Insan ghaltiyon ki putla hai. Kuch ghaltiyan gunahon me tabdeel ho jati hai. Gunah har ek shakhs jo is duniya mein aya hai uski zindagi mein kabhi na kabhi wo kar hi beth ta hai. Kaise ham apne gunahon ki ALLAH se maafi lein aur wo namaz jo salatul taubah kehlati hai How to Pray Salat Tauba-Salatul Taubah Ki Namaz Ka Tarika is post mein tafseel se parhenge.
How to Perform Salat Al Tawbah-Taubah ki Namaz ka Tarika
﷽
Bismillah hirRahmaan nirRaheem
With The Name of ALLAH, The Gracious and The Merciful
SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam
Kabira Aur Saghira Gunah
Insan kabhi durust nahi hua hai. Chahe wo kitna hi sahi aur durust kisi kam ko kar le. Ghaltiya karna uski fitrat rahi hai. Lekin jab wo ghaltiyan jo badi hoti hai aur gunahon mein tabdeel hona shuru ho jati hai. Gunah har ek shakhs jo is duniya mein aya hai uski zindagi mein kabhi na kabhi wo kar hi beth ta hai.
Popualar yaALLAH Dua Wazaif
To phir insan ko fikrmand hona chahiye. Lekin faqat fikr mand hona hi kafi nahi. Un gunahon ki muafi talab karna behad laazmi hai. Har ek roz wo jeeta hai aur har ek zindagi wo roz jo usne jiya gunah se maafi ki dua karte hue guzarna chahiye. Yani zindagi jeete-jeete ALLAH se apne gunahon se tauba ki dua karte rahna rozmarra ka mamool ban jana chahiye.
Kabira gunahon ki maafi aur baqi tamam chhote-chhote gunahon se tauba ki maafi dono hi hasil karna aham hai. Har ek gunah jo insan ne kiya hai uski pakad hogi yawm-ul-akhirah par. To aapne chahe saghira ya phir kabira har ek gunah jo bhi jaanka ya anjane mein kiya uski maafi hasil kar lena laazmi hai. Beshak ALLAH maaf karne wala hai. ALLAH GhafoorRaheem hai.
Aur agar kisi shakhs se zina jaise gunah jo gunah-e-kabeera hai, hua hai. To fauran ALLAH se mafi mangiye aur zina se maafi ki dua kijiye.
Saghira Gunah ese chhote-chhote gunah hote hai jo ham hamari ibadat ki barkaat ke zariye maaf karva lete hai.
Kabira Gunah wo gunah bade gunah hote hai. Ese gunah jab maaf nahi hote jab tak ke ham khoob dil se nadamat zahir na karein. Aur apne sache dil se unhe na karne ki taubah na karlein. Sath-sath ese kabira gunahon ko ta-umr na karne ka ahad karein.
Gunah e Kabira ki List in Urdu
List of 75 Gunah e Kabira in Roman Urdu
- ALLAH ke sath kisi ko shumaar karna yani shirk karna.
- Kisi ka qatl kar dena.
- Jadu-tona karna.
- Namaz tark karna.
- Kabhi zakat ada na karna.
- Musalman ko takleef ya gali dena.
- Ramzan ke roze bila jayaz wajuhat ke chhorna.
- Hajj karne ke haisiyat hone ke ba wujood Haj par na jana.
- Apne waledain ki nafarmani karna.
- Apne qareebi rishtey daaron se qata’a ta’alluq karna aur sila rehmi se parhez karna.
- Zinakhori.
- Loot AlayhisSalam ki Qaum ke amal karna.
- Sood lena aur dena. Yani byaj ka len-den karna.
- Kisi yateem ka maal harap kar jana ya khana.
- ALLAH aur Rasool SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam par jhoot bolna.
- Maidan e jung se ghayab ya faraar ho jana.
- Haakim e waqt ka ri’aaya ko dhoka dena aur un par zulm karna.
- Guroor karna aur badi-badi deengen maarna yani fekna.
- Kisi ki jhooti gawahi dena.
- Sharab khori.
- Jua khelna.
- Paak daman khawateen par tohmat aur ilzam lagana.
- Maal e ghaneemat me khayanat karna.
- Chori karna.
- Daaka dalna.
- Mardon ka sona ya resham pehenna.
- Ghulam ka bhaag jana.
- Jhooti qasam khana.
- Zulm aur zyadti karna.
- Hafta wasooli yani gunde jo tax wasool karte hai.
- Haram ka khana.
- Nasb ka taana dena.
- Mayyat par noha karna.
- Zameen ke nishanaat mitana.
- Khudkushi karna. Khud hi mar jana.
- Aksar am taur par baton me jhoot bolna.
- ALLAH ke qanoon se hat kar faisla karna.
- Faisla karne par rishwat lena.
- Jins e mukhalif ki mushabihat ikhtiyar karna.
- Dayyoosi ikhtiyar karna yani apne ghar walon mein akhlaqi burayi (zina) ko bardaasht karna.
- Halala karney wala aur halala karwaney wala dono.
- Peeshaab kay chheenton sey perhez na karna.
- Jaanwaron kay munh par daagh lagana.
- ALLAH ki tadbeero’n se be-khauf hona.
- ALLAH ki rehmat se mayoos hona.
- Musalman ko kafir kehna.
- Khayaanat karna.
- Ehsaan jatana ya dikhana.
- Taqdeer ko jhutlana.
- Logon ki posheeda baton ki toh lagana. Unki chhupe hue raaz ko janne ki koshish karna.
- Chughli karna.
- Bilawajah laanat karna.
- Dhokebaazi aur wada khilafi.
- Najoomi aur kahan ki tasdeeq karna.
- Shauhat ki nafarmani karna.
- Bila zaroorat tasweer banana.
- Museebat ke waqt tamaachey marna, noha karna, khud ke kapre pharna, sar kay baalon ko mundwa dena, baalon ko nochna, halaakat aur tabahee ki baddua’en dena.
- Duniya ke husool ke liye ilm hasil karna aur ilm ko chupana.
- Zulm aur sarkashi karna.
- Kamzor ghulam, laundi, biwi ya jaanwar par zulm karna.
- Parosi ko takleef dena.
- Takabbur ya baraee ki gharz sey tehband ya pant takhnon se neeche karke rakhna.
- Sone chaandi kay bartanon mein khana peena.
- Ghair ALLAH ke naam per zibah karna.
- Jaan boojh kar haqeeqi nasb ka izhar karna.
- Jhagraloo pan ka muzahira karna.
- Izaafi pani rok lena.
- Tol me kam charana ya kam naapna.
- Murdaar ya khinzeer ka gosht khana.
- Juma’a aur farz namaz ko tark kardena.
- Ba jama’at ki bajaey tanha namaz parhna.
- Dhoka aur fareeb karna.
- Sahaba karam mein se kisi ko gaali dena.
- Ghalat faisla karne wala qazi.
- Jhagre ke dauran gaaliyan dena.
Kinhe yaALLAH Dua Wazaif Se Faydah Hua?
- Dua for Job Success-Powerful Wazifa to Get a Job Fast-Testimonials
- Strong Wazifa for Love-Testimonial on ya ALLAH Website
Muslim Dating Halal Wazifa for Love ya ALLAH Website Testimonials
Chaliye ab Saghira aur Kabira donon tarah ki gunahon se maafi kaise maangni hai ye dekhte hai. salatul tasbih ki namaz ka tarika padhte hai.
Salatul Taubah Parhne ka Tarika in Roman English
Salatul taubah parhne ka tarika shariat me kahin batlaya nahi gaya hai. Aur ye namaz haqiiqatan taubah nahi hai. Esi koi gunah ki mafi ki namaz khas ki hidayat nahi di gayi hai. Ha agar momin chahe to gunah ki maafi ke liye namaz parh sakta hai. Jise ham salatul taubah kahte hai.
- Jaise dusri namaz makruh waqt mein nahi hoti hai thik wese hi salatul taubah ko makruh waqt mein nahi parhna hai. Is waqt ke ilava kabhi bhi aap is salatul taubah ki namaz ko ada kar sakte hai.
- Is namaz ko ada karne se qabl pahle khusoosi taur par gunah se maafi ke liye niyat kar lijiye.
- Namaz tauba ki niyat ye karni hai- Niyat karta hu main 2 rakat namaz salatul taubah ki, waaste ALLAH T’ala ke, muh mera taraf Qaba Shareef ke, apne tamam saghira aur kabira gunahon ki maafi ke liye. ALLAHU Akbar kehkar haath bandh lijiye.
- Phir jaise do (2) rakat namaz ada karte hai wese hi parhiye.
- Chahe to Surah Fatiha ke bad koi bhi surat jaise awwal rakat mein Surah Ikhlas teen (3) martaba. Aur dusri rakat mein teen (3) martaba Surah Naas bhi parh sakte hai.
- Phir, ap dono haath uthakar aansu bahakar khoob dil se ALLAH se maafi mangne ki dua kar sakte hai. Dua kijiye ke aap apne gunahon ki maafi chahte hai. Jo bhi gunaah chahe wo saghira ho ya phir kabira unse ALLAH apko maaf kar de. Ap chahe to niche di hui Dua istighfar bhi parh sakte hai. Aur ALLAH se toba qabool hone ki dua kijiye.
- Iske saath-saath teen (3) sharait ka khas khayal rakhiyega:
- Apne gunahon par nadamat, sharmingdi aur ghusse ka izhar karein. Ke akhir mene esa gunah kyu kiya.
- Aayindah gunah na karne ka ahad aur iska pukhta irada kijiye.
- Ye irada sirf aur sirf ALLAH hi ke dar se ho duniya ke dar se qatayi na ho.
Tauba Qabool Hone ki Nishani-Tauba Ki Qubooliyat Ki Alamaat
- Awwal alamat, jhut se ghibat fuzuool chizon se chugli se ya jo bhi gunah hai us gunah se wo ruk gaya ho. ALLAH ki zikr me zuban bol rahi ho. Tanhayi me zikr karne wala ho. Quran parhne wala ho ye hai wo insan jiski taubha ko ALLAH ne qubool kiya.
- Dusri alamat, apne dil me kisi musalman ke liye adawat yani dushmani na rakhta ho. ya hasad nahi paa raha ho. kisi musalman ke liye nafrat na ho. Bughz na ho. Agar ye kaifiyat hasil hai to samjho ke iski taubah qubool hogyi.
- Teesri alamat, ye hai ke bure doston ko chhor de, buri sohbat ko tark kar de. Buri majlis ko tark kar de. Wo sohbatein jo gunaahon ki janib le jati hai unse picha chhura le. Wo gunaho ko sohbat jo nafarmaniyon ki taraf le jati hai. Unhe chhor de.
- Chauthi alamat, Maut ki tayari kar raha ho. Jo gunah hue uspar istaghfar kar raha ho aurapne nafs ko ALLAH ki ibadat mein zikr mein thaka raha ho.
Ghaur Talab:
- Sirf salatul taubah namaz parhne se gunah maaf ho zaruri nahi. Han, is taubah karne par aap sabit rahiyega aur niyat karein ke gunahon ki taubah hi ke liye aapne salatul taubah ada ki hai.
- Khawateen salatul taubah ki namaz ko haiz/maahwari mein qatayi nahi parhein.
More Dua Wazaif
Salat Al Tauba Namaz in Urdu
صلات التوبہ پڑھنے کا طریقہ
صلات التوبہ پڑھنے کا طریقہ شریعت میں کہیں بتلایا نہیں گیا ہے۔ اور یہ نماز حقیقتاً توبہ نہیں ہے۔ گناہ کی معافی کے لئے ایسی کوئی نمازِ خاص کی ہدایت ہیں دی گئی ہے۔ ہاں اگر مومن چاہے تو وہ گناہ کی معافی کے لئے نماز پڑھ سکتا ہے۔ جسے ہم صلات التوبہ کہتے ہیں۔
Salatul Taubah Ki Namaz Ka Tarika in Urdu
جیسے دوسری نماز مکروہ وقت میں نہیں ہوتی ہے ٹھیک ویسے ہی صلات التوبہ کو مکروہ وقت میں نہیں پڑھ سکتے۔ اس وقت کے علاوہ کبھی بھی آپ صلات التوبہ کی نماز کو ادا کر سکتے ہیں۔ اس نماز کو ادا کرنے سے قبل خصوصی طور پر گناہ سے معافی کے لئے نیت کر لیجیئے۔
نمازِ توبہ کی نیت یہ کرنی ہے۔ نیت کرتا/کرتی ہوں میں دو (۲) رکعت صلات التوبہ کی، واسطے اللّٰه تعالٰی کے، منہ میرا طرف کعبہ شریف کے، اپنے تمام صغیرہ و کبیرہ گناہوں کی معافی کے لئے۔ اللّٰهُ اَکبر کہہ کر ہاتھ باندھ لیجیئے۔
پھر جیسے دو (۲) رکعت نماز ادا کرتے ہیں ویسے ہی پڑھیئے۔
چاہیں تو سورہ فاتحہ کے بعد کوئی بھی سورہ جیسے پہلی رکعت میں سورہ اخلاص تین (٣) مرتبہ پڑھ سکتے ہیں۔ اور دوسری رکعت میں سورہ الناس تین (٣) مرتبہ پڑھ سکتے ہیں۔
پھر آپ دونوں ہاتھ اٹھا کر آنسو بہا کر خوب دل سے اللّٰه تعالٰی سے اپنے گناہوں کی معافی کی دعا مانگ سکتے ہیں۔ دعا کیجیئے کہ آپ اپنے گناہوں کی معافی چاہتے ہیں۔ جو بھی گناہ چاہے وہ صغیرہ ہوں یا کبیرہ، ان کی اللّٰه تعالٰی آپ کو معافی دے دے۔ آپ چاہیں تو یہاں دی گئی استغفار کی دعا بھی پڑھ سکتے ہیں۔ سید الاستغفار آپ اوپر دی گئی تصویر میں بھی دیکھ سکتے ہیں۔
غور طلب: خواتین اس عمل کو حیض/ ماہواری میں نہیں کریں۔
How to Pray Salat Tauba-Salatul Taubah Ki Namaz Ka Tarika
Salat Al Tawbah Prayer in English
I received a lot of queries regarding how to perform istighfar. I always provide them this link- Prayer for Forgiveness Astaghfar in Islam. Even though they keep asking me about the salat for asking forgiveness. Therefore, I am now publishing a lovely prayer to ask ALLAH for forgiveness.
Humans are prone to errors. They make mistakes. Many-a-times these mistakes transform into sins. Sins, the small one and the bigger one. The general sins are known as Saghira Sins. The bigger sins are known as Kabeera Sins.
How to Perform Salatul Taubah Step by Step?
There nothing specific mention in shariah regarding salat al tawbah. But a sinner can seek repentance through this repentance prayer in Islam. It is good that a sinner has felt guilty of the sins he committed. The most important factor in this prayer of repentance is niyyat for salat al tawbah. The intention behind this.
Now, you might got a question How to Perform Salat Al Tauba? Let us have a look at the process of salat al tawbah prayer in Islam.
How to do Tawbah Prayer?
- Every day, just like other obligatory prayers one cannot offer salat al tawbah on abhorrent timings. Except for these abhorrent timings, one can offer at any time.
- One must specifically make an intention of asking ALLAH for forgiveness of sins he committed.
- Niyyat for salat al tawbah is- Niyat karta hu main 2 rakat namaz salatul taubah ki, waaste ALLAH T’ala ke, muh mera taraf Qaba Shareef ke, apne tamam saghira aur kabira gunahon ki maafi ke liye. ALLAHU Akbar kehkar haath bandh lijiye.
- Then, offer two (2) rakat prayer as you offer normally.
- After Surah Fatiha, one can also read any surah, for example- in first rakat one can recite Surah Ikhlas three (3) times. And in the second rakat three (3) times Surah Naas.
- After, prayer the entire two (2) rakat prayers. Raise your both the hands and pray for forgiveness of sins. Ask to ALLAH to let you forgive for whatever sins you committed in the past. Ask for forgiveness of Sagheera and Kabeera both types of sins that you committed earlier in your life. You can also recite Dua Istighafar written below.
- Along with this, one must take care of these three (3) things:
- One must feel guilty of sins he committed in the past. Show your repentance which you should truly have in your heart. Show your anger on the sins you committed.
- Making a promise to ALLAH that you will never ever repeat these sins again in future.
- You should make these decisions, intentions and resolutions due to the fear of ALLAH only.
Important Note:
- It is not necessary that one’s sins will be forgiven through salat al tawbah prayers. Definitely, if you will your promise to ALLAH and refrained yourself from all these sins in future. And you have an intention of seeking forgiveness then Insha ALLAH your entire sins will be forgiven, Ameen.
- Females should not offer this prayer during their menses/periods.
More Reads
- Har Dua Qabool Hone Ki Dua-Juma K Din Ka Wazifa For Hajat
- One Time Wazifa for Hajat-Dua to Fulfill a Wish Immediately-Hajat Ki Dua
‘Sayyid Al Istigfar’ The best Dua for the forgiveness of Sins:
One can recite the above dua Sayyidil Istighfar while making a dua for forgiveness of sins.
Koi shakhs salatul hajat ki namaz ke bad jab dua kare to sayyidil istighfar ki dua jo upar di hui hai use parh sakta hai.
Shaddad ibn Aws narrated that the Prophet SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam said:
“The most superior request for forgiveness is to say:
‘ALLAHUmma anta rabbee laa Ilaaha illaa ant. Anta khalaqtanee wa ana ‘abduka wa ana ‘alaa ‘ahdika wa w’adikamastata’tu. A’oozu bika min sharri ma sana’t. Aboo’u laka bi ni’matika alayya wa aboo’u laka bi zambee. Faghfir lee. Fa innahoo laa yaghfiruz-zunooba illaa ant.’
[O ALLAH, You are my Lord. There is no god besides You. You created me and I am Your servant, following your covenant and [my] promise to you as much as I can. I seek refuge in You from the evil that I have done. Before You I acknowledge Your blessings bestowed upon me and I confess my sins to You. So forgive me, for surely no one can forgive sins except You.]
The Prophet SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam then added, ‘anyone who recite this during the day, firmly believing in it, and dies before the evening;
or says it in the evening, firmly believing in it, and dies before the following morning, will be among the people of paradise.’ ”
Sahih Al-Bukhari:8, 75, 318, at-Tirmidhi: 3393, An-Nasa’i: 5522, Ahmad: 16662
Salaam bhai, I have been married for 16 years Allhumdullilah have 2 boys 15 and 11. My mother in law never ler me have kids and caused so much trouble but Allhumdullilah I had to boys. I wanted more kids but my mother Ron law told my husband no. But after so many years my husband has changed and believes everything that happened in past was his mum and not me. So we tried for another baby I had a miscarriage at 12 weeks and 5 weeks and now Allhumdullilah im pregnant again but I am scared I will have a miscarriage again. Can you give me something to read for safe and healthy baby please. Jzk
You can perform this wazifa for having a safe and healthy baby- https://www.yaallah.in/hamal-ki-hifazat-ke-liye-taweez
Kya apne gunnahon ki saza ka khof aur Allah ka na maaf karne ka khof tawba mai ata hai?
Assalam o Alaikum
Aap ke dil mai Khauf e Khuda hai to yeh maafi mai hi ata hai lekin is baat ka yaqeen rakhen ke ALLAH maaf zaroor farmaega.
Tahajjud ke waqt ye namaz padh sakte hai?
Ji han parh sakte hain.
assalam o alaikum mera illaj chal raha hai ek aamil se wo 3000 rupe mang rahe hain mere paas ek rupia bh nahi koi allah ka naik banda mri madad kr skta tw mjhse rabta krle jazakallah
Aap bataiye aapka masla kya hai. Ham fee sabeelillah kam karte hain sis.