Dua For Mother & Father

A lovely easy Qurani dua for mother and father’s happiness and health. Whenever you make a dua just recite this short verse #24 of Surah Al-Isra from The Noble Quran. ALLAH will definitely grant you and your parents a beautiful reward.

1 Beautiful Dua For Mother & Father

Surah Al Isra verse 24 dua for mother & father

Dua for your Mother and Father in English Hindi Roman Urdu

Dua for Mother and Father:

English: Rabbir ‘Ham Huma Kama Rabbayani Sagheeran

English Translation: My Lord, have mercy upon them as they brought me up [when I was] small.

Roman English Translation of Dua for Mother and Father:  Ae Mere Rabb Jis Tarah Inhone Mujhe Bachpan Se Pala Isi Tarah TU Bhi In Par Raham Farma!

Hindi: रब्बिर ‘हम हुमा कमा रब्ब यानी सग़ीरा

Beautiful Dua For Mother & Father in English

We should be very grateful to our mother and our father. They have taken the pain to raise us. Mother is a small facet of The Mercy of ALLAH The Exalted. ALLAH The Majestic loves us 70 times more than our mother.

We should make special duas for our parents. Do not forget to show your gratitude towards your mother and father. Even to all your family members.

Recite Surah Al-Isra verse #24 (see image above) from The Noble Quran in your dua. ALLAH will grant mercy of them indeed. You could also get salvation through your parent. See Ahad nama with translations here!

Beautiful Dua For Mother & Father in Roman Urdu/English

Maa aur Baap ki sehatmand aur khush-haal zindagi ke liye ye ek bohat hi pyari du’a hai. Aap din bhar me jab bhi du’a maangen, Surah Al-Isra ki ayat adad 24 zarur parhen. Ye ek chhoti si ayat hai. Iske parhne se ALLAH Ta’ala na sirf aapko savab dega balke aapke walidain ko bhi khoobsurat in’aam dega. Yahan Safar Ki Dua HD Images dekhiye!

Hamen apne Maa aur Baap dono ka shukarguzaar hona chahiye. Unho ne hamen paalne me bohat si mushkilaat uthayi hain. Maa, ALLAH Ta’ala ki di gayi ek bohat hi pyari ne’mat hai. ALLAH Ta’ala ham se ek Maa ke pyar se bhi sattar (70) guna zyada pyar karta hai.

Hamen apne walidain ke liye khusoosi du’a karni chahiye. Unki lambi zindagi ke liye, unki achhi sehat ke liye aur unki asaan aur pur sukoon zindagi ke liye. Apne Maa Baap ka shukriya ada karna kabhi bhi na bhooliyega. Yahan How to pray salatul hajat namaz dekhiye!

Balke unka har tarah se zyada se zyada khayal rakhne ki koshish kijiye. Kyunke jo hamare Maa Baap ne hamare liye zindagi bhar kiya hai, wo koi aur nahi kar sakta. Ham to unka hamari parwarish aur araamdah zindagi ke liye raato ko jaagne ka badla hi nahi chuka sakte.

Na sirf apne walidain ka khayal rakhiye balke apne pure khandan ka khayal rakhiye. Isse ghar me pur sukoon aur mohabbat bhari faza qayem rahegi. Yahan Dua before Sleep dekhiye!

Quran Paak ki Surah Al-Isra ki ayat adad 24 jo ke upar image me bhi di gayi hai, isko jitna chahe aasani se aap parhiye. Aur apne walidain ke liye du’a maangte rahiye. ALLAH Azzawajal unpar Apna khusoosi Raham o Karam farmayega. Aur aapke walidain ke waseela se aapko bhi nijat mil payegi, Aameen!

Join ya ALLAH Community!

Subscribe YouTube Channel→yaALLAH Website Official

Instagram par Follow Kijiye instagram.com/yaALLAH.in

33 Comments

  1. Mera maa baap ka darmiyan larai bht zada ho rahi hai unso khatam kar ka muhabbat pada karna ka liya koi dua bata day jo jald say jald larai ko khatam kar ka muhabbat pada ho jaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *