Har Nuksan Se Bachne Ki Dua

Huzoor Akram ﷺ ki talqeen ki hui har nuksan se bachne ki dua. Ek chhoti si dua hai jiske zariye 24 ghante mukammal taur par ALLAH ki hifazat mein rahiye. → Shadi Ki Mubarak Baad Ki Dua

Har Tarah Ke Nuksan Se Bachne Ki Dua

Bismillahillazi La Yadurru Ma'asmihi Shayun dua tarjuma


Sallallahu ‘Alayhe Wasallam

Roman English

Hadees-e-pak se li hui har tarah ke nuksan se mukammal taur par bachne ki dua. Maut ke siva har ek chiz se bache rahenge. ALLAH ki hifazat mein rahiye.→ Subhaanallaahi Wabi Hamdihi Adada Khalqihi

ALLAH rabbul izzat ne Quran-e-pak mein farma diya. Ke jise ALLAH nuqsan pahunchana chahe use koi nahi bacha sakta. Aur jise ALLAH bacha le yani jiski hifazat ALLAH khud kare use koi bhi nuqsan nahi pahuncha sakta.

Jaisa ki Surah #22, Al-Hajj ayat number 12 mein ALLAH Rabbul izzat ne farmaya,

يَدْعُو مِن دُونِ اللَّهِ مَا لَا يَضُرُّهُ وَمَا لَا يَنفَعُهُ ۚ ذَ‌ٰلِكَ هُوَ الضَّلَالُ الْبَعِيدُ

ALLAH Ke Siva aisi cheez ko pukarta hai jo na use zarar de sakti hai aur na use fayda pahuncha sakte hai. Wo parle darje ki gumrahi hai.

He invokes instead of ALLAH that which neither harms him nor benefits him. That is what is extreme error.

Yani jo nuqsan hai aur fayda hai wo sirf aur sirf ALLAH hi de sakta hai apne bandon ko. ALLAH ke siva kisi se agar ummid ki ya hasil karne ki koshish mein rahe to khasare mein rahe. Jise ek akhri had ki gumrahi batlaya gaya hai.

Yani us shakhs se zyada bada gumrah kaun ho sakta hai jo ALLAH ke siva kisi aur se fayda hasil karna chahta hai.

kyonke fayda aur nuqsan dono ALLAH hi ki taraf se hai.

To agar ham ALLAH ke nek bande ho jayenge muttaqee aur parhezgar ban jayenge momin ban jayenge. To apne pyare bandon ko ALLAH phir nuqsan se bhi bacha leta hai.

Chahe koi insan ho ya jinnat, koi bhi aapka kuch bhi nahi bigaad payega. Kisi bhi tarah ka nuqsan, khatra, aur yahan tak ke khatarnak beemari bhi aapko chhoo nahi sakegi.→ SubhanALLAHi WaBihamdihi SubhanALLAHil ‘Azeem

Rasool ALLAH ﷺ ne farmaya:

“Jo shakhs subh aur sham 3-3 bar ye dua parh liya kare, usay koi chiz nuqsan nahi pauhancha sakti.

Bismillahillazee La Yadurru Ma’asmihi Shayun Fil Ardi Wala Fi-sSamaa-i Wahuwas-Samee-‘ul ‘Aleem

ALLAH ke Naam ke sath maine subah ki, jiske Naam ki barkat se koi cheez nuqsan nahi pauhanchati zameen mein aur na aasman mein, aur Wahi Khoob Sunne Wala hai, Bada Janne Wala hai.

अल्लाह के नाम के साथ मैंने सुबह की, जिसके नाम की बरकत से कोई चीज़ नुक़सान नहीं पहुँचाती ज़मीन में और न आसमान में, और वही ख़ूब सुनने वाला है, बड़ा जानने वाला है|

Tirmizi : 3377 Usman Bin Affaan RadiALLAHu ‘Anhu

तिर्मिज़ी : 3377 उस्मान बिन अफ्फ़ान रदी अल्लाहु ‘अन्हु

Ghaur Talab: Khawateen ye dua haiz/maahwari/ayyaam me bhi parh sakti hain.

हिंदी में

हदीस-ए-पाक से ली हुई दुआ जो की हर तरह के नुक़सानात से मुकम्मल तौर पर बचने के लिए है| मौत के सिवा हर एक चीज़ से बचे रहेंगे| अल्लाह की हिफाज़त में रहेंगे|→ सफ़र की दुआ

अल्लाह रब्बुल ने क़ुरआन-ए-करीम में फरमा दिया| के जिसे अल्लाह नुक़सान पहुँचाना चाहे उसे कोई नहीं बचा सकता| और जिसे अल्लाह बचा ले यानी जिसकी हिफाज़त अल्लाह ख़ुद करे उसे कोई भी नुक़सान नहीं पहुँचा सकता है|

जैसा की सूरह #22, सूरह अल-हज की आयत नम्बर 12 में अल्लाह पाक ने फ़रमाया जिसका तर्जुमा ये है:

अल्लाह के सिवा ऐसी चीज़ को पुकारता है जो न उसे ज़रर दे सकते है और न उसे फ़ायदाह पहुँचा सकते है| वो परले दर्जह की गुमराही है|

यानी उस इन्सान से ज़्यादा बड़ा गुमराह कौन हो सकता है जो अल्लाह के सिवा किसी और से फायदाह हासिल करना चाहता है|

क्योंके फायदा और नुक़सान दोनों अल्लाह ही की तरफ से है|

तो अगर हम अल्लाह के नेक बन्दे हो जाएंगे मुत्तक़ी और परहेज़गार मोमिन बन जाएंगे| तो अपने प्यारे बन्दों को अल्लाह फिर नुक़सान से भी बचा लेता है|

ऐसी ख़ास छोटी सी दुआ दुआ जो आपको हर बड़े से बड़े नुक़सान से बचा कर रखेगी, इन्शा अल्लाह| चाहे कोई इन्सान हो या जिन्नात, कोई भी आपका कुछ भी नहीं बिगाड़ पाएगा| हर ख़तरा और ख़तरनाक बीमारी भी आपको छू नहीं पाएगी|

रसूलुल्लाह ﷺ ने इरशाद फ़रमाया:

जो शख़्स सुबह और शाम 3-3 बार ये दुआ पढ़ लिया करे, उसे कोई चीज़ नुक़सान नहीं पहुँचा सकती|

English

ALLAH The Almighty has mentioned in The Noble Quran. That if ALLAH wants to make harm to someone, no one can save him. And if ALLAH wants to save someone, no one can harm him.→ Dua For Success In All Affairs

Harms and benefits are given to all the slaves by ALLAH The Gracious only. If one makes hopes from anyone else other than ALLAH, he buys a loss for himself. That is the last degree of deviance.

Who else can be more astray than one who wanna get benefits from someone else except ALLAH. As the profit and loss are only from ALLAH.

So, if we become the pious and piety servants of ALLAH The Lord of The Worlds. ALLAH will definitely protect us from each and every harm and loss.

A lovely supplication taught by our Beloved Prophet Mu’hammad ﷺ to be protected. Be entirely safe 24/7 from every harm by this amazing dua.

A very significant and a short dua that will keep you safe from any risk, danger, and loss. Neither a man, not a jinn can harm you. Any uncertain situation and even a perilous disease would not come near to you.→ Allahummaghfirli Warhamni Wahdini Warzuqni

The Holy Prophet Mu’hammad ﷺ said:

One who recites this dua 3-3 times in the morning and in the evening, nothing can harm him.

Bismillahillazee La Yadurru Ma’asmihi Shayun Fil Ardi Wala Fi-sSamaa-i Wahuwas-Samee-‘ul ‘Aleem

Note: Females can read this dua during their menses/periods.

Tirmidhi : 3377 Usman Bin Affaan RadiALLAHu ‘Anhu

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

8 Comments on “Har Nuksan Se Bachne Ki Dua”

  1. Assalamu alaikum Mera naam murshidah Mera bahuth Sara nuksan hogaya Mera ghar Mei aur mere Pati ke kamaai Mei barkath nahi aur Mera thabiyath bhi bahuth bigad gaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *