Har Tarah Ki Khujli Door Karne Ki Dua

Khujli ek bahot hi aam marz hai lekin jab ye had se zyada bade to ise halke me na lein. Khujli Door Karne Ki Dua badan mein kisi bhi tarah ki khujli se hamesha ke liye jad se khatm kar degi.

Har Tarah Ki Khujli Door Karne Ki Dua

Kharish (khujli) hone ke kayi wajuhat (wajah) hain. Aur iske ruhani ilaaj ke bare mein janenge, jiske padhne se is beemari se fauran rahat hogi Insha ALLAH azzwajal. Zarur dekhiye→ Muh Ke Chhale Ki Dua

Medical ki zuban mein khujli ko ‘Pruritus’ kehte hain. Ye aam bhi ho sakta aur kisi badi beemari ke wajah se bhi ye beemari hoti hai. Kayi logon ko skin allergy ki wajah se bhi khujli ho jati hai. Aise me jis kisi se bhi allergy ho us cheez maslan cream, tel, ya jo bhi cheez ho uska istemal nahi karein.

Khujli (Kharish) Hone Ke Kuchh Wajuhat

  1. Jild (skin) rukhi pad jaye to.
  2. Bahar dhoop mein garmi mein rehne ke wajah se.
  3. Koyi khas jald ki beemari ke wajah se, jaise ki daad; scabies; pyoderma waghairah.
  4. Diabetes; thyroid; anemia ya phir gurde ke beemari ke wajah se.
  5. Thand ke dino mein garm kapre pehan ke sone se bhi ye marz ho sakta hai.
  6. Sardiyon mein khujli ka marz bad jata hai. Jo ki khas jild ke rookha hone se hota hai. Aur phir agar koi sarson ka aur koi tel istemal kar le. Isse khujli bad bhi jati hai. To apni rookhi jild ko nami jisse khujli na ho usse dein. Har koi cheez istimal karne se parhez karein.
  7. Khoon mein allergy hone se bhi khujli ka marz hota hai.

Is beemari ka ilaaj ‘Antihistamine’ dawa ke zariya kiya jata hai. Zarur dekhiye→ Kitab Padhne Ki Dua

Lekin zyada dawayi khana bhi sehat ke liye sahi nahi hai. Hume ALLAH Ta’ala ne Qur’an jaisa tohfa diya hai. Jisme har marz (beemari) se shifa ki dua maujood hai. Chahe phir beemari la-ilaaj hi kyon na ho.

Jald ki ye kharish (khujli) kitni hi sangeen kyon na ho is dua ke zariye aapko zaroor shifa milegi sath-sath khane peene ka khas khayal rakhein.

Aur khujli mein jin cheezon se izafa hota hai. Usse parhez karna lazmi hai. Misal ke taur par agar jism ke kisi hisse mein khujli hai. Wahan pani lagne se zyada khujli ho sakti hai. To phir behtar hai usse bache rahiye.

Khujli Se Shifa Ke Kuchh Gharelu Nuskhe

  • Kela

Kele mein magnisium aur vitamin c hota hai. Jo ke khujli ke beemari se shifa mein madadgar sabit hoga.

  • Taazi Sabziyan

Tazi sabjiya khane se bhi humare jism mein antioxidant ka level achha hoga. Jo ke khujli ke beemari se shifa mein madadgar sabit hoga Insha ALLAH.

Khujli (Kharish) Ke Beemari Ke Kuchh Parhez

  1. Is beemari mein mubtila log sooti ka chadar bichha kar soyein.
  2. Garmi mein thhode neem garm pani se nahaye yani halka gunguna.
  3. Synthetic kapdo se parhez karein. Zarur dekhiye→ Doodh Peene Ki Dua
  4. Nahane ke liye Tabeeb (Doctor) se sabun likhwayein.

Har kisi sabun ko istemal na karein.

Khujli (Kharish) Ki Beemari Ka Ruhani Ilaaj

Khujli Door Karne Ki Dua surah al muminoon ayat 14

فَكَسَوْنَا ٱلْعِظَٰمَ لَحْمًا ثُمَّ أَنشَأْنَٰهُ خَلْقًا ءَاخَرَ ۚ فَتَبَارَكَ ٱللَّهُ أَحْسَنُ ٱلْخَٰلِقِينَ

Fa-kasawna-l ‘Izaama La’hman Summa Anshaanaahu Khalqan Akhar.Fa-tabarakALLAHu Ahsanu-l Khaliqeen

Phir Humne Haddiyon Par Gosht Pahnaya Phir Use Ek Surat Mein Bana Diya So ALLAH Badi Barkat Wala Sabse Behtar Banane Wala Hai.

[Surah Mominoon | Ayat #14]

Khujli (Kharish) Ki Dua Padhne Ka Tareeqa

    1. Wuzu ki halat mein rehte huye.
    2. Rozana subah sham upar di gayi dua ko ikkees (21) martaba pani par dam karke peena hai.
    3. Yeh amal iktalees (41) roz ka hai.
    4. Insha ALLAH iktalees (41) roz ke andar hi is beemari se shifa hasil ho jayegi Ameen.

Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.

हर तरह की खुजली दूर करने की दुआ हिंदी में

खुजली एक बहुत ही आम मर्ज़ है। मगर जब यह हद से ज़्यादा बढ़े तो इसे हल्के में ना लें। खुजली दूर करने की दुआ बदन में किसी भी तरह की खुजली को जड़ से ख़त्म कर देगी। यहाँ मरने के बाद की दुआ देखिए|

ख़ारिश (खुजली) होने के कई वजूहात (वजह) हैं। और इसके रूहानी इलाज के बारे में जानेंगे, जिसके पढ़ने से इस बीमारी से फ़ौरन राहत होगी इंशा अल्लाह।

मेडिकल की ज़ुबान में खुजली को ‘प्रूरिटस’ कहते हैं। यह आम भी हो सकता है, या फिर किसी बड़ी बीमारी के वजह से भी खुजली की शिकायत हो सकती है।

कई लोगों को स्किन एलर्जी के वजह से खुजली की शिकायत हो जाती है। ऐसे हालात में जिस चीज़ से भी इलाज हो मसलन तेल, क्रीम, शैंपू या जो भी चीज़ हो उसका इस्तेमाल न करें। यहाँ छींक आने के बाद की दुआ  देखिए|

खुजली होने के कुछ वजूहात

  1. जिल्द (स्किन) रूखी पड़ जाए तो।
  2. बाहर धूप में गर्मी में रहने के वजह से।
  3. कोई ख़ास जिल्द (स्किन) की बीमारी जैसे की; दाद; प्योडरमा; स्केबीज वगैरह।
  4. ठंड के दिनों में गर्म करे पहन कर सोने से भी यह बीमारी हो सकती है।
  5. ख़ून में एलर्जी होने से भी खुजली का मर्ज़ होता है। ऐसे में उस एलर्जी का इलाज करवाना बहुत ज़रूरी है।
  6. डायबिटीज; थायरॉयड; एनीमिया या फिर गुर्दे की बीमारी होने के वजह से।
  7. सर्दियों के दिनों में खुजली की बीमारी बढ़ जाती है। ऐसा जिल्द (स्किन) के रूखा होने के वजह से होता है। और फिर अगर कोई सरसों का तेल इस्तेमाल करे, ऐसे में यह मर्ज़ बढ़ भी जाता है। इसलिए ज़रूरी है, एक शख़्स कोई भी क्रीम, तेल, इस्तेमाल न करें। जो जिल्द (स्किन) के लिए बेहतर हो, उस चीज़ का इस्तेमाल करिए।

इस बीमारी का इलाज ‘एंटीहिस्टैमिन’ दवाई के ज़रिए किया जाता है। लेकिन ज़्यादा दवाई खाना भी सेहत के लिए सही नही है। अल्लाह तआ’ला ने हमें क़ुरान जैसा तोहफ़ा अता किया है। जिसमे हर मर्ज़ (बीमारी) से शिफ़ा की दुआ मौजूद है। चाहे फिर बीमारी ला-इलाज ही क्यों ना हो। यहाँ काले जादू का तोड़ देखिए|

जिल्द (स्किन) की यह ख़ारिश (खुजली) कितनी ही संगीन क्यों ना हो, इस दुआ के ज़रिए आपको ज़रूर शिफ़ा मिलेगी। साथ-साथ खाने का ख़ास ख़्याल रखें।

और खुजली में जिन चीजों से इज़ाफ़ा होता है। उससे परहेज़ करना लाज़मी है।
मिसाल के तौर पर अगर जिस्म के किसी हिस्से में खुजली है। वहां पानी लगने से ज़्यादा खुजली हो सकती है। तो फिर बेहतर है उससे बचे रहिए।

खुजली से शिफ़ा के कुछ घरेलू नुस्ख़े

  • केला

केले में मैग्नीशियम और विटामिन सी होता है। जो की खुजली के बीमारी में मददगार साबित हो सकता है।

  • ताज़ी सब्ज़ियां

ताज़ी सब्ज़ियां खाने से हमारे जिस्म में एंटीऑक्सीडेंट का लेवल अच्छा होता है। जो की खुजली की बीमारी में मददगार साबित होगा इंशा अल्लाह।

खुजली के बीमारी के कुछ परहेज़

  1. इस बीमारी में मुब्तिला लोग सूती का चादर बिछा कर सोएं।
  2. गर्मी में थोड़े नीम गर्म पानी से नहाएं यानी के हल्का गुनगुना।
  3. सिंथैटिक कपड़ो से परहेज़ करें।
  4. नहाने के लिए तबीब (डॉक्टर) से साबुन लिखवाएं।

कोई सी भी साबुन इस्तेमाल ना करें। यह जिल्द की खुजली को बढ़ा सकता है।

खुजली से शिफ़ा का रूहानी इलाज

فَكَسَوْنَا ٱلْعِظَٰمَ لَحْمًا ثُمَّ أَنشَأْنَٰهُ خَلْقًا ءَاخَرَ ۚ فَتَبَارَكَ ٱللَّهُ أَحْسَنُ ٱلْخَٰلِقِينَ

फिर हमने हड्डियों पर गोश्त पहनाया फिर उसे एक सूरत में बना दिया सो अल्लाह बड़ी बरकत वाला सबसे बेहतरीन बनाने वाला है।

[सूरह अल- मुअ-मिनून | आयत #14]

खुजली की दुआ पढ़ने का तरीक़ा

  1. वुज़ू की हालत में रहते हुए।
  2. रोज़ाना ऊपर दी गई दुआ को इक्कीस (21) मरतबा पढ़कर पानी पर दम करके पीएं।
  3. यह अमल इकतालीस (41) रोज़ का है।
  4. इंशा अल्लाह इकतालीस (41) रोज़ के अंदर ही इस बीमारी से शिफ़ा हो जायेगी, आमीन।

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

9 Comments

  1. Kisi bhi test me kamyabi ka wazifa bta dain

  2. Bhai jan…jinse mai mohabat krti hu…unko mai fajar nimaz ke waqt uthati hu nimaz padna ke liye…lekin kal aur aaj na utha saki…aaj unhu ne sapne mai dekha hai koi aadmi golden kapde pehne hue lambi dhadi hoti hai…unke sapne mai aapte hai bolte hai utho nimaz padho…bhai jan is sapne ki tabeer bataiye
    .mjhe tnsn hogayi

          1. Bhai jan mai aapko sapna bola tha…jinse mai mohabbat krti hu unhu ne khwab dekha hai ki unke apne mai koi golden kpde pehne lambi dhadi wala aata hai bolta hai utho nimaz padho…jab ki vo rooz fajr padta h usi din nahi padha tha…aapne bola tha rang bari cheez dekhna achi alamat nahi hoti hai…isliye pucha ab kya krni chahiye

            Aur dusre din spna dekha hai ki allah na kare unke heart mai kch problem hoti h doc bolta h…ghr wale roote h…usko ghr wale bolte h stress hai aapko isliye isliye ye hua…iski tabeer b bata de…aur uper wale spne k baare mai b kch bole

  3. Aankhon ki raushni dheere dheere ja rahi hai koi wazifa btaiye bhaijan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *