Hisar Banane Ka Tarika

Hisar banane ka tarika bahut hi aasan aur dilchasp hai. Hisar ke bare mein aksar ye ghalatfahmi payi jati hai ke ye ek khatarnaak amal hai. Jabke haqeeqat kuch aur hi hai. Jo log hisar ka asli matlab nahi jante wo iski fayede se bhi mahroom hain. Aise tamam logon ke liye hisar ka asli mafhoom (matlab) aur fayede bayan kiye deta hun.

Ek Dam Durust Aur Taqatwar Hisar Banane Ka Tarika

Hisar Banane Ka Tarika

Jiske paar koi bhi shaitani cheez na aa sakegi.

Hisar Hota Kya Hai aur Iska Asli Matlab Kya Hai?

Kayi bar log ise hisar-e-azam bhi kahte hai.

Hisar ke lughwi (asli) mani mahsoor karne ke hain yani ghera bandi aur qila bandi karne ke hain. Aasan lafzon me hisar se murad hai charon taraf se gher lena, qaid kar lena. Istilaahi mafhoom (istilah mein matlab) kuch yun hai ke hifazat ke liye apne aapko ek dayere me mahsoor (qaid) kar lena. Zarur dekhiye→ Rishta Pakka Hone Ki Dua

Ek Misal

Jaise ek badshah apni hifazat ke liye qile/mahal ki qila bandi karta hai. Taa ke dushman kisi bhi taraf se uspar hamla na kar sake. Ya jaise ek kisan apne khet/faslon ke charon taraf baad lagata hai taa ke koi janwar uski faslon ko tabah na kar sake. Theek aise hi hisar ke zariye insan har zee rooh (makhlooq) ke shar se bachne ke liye apne aap ko ALLAH ki panah mein de kar kulli (mukammal taur par) mahfuz ho jata hai. Ye bhi dekhiye→ Bismillah Hirrahman Nirrahim Kya Hai?

Hisar Banate Kyun Hain?

Hisar banane ki kayi wujoohaat ho sakti hain jaisa ke:

  1. Shaitani chizon ke nuqsan se hifazat ke liye

  2. Jinnat se hifazat ke liye

  3. Sifli/Kala jadu se hifazat ke liye

  4. Wazifa ke dauran rujjat se hifazat ke liye

  5. Dar aur wahshat (khauf) se hifazat ke liye

  6. Moozi (khatarnak) janwaro se hifazat ke liye
  7. Jani-o-maali nuqsan se hifazat ke liye

Shaitani chizon ke nuqsan se hifazat ke liye

Shaitan ka kaam hi insan ko bahkaana aur uska nuqsan karna hai. Isliye shaitani waswason aur shaitani kamon se bachne ke liye hisar banaya ja sakta hai. Zarur dekhiye→ Dawat Khane Ki Dua

Jinnat se hifazat ke liye

Jinnat, bhoot pareet aur chudailon se hifazat ke liye hisar banaya ja sakta hai.

Sifli Se Hifazat Ke Liye

Sifli/kala jadu se hifazat ke liye hisar banaya ja sakta hai.

Wazifa Ke Dauran Rujjat Se Hifazat Ke Liye

Koi wazifa ya amal parhne se pahle hisar banana na sirf aamil ki bairooni (bahar wali) taqaton se hifazat karta hai balki amal ke asraat ki rujjat se bhi hifazat karta hai. Yani amal ke asraat ko bigarne aur ulta hone se bachata hai. Jise rujjat bhi kahte hai. Zarur dekhiye→ Surma Lagane Ki Dua

  • Dar Aur Wahshat (Khauf) Se Hifazat Ke Liye

Dar aur khauf se nijat pane ke liye hisar banaya ja sakta hai.

  • Moozi (Khatarnak) Janwaro Se Hifazat Ke Liye

Moozi (khatarnak) jaan lewa janwar jaisa ke sanp bichchu waghaira se hifazat ke liye bhi hisar banaya ja sakta hai.

  • Jani-o-Maali Nuqsan Se Hifazat Ke Liye

Har tarah ke jani aur maali nuqsan (loot maar, chori, daketi) se hifazat ke liye bhi hisar banaya ja sakta hai.

Hifazati Hisar Banane Ka Tarika 1

Hisar banane ka tarika sunne mein shayad apko mushkil lage. Magar ek dam asan hai.

  1. Sabse pahle wuzu bana lijiye.

  2. Ek (1) martaba Ta’ooz yani Aa-‘oozu Billahi Minashshaitaanir Rajeem parhiye.

  3. Ek (1) martaba Tasmiya yani Bismillah Hirra’hman Nirra’heem parhiye.

  4. Teen (3) martaba koi si bhi Durood-e-Pak parhiye.

  5. Teen (3) martaba Ayatul Kursi parhiye.

  6. Teen-teen (3-3) martaba charon Qul parhiye.
  7. Teen (3) martaba wahi Durood-e-Pak parhiye jo shuru mein parhi thi.

  8. Phir apne upar aur apne charon taraf dam kar dijiye.

Hifazati Hisar Banane Ka Tarika 2

  1. Sabse pahle wuzu bana lijiye. Zarur dekhiye→ Doodh Peene Ki Dua

  2. Ek (1) martaba Ta’ooz yani Aa-‘oozu Billahi Minashshaitaanir Rajeem parhiye.

  3. Ek (1) martaba Tasmiya yani Bismillah Hirra’hman Nirra’heem parhiye.

  4. Awwal teen (3) martaba Durood Shareef parhiye.

  5. Chheh (6) martaba Surah Fatiha parhiye.

  6. Teen (3) martaba Ayatul Kursi parhiye.
  7. 6,6 martaba charon qul parhiye.

  8. Aakhir mein phir se teen (3) martaba Durood Shareef parhiye.
  9. Apne hathon aur ungliyon par dam karke kisi safed powder ya chalk se hisar bana len.

  10. Aap chahen to dayen hath ki shahadat wali ungli/kalime ki ungli ke ishare se bhi hisar bana sakte hain.

Hisar Banane Ka Sahi Waqt

Hisar kisi bhi waqt banaya ja sakta hai. Suba aur sham do (2) waqt behtar rahenge. Lekin agar aap chahen to sirf ek hi bar raat ko sone se pahle to zarur hisar bana len aur ise apna rozana ka mamul bana len. Zarur dekhiye→ Aaina Dekhne Ki Dua When Looking into the Mirror

Hisar Banane Ke Fayde

  1. Jab koi ladka ya ladke kisi maqsad ke liye koi naya wazifa parhna shuru kar rahe hon khas kar agar wo ghair shadi shudah hon yani unki shadi abhi na hui ho. To unke andar dar para rahta hai ke kahin falan wazifa ka ham par bura ya ulta asar na par jaye. Hisar banane se unka ye dar rafu chakkar ho jayega. Kyunke wo ALLAH ki hifazat mein aa jayenge aur unka wazifa sahee kaam karega. Isliye koi bhi naya amal shuru karne se pahle hisar zarur banana chahiye.
  2. Har jinn-o-ins (jinn aur insan) ke hathon nuqsan pahunchne se bachne ke liye hisar banana bahut afzal hai.
  3. Dar aur khauf ke waqt hisar banana dar se chhutkaara dilane mein madad karta hai.

Aur apne sabhi janne walon ke sath ye malumaat (jankari) zarur share kijiye. Taa ke wo bhi har shar se mahfuz rahne ke liye apna hisar banayen aur har nuqsan se bachat payen.

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

29 Comments on “Hisar Banane Ka Tarika”

    1. alag-alag post me in sabhi suraton ki fazilat hadees me bayan ki gayi hai. wahin se un fazilat ka mafhoom hai.

  1. Assalamu alaikum imran bhai me jisse mohabbat karti hu wo bhi mujse bht mohabbat karte the lekin ab meri izzat k saat khelna Shura Kar diye hai or meri family ki b or mujpe ilzaam laga rahe mene use paise li lekin ye baat jhut hai or mene bht paise ab tak de di hu ghr wale sab bait k baat b kiye lekin woh fir bhi jhut keh rahe hai or apne jhut ko is Tarah Sach Mann liye hai ke kabhi akele me b mjse ye nahi kehte ki nhi diya mene paise…plz meri madad farmae me Har waqt khauf zyada rehti hu or naah nafrat Kar paati hu. Me Har barr samne se ja k bol deti hu thik h me paise de dungi or deti b hu lekin usko fir ehsaas nhi hai meri mohabbat ka plz help me plzzzzz mje plz rasta batae

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *