Jinke ghar mein bahot hi zyada jhagde aur fasaad baat aur bina baat ke hote rahte hai ghar mein ladai jhagde ki dua ki barkat se unke ghar ka mahaul khushnuma aur pyar bhara hone wala hai, Insha ALLAH.
Ghar Mein Ladai Jhagde Ki Dua- Ab Pyar Bhara Mahaul Hoga
Har shakhs chahta hai ke uske ghar mein khush haali rahe. Ghar ke sare log ek dusre se muhabbat se pesh ayen ek dusre ki parwah kare. Ghar mein hamesha khushiyaa phele khushi ka mahaul rahe. Zarur dekhiye→ Ghar Ki Hifazat Ke Liye Taweez
Lekin amuman logo ke ghar mein ladayi jhagde ke masail hote hai. Kisi ke ghar mein miya-biwi to kahin saas-bahu ke jhagde kahin nand aur bhabhi ke darmiyan tana-tani to kahin jethani-devrani ke beech an-ban. Ajkal ye har ghar ka masla aam hote ja raha hai.
Kayi bar to Aas-pados walon se bhi jhagde ho jate hai. Yaha tak ke jaha kaam karte hai waha bhi jhagde ho jate hai. Quran-e-pak ki ayat-e-mubarika ke mutabiq insan jhagdalu hai aur yahi hadees mein bhi aya hai.
Bahut bar gharon mein itni ladayi ho jati hai ke ghar ka mahaul kharab ho jata hai. Ghar mein 2 pal ka chain-o-sukoon nahi milta. Jeena haram ho jata hai.
Ladayi ka sabse bura asar bacchon par padta hai. Unke nazuk aur kam umr zehan mein ladayi jhagda ki taseer is tarha baith jati hai ke wo khud bhi dhire-dhire waise hi ban jate hai. Jaisa wo apne badon ko karte huye dekhte hai.
Isliye ghar mein sukoon ka hona bahut zaruri hai. Bachchon ko bhi khuloos aur mohabbat se sambhale.
Kabhi kabhi to chhoti si baat badi ban kar ghar ka sukoon khatam kar deti hai. Aur ladayi jhagdon se ghar ki barqat bhi khatam hoti rahti farishte naraz ho kar ghar se bahar chale jate hai. Zarur dekhiye→ Nakhun Katne Ka Sunnat Tarika
Aap ﷺ ne Farmaya:
“ Tum us waqt tak jannat me Nahi jaoge Jab tak Iman Nahi Laoge Aur tum us waqt tak momin Nahi ho sakte Jab tak ek dusre se Muhabbat na Karo, Kya Mai Tumhein Aisi Cheez na Bataon ke jab Tum use Apna loge to Aapas me Muhabbat karne Lagoge, (wo ye hai ke) Aapas me Salam Phailao”.
(Saheeh Al-Bukhari)
Age ham parhen ghar mein ladayi jhagde ki dua bahot hi asan aur asardar
Amal 1#
Anchahe jhagdon se bachne ke liye salaam ko aam karein. Jab bhi ghar mein dakhil ho to As Salaamu Alaykum Wa Rahmatullah Wa Barakatuho padhein chahe koyi ghar mein ho ya na ho.
Salaam karne ke liye zaruri nahi ke chhota hi salaam kare. Bade chhoto ko, miya biwi ko, malik mulazim ko bhi pahle salaam kar sakta hai. ALLAH salaam karne ko pasand karta hai.
Main Kya Karta Hoon Jiski Wajah Se Alhamdulillah Mere Ghar Me Khushhaali Ka Mahaul Bana Rahta Hai
- Maine hamesha jab bhi mere ghar me dakhil hota hoon, seedha yani dahina qadam sabse pahle ander rakhte hue salam karta hoon. Bhale hi ghar mein koi ho ya ke na ho.
- Aur uske baad surah ikhlas 1 martaba parhta hoon.
- Aur phir mere pyare Aqa Huzur-e-Akram ﷺ par Durood parh liya karta hoon.
Main aapse bhi yahi karne ki guzarish karunga. Thode din mein ap khud apne ghar ke mahaul mein khushiyan panapti hui dekhiye!
Amal 2#
Agar Aapke samne achanak jhagda shuru ho jaye to Aap durood sharif aur surah fateha ka wird shuru karden. Yahan har tarah ki durood shareef dekhiye.
Usi waqt aman ho jayega aur aisi kaifiyat mein Aap sirf ALLAH Ta’ala ki madad mangiye.
Nabi kareem ﷺ ne farmaya jiska mafhoom hai:
Jab banda durood sharif padhta hai to us waqt Rahmat ke farishte hazir ho jate hai. Aur shaitan (iblees) farishte ko dekh kar bhag jate hai.
Durood sharif aur surah fateha doni hi junoon ko khatm karte hai.
Amal 3#
Jab sone lagen to Bismillah hir Rahmanir Raheem 121 bar padh kar darwaza band karein aur sath hi darwaze par dum bhi karden. Aur is Amal ko rozana ka mamul bana len.
Agar roz yeh amal nahi kar sakte to 121 bar Bismillah hir Rahmanir Raheem kagaz mein likh kar darwaze par laga den. In sha ALLAH Bismillah ki barkat se jhagde hona band ho jayenge. Zarur dekhiye→ Marne Ke Bad Ki Dua
Amal 4#
وَأَلَّفَ بَيْنَ قُلُوبِهِمْ ۚ لَوْ أَنفَقْتَ مَا فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا مَّا أَلَّفْتَ بَيْنَ قُلُوبِهِمْ وَلَـٰكِنَّ اللَّهَ أَلَّفَ بَيْنَهُمْ ۚ إِنَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
Jo kuch zameen mein hai agar sara tu kharch kar deta unke dilon mein ulfat na dal sakta lekin ALLAH ne unme ulfat dal di beshak ALLAH ghalib ‘hikmat wala hai
- Yeh Amal Aap kisi bhi din aur kisi bhi waqt shuru kar sakte hai.
- Awwal akhir 3- 3 bar durood sharif padhna hai.
- 21 bar Bismillah hir Rahmanir Raheem ke sath Surah Anfaal ki ayat number 63 ko padhen.
- Aur kisi bhi khane ki chiz par dum karden, phir sab ghar walon ko khila den. Zarur dekhiye→ Dawat Khane Ki Dua
Sare ghar walen ek dusre se muhabbat aur khuloos ke sath pesh ayenge. Ghar me sukoon ka mahaul bana rahega In sha ALLAH.
Ghaur Talab: Haiz/mahwari mein Amal 3# aur 4# qatayi na karein, baki amal kar sakte hai.
Ghar Mein Ladai Jhagde Ki Dua
Kisi bhi tarha ke ladai jhagde se nijat pane ke liye.
Chahe to miyan-biwi mein se khud bhi apne jhagde ko khatam karne ke liye parhiye:
- Kabhi bhi yeh wazifa shuru kar sakte hai.
- Wuzu ki halat mein hi karein to bahter hoga.
- Rozana ek sou Ikattees (131) martaba ‘ya Salamu’ padhein.
- Aur ALLAH se dua kar ghar Ladayi jhagde na ho aur aman-o-amaan ka mahaul rahe.
- Kuch hi dino mein ghar ka mahaul acha ho jayega. In sha ALLAH
Yeh amal tab tak karein jab tak fayedah nazar aane tak parhte rahiye. Aap chahein to ise roz ka mamul bhi bana sakte hai. Zarur dekhiye→ Shaban Ke Mahine Ki Fazilat
Ye wazifa ap miyan ka jhagda khatam karne ke liye bhi parh sakte hai.
Ghar mein kisi bhi waqt ladai jhagde ke halaat paida ho jaye to us waqt us jagah se hat kar “Ya Salamo” ka wird karna shuru kar den.
Ghar ke jitne bhi log lad rahe honge, ALLAH ke is Mubarak naam ki barkat se ladai aur fasad fauran hi khatm kar denge. Ghar mein aman aur sukoon qayam ho jayega, Insha ALLAH.
Aap chahen to ise uthte-baithte, chalte-phirte, koyi bhi kaam karte huye padh sakte hai. Ghar ke baki logon ko bhi padhne ko keh sakte.
Is Amal ka wird ghar ke sabhi log karenge to insha ALLAH Ta’ala ghar me bahut jald sukoon aur aman qayam ho jayega.
Wuzu ki halat mein padhenge to wuzu ka sawab bhi milega. Napaaki (Haiz/Maahwari) mein bhi wuzu kar ke padh sakte hai. Zarur dekhiye→ Shab e Barat Ki Ibadat Ka Tarika
Ghar Mein Ladai Jhagde Ki Dua
Agar miya biwi mein apas mein na ittefaqi rahti ho aur ek dusre se kate-kate rahte ho. To is surat mein Amal zarur karein. Agar biwi miya ke liye karna chahti hai to kar sakti hai aur agar miya biwi ke liye karna chahta hai to bhi kar sakta hai.
Amal ka Tareeqa
- Sable pahle wuzu bana len.
- Isha ki namaz ke bad ek sau (100) bar “Ya Hannaano” “Ya Haleemo” padhein.
- Padh kar ALLAH Azzawajal se ladayi jhagde khatam aur apas mein muhabbat paida hone ki dua karein.
- Aapko yeh amal tab tak karna hai jab tak t’alluqaat achhe na ho jaye.
- In sha ALLAH Ta’ala bahut jald t’alluqaat khushgawar ho jayenge.
Ghaur Talab: Khawateen Haiz/Maahwari mein yeh amal kar sakti hai.
Apne pyaron ke ghar mein bhi aman-o-mohabbat ka mahaul bana rahe to unse bhi zarur share kijiyega!
घर में लडाई झगड़े की दु’आ
जिनके घर में बहुत ही ज़्यादा झगड़े और फसाद बात और बिना बात के होते रहते है घर में लडाई झगड़े की दुआ की बरकत से उनके घर का माहौल ख़ुशनुमा और प्यार भरा होने वाला है, इंशा अल्लाह।
घर में लडाई झगड़े की दुआ-अब प्यार भरा माहौल होगा
हर शख़्स चाहता है के उसके घर में खुश हाली रहे। घर के सारे लोग एक दूसरे से मुहब्बत से पेश आये एक दूसरे की परवाह करे। घर में हमेशा खुशियाँ फैले खुशी का माहौल रहे। ज़रूर देखिये→ नाफ़रमान औलाद अब फर्माबरदार होगी
लेकिन अमूमन लोगो के घर में लड़ाई-झगड़े के मसाइल होते है। किसी के घर में मिया-बीवी तो कहीं सास-बहु के झगड़े कहीं नंद और भाभी के दरमियाँ तना-तनी तो कहीं जेठानी-देवरानी के बीच अन-बन। आज कल ये हर घर का मसला आम होते जा रहा है।
कई बार तो आस-पड़ोस वालों से भी झगड़े हो जाते है। यहाँ तक के जहाँ काम करते है वहाँ भी झगड़े हो ही जाते है।
क़ुर’आन-ए-पाक की एक आयत-ए-मुबारिका के मुताबिक़ इंसान झगड़ालू है और यही हदीस में भी आया है।
बहुत बार घरों में इतनी लडाई हो जाती है के घर का माहौल खराब हो जाता है। घर में 2 पल का चैन-ओ-सुकून नही मिलता। जीना हराम हो जाता है।
लडाई का सबसे बुरा असर बच्चों पर पड़ता है। उनके नाज़ुक और कम उमर ज़ेहन में लडाई झगड़े की तासीर इस तरह बैठ जाती है के वो खुद भी धीरे-धीरे वैसे ही बन जाते है। जैसे वो अपने बड़ों को करते हुए देखते है।
इसलिए घर में सुकून का होना बहुत ज़रूरी है। बच्चों को भी खुलूस और मुहब्बत से सम्भाले।
कभी कभी तो छोटी सी बात बड़ी बन कर घर का सुकून खतम कर देती है। और लडाई झगड़ों से घर की बरकत भी ख़त्म होती रहती है। फरिश्ते नाराज़ हो कर घर से बाहर चले जाते है। ज़रूर देखिये→ किसी से अपनी बात मनवाने की दुआ
आप ﷺ ने फरमाया:
“तुम उस वक़्त तक जन्नत में नही जाओगे जब तक ईमान नही लाओगे और तुम उस वक़्त तक मोमिन नही हो सकते जब तक एक दूसरे से मुहब्बत न करो, क्या मै तुम्हें ऐसी चीज़ ना बताओं के जब तुम उसे अपना लोगे तो आपस में मुहब्बत करने लगोगे, (वो ये है के) आपस मे सलाम फैलाओ”|
(सहीह अल-बुखारी)
आगे हम पढ़ेगे घर लडाई झगड़े की दुआ बहुत ही आसान और असरदार
अमल 1#
अंचाहे झगड़ों से बचने के लिए सलाम को आम करें। जब भी घर में दाखिल हो तो अस सलामु अलैकुम् वा रातुल्लाह वा ब-र-कातुहु पढ़े चाहे कोई घर में हो या ना हो।
सलाम करने के लिए ज़रूरी नही के छोटा ही सलाम करे। बड़े छोटो को, मिया बीवी को, मालिक मुलाज़िम को भी पहले सलाम कर सकता है। अल्लाह सलाम करने को पसंद करता है।
मैं क्या करता हूँ जिसकी वजह से अल्हमदुलिल्लाह मेरे घर मे खुश हाली का माहौल बना रहता है|
मैं आपसे भी यही करने की गुज़ारिश् करूँगा। थोड़े दिन में आप खुद अपने घर के माहौल में खुशियाँ पनपति हुई देखिये!
अमल 2#
अगर आपके सामने अचानक झगड़ा शुरू हो जाए तो आप दुरूद् शरीफ और सूरह फातेहा का विर्द शुरू कर दें।
उसी वक़्त अमन हो जायेगा और ऐसी कैफियत में आप सिर्फ अल्लाह त’आला की मदद मांगिये।
नबी करीम ﷺ ने फरमाया जिसका माफ़हूम है:
जब बंदा दुरूद् शरीफ पढ़ता है तो उस वक़्त रहमत के फरिश्ते हाज़िर हो जाते है। और शैतान (इब्लीस) फरिश्ते को देख कर भाग जाता है।
दुरूद् शरीफ और सुरह फातेहा दोनो ही जुनून को खत्म करते है। यहाँ देखिये→ ग़ुस्से की दुआ
अमल 3#
जब सोने लगें तो बिस्मिल्लाह हीर रहमानिर् रहीम 121 बार पढ़ कर दरवाज़ा बंद करें और साथ ही दरवाजे पर दम भी करदें। और इस अमल को रौज़ाना का ममुल् बना लें।
अगर रोज़ यह अमल नही कर सकते तो 121 बार बीस्मिल्लाह हीर रहमानिर् रहीम काग़ज़ में लिख कर दरवाज़े पर लगा दें। इंशा अल्लाह बिस्मिल्लाह की बरकत से झगड़े होंने बंद हो जायेंगे।
وَأَلَّفَ بَيْنَ قُلُوبِهِمْ ۚ لَوْ أَنفَقْتَ مَا فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا مَّا أَلَّفْتَ بَيْنَ قُلُوبِهِمْ وَلَـٰكِنَّ اللَّهَ أَلَّفَ بَيْنَهُمْ ۚ إِنَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
जो कुछ ज़मीब में है अगर सारा ख़र्च कर देता उनके दिलों में उल्फत न डाल सकता लेकिन अल्लाह ने उनमे उल्फत डाल दी बेशक़ अल्लाह ग़ालिब ‘हिकमत वाला है।
- यह अमल आप किसी भी दिन और किसी भी वक़्त शुरू कर सकते है।
- अव्वल आखिर 3-3 बार दुरूद् शरीफ पढ़ना है।
- 21 बार बिस्मिल्लाह हीर रहमानिरर्रहीम के साथ सूरह अनफ़ाल की आयात नंबर 63 को पढ़े।
- और किसी भी खाने की चीज़ पर दम करदें, फिर सब घर वालों को खिला दें। ज़रूर देखिए→ Doodh Peene Ki Dua
सारे घर वाले एक दूसरे से मुहब्बत और खुलूस के साथ पेश आयेंगे। घर मे सुकून का माहौल बना रहेगा इंशा अल्लाह।
गौर तलब: हैज़/माहवारी में अमल 3# और 4# क़तई ना करें, बाकी अमल कर सकते है।
घर में लडाई झगड़े की दुआ
किसी भी तरह के लडाई झगड़े से निजात पाने के लिए।
चाहे तो मियाँ-बीवी में से खुद भी अपने झगड़े को ख़त्म करने के लिए पढ़िये:
- कभी भी यह वाज़ीफा शुरू कर सकते है।
- वुज़ू की हालत में ही करें तो बेहतर होगा।
- रौज़ाना एक सो इकत्तीस (131) मरतबा “या सलामो” पढ़े।
- और अल्लाह से दुआ करें घर में लडाई झगड़े न हो और अमन-ओ-आमान का माहौल रहे।
- कुछ ही दिनों में घर का माहौल अच्छा हो जायेगा। इंशा अल्लाह|
- यह अमल फायेदा नज़र आने तक पढ़ते रहिये। आप चाहें तो से रोज़ का मा’अ-मूल भी बना सकते है।
- घर में किसी भी वक़्त लडाई झगड़े के हालात पैदा हो जायें तो उस वक़्त उस जगह से हट कर “या सलामो” का विर्द करना शुरू कर दें
घर के जितने भी लोग लड़ रहे होंगे, अल्लाह के इस मुबारक नाम की बरकत से लडाई और फसाद फ़ौरन ही ख़त्म कर देंगे। घर में अमन और सुकून क़ायम हो जायेगा, इंशा अल्लाह। ज़रूर देखिए→ मौत की आसानी की दुआ
आप चाहें तो से उठते-बैठते, चलते-फिरते, कोई भी काम करते हुए पढ़ सकते है। घर के। बाकी लोगों को भी पढ़ने को कहें।
इस अमल का विर्द घर के सभी लोग करेंगे तो इंशा अल्लाह त’आला घर मे बहुत जल्द सुकून और अमन क़ायम हो जायेगा।
वुज़ू की हालत में पढ़ेगे तो वुज़ू का सवाब भी मिलेगा। नापाकि (हैज़/माहवारी) में भी वुज़ू कर के पढ़ सकते है।
अपने प्यारों के घर में भी अमन-ओ-मुहब्बत का माहौल बना रहे तो उनसे भी ज़रूर शेयर कीजियेगा!
घर में लड़ाई झगड़े की दुआ
अगर मियाँ बीवी में आपस में न इत्तेफ़ाक़ी रहती हो और एक दूसरे से कटे-कटे रहते हो। तो इस सूरत में अमल ज़रूर करें।
अगर बीवी मिया के लिए करना चहती है तो कर सकती है और अगर मियाँ-बीवी के लिए करना चाहता है तो भी कर सकता है।
अमल का तरीक़ा
- सबसे पहले वुज़ू बना लें।
- ईशा की नमाज़ के बाद एक सो (100) बार “या ‘हन्नानो” “या ‘हलीमो” पढ़े।
- पढ़ कर अल्लाह अज़्जवजल से लड़ाई-झगड़े ख़त्म और आपस में मुहब्बत पैदा होने की दुआ करें।
- आपको यह अमल तब तक करना है जब तक त’अलुक़ात अच्छे ना हो जाये।
- इंशा अल्लाह त’आला बहुत जल्द त’अलुक़ात खुशगवार हो जाएंगे।
गौर तलब: ख़्वातीन हैज़/माहवारी में यह अमल कर सकती है।
अपने प्यारों के घर में भी अमन-ओ-मुहब्बत का माहौल बना रहे तो उनसे भी ज़रूर शेयर कीजियेगा!
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe to YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Hamara ghar pa hamra bata bati ikhta hota ha to bat bat ma zagda karta ha bati sadi suda ha
Assalam o alaikum imran bhai meri saas aur nanndon nai bht pareshan kr rakha hai abhi shaadi ko 2 month hi huwe hain.. aur meri bhabhi b bht jhagra krti hain kiya un k liye main surah nisa ayat no 45 aur 148 wala wazifa parh skti hn… Get rid of mother law wala… Main bht pareshan hn
Sabke liye ye amal kijiye https://www.yaallah.in/wazifa-to-get-rid-of-mother-in-law/