Gas in adults and babies is normal but when it exceeds the amount in the stomach. It becomes a problem that creates pain. Dua for gas relief is an effective substitute for allopathy treatment.
1 Effective & Easy Dua For Gas Relief in Adults & Babies
Gas or gastritis is very common and it’s not a disease. Until it remains within the stomach in a normal amount. However, as soon as it crosses the normal amount within the stomach. This normal thing transforms into a disease. Don’t forget to read→ YarhamukALLAH Meaning
Which may end up with a number of other diseases. Like pain in the joints, severe headaches, blood pressure, insomnia, chest pain, stiffness of the abdomen, swelling of intestines, rapid heartbeat, bad breath, gums swelling, mouth blisters, sour burps, stomach inflammation, and much more.
Gas, is it normal?
Gas can be found both in the stomach and intestines. When we intake some air while eating or drinking. Some of the gas is expelled through the mouth while burping. While the remaining gets out through the anus.
This is the normal functioning of the digestive system. According to research, it is normal to pass wind through the anus from about 5-15 times a day. You will love to read→ Dua for Rain to Come
Why there is a Gastric Problem?
When the gas is not released through the anus, the gastric problem occurs. Rather it gets accumulated in the rectum (the last part of the large intestine). This excessive air causes troubles and upsets the stomach. You will love to read→ Dua for Wearing New Clothes
Causes Excessive Gas
- Eating Fast
- Excessive talking while eating
- Bad choice of food
- Excessive consumption of soft and carbonated drinks
- Excessive consumption of high-fiber food
- Excessive consumption of dairy products
- Extra intake of sugar
- Having spicy food
- Production of extra bacteria in the intestines
- Extra gas production by bacteria living in the intestines
- Eating chewing gum
- Smoking
- Comfortable living standard
- Lack of body movements or exercise.
There are a lot of treatments in allopathy, homeopathy, naturopathy, and Unani. Which may cause side effects to your body. Therefore, we should make a practice of reciting the lovely duas which will cure gastric disease not even in adults but also in babies. Babies cannot express why and how they are suffering. Instead, they just cry. You might like to read→ Dua To Get ALLAH’s Love
Dua For Gastritis or Gas Relief
Before having meals recite ‘ya Muqeetu’ the lovely name of ALLAH, eleven (11) times with Bismillah Hirra’hman Nirra’heem one (1) time in the starting.
If ALLAH wills, gastritis, dyspepsia, old gas problem, acidity, stomach cramps, bloating, and all the stomach illness will be permanently cured, aameen.
یَا مُقِیْتُ
ya Muqeetu
या मुक़ीतू
Ae Quwwat Dene Wale
The Preserver
ऐ क़ूव्वत देने वाले
While you make a practice of reciting this dua. You also need to follow these necessary steps:
- Always drink water before having food. It would be okay if you take it during your meals. But never drink it just after your meals. Our beloved Prophet Mu’hammad ﷺ never drank water just after His meals.
- Drink water after half an hour of your meals.
- Always chew your meal properly and eat slowly.
- Always have some empty space in your stomach.
- Have some walk after your meals. It has been mentioned in Hadith that one should take a walk (chahal qadmi) after having his/her meals.
By adopting these habits and performing this special wazifa you can control the factors causing the gas.
Gastritis is very common. You should share this post with your loved ones. It might help them too. May ALLAH reward you!
Dua for Gas Problem in Roman English
Gas/Reeh/Tabkheer-e-Maida Kya Hai?
Jism me kisi na kisi surat dakhil hone, paida hone, aur khaarij hone wali hawa ko gas/reeh/Tabkheer-e-Meda kaha jata hai. Aksar logon ko pet me gas ki shikayet rahti hai. Jiski wajah se wo chirchide rahne lagte hain. Uljhan aur zehni dabaw ka shikar ho jate hain.
Pet Me Gas Aakhir Kyun Banti Hai?
Gas mede aur antariyon mein banti hai. Jab ham kuch khaate ya peete hain to apni khooraak ke sath hawa ko bhi andar nigal lete hain. Ye hawa khane ke sath hamare maide me jama ho jati hai. Zyada tar ye hawa dikaar lene se munh ke zariye bahar nikal jati hai. Ye to ho gayi mede me jama hone wali gas ki baat.
Ab karte hain bat ke pet yani badi aant mein gas aakhir kaise banti hai. Khoorak ko hazam karne ka kaam munh se hi shuru ho jata hai. Khayi jane wali ghiza, khoorak ki naali se guzarte hue mede se hokar jab chhoti aant mein pahunchti hai to wahan khoorak ki tod phod ka amal shuru ho jata hai. Jiske natije mein khayi gayi ghiza ke ghizayi ajzaa khoon me jazb (shamil) ho jate hain.
Kuch ghair hazam shuda (hazam na hone wali) khoorak jo chhoti aant hazam karne se qaasir/nakam hoti hai, wo khoorak colon (badi aant) me muntaqil kar di jati hai. Wahan maujud bacteria ghair munhizim (na hazam hone wali) ghiza jisme khas kar shakkar, nishaasta aur resha daar ghiza shamil hoti hai, ki takhmeer (keemiyai amal) karke gas paida karta hai. Kuch gas to bacteria khud hi istemal kar leta hai. Jabki baqi mandah (bachi) gas anus (ikhraaj ke raaste) jism se khaarij kar di jati hai.
Ye nizam-e-inhazaam ka ek baqayedah amal hai. Yahan tak to sab normal hai. Ek tahqeeq ke mutabiq din me 5-15 baar hawa ka ikhraaj ek aam baat hai.
Phir Ye Gas Ki Beemari Kyo?
Masla tab hota hai jab badi aant mein banne wali gas ikhraaj ke raste khaarij nahi hoti. Balki rectum (badi aant ka aakhri hissa) mein jama hoti rahti hai. Ye izafi jamma shudah gas takleef ka bayes banti hai.
Bad hazmi aur gas ke masle ki surat mein ghiza zyadah der mede mein padi rahti hai. Jiske natije mein ye apni ghizaiyat kho baithti hai. Jab tak aisi ghiza pet me maujud rahti hai, pet bhara hua to mahsoos hota hai. Lekin uske ghizayi ajza khoon mein jazb nahi hote. Yani saade alfaaz mein kah sakte hain ke jitna marzi khayi jao, khana jism ko lagta hi nahi. Fayede ki bajaye ulta nuqsan hi hota hai.
Badhazmi Aur Pet Me Mamul Se Zayed Gas Ikathhi Hone Ki Wajoohaat
- Tez tez khana khana
- Khane ke dauran baaten karna
- Khooraak ke chunaw (intikhaab) mein be ahteyaati
- Carbonated mashroobaat ka izaafi istemal
- Fiber (resha daar) wali ghiza ka izaafi istemal
- Doodh se bani masnoo’aat (chizon) ka zayed Istemal
- Shakkar ka zayed istemal
- Mirch masaaleh aur chat pate khano ka istemal
- Aanton mein izaafi bacteria ki paidawaar
- Jism mein maujud bacteria ka izaafi gas banana
- Chewing gum ka zyadah istemal
- Sigret noshi (peena)
- Sehal pasand (aram dah) tarz-e-zindagi
Ye sab wajoohaat hain jinki bina par jism mein gas ki aust miqdaar ka tawaazun kharab ho jata hai. Aur jism zyadah miqdaar mein gas paida karne lagta hai jo ke na sirf moajjib-e-takleef (dard ki wajah) balki mede aur pet dono ke liye nuqsan dah bhi sabit ho sakta hai.
Bad-Hazmi Aur Pait Me Izaafi (Zyada) Gas Jama Hone Ki Nishaniyan
Pet mein izaafi (zyada) gas aur bad hazmi ki alamaat yani nishaniyan har shakhs mein mukhtalif (alag-alag) ho sakti hain. Lekin amooman in takaaleef ka saamna karna pad sakta hai:
- Mede (pet) ki sozish (soojan)
- Seene me current sa mahsoos hona
- Pet ka sakht ho jana
- Pet ki soojan
- Pet ka bahar nikal aana
- Matli/qay aana
- Pet me madod/dard
- Sar ghoomna/Chakkar aana
- Blood pressure mein izafa
- Ghabraahat aur dil ka doobna
- Dil ki dharkan mein tezi
- Matli/qay aana
- Mizaaj mein bad mazgi/Mizaaj kharab rahna
- Munh se badbu ana * Khatti dikaarein aana
- Masoodon ka phoolna
- Moonh mein chaale
- Wuzu baar-baar tootna
Pet Mein Gas Ki Takleef Se Fauri Chhutkara
Khane khane se pahle bismillah shareef ek (1) martaba parhkar ALLAH Ta’ala ka Naam Mubarak ‘ya Muqeetu’ giyarah (11) baar parhiye.
Insha ALLAH, bad hazmi, purani se purani gas ki shikayet, tezaabiyat (mede me jalan), sene ki jalan, pet me maror, aphara (pet phoolna) aur is jaise bahut se mede ke amraaz se chhutkaara naseeb hoga, aameen.
Kuch Khas Aadatein Apnaayen Aur Apna Tarz-e-Zindagi (Life-style) Behtar Banayen
- Hamesha khana khane se pahle pani piyen. Shuru mein nahi pee sake to beech me pi lijiye. Khane ke bad qatayi pani mat piyen.
- Hamare Pyare Aaqa Nabi Kareem ﷺ khane ke bad kabhi bhi pani nahi pete the.
- Khane ke kam se kam 30 minute bad pani piyen.
- Khane ko achhi tarah chaba kar aur aaram-aaram se khayen.
- Hamesha bhook rakh kar khana khaiye.
- Khane ke bad thori se chahal qadmi (chaliye) kijiye.
In aadton ko apnaane se, gas ki wajoohaat ko qaabu karne se, naram zood hazam (aasani se hazam hone wali) ghiza ko apni khooraak mein shamil karne se aur is amal ko parhne se aapki sehat hamesha achhi rahegi. Kisi bhi qism ke pet ya mede ke marz mein aap mubtila na honge, insha ALLAH.
Pet mein gas ka marz bada hi aam ho raha hai. Kya malum apke kisi khas pyare ko ALLAH na kare ye takleef ho. Ap apne jaanne walon se is post ko share karenge ALLAH apko iski jaza-e-khair zarur dega, Insha ALLAH.
Join ya ALLAH Community!
FaceBook→ yaALLAHyaRasul
Subscribe YouTube Channel→ yaALLAH Website Official
Instagram par Follow Kijiye→ instagram.com/yaALLAH.in
Main ye puchna chahri koi b wazifa jaise 11 din ka ho hmne 10 din parh liya or 11 day bhul gye to 12 day usko continues kr sakte hai
Gap nahi ana chahye. Aage se dihan rakhen