Ghusl Karne Ki Dua Aur Niyyat

Ghusl karne ki dua kya waqayi hoti hai? Ghusl ek arbi lafz hai jiska matlab hota hai ghilazat ya najasat door karna. Jo ham Nahakar pakeezgi hasil karte hai. Yani islam mein ham ghilazat ya najasat door karne ke liye nahate hai karte hai.

Ghusl Karne Ki Dua Aur Niyyat

Ghusl humare rozana ka mamool hai par ghusl ka sunnat tareeqa kya hai? Ghusl ke farz kitne hain? Ghusl ke mustahab kya hain?

Hum is bare mein tafseel se janenge aur Insha ALLAH ghusl karne ke do (2) tareeqe janenge. Zarur dekhiye→ Bazar Me Jane Ki Dua

Har balig musalman jab napaak ho jaye to uspe ghusl farz ho jata hai. Agar wo shakhs ghusl na kare to gunahgar hoga.

Humare Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ ne farmaya:

“Ghusl imaan ka adha hissa hai.”

[Sahih Muslim]

Ghusl imaan ka adha hissa isliye hai kyon ki Islam ek pakeezah mazhab hai. Agar koyi musalam napaak ho to, wo na to Namaz ada kar sakta hai na Qur’an ki tilawat kar sakta hai.

Aur chhoonke namaz ek baligh musalman par farz hai. Isliye paak rehna bhi musalman par farz qarar diya gaya hai.

Islam pakeezgi ko itni tawajjuh isliye bhi deta hai kyonki, gangdi ya najasat mein rehne se insan ko tarah-tarah ki beemariyan hoti hai. Aur insan dekhne mein bhi ganda maila kuchaila dikhe to yeh to zillat (beizzati) ka ek sabab banega.

ALLAH Ta’ala ne Qur’an-e-kareem mein irshad farmaya hai:

اِنَّ اللّٰهَ يُحِبُّ التَّوَّابِيۡنَ وَيُحِبُّ الۡمُتَطَهِّرِيۡنَ‏

InnALLAHa Yu’hibbut-Tawwabeena Wa Yu’hibbul Muta-tahhareena

“ALLAH tauba karne walo aur paak rehne walo ko pasand farmata hai.”

[Surah Baqarah | Ayat #222]

Ghusl Karna Kab Farz Ho Jata Hai?

Jab bhi insan kisi bhi wajuhat se napaak ho jaye uspe lazim hai ki wo jald-az-jald ghusl karke paaki hasil karle. Zarur dekhiye→ Ghar Se Nikalne Ki Dua

Ghusl Toot Jane Ke Kuchh Wajuhat

  1. Ehtalam hone pe;
  2. Humbistari ke baad;
  3. Aurat ko jab haiz aaye;
  4. Nifaas hone ke bad;
  5. Kisi wajah se napaak ho jane ke wajah se.

Tafseel

  1. Ehtalam, yani jab sote huye mani nikal jaye, to aise mard aurat dono pe ghusl karna wajib hai.
  2. Shohar aur biwi ke beech jo jismani taluqqat qayem ho, is halat ko humbistari kehte hain. Aur humbistari ke bad ghusl karna wajib ho jata hai.
  3. Aurat ko har mahine jo khoon ata hai use haiz/mahwari kehte hain. Ye kam se kam teen (3) aur zyada se zyada das (10) ek aurat ko aata hai.

Kuchh auratein aisa manti hain ke agar haiz teen (3) din mein khatm ho jaye phir bhi aurat saatwein (7) din naha kar paak hogi, ye ghalat khayalat hain.

Jaise hi ek aurat ka haiz ka khoon aana band ho jaye uspe ghusl karna wajib ho jata hai. Aur Namaz bhi farz ho jati hai.
Halanki haiz ke dauran Namaz maaf hai aur un namazon ki qaza bhi nahi ada karni padti hai.

  1. Nifaas, ek aurat ko jab aulad hoti hai to, kam se kam bees (20) aur zyada se zyada chalees (40) din jo khoon jaari hota hai use nifaas kehte hain. Zarur dekhiye→ Safar Ki Dua in Hindi

Nifaas ka khoon bhi jab ek aurat ko aana band ho jaye to uspe lazim hai ki, wo naha dhokar paak ho jaye aur Namaz ada karna shuru kar de. Kuch auraton ka yeh manna hai ki chalees (40) din tak to aurat napaak hi rehti hai. Ye tareeqa aur khayalat ghair islami hai.

  1. Kisi tarah ki napaaki ya najasat jism par lag jaye, jaise ki koyi khane peene wala bacha peshab kar de. To us shakhs par bhi ghusl wajib ho jati hai.

Upar bataye gaye tamam wajuhaton se ek insan ka ghusl toot jata hai. Yani ke wo napaak ho jata hai. Aise halaat mein us shakhs pe lazim hai ke wo ghusl karke paaki hasil karle khwah wo mard ho ya aurat. Zarur dekhiye→ Musafir Ki Dua

Ghusl Ke Farz Kitne Hain?

Ghusl ke teen (3) farz hain. Aur agar inko ada na kiya jaye to paaki hasil nahi hogi.

  1. Kulla Karna

Teen (3) martaba kulla ya garara achhe tareeqe se kiya jaye taaki pani halak tak pahunch jaye.

  1. Naak Mein Pani Dalna

Naak mein bhi teen (3) martaba pani dalkar achhe se naak saaf karna.

  1. Poore badan par paani bahana

Yani ke ghusl ke dauran insan achhe se pani dale badan par, ke jism ka ek (1) kona bhi na chhote, kyon ki agar ek (1) baal barabar jagah bhi chhoot gayi to paaki hasil nahi hogi.

Ghusl Ki Sunnatein Kya Hai?

  1. Dono hath gatto (kalayi) tak dhona;
  2. Poore badan par teen (3) bar pani dalna;
  3. Aur dahini janib se shuru karte huye ghusl karna.

Ghusl Ke Mustahab Kya Hain?

  1. Ghusl ke dauran baatein na karna;
  2. Qibla ke tarf rukh karke ghusl na karna;
  3. Ghusl ke dauran kisi dua ka zikr wagairah na karna.

Najasat Do Tarah Ki Hoti Hai

  1. Najasat-e-Ghaleezah (Bhari Najasat)

Bhari najasat jaise ki, ehtalam hona; humbistari karna; haiz aur nifaas ka khoon ya phir khane wale bachhe ka peshab, aise najasat ko Najasat-e-Ghaleezah kehte hain. Zarur dekhiye→ Doodh Peene Ki Dua

  1. Najasat-e-Khafeefah (Halki Najasat)

Peshab ke chheente waghairah pad jana; chhote bachhe (Jo khana khate ho) ka peshab waghairah, aisi najasat ko Najasat-e-khafeefah kehte hain.

Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ Ke Ghusl Ka Tareeqa

Hazrat Maimoona RadiALLAHu ‘Anha se riwayat hai:

“Maine Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ ke liye ghusl ka pani rakh diya. Unhone sabse awwal apne hath do (2) ya teen (3) baar dhoye, apni sharmgaah bayein hath se dhoyi phir apne bayein hath ko mitti pe ragda. Kulla kiya aur phir naak mein achhi tarah se pani daalkar naak saaf ki, apna munh dhoya aur kehuni tak apne hath dhoye. Aur uske bad apne poore jism par pani bahaya, akhir mein us jagah se hat kar apne dono paon dhoye.”

[Sahih Bukhari Hadees #257]

Hazrat Maimoona RadiALLAHu’Anha se riwayat hai:

“Huzoor-e-Aqdas ﷺ janabat (humbistari) ke baad ghusl kar rahe the. Unhone sabse awwal apne sharmgah ko apne bayein hath se dhoya phir apna baayan hath dhoya. Uske baad wuzu kiya jaise namaz ke liye karte hain aur phir poore badan par pani dalkar naha kar, akhir mein apne paon dhhoye.”

[Sahih Bukhari Hadees #260]

Ek Hadees Jisme Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ Ne Haiz/Mahwari Ke Bad Nahane Ka Tareeqa Bataya Hai

Hazrat ‘Aisha RadiALLAHu ‘Anha se riwayat hai:

“Ek aurat ne Nabi-e-Kareem Mu’hammad Mustafa ﷺ se haiz khatm ho jane ke baad kaise ghusl kiya jaye, iska tareeqa puchha.

Nabi Paak ne farmaya:

“Ek kapre par mushk laga kar khud ko paak karo.”

“Us aurat ne puchha ya RasoolALLAH kaise paak kiya jaye”?

Nabi-e-Kareem Mu’hammad ﷺ ne farmaya:

“SubhanALLAH! Khud ko saaf karo.”

Phir maine us aurat ko apni taraf kheench liya aur bataya ke, khoon ke maqam ko us kapde ke tukde se saaf karo.”

[Sahih Bukhari Hadees #314]

Ghusl Ke Do (2) Tariqe Hain

  1. Sunnat Tareeqa

Sunnat tareeqa yeh hai:

Insan sabse awwal teen (3) dafa hath dhoye (kalayi tak) phir apne bayein hath se apni sharmgaah dhoye. Uske baad wuzu kare. Aur phir sar par teen (3) baar pani dalkar poore jism par pani bahaye, aur akhir mein apne paon dho le.

Ghusl ka sunnat tareeqa sabse afzal hai. Kyon ki aise nahane pe ek shakhs ko paaki bhi hasil hogi aur sunnat ki adayegi ada karne ke sabab (wajah) se neki bhi milegi. Zarur dekhiye→ Sadaqah Ki Dua

  1. Sirf Ghusl Ki Farayiz Ada Karke Ghusl Karna

Ghusl ke teen (3) farz hain. Agar koyi shakhs un teen (3) ko ada karle to use paaki hasil ho jayegi. Aur agar usne ek (1) bhi farz chhor diya to paaki hasil na hogi.

Jab koyi shakhs ghusl ke liye jaye to, sabse awwal teen (3) dafa apne hath gatto (kalayi) tak dhoye phir apne bayein hath se apni sharmgaah dhoye. Uske baad teen (3) baar kulla kare aur teen (3) baar naak mein pani dale. Aur phir poore jism par pani bahaye.

Is tareeqe se ghusl karne se bhi napaak shakhs ko paaki hasil ho jayegi. Lekin choonke yeh sunnat tareeqa nahi to hai to us shakhs jo sunnat ada karne ka ajar nahi milega.

Ghusl Karne Ki Niyyat Aur Uska Tariqa

Yahan Dekhiye:

Jaisa ke hum upar Hadees ki roshni mein ghusl ka tareeqa aur ghusl ke farz; sunnat; mustahab jaan chuke hain.

Lekin hamein ghusl kaise kare uska tariqa yahan tafseel se padhenge.

  1. Niyyat Karna

Ghusl se pehle chahe to zuban se niyyat ki ja sakti hai ya phir dil mein bhi karlein to kaafi hai. Aye ALLAH! Main ghusl kar raha/rahi hoon pakeezgi hasil karne ke liye.

  1. Bismillah Padhna

Bismillah padh lein kyon ki Bismillah padhne se shayateen aur insan ke sharmgaah ke darmiyan ALLAH parda daal deta hai.

  1. Agar aap Najasat-e-Ghaleezah (Hari Najasat) se paaki ke liye naha rahe hain to aap pe lazim hai ki sunnat tareeqe se ghusl karein.

Sabse awwal teen (3) martaba gatto (kalayi) tak apne hath dholein. Uske baad baayein hath se apni sharmgaah dholein.

Phir wuzu banayein jaise namaz ada karne ke liye banate hain. Uske baad dahini janib (taraf) se sar par pani dalna shuru karien.
Teen (3) martaba pani dalein aur phir poore jism par achhe se pani dalkar nahalein.

Aur humare is daur mein, ALLAH ne hume sabun waghairah ki sahulat di hai to sabun se nahayein aur baalon mein shampoo karlein. Aur khud ko achhe se mal-mal kar nahayein.

Akhir mein apne paon dho lein.

Najasat-e-Khafeefah (Halki Najasat) Se Ghusl Karne Ka Tareeqa

Agar koyi shakhs halki najasat se paaki ke liye ghusl kar raha hai. To wo shakhs agar sirf ghusl ke farz ki adayegi bhi kar de to paaki hasil ho jayegi Insha ALLAH, zaroori nahi ke sunnat tareeqe se ghusl kiya jaye. Zarur dekhiye→ Tera Teji Kyon Manate Hain?

  1. Niyyat Karna
  2. Bismillah padhna
  3. Sabse awwal hath gatto (kalayi) tak teen (3) martaba dholein. Phir apne bayein hath se apni sharmgaah dhoyein.

Uske baad teen (3) baar kulla kare aur teen (3) baar naak mein pani dale. Aur dahini janib se shuru karte huye sar se lekar pair tak pani bahayein ke jism ka ek qatrah (hissa) baaqi na rahe. Aur aap chahe to sabun waghairah laga kar nahaye kyon ki aaj ke daur mein ALLAH ne hume in ne’maton se nawaza hai.

Is tareeqe se ghusl karne par ek shakhs ko paaki hasil ho jayegi Insha ALLAH.

Ghusl Karne Ke Baad Ki Dua

Ghusl karne ki dua allahummaj alni minat tawwabina

Ghusl karne se pahle ya bad ki koi aisi khas dua hadees-e-mubarika se sabit nahi hai. ke baad ki koyi dua nahi hoti. Kisi Hadees mein iska zikr nahi aaya hai. Lekin agar aap is dua ko padhna chahe to padh sakte hain. Yeh dua Hisnul Hasan mein maujood hai. Aur iske padhne se Insha ALLAH ajr-o-sawab milega. Zarur dekhiye→ Khana Khane Ki Dua

Dua yeh hai:

اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ وَاجْعَلْنِي مِنَ الْمُتَطَهِّرِينَ

ALLAHumma Aj’alnee Minat-Tawwabeena Wa Aj’alnee Minal-Mutatahhareena

Aye ALLAH! Mujhe maafi mangne walo aur paak rehne walo mein se bana de.

[Hisnul Haseen]

Ghaur Talab:

  1. Jab bhi ghusl ke dauran naak saaf karni ho to bayein hath ka istemal kare. Aur najasat dhhone ya sharmgaah dhone ke liye bhi baayein hath ka hi istemal karein. Zarur dekhiye→ Ghabrahat Ki Dua

  2. Agar koyi shakhs Ramzan ke din mein ghusl kar raha hai to, kulla halke tareeqe se kare jisse ke pani halak mein na jaye.
    Kyon ki halak mein pani jane se roza toot jayega.

  3. Auratein agar jooda bandh kar ghusl kar rahi hain to, jooda kholkar ghusl kare taaki pani baalon ke jad tak chala jaye.
    Jism ke ek qatrah bhi sookha reh gaya to ghusl na hoga.

  4. Agar mard ho ya aurat aapne koyi anghoothi (ring) pehan kar rakhi hai to usko utaar kar ghusl kare.

  5. Auratein jinhone nakhun-polish lagayi hai unke liye bhi zaroori hai. Pehle nakhun-polish hatayein.
    Kyon ki wo polish pani ko nakhun tak pahunchne se rokta hai. Aise halaat mein ghusl nahi hoga, aur wo shakhs napaak hi rahega.

  6. Auratein jinhone kaan ya phir naak mein kisi qism ke zewar pehne hain. Use bhi utar kar ghusl kare ya phir ghusl karte waqt use ghuma kar pani us hisse mein pahunchaye.

Ghusl sahi tareeqe se karna behad zaroori hai. Kyon ke agar ghusl na hogi. Insan napaak rahega aur us halaat mein na to Namazein qubool hongi na Qur’an ki tilawat qubool hogi. Zarur dekhiye→ Rabbighfir Warham Wa Anta Khairur Rahemeen

Aur insan gunahgar hoga. Kyon ke ALLAH ne hume samajh aur salahiyat di hai ki hum, padhe aur ilm hasil kar sake.

Ilm hasil karna har musalman par farz hai. Isliye Deen aur Hadees ki roshni mein hume, humesha cheezon ki haqeeqat dhoondi chahiye.

Taaki hashr mein ALLAH humse raazi ho jaye Insha ALLAH.

ALLAH hume nek raste pe chalne ki toufeeq de, Ilm de, hidayet de Ameen ya Rabbul ‘Alameen.

Agar apko post pasand aye to apno se share zarur kijiyega.

ग़ुस्ल करने की दुआ और निय्यत

ग़ुस्ल करने की दुआ क्या वाक़ई होती है? ग़ुस्ल एक अरबी लफ़्ज़ है जिसका मतलब होता है ग़िलाजात या नजासत दूर करना। जो हम ख़ास तरीक़े से नहाकर पाकीज़गी हासिल करते हैं। यानी इस्लाम में हम ग़िलाजात या नजासत दूर करने के लिए नहाते हैं, उसे ही असल में ग़ुस्ल करना कहते है|

ग़ुस्ल करने की दुआ और निय्यत

ग़ुस्ल करने की निय्यत और तरीक़ा बहुत ही आसान है| और ये ही नहीं इतनी ही आसानी से रोज़मर्रा के कामों में हम अज़ीम यानी बहुत बड़े-बड़े सवाब कमा सकते है|

ग़ुस्ल हमारे रोज़ाना का मामूल है जिसे एक ख़ास तरीक़े से हमें करना चाहिए| ग़ुस्ल का सुन्नत तरीक़ा क्या है? ग़ुस्ल के फ़र्ज़ कितने हैं? ग़ुस्ल के मुसतहब क्या हैं?

हम इस बारे में तफ़सील से जानेंगे|

हर बालिग़ मुसलमान जब नापाक हो जाए तो उसपर ग़ुस्ल फ़र्ज़ हो जाता है। अगर वो शख़्स ग़ुस्ल न करें तो नापाकी में मुब्तिला रहेगा और तो गुनाहगार होगा।

नबी-ए-करीम मु’हम्मद ﷺ ने फ़रमाया:

“ग़ुस्ल ईमान का आधा हिस्सा है।”

[सहीह मुस्लिम]

ग़ुस्ल ईमान का आधा हिस्सा इसलिए है क्योंकि इस्लाम एक पाकीज़ाह मज़हब है। अगर कोई मुसलमान नापाक हो तो, तो फ़िर न तो वो नमाज़ ही अदा कर सकता है और ही क़ुरआन की तिलावत।

और चूंकि नमाज़ एक बालिग़ मुसलमान पर फ़र्ज़ है। इसलिए पाक रहना भी मुसलमान पर फ़र्ज़ क़रार दिया गया है।

इस्लाम पाकीज़गी को इतनी तवज्जुह इसलिए भी देता है क्योंकि, गंदगी या नजासत में रहने से इंसान को तरह-तरह की बीमारियां होने का ख़तरा भी बना रहता है। और इंसान देखने में भी गंदा मैला-कुचैला दिखे तो यह तो ज़िल्लत (बेइज़्ज़ती) का एक सबब बन जाता।

यानी आपकी ज़ात से किसी को मसर्रत पहुंचे न के तकलीफ़ के भला किसी को आप में बदबू आए तो वो आपके बारे में क्या सोचेगा|

अल्लाह तआ’ला कु़रआन-ए-पाक में इरशाद फ़रमाते हैं:

اِنَّ اللّٰهَ يُحِبُّ التَّوَّابِيۡنَ وَيُحِبُّ الۡمُتَطَهِّرِيۡنَ‏

इन्नल्लाहा यु-’हिब्बुत-तव्वाबीना व-यु-‘हिब्बुल मु-त-तह-हरीन

अल्लाह तौबा करने वालों और पाक रहने वालों को पसंद फ़रमाता है

[सूरह बक़रह | आयत #222]

ग़ुस्ल करना कब फ़र्ज़ हो जाता है?

जब भी इंसान किसी वजूहात से नापाक हो जाए तो फ़िर उस पर लाज़मी है की जल्द-अज़-जल्द ग़ुस्ल करके पाकी हासिल कर ले।

ग़ुस्ल कब टूटता है?

  1. एहतलाम यानी मणि निकलने पर;
  2. हम्बिस्तरी के बाद;
  3. औरत को जब हैज़/माहवारी आए;
  4. निफ़ास यानी औरत के ख़ून का बहाव होने के बाद;
  5. किसी भी वजह से नापाक हो जाए तो।

तफ़सील

  1. एहतलाम, यानी जब सोते हुए मनी निकल जाए, तो ऐसे मर्द और औरत दोनो पर ग़ुस्ल करना वाजिब है।

  2. शौहर और बीवी के बीच जो जिस्मानी ताल्लुक़ात क़ायम हो, इन हालात को हम्बिस्तरी कहते हैं। और हम्बिस्तरी के बाद ग़ुस्ल करना वाजिब हो जाता है।

  3. औरत को हर महीने जो ख़ून आता है उसे हैज़/माहवारी कहते हैं। यह कम से कम तीन (3) दिन और ज़्यादा से ज़्यादा दस (10) दिन एक औरत को आता है।

कुछ औरतें ऐसा मानती हैं की अगर हैज़ तीन (3) दिन में ख़त्म हो जाए फिर भी औरत सातवें (7) दिन नहाकर पाक होगी। यह ग़लत ख़यालात हैं।

जैसे ही एक औरत का हैज़ का ख़ून आना बंद हो जाए उस पर ग़ुस्ल वाजिब हो जाता है। और नमाज़ भी फ़र्ज़ हो जाती है।
हालांकि हैज़ के दौरान नमाज़ माफ़ है। और उन नमाज़ों की क़जा भी नही अदा करनी पड़ती है।

  1. निफ़ास का ख़ून भी जब एक औरत को आना बंद हो जाए तो उसपर लाज़िम है की, वो नहा धोकर पाक हो जाए और नमाज़ पढ़ना शुरू कर दे। कुछ औरतों का यह मानना है की चालीस (40) रोज़ तक तो एक औरत नापाक ही रहती है। यह सोच ग़लत है और ग़ैर-इस्लामी है।

निफ़ास का ख़ून भी जब एक औरत को आना बंद हो जाए तो उसपर लाज़िम है की, वो नहा धोकर पाक हो जाए और नमाज़ पढ़ना शुरू कर दे। कुछ औरतों का यह मानना है की चालीस (40) रोज़ तक तो एक औरत नापाक ही रहती है। यह सोच ग़लत है और ग़ैर-इस्लामी है।

  1. किसी तरह की नापाकी या नजासत जिस्म पर लग जाए, जैसे की कोई खाने पीने वाले बच्चा पेशाब कर दे, तो उस शख़्स पर भी ग़ुस्ल वाजिब हो जाती है।

ऊपर बताए गए तमाम वजूहातों (वजह) से एक इंसान का ग़ुस्ल टूट जाता है और उस पर ग़ुस्ल वाजिब हो जाती है। यानी की वो नापाक हो जाता है। ख़्वाह वो मर्द हो या औरत।

ग़ुस्ल के फ़र्ज़ कितने हैं?

ग़ुस्ल के तीन (3) फ़र्ज़ हैं और अगर इनको अदा न किया जाए तो पाकी हासिल नहीं होगी।

  1. कुल्ला करना

तीन (3) मरतबा कुल्ला या गरारा अच्छे तरीक़े से किया जाए ताकि पानी हलक तक पहुंच जाए।

  1. नाक में पानी डालना

नाक में भी तीन (3) मरतबा पानी डालकर अच्छे से नाक साफ़ करना।

  1. पूरे बदन पर पानी बहाना

यानी के ग़ुस्ल के दौरान इंसान अच्छे से पानी डाले बदन पर, के जिस्म का एक (1) कोना भी न छूटे। क्योंकि अगर एक (1) बाल बराबर भी जगह छूट गई तो पाकी नही होगी।

ग़ुस्ल की सुन्नतें क्या है?

  1. दोनो हाथ गट्टों (कलाई) तक धोना;
  2. पूरे बदन पर पानी डालना;
  3. दाहिनी जानिब से शुरू करते हुए ग़ुस्ल करना।

ग़ुस्ल के मुसतहब क्या हैं?

1. ग़ुस्ल के दौरान बातें न करना;
2. क़िबला की तरफ़ रुख़ न करके नहाना;
3. ग़ुस्ल के दौरान किसी दुआ का ज़िक्र न करना।

नजासत दो तरह की होती है

  1. नजासत-ए-ग़लीजह (भारी नजासत)

भारी नजासत जैसे की, एहतलाम होना; हमस्बितरी करना; हैज़ और निफ़ास का ख़ून या फिर खाने वाले बच्चे का पेशाब, ऐसे नजासत को नजासत-ए-ग़लीजह कहते हैं।

  1. नजासत-ए-ख़फ़ीफ़ह (हल्की नजासत)

पेशाब के छींटे वग़ैरह पड़ जाना। छोटे बच्चे (जो खाना खाते हो) का पेशाब वग़ैरह, ऐसी नजासत को नजासत-ए-ख़फ़ीफ़ह कहते हैं।

नबी-ए-करीम मु’हम्मद ﷺ के ग़ुस्ल करने का तरीक़ा

हज़रत मैमूना रज़िअल्लाहु ’अन्हा से रिवायत है:

“मैने नबी-ए-करीम मु’हम्मद ﷺ के लिए ग़ुस्ल का पानी रख दिया। उन्होंने सबसे अव्वल अपने हाथ दो (2) या तीन (3) बार धोए, अपनी शर्मगाह बाएं हाथ से धोई फिर अपना हाथ मिट्टी पर रगड़ा। कुल्ला किया फिर नाक में पानी डाल कर अपना नाक अच्छी तरह साफ़ की, अपना मुंह धोया और केहुनी तक अपने हाथ धोए। और उसके बाद अपने पूरे जिस्म पर पानी बहाया, आख़िर में उस जगह से हट कर अपने दोनो पांव धोए।

[सहीह बुख़ारी हदीस #257]

हज़रत मैमूना रज़िअल्लाहु ’अन्हा से रिवायत है:

“हुज़ूर पुरनूर सरकार मुस्तफा ﷺ जनाबत (हमस्बितरी) के बाद ग़ुस्ल कर रहे थे। उन्होंने सबसे अव्वल अपने शर्मगाह को बाएं हाथ से धोया। फिर अपना बायां हाथ धोया। उसके बाद वुज़ू किया जैसे नमाज़ के लिए करते हैं और फिर पूरे जिस्म पर पानी डालकर नहाकर, आख़िर में अपने पांव धोए।”

[सहीह अल-बुख़ारी हदीस #260]

एक हदीस जिसमे नबी-ए-करीम मु’हम्मद ﷺ ने औरत के हैज़/माहवारी के बाद ग़ुस्ल करने के तरीक़े के बारे में बतलाया है

हज़रत ’आइशा रज़िअल्लाहु ’अन्हा से रिवायत है:

“एक औरत ने नबी-ए-करीम मु’हम्मद ﷺ से हैज़ ख़त्म हो जाने बाद कैसे ग़ुस्ल की जाए, इसके तारिक़े के बारे में पूछा।

नबी-ए-करीम मु’हम्मद ﷺ ने फ़रमाया:

एक कपड़े पर मुश्क लगाकर ख़ुद को साफ़ करो। उस औरत ने पूछा या रसूलल्लाह कैसे साफ़ किया जाए? नबी-ए-करीम मु’हम्मद ﷺ ने फ़रमाया:

सुब्हान अल्लाह! ख़ुद को साफ़ करो।

फिर मैंने उस औरत को अपनी तरफ़ खींच लिया और बताया की, ख़ून के मक़ाम को उस कपड़े के टुकड़े से साफ़ करो।”

[सहीह बुख़ारी हदीस #314]

ग़ुस्ल के दो (2) तरीक़े हैं

  1. सुन्नत तरीक़ा

सुन्नत तरीक़ा यह है:

सबसे अव्वल तीन (3) दफ़ह हाथ धोए कलाई तक फिर अपने बाएं हाथ से अपनी शर्मगाह धोए। उसके बाद वुज़ू करे। और फिर सर पर तीन (3) बार पानी डाल कर पूरे जिस्म पर पानी बहाए। और आख़िर में अपने पांव धोएं। सबसे पहले दाहिना पांव धोए फिर बायां।

ग़ुस्ल का सुन्नत तरीक़ा सबसे अफ़ज़ल है। क्योंकि ऐसे नहाने पर एक शख़्स को पाकी भी हासिल होगी साथ-साथ सुन्नत की अदाएगी करने के सबब बेशुमार अजर-ओ-सवाब भी मिलेगा।

  1. सिर्फ़ ग़ुस्ल के फ़राइज़ अदा करके ग़ुस्ल करना

ग़ुस्ल के तीन (3) फ़र्ज़ हैं। अगर कोई इन तीनों (3) फ़र्ज़ को अदा करले तो उसे पाकी हासिल हो जाएगी। और अगर एक (1) भी फ़र्ज़ छोड़ दी जाए तो पाकी हासिल ना होगी।

जब कोई शख़्स ग़ुस्ल के लिए जाए तो, सबसे अव्वल तीन (3) दफ़ह अपने हाथ गट्टों (कलाई) तक धोए। फिर अपने बाएं हाथ से अपनी शर्मगाह धोए। उसके बाद तीन (3) बार कुल्ला करे और तीन (3) बार नाक में पानी डालकर नाक साफ़ करे। और फिर पूरे जिस्म पर पानी बहाए।

इस तरीक़े से भी ग़ुस्ल करने से पाकी हासिल हो जाएगी। मगर चूंकि यह सुन्नत तरीक़ा नहीं है, तो उस शख़्स को सुन्नत अदा न करने के सबब इसका अजर (सवाब) नही मिलेगा।

ग़ुस्ल करने की नियत और उसका तरीक़ा

यहां देखिए:

जैसे की हम ऊपर हदीस की रोशनी में ग़ुस्ल करने का तरीक़ा और ग़ुस्ल के फ़र्ज़; सुन्नत; मुसतहब के बारे में जान चुके हैं।

लेकिन हम यहां ग़ुस्ल करने के तरीक़े के बारे में तफ़सील से पढ़ेगे।

  1. निय्यत करना

ग़ुस्ल करने से पहले चाहे तो ज़ुबान से या फिर दिल में नियत कर लेना काफ़ी है। नियत इस तरीक़े से करें:

या अल्लाह! मैं नियत करता/करती हूं ग़ुस्ल की पाकीज़गी हासिल करने के लिए।

  1. बिस्मिल्लाह पढ़ना

ग़ुस्ल करने से पहले बिस्मिल्लाह पढ़ लें क्यों की, बिस्मिल्लाह पढ़ने से शयतान और इंसान के शर्मगाह के दरमियान अल्लाह एक परदा डाल देता है।

  1. अगर आप नजासत-ए-ग़लीज़ह (भारी नजासत) से पाक होने के लिए नहा रहे हैं। तो आप पर लाज़िम है की आप सुन्नत तरीक़े से ग़ुस्ल करिए।

सबसे अव्वल अपने हाथ तीन (3) मरतबा धोलें, फिर अपने बाएं हाथ से अपनी शर्मगाह धोए। उसके बाद अपना बायां हाथ धोएं। फिर वुज़ू करें जैसे नमाज़ के लिए करते हैं। उसके बाद सर से पानी डालना शुरू करें और तीन (3) मरतबा पानी डालकर पूरे जिस्म पर पानी बहाएं।

अल्लाह ने हमें इस दौर में साबुन जैसी नेमत और सहूलत से नवाज़ा है। तो आप साबुन से नहाएं और बालों में शैंपू लगाएं और फिर सबसे आख़िर में अपने पांव धोएं। यह ग़ुस्ल करने का सुन्नत तरीक़ा है।

नजासत-ए-ख़फ़ीफ़ह (हल्की नजासत) से ग़ुस्ल करने का तरीक़ा

  1. नियत करें।
  2. बिस्मिल्लाह पढ़े।
  3. सबसे अव्वल तीन (3) मरतबा कलाई तक अपने हाथ धोएं। उसके बाद बाएं हाथ से अपनी शर्मगाह धोएं। फिर अपना बायां हाथ धोएं, कुल्ला करे और फिर नाक साफ़ करें। इसके बाद दाहिनी जानिब से सर पर पानी डालना शुरू करे और पूरे बदन पर पानी बहाए। आप चाहें तो साबुन और शैंपू से नहाएं।

यह ग़ुस्ल करने का आसान तरीक़ा है। हल्की नजासत से पाकी के लिए ऐसे नहा लेना काफ़ी है। इंशा अल्लाह, ऐसे नहाने से पाकी हासिल हो जाएगी। मगर भारी नजासत हो तो सुन्नत तरीक़े से ही ग़ुस्ल करें।

ग़ुस्ल करने के बाद की दुआ

ग़ुस्ल करने से पहले या फिर ग़ुस्ल के बाद की कोई ख़ास दुआ किसी हदीस से साबित नही है। की इसकी बाद की दुआ नही होती। किसी हदीस में इसका ज़िक्र नहीं आया है। लेकिन अगर आप इस दुआ को पढ़ना चाहें तो पढ़ सकते हैं। यह दुआ हिसनुल हसन में मौजूद है। और इसके पढ़ने से इंशा अल्लाह, अजर-ओ-सवाब मिलेगा।

दुआ यह है:

اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ وَاجْعَلْنِي مِنَ الْمُتَطَهِّرِينَ

ऐ अल्लाह! मुझे माफ़ी मांगने वालों में से और पाक रहने वालों में से बना दे।

[हिसनुल हसन]

ग़ौर तलब:

  1. जब भी ग़ुस्ल के दौरान नाक साफ़ करनी हो तो बाएं हाथ का इस्तेमाल करिए। और नजासत धोने या शर्मगाह धोने के लिए भी बाएं हाथ का इस्तेमाल करिए।
  2. रमज़ान के दिनों में हल्के से कुल्ला करे ताकि पानी हलक तक न पहुंचे। क्योंकि ऐसे हालात में रोज़ा टूट जाएगा।
  3. औरतें जुड़ा खोलकर नहाएं। ताकि पानी सर के जड़ तक पहुंच जाए। क्योंकि जिस्म का एक क़तरा भी सूखा रह गया तो ग़ुस्ल न होगी।
  4. मर्द हो या औरत अगर अपने कोई अंगूठी (रिंग) पहनी हो तो उसे उतार कर नहाएं। ताकि पानी उस हिस्से में पहुंच जाए।
  5. अगर औरतों ने नाखून-पालिश लगाई है तो उसे हटाकर नहाए। ताकि उस हिस्से में पानी पहुंचे। नाखून-पालिश पानी को इस हिस्से तक पहुंचे से रोकता है। ऐसे में ग़ुस्ल नही होगी। और पाकीज़गी हासिल नहीं हो पाएगी।
  6. औरतें जिन्होंने कान या नाक में कोई ज़ेवर पहना है, लाज़मी है उसे उतार कर नहाएं या फिर नहाते वक़्त उसे घुमा लें। ताकि पानी उस हिस्से में पहुंच जाए।

ग़ुस्ल दुरुस्त (सही) तरीके से करना बेहद ज़रूरी है। क्योंकि अगर ग़ुस्ल ना होगी तो, पाकी हासिल नहीं होगी। और ऐसे हालात में ना तो नमाज़े क़ुबूल होंगी और न क़ुरआन की तिलावत क़ुबूल होंगी।

इंसान गुनाहगार होगा। क्योंकि अल्लाह ने हमें सलाहियत दी है की, हम पढ़े और इल्म हासिल करें। इल्म हासिल करना हर मुसलमान पर फ़र्ज़ है। इसलिए दीन और हदीस की रोशनी में हमें, हमेशा चीज़ों की हकीकत ढूंढनी चाहिए। ताकि हश्र में अल्लाह हमसे राज़ी हो जाए।

अल्लाह हमें नेक रासते पर चलने की तौफ़ीक़ अता करे, इल्म दे, हिदायत दे आमीन या रब्बुल ’आलमीन।

अगर आपको पोस्ट पसंद आए तो अपनो से ज़रूर शेयर कीजिएगा।

Join ya ALLAH Community!

FaceBook→ yaALLAHyaRasul

Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

2 Comments on “Ghusl Karne Ki Dua Aur Niyyat”

  1. assalamualikim Mujhe wazifa karne ki ijazat dijiye mere comment ko reply dijiye mujhe bahut jarurat hai bhai mai apni pasand ki shaadi karna chahti hu mera waha se rishta ajaye sab raazi ho jaaye unke.gharwale rishta lekar.aaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *