mein bohot martaba hai, ALLAH ke Nabie huzoor-e- Aqdas Mohammad Mustafa SallalALLAHu’Alayhe wasallam farmate hain ke; “Ilm hasil karna har musalman par farz hai.”

(Mishkat Page: 24)

Ilm Hasil Karna Akhir Kyun Zaruri Hai?

Ilm hone se insan ko ache aur bure ki pehchan hoti hai. Ilm wala insan duniya ka har kaam saliqe aur hunarmandi se karne ki salahiyat rakhta hai. Zarur dekhiye→ Ehsas e Kamtari Ka Wazifa

Ilm ki roshni hasil karne ke ba’d insan ke andar aql wo sha’oor ka ek aisa irtiqai amal shuru ho jata hai jis ke zariye insan sitaron par kamand dalne lagta hai chand aur deegar sayaron ko tashkheer karne ki amli jaddo jahad karne lagta hai.

Samandar ka seena cheer kar aise apna musakhhar bana leta hai. Pahadon ki sar bafalak bulandiyon ko apne pairon par jhukne ko majboor kar deta hai.

Fizaon mein parwaz karta hua dino ko fasla ghanto mein tay kar leta hai. Aur yeh sab kuch ilm hasil karne se hi sar anjaam hota hai.

Sahibe ilm ko kehte hain ke yeh ankhon wala hai. Aur anpadh ko kehte hain ke yeh ankhon ke hote huye bhi nabina hai.

Is ki yehi wajah hai ke padha likha insan koi bhi kitab ya akhbar ya kuchh bhi likha hua padh sakta hai lekin is ke bad aks ilm se nabild insan koi bhi kitab ya akhbar nahi padh sakta.

Isliye woh qudrat ki ‘ata karda n’emat ya’ni ankhon ke hote huye bhi bekar aur majboor hai aur kuch nahi padh sakta.

ALLAH ajjwazal Quran pak mein farmate hain,

“ALLAH Ta’la yaqeenan un logon ko jo tum-me se imaan laye, aur jinhone ilm hasil kia unke darjaat buland karke rahega.”

(Qur’an-e-Pak | Surah Al-Mujadilah | Ayat 11)

ilm ki dua

Ilm Me Izafa Ki Du’a Kya Hai? Dua #1

Kisi bhi chhote bachche ko padhai shuru karne se pehle ye du’a padhayen ya khud uspar padh kar dam kar den. Insha ALLAH ta’la ilm ki manzil ba tariqe ehsan tay kar lega aur use koi mushkil pesh nahi ayegi. Zarur dekhiye→ Sadaqah Ki Dua

Rabbi Zidni ‘Ilma

रबी ज़िद-नी ‘इल्मा

Tarjuma: Ae Mere Rabb Mere ‘Ilm Mein Izafa Kar De

ऐ मेरे रब्ब मेरे इल्म में इज़ाफाह कर दे

Bazahir yeh du’a bohot mukhtasar hai, lekin afadiyat ke lihaz se bepanah fazail ki hasil hai, is du’a ko parhne se pehle awwal akhir teen (3) dafa durood paak zarur parhen.

Ilm Me Izafa Ki Dua #2

Ilm aur rizq dono hasil karne ke bare mein ek pyari Hadees-e-Mubarika:

Umme Salma R.A. se riwayat hai ki Rasool ALLAH ﷺ jab namaz-e-fajr (subah) me salaam pherte to uske baad ye dua parhte:

“ALLAHumma Inni As-aluka ‘Ilman Nafia’an, Wa Rizqan Tayyiban Wa ‘Amalan Mutaqabbalan

“अल्लाहुम्मा इन्नी अस-अलुका इल-मन नाफ़ि’अन व-रिज़-क़न तय्यिबन व ‘अ-मलन मु-तक़ब्बलन”

Ae ALLAH! Main TUJHSE Nafah Dene Wale ‘Ilm Aur Pakeeza Rizq Aur Qubool Hone Wale Amal Ka Sawal Karta Hoon!

ऐ अल्लाह! मैंने तुझसे नफह देने वाले ‘इल्म और पाकीज़ा रिज़्क़ और कुबूल होने वाले अमल का सवाल करता हूँ!

Ye dua ‘ilm aur rizq dono me barkat aur izafa ke liye hai.

Sunan Ibn Majah | Hadees Number 925

Agar apko ye post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

44 Comments on “Ilm Mein Izafa Ki Dua”

  1. agar 7 mubeen wazifa jo apka h wo shuru k k 14 date tako ko prh skte h to agr mn yeh kch din phrti hn or phir kisi wjah se prhna jaiz nhi h mera or 14 date b us wjah se gzr jye to kia dsre mah start krna parega? plz plz btye mene bht se cmnts kiye h rply nhi arha kisi ka

  2. Assalamualaikum
    Sir hmre Bhai ka piles ka operation 3tumes hua phir v recover nai hore or dusre dusre bimari se tabyth or khrb hori din ba din Aisa q
    Kuch na kuch hora hi unko

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *