Is post mein ap har khwab ki tabeer online post mein aap wo tamam khwabon ki tabeer parhenge jo “B” alfaz se shuru hote hai. Misal ke taur par “C” se chehra (khud ka ya kisi ka) khwab mein dekhna kaisa hota hai?→ Islamic Dream Interpretation Meaning Khwab ki Tabeer
Mere Har Khwab Ki Tabeer Online-C
﷽
Sallallahu ‘Alayhe Wasallam
Is page par apko “C” alfaz ke tamam khawabon ki tabeer ke bare mein parhne ko milega.
Chehra-Shakl-Face
Khud Ka Chehra
Agar koi shakhs khud hi ka chehra pahle (jaisa hai usse) se zyada khubsurat dekhe to iska matlab ye hua ke uski zindagi aur martaba zyada ho jayega.
Agar Koi shakhs apne hi chehre ko jaisa ke hai usse bhi bura aur na khush dekhe. To uska martaba kam hota hai.
Asslam o alikum 2 din phly muja khwab asan pr lal color k heery han or heery kam hony lagy han or mai 1 herry ki taraf dakh kr kah ya Allah ya muja mil jayy or wo usii time mera pass aa gya ha lal color ka bra sa herra ha or kimtii b ha… Rahnumai farmayn shukriya
shadi k liay istikhara kiya…..ishara ye mila hai k Larka larki aik hi jagah pe thy lekin alag alag khush thy aik dusry k sath nahi thy.
Please is khuwa ki tabeer bta den
aisi koi bat nahi ap fikr na kare.
AOA,
Meiny khuwab dekha ky mein apney ghar ki balcony say asman pay dekhti hun tou mujhe 2 chand nazar aty hain ek seedhay hath pay hai jo ky pura nazar araha hai or ek ultay hath pay jo ky badalon mujhe chupa huwa hai or kabi nazar ata hai kbi badalon mey chup jata hai mere sath mere ami meri ami bhi khari huwi hain or mein rotay huway ami say kehti hun yeh manzar mein pehlay bhi khuwab mey dekh chuki hun khuwab mey, seedhay hath wala jo chand hai uski charon taraf red color ka fire work horaha hota hai per awaz nai hoti uski or asman apay dur dur dusri jagaon pay bhi fire work hota hai mein ami say kehti hun ami dekhein yeh kia horaha hai fire work horahay hain per ek awaz nai hai bilkul khamoshi hai or phr halki halki fire work ki awaz ana shuro hojati hai..
Iski tabeer bataein please..
khwab me chand dekhna achhi alamat hai ye achhe hakim ki alamat bhi ho sakti hai hai.